Namaaz
(Sayed Shah Turab ul Haq Qadri Alaihi Rehma)
بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ
Fazail
E Namaz
Namaz Rasool E
Muazzam Noor E Mujjassam Rehmate Do Alam ﷺ Ki Ankhon Ki Thandak Hai Deen Ka Sutoon
Hai Jannat Ki Kunji Hai Momin Ki Meraj Hai Afzal Jihad Hai Imaan Ki Alamat Hai
Dil Ka Noor Hai Chehre Ki Raounaq Hai Rooh Ki Ghiza Hai.
Namaz Ghar Mein
Nuzool E Barkat Ka Bais Hai Rizq Mein Wussat Ka Sabab Hai Jismani O Ruhani
Amraaz Ki Shifa Hai Qabr Ke Andhere Mein Roshni Hai Mehshar Ki Dhoop Mein Saya
Hai.
Namaz Qabr Ki
Wehshat Mein Dil Behlane Wali hai Pul E Sira'at Per Se Jaldi Guzarne Wali Hai
Gunaho Ki Magfirat Ka Zariya Hai Namazi Awr Dozakh Ke Darmiyan Parda Yani Aadh
Hai Shaitan Ko Dafa Karti Hai ALLAH Ta'ala Ka Qarb Awr Raza Ata Karti Hai.
Imaan Awr Aqaid Ki Durustgi Yani Kalimae Tayyaba Padhne Ke
Ba'ad Tamam Faraiz Mein Sabse Ahem Fariza Namaz Hai. Aaqa O Moula ﷺ Ka
Irsha'ad Hai.
✅ ALLAH Ta'ala Ne Meri Ummat Per Tamam Chizon Se Pehle Namaz Farz Ki Awr
Qayamat mein Sabse Pehle Namaz Hi Ka Hisab Lia Jayega. Ek Hadees Shareef Mein
Yeh Bhai Warid Haike "Jisne Namaz Ko Qayam Rakha Isne Deen Ko Qayam Rakha
Awr Jisne Namaz Ko Tark Kia Usne Apne Deen Ko Giradia".
Hazrate Abu Hurairah Radiallahu Anhu Se Riwayat Haike Nabi E Kareem ﷺ Ne
Farmaya.
✅ ALLAH Ta'ala Farmata Hai Aye Ibn E Adam ! Tu Meri Ibadat Keliye Farig
Hoja Mein Tera Seena Ghana Se Bhardunga Awr Agar Tu Aisa Na Karega To Tujhe
Bohat Se Kamon Mein Masroof Kardunga Magar Teri Ghareebi Dur Na Karonga. (📖
Mishkat, Ibne Ma'ajja)
Aaqa O Moula ﷺ Ka Ek Awr Farma'an E
Aalishan Hai :
5 Chizon Ko 5 Chizon Se pehle Ganimat
Jano
1 Budhape Se Pehle Jawani Ko
2 Bimari Se Pehle Tandurusti Ko
3 Fakheeri Se Pehle Ameeri Ko
4 Mashguliyat Se Pehle Fursat Ko
5 Mout Se Pehle Zindagi Ko. (📖 Tirmizi)
Afsoos Ke aaj Musalman Namaaz se ghafil hogaye hain aksar
logon ke paas Namaaz padhne ka waqt hi nahi jabke ba'az log Namaaz to padhte
hain magar Namaaz padhne ka
sahi Tariqa nahi jante. zarorat is amr ki hai Namaaz ka sahi Tariqa
seekha jaye awr panchon waqt ki Namaaz Bajama'at pabandi se ada kijaye.
Namaaz
Ki Ahmiyat
Quraan Majeed awr Ahadees E Kareema ma Jabaja Namaaz Ki
Pabandi Ka Hukm Diya Gaya Hai.
Irshaad E Bari Ta'ala Hua " Awr Namaaz Qayam Rakho awr
Zakaat do awr Ruku karne walon ke saath Ruku Karo" (AlBaqara : 43, Kanzul
Imaan Fi Tarjamul Quran)
Dusri Jagah Irshaad Farmaya : "Nighebani karo sab Namazao ki awr
Beech Ki Namaaz (Asr) ki". (AlBaqara : 238, Kanzul Imaan Az AalaHazrat
Imam Ahmed Raza Bareilvi Rehmutullah Alaih). Ek awr Muqaam per farmaya gaya
"Awr Namaaz Qayam Rakho Din Ke Dono Kinaro awr Kuch Raat ki hisso
mein" (Hud : 114, Kanzul Imaan) Din ke dono Kinaro se Subha O Shaam muraad
hai zawaal se qabal ka waqt subha mein awr ba'ad ka shaam mein dakhil hai.
Subha Ki Namaaz Fajr awr Shaam ki Namaaz Zohar O Asr hain awr Raat ke hisso ki
Namaazien Maghrib O Isha hain. (📚 Tafseer Khazain Ul Irfa'an)
Quraan Al Kareem mein Namaaz padhne ko mushrikon ki muqalifat
qarar diya gaya hai. Irshaad Hua "Awr Namaaz Qayam Rakho Awr Mushrikon
Mein Se Na Ho".(Ar-Room :31)
Goya Namaaz Na Padhna Mushrikon ki Misl hona hai. IskiWazahat Aaqa E Do
Jahan ﷺ
ke is Irshaad e Girami se bhi hoti haike "Bande Awr Kufr Ke Darmiyan Namaaz
Chhodna hai". (Muslim)
Ek Jagah Be Namazion keliye yun Waeed farmayi gayi. "To Unke
Ba'ad unki jagah woh naqalaf aaye jinhone Namazein gawayein (yani zaya ki) awr
apni khwahishon ke peeche huye toh an khareeb woh Dozakh mein
"Ghayee" ke jungle payenge".(Mariyam : 59 Kanzul Imaan)
"Ghayee" dozakh ke nichle hisse mein ek kunwa hai
jisme ahle dozakh ki peep girti hai ek qawl yeh bhi haike yeh Jahanam ki sabse
ziada garam awr gehri wadi hai awr isme ek kunwa hai jab jahanam ki aag bujhne
per aati hai toh ALLAH Azwajal is kunwe ko khol deta hai jisse woh badsatoor
bhadakne lagti hai. yeh kunwa Be Namazion, Zaniyon, Sharabion, Sood Khoron awr
Walidain ko eeza dene walon keliye hai.
Quraan Al Kareem mein Munafiqon ki ek nishani yeh bayan ki
gayi haike woh Namaaz padhne me susti karte hain awr isse bojh samjhte hain.
Irshaad Hua "awr jab Namaaz khade honto haare jee se, logon ko
dikhawa karte hain".(An-Nissa :142 Kanzul Imaan)
✅ Munafiqon ke mutaliq Sarkare Do Alam ﷺ ka Irshaad hai,"Munafiqon par fajr
awr Isha se ziada koi Namaaz bhari nahi awr yeh agar jante ke in Namazon mein
kia sawab hai toh zameen per ghaseette huye bhi pohanchte". (Bukhari,
Muslim)
Quraan Al Kareem mein Yeh bhi bataya gaya haike Namaaz padhna
in logon keliye hargiz mushkil nahi hai jo ALLAH Ta'ala awr akhirat per yaqeen
rakhte hain.
Irshaad Hua "Awr Beshak Namaaz zaroor bhari hai magar in per nahi
jo Dil se meri taraf jhukte hain, jinhain yaqeen haike inhein apne Rabb se
milna hai awr isiki taraf phirna". (Al Baqara : 45, 46, Kanzul Imaan)
Quraan O Hadees ki roshni mein yeh baath wazeh hogaye ke har
Musalman per Panchon Namaazein pabandi se ada karna farz hai. Namaaz padhne
mein susti karna Qusasan Fajr awr Isha ki Namaazein na padhna Munafiqon ki
nishani hai. yeh bhi maloom hua ke Nama'az na padhna kafiron ka tariqa hai
isiliye Sahaba Kiraam aamaal mein se Namaaz ke siwa kisi amal ke chhodne ko
Kufr nahi samjhte thy. Namaaz ki ahmiyat ka andaza is baath se bhi lagayiyee ke
Hadees Paak mein bachpan hi se Namaaz padhne ki takeed farmayi gaye. Nabi
Kareem ﷺ
ne farmaya. "Jab Bachhe saath saal ke hon jayein toh inhe Namaaz padhne ka
hukm do awr jab woh Das saal ke hojayein to Nama'az mein gaflat par inhein
maaro awr is baras se inke bistar bhi alehda kardo". (Abu Dawood).
Namaaz
Qaza Karne Ka Gunah
✅ Rasool E Muazzam Noor E Mujjassam Rehmate Do Alam ﷺ Ka Irshaad hai
"Jo Shaks Namaaz Qaza karde awr Ba'd mein Qaza padhle, woh apne waqt Namaaz
na padhne ki wajah se ek Haqab Jahannam mein jalega. Haqab ki miqdar Assi (80)
saal hoti hai awr ek Saal 360 din ka jabke Qayamat ka ek din ek Hazaar (1000)
saal ke barabar hoga".
Yani Ek Namaaz Qaza karne wale ko Do Crore Athasi Lakh Saal
(2,88,00000) Jahannam mein rehna hoga Al Ayaz Billahi Ta'ala . (Majalis Al
Abrar).
Sadrushariah Allama Moulana Amjad Ali Azmi Quddus Sarah
Farmate hain "Namaaz ko mutalaqan chhodena to sakt holnak baath hai Namaaz
Qaza karne walon keliye Rabb E Ta'ala Farmata hai Kharabi Hai Un Namazion
keliye jo apni Namazon se bekhabar hain, Waqt guzar ker padhne uthte hain (Al
Maoon : 4) Jahanam mein ek wadi hai jiski sakti se jahanam bhi panah mangti hai
iska Naam "Wae'el" hai Qasdan Namaaz Qaza karne wale iske mustahiq
hain. (Bahare Shariat J3 P2)
Namaaz Ki Barkatein
✅ Aaqa O Moula ﷺ ne Sahaba E Kiraam عليهم الرضوان se Farmaya "Agar kisike darwaze per
ek Nahar ho jisme woh rozana 5 martaba ghusl kare to kia iske badan per mael
baki rahega? arz ki bilkul nahi, Irshaad Farmaya "Yehi Misal 5 Namazon ki
hai ke inki Barkat se ALLAH Ta'ala Sab Gunah Mita deta hai." (Bukhari,
Muslim)
Yahan gunah se muraad Sagheera gunah hain. Kabeera Gunah Sachhi
Tauba se awr Huqooq Ul Ibadaat ada karne se muaf hote hain.
✅ Mishkaat Shareef mein ek riwayat yeh bhi hai Sarkare Do Alam ﷺ pathjhad
ke mausam me ek Darakt ke paas tashreef laye awr iski shakhein pakad kar
hilayein toh patteh girne lage. Aap ﷺ ne farmaya "Jab Musalman ALLAH Ta'ala
Ki Raza keliye Namaz Padhta hai to iske gunah aise hi girjate hain jaise is
Darakt ke patteh gire:.
✅ Nabi Kareem ﷺ ka Farmaane Aalishaan hai: "Jo Namaaz ki pabandi karega
iskeliye Qayamat ke din Roshni Daleel awr Zarye Nijaat hojayegi awr jo iski
pabandi na karega toh iskeliye Na Roshni hogi Na Daleel Na Nijaat awr woh Qayamat ke din
Kharoon, Firon, Hama'an awr Abi Bin Khalaf yani Bade Bade Kafiron Ke saath
hoga". (Mishka'at Shareef)
Namaaz ki ek Barkat yeh bhi hai ke iske zariye har mushkil
asan hoti hai awr Namazi ko sukoon milta hai. Hazrat Huzaifa رضى الله عنه ka
Irsha'ad hai ke Aaqa O Moula ﷺ ko jab koi Mushkil ya Sakht kam pesh aata toh Aap ﷺ fouran
Namaaz ki taraf mutawajje hojate thy. (Abu Dawood Shareef).
Namaaz
Ba Jama'at Ki Fazilat
✅ Aaqa O Moula ﷺ Ka Irshaad E Girami hai "Ba Jama'at Namaaz padhna Akele
Namaaz padhne se Sattaies (27) darje ziada Afzal hai". (Bukhari, Musli)
✅ Mehboob E Kibriya ﷺ ne Farmaya "Mera Dil Chahta haike chnd Jawano se kaho
ke bohat sa Aendhan jama karke layein phir mein inke paas jaon jo bila
Uzr Gharon mein Namazein padhte hain awr inke Gharon ko jalado". (Muslim,
Abu Dawood)
✅ Noor E Mujassam ﷺ Ka Farma'ane Aalishaan hai "Jo apne Ghar se Taharat O Wazu
karke Farz Namaaz ada karne keliye Masjid jata hai iske har Ek Qadam par Ek
Gunah Muaf hota hai awr Dusre Qadam par Ek Darja Buland hota hai".
(Muslim)
✅ Huzoor ﷺ ne Farmaya "Jo Shaks Azan ki awaz sune awr bila Uzr Namaaz
ko na jaye awr Ghar mein padhle iski woh Namaaz Qubool nahi hoti" Sahaba
Kiraam ne arz ki Ya Rasool ALLAH ﷺ Uzr se Kiya Muraad hai? Irshaad Farmaya
"Khauff Ya Marz". (Abu Dawood)
✅ Nabi Kareem ﷺ Ka Irshaad hai "Agar Namaaz Ba Jama'at se peche rehjane
wala janta ke is janne wale keliye kiya ajr hai toh Ghaseetta hua hazir
hota". (Tibrani)
Khushu
O Khuzu Ki Ahmiyat
✅ Aaqa O Moula ﷺ Ka Farma'ane Aalishaan hai "ALLAH Ta'ala Ki Ibadat Aise
Kiya Karo Goya Tum Ise Dekhrahe Ho, Agar Yeh Na Hosake Toh Kam az Kam yeh
Yaqeen Zaroor rakho ke Woh Tumhe Dekh Raha Hai". (Bukhari)
✅ Nabi Kareem ﷺ ne farmaya "Jo Shaks acchhi tarah Wazu karke Namazein waqt
per ada kare Khusu O Khuzu se Qiyam kare Ruku awr Sajdah bhi Itminan se kare
awr pori Namaaz achhe tariqe se toh woh Namaaz chamakdar banjati hai awr ise
yun Dua deti hai 'Aye Namazi ALLAH Teri aise hi hifazat kare jaise tune meri
hifazat ki' awr jo Namaaz ko buri tarha ada kare yani sahi Wazu na kare Ruku O
Sujood bhi achhi tarha na ada kare toh woh Namaaz Bad'dua deti haike ALLAH
tujhe aise hi barbad kare jaise tune mujhe barbad kiya. phir woh Namaaz purane kapde ki tarha lapait kar
Namazi ke muh per mardi jati hai. (Tibrani)
✅ Huzoor E Akram ﷺ ne Farmaya "Badtareen Chor Woh Hai Jo Namaaz Mein Se Chori
Kare. Sahaba E Kiraam Ne Arz Ki, Ya Rasool ALLAH ﷺ ! Woh Namaaz Mein Se Kaise Chori Karta
Hai? Farmaya Woh Ruku Awr Sajde Acchhi Tarah Ada Nahi Karta. (Musana'd Ahmed,
Tibrani)
✅ Ek Awr Hadees E Paak mein Pabandi se Namazein Khusu O Khuzu se ada
karne walon ko Magfirat ki Khushkhabri di gayi. (Abu Dawood)
✅ Hazrat Abdullah Ibne Abbas رضى الله تعالى
عنهما ka Irshaad haike
"Khusu Karne Wale Woh Hain Jo ALLAH Ta'ala Se Darte Hain Awr Namaaz Sukoon
Se Padhte Hain".
In Ahadeese Mubareka se Maloom hua ke Tamam Huqooq O Aadaab ka
lihaz rakhte huye Khusu O Khuzu awr Itminaan O Sukoon se Namaaz ada karni chahiye.
Namaaz
Muttaqi Bana Deti Hai
✔ Irshaad E Ba'ari
Ta'ala Hua "Beshak Namaaz Mana Karti Hai Behayayi Awr Buri Baath Se".
(Al Ankaboot : 45, Kanzul Imaan)
Iss Ayat se maloom hua ke Namaaz behayayi awr bure kamon se rokti hai
yani jo shaks pabandi se Namaaz ko iske Huqooq O aada'ab ka lihaz rakhte huye
ada karta hai rafta rafta wo tamam bure kamon ko chhoddeta hai awr Muttaqi
Banjata hai.
✅ Ek Ansari Jawan Sayyed E Aalam ﷺ ke saath Namaaz padha karta tha awr bohat
se Kabeera Gunaho ka irtekab bhi karta tha. Huzoor ﷺ se iski shikayat ki gayi Aap ﷺ ne
farmaya iski Namaaz kisi roz isko in buri baaton se rok degi chunache jald hi
isne Tauba ki awr iska haal Behtar hogaya.
✅ Hazrat Anas رضى الله تعالى عنه ne farmaya "Jiski Namaaz ise behayayi
awr Bure kamon se na roke Woh Namaaz hi nahi". (Tafseer Khazain Ul
Irfa'an)
Namaaz
Ki Qubooliyat Ka Gumaan Rakhiye
Namaaz ke douran jo Duniyavi khayalat aayein inki taraf
tawajje na karein balke inki parwa kiye bagair apne zehan ko mein padhe jane
wale alfaaz awr inke maane ki taraf mutawajje karne ki koshish karte rahe.
Ba'az log ye sawal karte hainke hame ye itminaan kaise hoke jo humne Namaaz
padhi ise ALLAH Ta'ala ne qubool farmaliya? iska jawab samjhne keliye is Hadees
Paak per gaur kijiye Irshaad hua "ALLAH Ta'ala qayamat me apne bande ke
saath waisa mamla karega jaisa bande ne apne Rabb ke saath zinn rakha hoga.
lehaza Khauff E Khuda ke saath saath Ibadat ke qubool hone ka Husn E Zann
rakhna bhi zaroori hai."
Ulma E Kiraam farmate hain agar tumne Fajr ki Namaz padhi awr
phir Zohar ki Namaz bhi padhli to ye nek gumaan karo ke ALLAH Ta'ala ne tumhari
Fajr ki Namaz qubool farmali. phir jab Asr padhli to Zohar ke qubool hone ka Itminaan
karlo. isi tarha har agli Namaz ada karne ke ba'd pichli Namaz qubool hone ka Itminaan
karlo kyunke ALLAH Ta'ala tumhari Namaze Fajr qubool na farmata to tumhe Namaze
Zohar me hazir hone ki taufeeq na deta. Rabb E Kareem ka tumhein har agli Namaz
ada karne ki taufeeq dena is baath ki daleel haike isne tumhari pichli Namaz ko
qubool farmaliya hai.
ALLAH Walon Ki Namaaz
Namaaz is shaks ki tarha padhni chahiye jisse yaqeen hoke yeh
iski zindagi ki akhri Namaz hai. Hazrat Khatim Balqi رحمته
الله عليه se kisine pocha Aap
Namaz kaise padhte hain? Aapne farmaya "Jab Namaz ka waqt hota hai to achhi tarha wazu karke Jaye
Namaz per Itminaan se khada hojata hu awr yeh tasawur karta hu ke Ka'aba mere
samne hai Jannat meri dayi taraf awr Dozakh meri bayi taraf hai awr mein Pul E
Sirat per khada hu awr main samjhta hu ke Mout Ka Farishta mere sar per hai awr
yeh meri zindagi ki akhri Namaz hai. phir mein nihayat aajizi se ALLAHU Akbar
kehta hu maane ko zehan me rakh ker tilawat karta hu awr nihayat Khushu Khuzu
se Namaz ada karta hu phir ALLAH Ta'ala ki rehmat se iske qubool hone ki umeed rakhta
hu awr apne aamaal ke naqis hone ki wajah se iske thukra diye jane ka Khauff
karta hu". ALLAHU Akbar
Yeh hai ALLAH Walon ki Namaz! Ba'ari Ta'ala hume
Awliya Kiram ke naqshe kadam per chalne ki taufeeq ata farmaye aameen.
Taharat
Ka Bayan
✔ Aaqa O Moula ﷺ ka
Irshaade Girami hai "Jannat ki Kunji Namaz hai awr Namaz ki Kunji Taharat
hai". (Muslim) yahan Taharat se muraad yeh haike Namaz ki jagah awr Namazi
ka Libas Paak ho nez iska Jisme Hadase Akbar awr Hadase Azgar se Paak ho yani
Namazi per Ghusl wajib na ho awr wo Ba Wazu bhi ho.
✔ Huzoor E Akram ﷺ ne
farmaya "Uss Ghar mein Rehmat ke Farishte nahi aate jahan Tasweer, Kutta
ya Halate Janabat me koi Shaks ho". (Abu Dawood)
Ab Pehle yeh samjh lijiye ke Ghusl Ya Wazu kaise Pani se kiya jaye.
Fuquha farmate hain
Pani Be Rang Be Boo awr Be Zaiyqa yani Qudrati halat me ho nez Pani istemal
shuda naho. agar Badan per koi najasat na lagi hoto jo Pani Wazu ya Ghusl karne
me Badan se gire woh paak hai magar isse Wazu ya Ghusl jaiz nahi. isi tarha
agar Be Wazu shaks ka haath ya ungli ya nakhun ya Badan ka woh hissa jo dhula
na ho, ya jisper Ghusl farz hai iske jism ka Be Dhula hissa Pani me padhjaye ya
Pani se chu jaye to woh Pani Mustamil hogaya, ab isse Wazu ya Ghusl nahi
hosakta iska peena awr isse aata goondna makrooh hai albatta isse kapde dhone
keliye istemal kiya jasakta hai.
Mustamil Pani ko Wazu Ya Ghusl ke khabil banane ka tariqa yeh haike
achha Pani isse ziadah isme milade ya isme itna Pani dalein ke bartan ke kinaro
se bahne lage, ab is Pani se Wazu ya Ghusl jaiz hai.
Wazu
Ke Faraiz
Wazu
Ke 4 Farz Hain.
1 Pora Muh Dhona : Yani Peshani ke Shuru se Lekar Thooddi tak awr ek
Kaan se dusre Kaan tak Tamam jild per Pani Bahana Farz hai. moochein ya bhawoon
ke baal ghane hoto sirf in baalon ka dhona farz hai awr agar ghane na ho to
jild ka dhona bhi farz hai. isi tarha Dadhi ke baal agar ghane na hoto jild ka
dhona farz hai. Hoonto ka woh hissa jo aadatan band karne ke ba'd zahir rehta
hai iska dhona bhi farz hai.
2 Dono Haath Kohniyo Samait Dhona : Kisi azu ke dhone ka ye mana haike
is azu ke har hisse par kamse kam do do bund pani behjaye, bheeg jane ya Tail
ki tarha Pani chedlene ya ek aadha bund behjane ko dhona nahi kaheinge awr nahi
isse Wazu ya Ghusl ada hoga. har qism ke challe, anghotiyan, chuddiyan wagaira agar itne tang hoke inke neeche
Pani na bahe to inhe utar kar jild ke har hisse per Pani bahana farz hai.
Nail Polish lagi hoto ise dur kiye bagair Wazu ya Ghusl nahi hoga,
albatta jis chiz ki aadmi ko umuman ya qususan zarurat padhti rehti hai awr
iski nighedasht wo ahtiyat me harj ho, nakhuno ke ander ya upar ya kisi awr
dhone ki jagah iske lage rehjane se Wazu hojayega agarche woh sakt chiz ho awr
iske neeche Pani na pohanche. maslan pakane goondhne walon keliye aata, Rangrez
keliye rang ka jarm, Awraton keliye mehndi, likhne walon keliye roshnai,
Mazdooron keliye gaara mitti awr aam logon keliye palkon mein surme ka jarm ya
badan ka mael wagaira.
3 Chowthai Sar Ka Masah Karna : Masah karne keliye Haath tarr hona
chahiye khwa tarri aaza ke dhone ke ba'd reh gaye ho ya naye Pani se Haath tarr
karlia ho. kisi azu ke masah ke ba'd jo haath me tari baqi reh jayegi woh dusre
azu ke masah keliye kafi na hogi.
4 Dono Pawon Dhona : Ungliyon ki karwatein, Ghaiyan, Ghatte, Talwe awr Aediyan
sab ka dhona farz hai. agar khilal kiye bagair ungliyon ke darmiyan Pani na
behta hoto khilal b farz hai.
Wazu
Ki Sunatein
Hukm E Ilahi Ki
Ta'meel awr Sawab Hasil karne ki Niyat karna
Paak Jagah Baith kar
Wazu karna
Wazu Shuru karne se
Qabl Bismillah Padhna
Dono Haath Gatho tak
dhona
Miswak Karna
3 Bar Chullu bhar
Pani se Kulli karna
3 Bar Nak mein Haddi
tak Pani Chadhana
Pani Dayein Haath se
Chadhana
Bayein Haath ki
choti Ungli se Naak saaf karna
Haath Pawon Ki
Ungliyon ka Khilal karna
Dadhi ka Khilal
karna
Pore Sar ka Masah
karna
Kaano ka Masah karna
Aaza Dhone ki
tarteeb qayam rakhna
Har dhone wale Azu
ko 3 Bar dhona
Aaza ko pe dar pe
istarha dhona ke Pehla Azu sukhne na paye.
Wazu
Karne Ka Tariqa
Wazu shuru karne se qabl Hukm E Ilahi ki Tameel awr Sawab pane
ki niyat kare awr Bismillah padh kar 3 bar dono gathon tak haath dhoyein fir
Miswak karein. Miswak dayein haath me istarha pakde ke choti ungli Miswak ke
neeche darmiyan ki teeno ungliyan upar awr angutha Miswak ke sare per neeche
ho, pehle dayein janib upar ka daanto per Miswak karein fir baayein taraf upar ke daant fir dayein taraf neeche ke daant awr fir
baayein taraf neeche ke daanto per Miswak karein, Miswak daanto ki chowdai me
karni chahiye, fir 3 bar chullu me pani lekar achhi tarha kulli karein awr 3
bar naak me pani chadhayein awr baayein haath ki choti ungli se naak saaf
karein fir 3 bar pani se istarha muh dhoyein ke peshani ke balon se lekar
thoddi ke neeche tak awr ek kaan se dusre kaan tak koi jagah khusk na rahe agar
Dadhi hoto iska khilal bhi kiya jaye, fir 3 ba'r daya haath awr fir baya haath
kohniyon samait dhoyein. fir dono haath tarr karke pore sar ka istarha Masah
karein ke anguthe awr kalme ki ungli ke siwa ek haath ki baqi ki teen ungliyon
ke sire dusre haath ki teeno ungliyon ke sire se milaein awr peshani par rakh
kar guddi tak istarha le jayein ke hateliyan sar se juda rahe. wahan se
hateliyon se masah karte huye wapas layein. fir Shahadat ki ungli ke pait se
kaan ke androni hisse ka masah karein awr anguthe se kaan ki berooni satah ka
awr ungliyon ki pusht se gardan ka masah karein, fir 3 bar daya pawo awr fir
baya pawo takhno samait bayein haath se dhoyein awr ungliyon ka khilal karein.
daye pawo me khilal choti ungli se shuru karke anguthe per khatam karein awr
bayein pawo me anguthe se shuru karke choti ungli par khatam karein. Wazu ka
bad Kalma Shahadat padhne ki aadat banalein kyunke Hadees Shareef mein wazu ke
bad Kalma Shahadat padhne wale keliye Jannat ki basharat aayi hai.
Wazu
Kin Baaton Se Tut Jata Hai
Peshab Ya Pakhana ki Jagah se Kisi chiz ka Nikalna
Muh Bhar Khay Karna
Khoon Ya Peep Ya Zard Pani ka nikal kar Jism per behjana
Kisi Chiz se Sahara lagakar So Jana
Dukti Ankh se Pani ka Behna
Namaz mein Awaz se Hasna
Behoshi Ya Junoon Tari hona.
Miswak
Ka Bayan
✔ Aaqa O Moula ﷺ ka
Farmaane Aalishaan hai "Agar yeh Baath na hoti ke Meri Ummat per giraan
hoga to Main inko hukm deta ke woh Namaz ke saath Miswak kiya karein. (Bukhari)
✔ Huzoor E Akram ﷺ ne
farmaya Miswak lazim karlo kyunke isse Muh ki safai hoti hai awr Rabb Ta'ala
bhi razi hota hai. (Musanade Ahmed)
Ulma farmatein
hainke Miswak karne ke 70 fayede hainjin mein se 1 yeh haike marte waqt Kalma
Tayyeba naseeb hota hai awr Naza ki takleef asan hojati hai. Miswak karna Wazu
keliye Sunnat hai, Miswak na bohat narm ho na bohat sakt behtar haike Peelu,
Zaitoon ya Neem wagaira kadwi lakdi ki ho.
Miswak dayein haath me istarha pakde ke choti ungli Miswak ke neeche
darmiyan ki teeno ungliyan upar awr angutha Miswak ke sire per neeche ho awr
mutthi band na ki jaye. istarha Miswak karne wala Buwaseer ke marz se mehfooz
rehta hai. Miswak daanto ki chowdai me karni chahiye lambayi me nahi, pehle
upar ke daant dayi janib awr fir bayi janib se saaf karein fir neeche ke daant
pehle dayein fir bayein janib se saaf karein. upar neeche dayein baayein kam az
kam 3,3 martaba Miswak karein awr har martaba Miswak ko dholein.
Ghusul
Ke Faraiz
Ghusul
Mein 3 Farz Hai
1 Gar Gara Karna yani munh bhar kar is tarha kulli karna ke honth se
halaq ki jadh tak Pani pohnch jaye.
2 Naak mein haddi tak Pani pohanchana take dono nathno mein haddi tak
koi jagah khushk na rahe.
3 Saare Badan par is tarha pani bahana ke baal barabar jagah bhi khushk
na rahe.
agar danton mein gosh ke reshe ya pan chaliya wagaira phanse hoon to
inhe saaf karna zarori hai isi tarha naak me mael jam gayi hoto isse saaf karke
Pani sakht haddi ke shuru tak pohanchana bhi lazim hai albatta Rozey ki halat
mein mubaligha se bachna chahiye.
Ghusul
Ka Masnoon Tariqa
Ghusul ki niyat karke pehle dono haath gathon tak dhoein fir
istanje ki jagah dhoyein khwa najasat ho ya nahi. phir badan par jahan najasat
ho isse dur karke wazu karein magar pawon na dhoyein agar kisi chowki par
ghusul karein to pawon bhi dholein. phir badan par tail ki tarha pani mallein
phir 3 bar daye kandhe par awr 3 bar baye kandhe par pani bahayein. phir 3 ba'r
sar par awr phir saare jism par 3 bar achhi tarha pani bahayein awr haath pher
kar malein taake baal barabar b jagah khushk na rahe. agar wazu mein pawon nahi
dhoye they to ab ghusul ki jagah se alag hokar pawon dholein. Ghusul ke dauran
is baath ka khayal rakhein ke aap nato Qibla rukh ho awr na hi koi kalam karein
ya dua padhein. nez aisi jagah nahayein jahan be pardagi na ho.
Ghusul
In Chizon Se Farz Hota Hai
Shehwat Ke Saath Mani ka Nikalna.
Neend Mein Ahtelam Hona.
Mard Ya Awrat Se Mubashirat Karna Khwa Inzaal Ho Ya Nahi.
Awrat Ka Haiz Se Farigh Hona.
Awrat Ka Nifa'as Khatam Hona.
Tayammum
Kab Kiya Jaye
Jise Wazu ya Ghusul Ki Hajat ho magar isse Pani istemal karne
per Qudrat na ho isse Tayammum karna chahiye. Iski chnd sutarein darja zail
hain:
Charon Taraf Ek Ek
Mile Tak Pani Ka Pata Naho.
Ya aisi Bimari hoke
pani ke ba'as shadeed Bimar hone ya dair me achha hone ka sahih andesha ho khwa
ye isne khud azmaya ho ya kisi musanad gair fasiq Tabeeb na bataya ho.Ya itni sakt sardi
hoke Nahane se Marjane ya Bimar hojane ka qawi andesha ho awr lihaaf wagairah
koi aisi cheez iske paas naho jisse nahane ke ba'd sardi se bach sake.
Train ya Bus se utar
kar Pani istemal karne me Gadi chuth jane ka khadsha ho.
Ya Wazu, Ghusul
karne ki surat mein Namaz Eidain nikal jane ka gumaan ho.
Tayammum
Ka Tariqa Awr Ahem Masail
Tayammum
Mein 3 Farz Hain
1 Niyat Karna Ke Yeh Tayammum Wazu Ya Ghusl Ya Dono Ki Paki Keliye Hai.
2 Saare Munh Par Is Tarha Haath Pherna Ke Baal Barabar Jagah Bhi Baqi Na
Rahe.
3 Dono Haathon Ka Kohniyon Sameet Masah Karna Ke Koi Hissa Baqi Na Rahe.
✅ Tayammum ka tariqa yeh haike niyat karke Bismillah padhkar dono haath
zameen ki jins se taluq rakhne wali kisi chiz (Maslan Mitti, Pathar, Marbal Ya
aisi chiz jisper kafi Gard O Guba'ar ho) par marein awr agar ziada mitti lag
jaye to ek haath ke anguthe ki jadh ko dusre haath ke anguthe ki jadh par
marein. fir dono haath saare muh par is tarha pherein ke koi jagah baqi na
rahe. honth ka wo hissa jo aadatan muh bandh hone ki halath me dikhai deta hai
is par bhi masah karna zaruri hai. agar Dadhi hoto iska khilal bhi karein. phir dobara mitti ya pathar par haath marein awr pehle daye haath ka
istarha masah karein ke baye haath ke anguthe ke alawa wo char ungliyon ka pait
daye haath ki pusht par rakhein awr ungliyon ke sirre se kohniyon tak lejayein
awr phir wahan se baye haath ki hateli se daye haath ke pait (Yani Androoni
Taraf) par pherte huye gathe tak layein awr baye anguthe ke pait se daye haath
ke anguthe ki pusht ka masah karein.
isi tarha daye haath se baye haath ka masah karein. Mitti ya Pathar par
haath marte waqt ungliyan khuli huye halath me ho. agar ungliyon ke darmiyan
gubaar pohanch gaya to inka khilal karna sunnat hai awr agar pathar wagaira se
tayammum kia jaye jispar gubaar na hoto ungliyon ka khilal farz hai.
Tayammum
Ka Tariqa Awr Ahem Masail
Tayamum ke waqt khwatein is baath ki ahtiyat rakhein ke anguthi, challe,
nath awr degar zewarat hata kar jabke nail polish utarkar jild ke har hisse par
haath pherna zaruri hai.
Bimari mein agar thanda pani nuksan karta hai to garam pani istemal
karna chahiye agar garam pani na mile to tayammum kiya jaye. yunhi agar agar
sar par pani dalna nuksan karta hai to gale se nahaye awr geela haath pher kar
pore sar ka masah kare. agar kisi azu par zakhm ke ba's patti bandhi ho ya plaster chadhaya hoto
haath geela karke is patti ke upar pher diya jaye awr baqi jism ko dhoya jaye.
jab itna aram hojaye ke patti parse pani bahane me nuksan naho to pani bahaye.
phir jab itna aram hojaye zakhm wali jagah masah karskta ho to fauran masah
kare. phir jab itni surat hojaye ke azu par pani baha sakta hoto bahaye. garz
yeke aala par jitni qudrat hasil hoti jaye adna par iktefa jaiz nahi. agar Namaz ka waqt itna kam rehgaya ke wazu ya ghusul karne ki surat me
Namaz qaza hojayegi to Tayammum karke Namaz padhleni chahiye albatta wazu ya
ghusul karke is Namaz ko dohrana zaruri hai. jis uzr ke ba's tayammum kiya gaya
agar woh khatam hojaye ya jin chizon se wazu tutta hai inse wazu ka awr jin
baaton se ghusul wajib hota hai inse ghusul ka tayammum tut jata hai.
Napaak
Kapde Pa'k Karne Ka Tariqa
Napaak Kapde Pak karne ka tariqa yeh haike inhe achhi tarha
dho kar pori quwat se nichoda jaye yahan tak ke mazeed quwat lagane par koi
katra na tapke. phir haath dho kar kapde dhoyein awr inhe isi tarha pori taqat
se nichodein, phir teesri bar haath dhoyein awr kapde dho kar inhe pori taqat
se nichodein ke mazeed nichodne par koi katra na tapke ab kapde pak hogaye. agar kisi ne pori quwat se kapda nichodliya magar koi
dusra jo taqat me ziada hai ise nichode to chnd bund pani mazeed tapak jaye to
kapda pehle ke haq me pak awr is dusre ke haq me napak hai. Iss Masa'la me
ahtiyat karni chahiye har koi ya to apna napak kapda khud pak kare ya phir inhe
behte pani me pak kiya jaye. iska tariqa ye haike sabun ya washing machine se
kapde dho kar inhe kisi bartan me daldein awr phir itna pani dalein ke kapde
pani me mukamal doob jayein awr pani bartan ke kinaro se behne lage jab pani behraha hoto is
behte pani se kapdo ko nikal lein yeh behte pani ki wajah se pak hogaye. aise nazuk kapde jo
nichodne ke khabil nahi isi tarha chatai khaleen awr joota wagairah bhi agar
napak hojayein to inhe pak karne ka tariqa yeh haike inhe dho kar latka diya
jaye yahan tak ke inse pani tapakna band hoaye, phir dobara dho kar latka dein,
jab pani tapakna band hojaye phir teesri bar dho kar sukhalein ye pak
hojayeinge.
Azan
Ka Bayan
✅ Sarkare Do Alam ﷺ ka farmaane aalishan hai "Azan dene walon ki Gardanein
Qayamat ke din sabse ziada daraz hongi". (📚 Muslim) yani wo
Rehmate Ilahi ke zida umeed war awr Sawab ke ziada mustahiq honge.
✅ Nabi E Kareem ﷺ ka Irshaade Girami hai "Jo Saath Baras Sawab Keliye Azan
Kahe ALLAH Ta'ala Iss Jahannam Ki aag se Mehfoz rakhta hai". (📚
Tirmizi, Ibne Ma'jah)
✅ Aaqa O Moula ﷺ ne farmaya "Jo azan dene wala mahez sawab ka talib ho wo
iss Shaheed ki misl hai jo khoon me aloda hai awr jab woh marega Qabr me iska
badan keedon se mehfooz rahega". (📚 Bahare Shariat Ba Hawala
Tibrani)
Masjid mein ba jama't paancho Farz Namazon ki waqt par adayeigi keliye
azan Sunnat E Moukedah hai awr iska hukm wajib ki misl hai ke agar Azan na kahi
to wahan ke sab log gunahgar honge. be Wazu Azan kehna Makrooh hai. har Farz
Namaz keliye Azan is Namaz ka waqt shuru hone ke ba'd kahi jasakti hai. jo Azan waqt se qabl
kahi gayi isse waqt par lautana chahiye.
Shariat me Azan Ek
Khaas Qism ka Aelan hai jiskeliye yeh alfaz muqarar hain: "ALLAH Sabse
Bada Hai, ALLAH Sabse Bada Hai, ALLAH Sabse Bada Hai, ALLAH Sabse Bada Hai,
Main Gawahi Deta Hu Ke ALLAH Ke Siwa Koi Mabood Nahi, Main Gawahi Deta Hu Ke
ALLAH Ke Siwa Koi Mabood Nahi, Main Gawahi Deta Hu Ke Hazrat Mohammed ﷺ ALLAH Ke
Rasool Hain, Main Gawahi Deta Hu Ke Hazrat Mohammed ﷺ ALLAH Ke Rasool Hain, Aao Namaz Ki Taraf,
Aao Namaz Ki Taraf, Aao Kamiyabi Ki Taraf, Aao Kamiyabi Ki Taraf, ALLAH Sabse
Bada Hai, ALLAH Sabse Bada Hai, ALLAH Ta'ala Ke Siwa Koi Ibadat Ke Layaq Nahi.
Azan awr Aqamat dono me Hayya Ala AlSalah kehte waqt dayein
awr Hayya Alal Falah kehte waqt bayi taraf muh karna chahiye. Azan sun kar iska
jawab dene ka hukm hai yani jo kalma mouzan kahe sunne wala wahi kalma kahe
magar Hayya Ala AlSalah awr Hayya Alal Falah ke jawab me Lahola Wala Quwata
Illah Billah kahe.
Fajr ki Azan me Hayya
Alal Falah ke ba'd ye 2 martaba kaha jaye: "Namaz Neend Se Behtar
Hai" iske jawab mein ye kahein "Sadaqta Wa Barrata Wa Bilhaqqi
Natqata" "Tumne Sach Kaha awr Accha Kam kiya awr Tumne Haq kaha
hai".
Jab Azan hoto itni der keliye Salam O Kalam awr Tilwat wagairah
tamam ashgaal maukoof karde awr Azan ko gaur se sune awr Jawab de. Aqamat ka
bhi yehi hukm hai. jo Azan ke waqt baaton me mashgool rahe is par Maaz ALLAH
Khatema Bura hone ka khauff hai.
Jab Mouzan "Ashhadu Ann Mohammadan Rasool ALLAH Kahe" to sunne
wala Durood Shareef padhe "Sallalaho Alaika Ya Rasool ALLAH" awr
mustahab haike apne angutho ko bosa de kar ankhon se lagaye awr ye padhe
"Qurratu Aini Bika Ya Rasool ALLAH, ALLAHUMMA Mattani Biss Sami Wal
Basar". aisa karne wale ko Huzoor ﷺ apne saath Jannat me lajayenge.
Jama't ke waqt jo
kalimat kahe jate hain inhe Aqamat kehte hain yeh Azan ki misl hai siwae iske
ke Aqamat me Hayya Alal Falah ke ba'd 2 martaba yeh bhi kaha jata hai:
"Namaz keliye Jama't khadi hogayi" iske Jawab me yeh kaha jaye
"Aaqamaha ALLAH wa Aadamaha Ma Damati Samawatu wal Ardu. "ALLAH Iska
Qayam Rakhe Awr Hamesha Rakhe Jabtak Asman Awr Zameen Qayam Hain".
Aqamat ke waqt koi shaks aaya to isse khada hokar intezar karna Makrooh
hai isse chahiye ke baith jaye awr jab Mukabbir Hayya Alal Falah par pohanche
is waqt khada ho. yunhi jo log Masjid me baithe hain wo bhi baithe rahein is
waqt khade hon jab Mukabbir Hayya Alal Falah par pohanche yehi hukm Imam keliye
hai.
Agar chnd Azanein sune to sunne wale ko pehli Azan ka jawab
dena chahiye awr behtar hai sabka Jawab dediya jaye. Kutbe ki Azan ka jawab
zuban se dena Muqtadion ko jaiz nahi.
Azan ke Ba'd Durood Shareef padhkar yeh dua padhni chahiye:
"Aye ALLAH ! Aye Is Dawate Kamil awr Qayam hone wali Namaz ke Malik ! Tu
Hamare Sardar Hazrat Mohammed ﷺ ko Waseela, Fazilat awr Buland Darja Ata kar awr Inko iss
Muqame
Mahmood par Fayiz farma jiske Tune Inse Wada Farmaya hai, awr Hamein
Qayamat me Inki Shafa'at ata farma, Beshak Tu Apne Wade ke khilaf nahi
karta".
Namazon
Ki Rakaat
Fajr Ki Namaz ki 4 Rakt Hain, Pehle 2 Rakt Sunnat (Moukedah)
Phir 2 Rakt Farz.
Zohar Ki Namaz Ke 12 Rakt Hain jinki tarteeb yun hai pehle 4
Rakt Sunnat (Moukedah) fir 4 Rakt Farz fir 2 Rakt Sunnat (Moukedah) awr fir 2
Rakt Nafl.
Asr Ki Namaz Ki 8 Rakt Hain, pehle 4 Rakt Sunnat (Gair
Moukedah) fir 4 Rakt Farz.
Maghrib Ki Namaz ki 7 Rakt Hain, Pehle 3 Rakt Farz fir 2 Rakt
Sunnat (Moukedah) awr fir 2 Rakt Nafl.
Isha Ki Namaz Ki 17 Raka'atein Hain jinki Tarteeb yun hai, 4
Rakt Sunnat (Gair Moukedah) 4 Rakt Farz fir 2 Rakt Sunnat (Moukedah) fir 2 Rakt
Nafl fir 3 Rakt Witr (Wajib) awr fir 2 Rakt Nafl.
Jumua Ki Namaz ki 14 Raka'atein Hain jinki Tarteeb yun hai,
pehle 4 Rakt Sunnat (Moukedah) fir 2 Rakt Farz fir 4 Rakt Sunnat (Moukedah) fir
2 Rakt Sunnat (Moukedah) awr fir 2 Rakt Nafl.
Sunnatein Ba'z Moukedah hain ke Shariat me isper Takeed aayi
hai, bila uzr ek ba'r bhi tark kare to Mustahiq E Malamat hai awr tark ki aadat
kare to Fasiq, Mardood Ul Shahadat awr
Mustahiq E Na'ar hai, awr ba'z aimmah ne farmaya ke woh gumrah tehraya jayega
awr gunehgar hai agarche iska gunah wajib ke tark se kam hai. Sunnat ko tark
karne ki aadat banalena haram ke khareeb hai awr aise shaks ke mutaliq andesha
haike Maaz ALLAH Shafa'at se mehroom hojaye ke Huzoor Aqdas ﷺ ne farmaya "Jo
Sunnat Ko Tark Karega Isse Meri Shafa'at Na Milegi".
Namaz
Ki Sharait
Namaz
Ki Kul 6 Shartein Hain :
1 Taharat : Namaz ki pehli Shart Taharat hai yani Namazi ka Jism awr Libas pak hona
chahiye nez jis jagah Namaz padhi jaye woh bhi nijasat se pak honi zaruri hai. Taharat
Keliye agar hajat hoto ghusl kiya jaye warna Wazu karna zaruri hai. Wazu,
Ghusl, Tayyammum, awr Kapde pak karne mutaliq zaruri masail pehle bayan kiye ja
chuke hain.
2 Satr E Awrat : Namaz ki dusri shart Satr E Awrat hai yani badan ka woh hissa jiska
chupana farz hai isse chupaya jaye. Mard keliye Na'af ke neeche se Guthno ke
neeche tak ka hissa Satr E Awrat hai jabke Awrat keliye dono hateliyon, talwo
awr chehre ke siwa sara badan Awrat yani chupane ki chiz hai. Namaz ke alawa
Awrat ko Na Mehram se chehre ka parda karna bhi lazim hai. Itna bareek libas
jisse badan ki rangat jhalakti ho ya aisa bareek dupatta jisse balon ki siyahi
chamke Satr keliye kafi nahi yani aise libas me Namaz nahi hoti balke aisa
libas Namaz ke alawa bhi haram hai.
3 Istaqbal E Qibla : Namaz ki teesri shart Isteqbal E Qibla hai Yani
Ka'aba Shareef ki taraf muh karna hai. Namazi ka Muh awr Seena Qible ki taraf
hona chahiye.
4 Waqt : Namaz ki chowthi Shart Waqt hai. Fajr ki Namaz ka waqt Subeh Sadiq se
lekar Suraj ki pehli kiran chamakne tak hai. yani suraj tulu hone se pehle
Namaz mukamal karleni chahiye. Zohar ki Namaz ka waqt suraj dhalne se lekar us
waqt tak hai jab har chiz ka saya asl saye se dugna hojaye. asl saya woh hai jo
suraj ki khat nisf alnihar per pohanchne ke waqt hota hai. Asr ki Namaz ka waqt
Zohar ka waqt khatam honese leke suraj guroob hone tak hai. Guroobe Aftab se
qabal 20 min ka waqt makrooh hota hai isse pehle Namaz padhleni chahiye agar
kisi wajah se Asr na padhi hoto is makrooh waqt me b padhleni chahiye. Maghrib
ka waqt guroobe aftab se Shafak Guroob hone tak hai jabke Isha ka waqt Shafak
Guroob hone se lekar tulu e fajr tak hai albatta nisf shab se ziada takheer
makrooh hai.
5 Niyat : Namaz ki panchvi shart Niyat hai Niyat dil ke pakke irade ko kehte
hain. iska adna darja ye haike agar is waqt koi poche ke konsi Namaz padhrahe
hoto fauran batade agar sonch kar batayega to Namaz na hogi. Zaban se Niyat
kehlena mustahab hai awr iskeliye kis zaban ki qaed nahi. behtar haike Takbeer
E Aula kehte waqt Niyat moujod ho.
6 Takbeer E Tehreema : Namaz ki Chatti shart Takbeer E Tehreema hai
Yani ALLAHU AKBAR kehkar Namaz shuru kijaye. Lafz "ALLAH" ko
"AALLAH" ya "AKBAR" ko "AKABAR" kaha to Namaz na
hogi balke agar inke fasid mane samjh kar jaan boojh kar aisa kahe to Kafir
hai.
Kin
Awqaat Mein Namaz Mana Hai
Jin Awqaat mein Namaz padhna Makrooh hai inme Tulu E Aftab se 20 min
ba'd tak, Guroob E Aftab se 20 min Qabal se Guroob tak, awr Zahwa E Kubra yani
Nisf Ul Nihar sharah se Nisf Ul Nihar haqiqi yani Zawal tak ka waqt shamil hai.
In Awqaat mein koi Namaz ya Sajdah Tilawat jaiz nahi, in awqaat
ke alawa har waqt Qaza Namazien awr Nawafil padhe jasakte hain. albatta subah
sadiq se tulu e aftab tak awr Namaz Asr se aftab guroob hone tak koi Nafl Namaz,
awr Imam ke Khutbe awr Jumua keliye khade honese lekar Farz Jumua khatam hone
tak Nafl awr Sunnat dono jaiz nahi.
Namaz
Padhne Ka Masnoon Tariqa
Ba Wazu Qibla ki taraf muh karke istarha khade honke dono pawon ke
darmiyan 4 ungal ka fasla rahe fir apne hath kaano tak istarha uthayein ke
anguthe kano ki lau se chu jayein awr ungliyan na mili hoon na khoob khuli hoo
balke apni asli halath per ho awr hateliyan Qibla rukh ho fir niyat karke
"ALLAHU AKBAR" kehte huye haath naaf ke neeche lakar istarha bandhle
ke Danya Haath Bayein Haath ki pusht par awr darmiyani 3 ungliyan kalai ki
pusht par ho fir anguthe awr choti ungli se halqa banakar Bayein kalai ko
pakadle awr "Sana" padhein.
Sana : سبحانك
اللهم وبحمدك وتبارك اسمك وتعالى جدك ولا اله غيرك "Subhana Kalla Humma Wa Bee Hamdika Wata
Baara Kasmooka Wa Ta'ala Jaddoo Ka Wa La ilaha Ghairuka"
{Aye ALLAH Tu Paak Hai, Awr Main Teri Hamd Karta Hoon, Tera
Naam Barkat Wala hai, Awr Teri Azmat Buland Hai, awr Tere Siwa Koi Mabood
Nahi}.
Phir Tawooz Awr Tasmiyah Padhein:
Tawooz : اعوذ
بالله من الشيطان الرجيم
"A'aoo Zoo Billahee Minash Shaitaunir Rajeem"
{ALLAH Ki Panah Mangta Hoon, Mardood Shaitan Se}.
Tasmiyah : بسم الله الرحمن الرحيم "Bismillah Hir Rahmaanir Raheem"
Tasmiyah : بسم الله الرحمن الرحيم "Bismillah Hir Rahmaanir Raheem"
{ALLAH Ke Naam Se Shuru Jo Bada Meherbaan, Reham Farmane
Wala}.
Surah Fatiha : الحمد لله رب العالمين الرحمن
الرحيم مالك يوم الدين اياك نعبد وإياك نستعين اهدنا الصراط المستقيم صراط الذين انعمت
عليهم غير المغضوب عليهم ولا الضالين.
"Alhamdo Lillahi Rabbil Aalameen Ar Rahmaanir Raheem Maaliki Yaomid Deen iyya Kana Budoo Wa iyya kanastaeen ihdinas Siratual Mustaqeem Siratual Lazeena An Amtaa Alaihim Ghairil Maghdoobe Alaihim Walad Dualleen" (Kanzul Imaan Az AalaHazrat Imam Ahmed Raza Muhaddise Bareilvy Radiallahu Anhu)
"Alhamdo Lillahi Rabbil Aalameen Ar Rahmaanir Raheem Maaliki Yaomid Deen iyya Kana Budoo Wa iyya kanastaeen ihdinas Siratual Mustaqeem Siratual Lazeena An Amtaa Alaihim Ghairil Maghdoobe Alaihim Walad Dualleen" (Kanzul Imaan Az AalaHazrat Imam Ahmed Raza Muhaddise Bareilvy Radiallahu Anhu)
Taameem : Yani
"AAMEEN" Kehna iska matlab yeh haike Aye ! ALLAH Hamari Dua Qubool
Farma.
Zamm Surah :Yani Alhamd Shareef awr Aameen wagairah ke b'ad
koi Surah Milana ya Kisi Surah me se 3 choti Aayat ki miqd'ar ya usse ziada
padhna.
Phir ALLAHU AKBAR Kehte Huye Ruku Me Jayein awr Guthno ko ungliyan
khool kar mazbooti se pakadlein awr itna jhuke ke Sar awr Kamar ek satah par
rahe. Ruku me nazar dono pawon ki pusht par rahe jabke Qayaam ke dau'an Nigha
Sajdah ki jagah rakhni chahiye. Ruku me kam se kam 3 'ar padhein سبحان ربي العظيم "Subhaana Rabbiyal Azeem""Paak Hai Mera Parwardigaar Azmat
Wala" Phir Tasmeeh kehte huye khade hojayein. سمع الله لمن حمده "Samee Allahoo Layman Hamidah"ALLAH Ne Iski Sunli Jisne Iski Tareef
Ki" Phir Tamheed : Imam Ke Peeche Muqtadi Yeh Kahe ربنا لك
الحمد
"Rabbana Lakal Hamd" "Aye Hamare Malik ! Sab Tareef Tere Hi Liye Hai". phir Takbeer kehte
huye yun Sajdeh me jayein ke pehle Guthne awr fir dono Haath Zameen par
rakhein, fir Naak awr fir Peshani Zameen par jamayein awr Chehra dono Haathon
ke darmiyan rakhein. {Is Baath ka khayal rahe ke Sajdeh ke daur'an Naak ki
haddi zameen par sahih lagi huye ho, Nazar Naak ke sire par rahe, Dono Pawon ki
tamam ungliyan zameen par Qibla rukh lagi ho awr dono Hateliyan zameen par
Qibla rukh bichi ho. nez dono baazo karwato se awr pait rano se awr raanein
pindliyon se juda rahe. Sajdeh me kam az kam 3 b'ar yeh Tasbeeh padhein سبحان
ربي الأعلى
"Subhaana Rabbiyal Aala "Paak hai Mera
Parwardiga'ar Bohat Buland" Sajdeh se uthte huye Takbeer kahein awr Baaya
pawo bicha kar ispar baithein awr Daaya pawo khada karke iski ungliyan Qibla
rukh karlein. is Daur'an hateliyan Ranoo par bicha kar Guthno ke paas is tarha
rakhein ke ungliyan Qibla rukh rahein, fir Takbeer kehte huye isi tarha dusra
Sajdah karein, fir ALLAHU AKBAR kehte huye is tarha khade hoon ke pehle Sar
uthayein fir haath ko guthno par rakh kar panjo ke bal khade hojayein.
Ab sirf Bismillah Hir Rehm'an Nir Raheem padh kar Qir'at shuru kardein
fir isi tarha Ruku awr Sajdeh karke Daaya pawo khada karke Baaye pawo par baith
jayein awr
Tashhud padhein. التحيات لله و الصلوات و الطيبات
السلام عليك أيها النبي و رحمة الله و بركاته، السلام علينا و على عباد الله الصاحين اشهد أنّ لا اله الا الله , واشهد أنّ محمد عبده
ورسوله "Atthayyato
Lillahe Wassalawato Wat Tayyebato Assalamu Alaika Ayyohan Nabiyo Wa
Rahmatullahi Wa Barakatoh Assalamu Alaina Wa Ala ibadillahis Sualaiheen Ashadu
An La ilaah illal Laho Wa Ashadu Anna Mohammadan Abdohoo Wa Rasooluhoo "Tamam
Qawli Ibadatein Awr Tamam Faeli Ibadatein Awr Tamam Maali Ibadatein ALLAH hi
Keliye hain, Sal'am ho Aap par Aye Nabi ﷺ awr ALLAH ki rehmatein awr Barkatein, Hum
par awr ALLAH ke Neek bando par Sal'am ho. Maine Gawahi Di Ke ALLAH Ke Siwa Koi
Mabood Nahi Awr Gawahi Di Ke Hazrat Muhammed ﷺ Iske Bande awr Rasool Hain. Tashhud padhte
waqt jab "Ashhadu An La" ke khareeb pohanche to daaye haath ki beech
ki ungli awr anguthe ko milakar halqa banaye awr choti ungli awr iske saath
wali ungli ko hateli se miladein awr lafz "La" par shahadat ki ungli
uthayein awr "Illa" par neeche karlein awr fir sab ungliyan fauran
seedhi karlein. Qaede ke daur'an Nazr apni Goud ki taraf rakhein.
Agar Farz Nama'z ho awr 2 se ziadah rakatein padhni honto
Tashhud ke b'ad khade hojayein awr agli rakaton ke Qayam me Surah Fatiha ke
b'ad Choti surat na milayein. akhri Qaeda me Tashhud ke b'ad Durood Shareef
padhein.
Durrod Ibrahim : اَللّٰھُمَّ صَلِّ عَلٰی مُحَمَّدٍ
وَّعَلٰٓی اٰلِ مُحَمَّدٍ کَمَا صَلَّیْتَ عَلٰٓی اِبْرَاھِیْمَ وَعَلٰٓی اٰلِ اِبْرَاھِیْمَ
اِنَّکَ حَمِیْدٌ مَّجِیْدٌ اَللّٰھُمَّ بَارِکْ عَلٰی مُحَمَّدٍ وَّعَلٰٓی اٰلِ مُحَمَّدٍ
کَمَا بَارَکْتَ عَلٰٓی اِبْرَاھِیْمَ وَعَلٰٓی اٰلِ اِبْرَاھِیْمَ اِنَّکَ حَمِیْدٌ
مَّجِیْدٌ "Allah
Humma Salle Ala Mohammadiyon Wa Ala Ale Mohammadin Kama Sallaita Aala ibraheema
Wa Ala Aalay ibraheema inna Ka Hameedum Majeed. Allah Humma Baarik Aala
Mohammadiyon Wa Ala Ale Mohammadin Kama Barakta Ala ibraheema Wa Ala Ale
ibraheema inna Ka Hameedum Majeed."Aye ALLAH ! Durood Bhej Hamare Sardar Hazrat Muhammed ﷺ par awr Unki Aal par Jis Tarha Tune Durood
Bheja Sayeduna Ibrahim Alaihisalam par awr Unki Aal par, Beshak Tu Saraha Hua
Buzurg hai. Aye ALLAH ! Barkath Nazil kar Hamare Sardar Hazrat Muhammed ﷺ par awr
Unki Aal par Jis Tarha Tune Barkath Nazil Ki Sayeduna Ibrahim Alaihisalam par
awr Unki Aal par, Beshak Tu Saraha Hua Buzurg hai".
Phir yeh Dua ya koi awr Dua E Masoorah padhlein. اللَّهُمَّ إِنِّي ظَلَمْتُ نَفْسِي ظُلْماً كَثِيراً، وَلَا يَغْفِرُ الذُّنُوبَ
إِلَّا أَنْتَ، فَاغْفِرْ لِي مَغْفِرَةً مِنْ عِنْدِكَ وَارْحَمْنِي إِنَّكَ أَنْتَ
الْغَفُورُ الرَّحِيمُ
"Allahumma Inni Zalamtu Nafse Zulman Kaseeraw Walayagfiruz Zunuba
Illah Anta Fagfirli Magfiratan Minindika Warahamni Innaka Antal Gafurur
Rahim" {Aye ALLAH Maine Apni Jaan Par Zulm Kiya awr beshak Tere Siwa
Gunahon ka Bakshne Wala Koi Nahi hai Tu Apni Taraf se Meri Maghfirat Farmade
awr Mujhpar Reham kar Beshak Tu hi Bakashne Wala Meherbaan hai}.
Nama'z ke b'ad dono haath Seene
ke muqabil utha kar ALLAH Ta'ala se Iqlas O Aajazi se Dua Mangein awr Dua
ke b'ad apne Haath chehre par pherlein. {Duaon Keliye "Sayed Shah Turab Ul
Qadri Sahab Qibla" Ki Kitab "Masnoon Duayein" Mulaheza
farmayein.
Agar 4 Rakt Sunnat Ya Nafl Namaz padhe to Teesri Awr Chawthi Rakat me
Surah Fatiha ke b'ad koi choti Surat ya Iske Barabar Aayat bhi padhein. Sunnat
E Gair Moukedah awr Nafl Namaz ke pehle Qaedeh me Tashhud ke b'ad Durood
Shareef awr Dua bhi padhein awr Teesri rakt ke shuru me Sana bhi padhein.
Agar Jam'at se Namaz padhein to pehli rakt ke qiyam me sirf Sana
padhein awr Khamosh khade rahein yunhi degar rakaton ke qiyam me bhi
muqtadi ko Qirat nahi karni chahiye. Ruku se uthte waqt "Sami ALLAHU Liman
Hamidah" sirf Imam kahe awr muqtadi Tahmeed kahe.
Namaz
Ke Far'aiz
Namaz
Ke 7 Far'aiz hain :
1 Takbeer E Tehreema jo darasal Namaz ki shart me se hai magar Namaz ke
aff'al se bohat ziada taluq hone ki wajah se ise Namaz ke Far'aiz me bhi shumar
kiya jata hai. agar Takbeer E Tehreema kehne ke waqt Namaz ki koi bhi shart na
payi gayi to Namaz na hogi. agar muqtadi ne lafz "ALLAH" Imam ke
saath kaha lekin "AKBAR" ko Imam se pehle khatam karlia to Namaz na
huye. agar muqtadi Imam ko Ruku ki halat me paye to muqtadi ko chahiye ke
Takbeer E Tehrema Qiyam ki halat me kahe awr fir dusri takbeer kehte huye ruku
me jaye. agar pehli rakt ka ruku mil jaye to Takbeer E Aula ki fazilat miljati
hai.
2 Qiyam yani seedha khada hona Nama'z me farz hai. Qiyam itni der tak hai jitni
der tak Qirat ki jaye. Qiyam is waqt saqit hoga jab koi khada na ho sake ya
Sajdah karne per qadir na ho ya isse Marz me ziadati hoti ho ya na khabile
bardasht takleef hoti ho. mamoli Bukhar ya khabile bardasht takleef ke b'as qiyam
chodna jaiz nahi, iski ahmiyat is qadar haike agar mareez Asa ya Khadim ya
Deewar se Tek lagakar khada hosakta ho Farz haike khada hokar Namaz padhe. agar
kuch der khada hosakta ho agarche itna hi ke khada hokar "ALLAHU
AKBAR" kehle to Farz haike khada hokar itna kehle fir bait kar Namaz ada
kare.
3 Qirat yani tamam Huroof ka makharij se ada karna take har Huroof dusre huroof
se mumtaaz hojaye nez aise padhna ke isse khud sunsake Farz hai. mehaz lab
hilana tilawat keliye kafi nahi. padhne ki tareef ye haike kam az kam itni awaz
se padhe ke khud sune. agar aise padhe ke khud na sun jabke sunne se mana koi
sabab maslan shor wagairah na hoto Namaz na hogi. Farz Namaz ki pehli 2 Rakaton
me awr Witr, Sunnat O Nawafil ki har Rakt me mutlaqan ek aayat padhna Farz hai.
Imam ki Qirat muqtadion keliye kafi hai lihaza muqtadi ko kisi Namaz me Qirat
jaiz nahi khwa woh Sirri Namaz ho (Yani Zohar O Asr) ya Jahri Namaz (Fajr,
Maghrib, Isha).
4 Ruku bhi Farz hai. iska adna darja ye haike itna jhuka jaye haath badhayein
to gutno tak pohanch jayein awr A'la ye haike Kamar seedhi ho nez Sar awr Peeth
eksaan unche ho.
5 Sujood yani har rakt me 2 bar Sajdah karna Farz hai. Peeshani awr Naak ki
haddi ka zameen par jamna Sajdah ki haqiqat hai awr har pawon ki 1 ungli ka
pait lagana shart. agar kisine is tarha Sajdah kiya ke dono pawon zameen se
uthe rahe to Namaz na huye balke agar sirf ungli ki nok zameen se lagi jab bhi
Namaz na huye.
6 Qaedah Akhirah yani tamam rakatein padhkar itni der baithna ke
pori tashhud padhli jaye, Farz hai. agar Sajdah Sahw kiya to iske b'ad baqadr
tashhud baithna Farz hai.
7 Khurooj E Bissunnihi yani akhri qaedah ke b'ad Salam pherna
Farz hai. Qiyam O Ruku O Sujood awr Qaedah Akhirah me tarteeb bhi Farz hai. nez
jo chizein Farz hain inme Imam ki pairvi Muqtadi par Farz hai.
Wajibat
E Namaz
Takbeer E Tehrima Keliye "ALLAHU Akbar" Kehna.
Farz Namaz ki pehli 2 Rakaton awr digar Namazon ki har rakt me 1 bar
pori Surah Fateha Padhna.
Farz ki pehli 2 awr baqi Namzon ki har rakt me Surah Fateha ke b'ad
Choti Surat ya 1 ya 2 aayatein 3 choti aayat ke barabar padhna.
Har Rakt me Ruku 1 hi martaba karna.
Har Rakt me Sajdah 2 hi martaba karna.
Qauma yani Ruku ke b'ad seedha khada hona.
Jalsa yani 2 sajdon ke darmiyan seedha baithna.
Sajdeh me Peeshani awr Naak dono ko zameen per lagana.
Sajdeh me dono pawon ki 3 , 3 ungliyon ka pait zameen per lagana.
Ruku O Sajdah O Qauma O Jalsa me kam az kam 1 bar Subhan ALLAH kehne ki
miqdar teharna.
Qayedah Aula yani 3 ya 4 rakat wali Namaz me 2 rakt ke b'ad baithna.
Dono Qayedo me Attahiyat O Tashhud padhna.
Pehle Qayedeh me Tashhud ke b'ad kuch na padhna.
Pehli rakt ke b'ad awr 4 rakt wali Namaz me Teesri rakt ke b'ad Qayedah
na karna.
Jahri Namaz yani Fajr, Maghrib awr Isha me Imam ko Awaaz se Qirat karna.
Sirri Namaz yani Zohar awr Asr me Imam ko ahishta Qirat karna.
Imam buland awaz se Qirat kare ya ahishta iswaqt muqtadion ko khamosh
rehna.
Siwae Qirat ke Tamam Wajibat me Imam ki pairvi karna.
2 Farz ya 2 Wajib ya Wajib O Farz ke darmiyan 3 tasbeeh ke barabar waqfa
na hona.
Dono taraf Salam pherte waqt lafz "Assallam" kehna.
Witr me Dua E Qunoot padhna awr Dua E Qunoot se qabal takbeer kehna.
Eidain me 6 Takbeerein awr dusri Rakt ke Ruku keliye takbeer kehna.
Aayat E Sajdah Tilawat karne par Sajdah E Tilawat karna.
Har Farz awr Wajib ka iski Jagah par ada karna.
Namaz ke arkaan Sukoon O Itminan se ada karna.
Jab koi wajib bhool se reh jaye ya koi wajib mukarar ada
karlia jaye ya kisi Farz ki adayegi me takheer hojaye to Sajdah Sahw wajib
hojata hai. Sajdah Sahw ka tariqa ye haike akhri qayedah me tashhud padhkar daayi taraf Salam pherein awr 2 Sajdeh karke
fir Tashhud, Durood Shareef O Dua padhker Salam pherein. agar Surah Fateha awr choti Surat padhne ke darmiyan 3 bar Subhan ALLAH
kehne ke barabar khamosh raha to Sajdah Sahw wajib hogaya. Farz, Wajib awr
Moukedah Sunnaton ke Qayedah Aula me agar Tashhud ke b'ad bhool kar itna kehlia
"ALLAHUMA SALLE ALA MOHAMMAD" Ya "ALLAHUMA SALLE ALA
SAYEDINA" to Sajdah Sahw Wajib hogaya.
Namaz
Ki Sunnatein
Takbeer E Tehrima Kehte waqt Haath Kano tak uthana.
Hateliyon awr Ungliyon ka Rukh Qibla hona.
Takbeer ke waqt Chehra Qibla Rukh rakhna (yani is waqt sar
jhuka hua na ho)
Takbeer se pehle Haath uthana.
Daye Haath ko Baye Haath par rakh kar ghera bandh kar Naaf ke
neeche rakhna.
Sana, Tawooz, Tasmiya ahista padhna Fateha ke b'ad ahista
aameen kehna.
Har rakt ke shuru me ahista Tasmiya padhna.
Ek Rukn se Dusre Rukn me jate waqt Takbeer kehna.
Imam ka tamam Takbeeron, Tasmeeh awr Salam ko ba qadr e hajat
Buland awaz se kehna.
Farz ki teesri awr chawthi rakt me sirf Surah Fateha padhna.
Ruku awr Sujood me 3, 3 b'ar tasbeeh padhna.
Ruku me guthno ko haathon se pakadna awr ungliyan khoob khuli
rakhna.
Ruku me taangein sedhi rakhna awr Sar awr Kamr barabar rakhna.
Ruku se uthte waqt Imam ko "Sami ALLAHU Liman
Hamidah" awr Muqtadi ka "Rabbana Lakal Hamd" kehna.
Akele Namaz padhne wale ko Dono yani Tasmeeh O Tamheed kehna.
Sajdeh me jate waqt pehle Guthne fir Haath awr fir Naak O
Peeshani rakhna.
Sajdeh se uthte waqt iske bar aks karna.
Sajdeh me Baazo karwaton se awr Pait Raano se juda rakhna.
Sajdeh me Kalaiyan zameen se unchi rakhna awr unglion ka
zameen par mili huye halath me rakhna .
Sajdeh me dono pawon ki tamam unglion ke pait zameen se lagna
awr inka Qibla ruh hona.
Dusri rakt keliye panjon ke bal awr guthno par haath rakh kar
uthna. (agar uzr na ho).
Dono Sajdon ke darmiyan Daya pawo khada karke Baya pawo bicha
kar isper baithna.
Baithne ki halath me dono haathon ko raano par awr unglion ko
asal halath me rakhna.
Tashhud me lafz "LA" par kalme ki ungli uthana awr
"ILLAH" par gira kar sab ungliyan seedhi karlena.
Akhri Qayedeh me Durood Shareef awr Dua padhna.
Pehle daaye awr fir baaye taraf salam kehna.
✔ yeh sab umoor Nabi
Kareem ﷺ
ki sunnatein hain inme se agar koi sunnat bhule se reh jaye ya qasadan tark ki
jaye to Namaz nahi tute gi magar jaan bujh kar sunnat chhodna najaiz hai.
Awraton
Ki Namaz
Awraton
ki Namaz Mardon se Mandarja Zail Amoor Mein Mukhtalif hai :
Namaz se qabal khawateen ko is baath ka itminan karlena chahiye ke
inke chehre, hateliyon awr pawon ke talwo ke siwa tamam jism dabeez kapde ke
saath dhaka hua hai. aisa bareek kapda jisse badan ki rangat jhalakti ho ya
aisa bareek dupatta jisse balon ki siyahi
chamke pahan kar Namaz padhi to Namaz na hogi. Gardan, Kaan Sar ke latke
huye Baal awr Kalaiyan chupana bhi farz hai.
Chehre, Hateliyon awr Pawon ke Talwo ke siwa koi azu Namaz shuru karte
waqt chawthai (1/4) miqd'ar me khula ho awr isse chupaye bagair "ALLAHU
AKBAR" kehlia to Namaz shuru hi na huye. awr agar Namaz ke dauran koi azu
chawthai ke barabar itni der khula raha jisse 3 bar Subhan ALLAH kaha jasake to
Namaz na huye.
Khawateen Namaz shuru karte waqt apne Haath Kaano ke bajaye sirf Kandhon
tak uthayein awr inhe Dupatton se bahar na nikalein.
Phir Takbeer Tehrima kehkar Baayein hateli Seene pe rakhkar iski pusht
par Daayien Hateli rakhein.
Ruku karte waqt sirf itna jhukein ke Haath Guthno tak pohanch jayein,
Ungliyan baham mili huye hoon awr Guthno ko aage ki taraf zara sa kham dekar
khadi rahein, nez inke Baazo pehlu se mile huye hoon.
Khawateen Sajdah simat kar karein yani Pait Raano se awr Raanein
Pindliyon se awr Pindliyan Zameen se awr Baazo Pehluon se miladein awr Kalaiyan
zameen per bichadein nez Pawon khade karne ke bajaye Daayi taraf nikal kar
bichadein.
Qayedeh me dono Pawoo Dayi taraf nikaldein awr Baayein kohle par
Baithein.
Khawateen keliye Ghar ke ander yani Kamre (Room) me Namaz padhna Sehan
(Living) me Namaz padhne se awr Tehkhane (Safe Room) me Namaz padhna Kamre
(Room) me Namaz padhne se Behtar hai. (Abu Dawood).
Namaz
Fasid Karne Wali Chezien
Mandarja Zail Baaton Se Namaz Toot Jati Hai :
Bhool Kar ya Jaanbojh kar kisise Kalam karna.
Kisiko Salam karna ya iska Jawab dena.
Kisi Uzr ke bagair Khansna.
Kisiki Cheenk ka Jawab dena.
Namaz ki halath me Khan Peena.
Bila Uzr Seene ko Jihat E Ka'aba se pherna.
Kisi Takleef ke bais Rona.
Wazu Tutjana.
Namaz me Quran Pak dekh kar padhna.
Qirat ya Azkar me sakht galti karna.
Dono Haathon se aisa kam karna jisse dekhne wala samjhe ke ye
halate Namaz me nahi.
Namaz ke kisi Rukn me koi gair mutaleqa kam 3 bar karna
maslan "Ek rukn me 3 bar khujane se Namaz fasid hojati hai is tarha ke Ek
bar khuja kar haath hatalia fir khujaya awr haath hatalia fir teesri b'ar
khujaya awr haath hatalia. agar ek b'ar haath rakh kar chnd martaba khujaya to
isse ek hi bar shum'ar kiya jayega.
Khakarne me jab 2 hurf zahir hoon jaise
"AAH" to Namaz fasid hojayegi jabke na uzr ho awr na koi sahih
garz. agar uzr ho maslan "Tabiyat ka taqaza ho ya kisi sahih garz keliye
aisa kiya maslan awaz sahi karne keliye ya Imam se galti hogaye isliye khakarta
haike woh durust karle ya isliye khakarta hai ke dusre shaks ko iska Namaz me
hona maloom ho in suraton me Namaz Fasid nahi hoti.
Namaz
Ke Makhroohat
Namaz me Kapde, Dadhi ya Badan se Khelna.
Kapda samaitna maslan "Sajdeh me jate waqt aage ya peeche se
kapda utha lena.
Kapda latkana maslan "Sar ya Kandhe par Rumal ya Chadar istarha
dalna ke dono kinare latakte hoon.
Aasteen aadhi kalai se ziada chadi huye hona.
Shiddat ka Peshab ya Pakhana maloom hote waqt ya galba Reha ke waqt
Namaz padhna.
Asman ki taraf nazrein uthana ya idhar udhar Muh pher kar dekhna.
Ungliyan chatkhana ya ek haath ki ungliyan dusre haath me dalna.
Kamar par haath rakhna (Namaz ke alawa bhi aisa na kiya jaye).
Mard ka Sajdeh me kalaiyon ko bichana.
Kisike Chehre ke samne Namaz padhna.
Namaz me jaanbojh kar Jamahi lena.
Jis kapde par jaandar ki tasveer ho isse pehan kar Namaz padhna.
Shalwar ka kapda Neefe ke pass se Ghurasna, ya Paint ke paiyeche
modlena.
Kurte ya Khamees ke Button na lagana ke Seena khula rahe.
Namazi ke aage ya Dayein ya Bayein ya Sar par Tasveer ka hona.
Imam se pehle Ruku O Sujood karna ya Sajdeh se Sar uthana.
Qiyam ke alawa kisi awr rukn me Quran Majeed padhna.
Qirat ko Ruku me khatam karna.
Sajdeh me jate waqt bila Uzr Guthno se pehle Haath neeche rakhna ya
Sajdeh se uthte waqt Haath uthane se qabal Guthne uthalena.
Qabr ke samne Namaz padhna jabke beech me koi aardd na ho.
Wajib sahih tarha ada na karna maslan "Ruku O Sujood me peeth
seedhi na karna, Qouma ya Jalsa me seedhe hone se qabal Sajdeh ko chalejana
wagairah.
Suraton ki Tarteeb ke ulat yani Tarteeb ke khilaf Quran Majeed padhna
maslan pehli rakt me "Surat Al Kafiroon" padhi hoto dusri rakt me
"Surat Al Kausar" padhna makrooh hai ke ye Tarteeb ke khilaf hai.
Namaz me aankhein bandh rakhna makrooh hai albatta Khushu O Khuzu
keliye band karna behtar hai.
Makrooh fail sarzad hone se Namaz naqiz hojati hai lehaza aisi
Namaz dobara padhni chahiye. Nange Sar Namaz padhna Khilafe Sunnat hai, Susti
se Nange Sar Namaz padhna yani Topi pehanna bojh maloom hota ho ya garmi maloom
hoti hoto Makrooh E Tanzeehi hai awr agar Namaz ki tehqeer maqsood hai maslan
ye samjhna ke "Namaz aisi koi Azeem Ul Shaan chiz nahi jiskeliye Topi ya
Amamah pehna jaye" to ye Kufr hai awr Khushu O Khuzu keliye barhana padhi
jaye to Mustahab hai.
Namazi
Ke Aage Se Guzarne Ka Mas'ala
Namazi ke aage se Guzarna sakt Gunah hai. Aaqa O Moula ﷺ ne
farmaya "Agar Namazi ke aage se Guzarne wala janta ke iska kia Gunah hai
to woh 100 Baras (Years) khada rehna is
1 khadam chalne se ziada behtar samjhta. Dusri riwayat me haike Woh
zameen me Dhasjane ko ziada achha samjhta magaq Namazi ke aage se na
guzarta".
Agar koi Namazi ke aage se guzar jaye to Namaz nahi tutti albatta
guzarne wala Gunahgar hota hai isi tarha Namazi ko bhi chahiye ke woh aisi
jagah Namaz na padhe ke guzarne walon ko pareshani ho. Agar Namazi ke aage "Sutra" ho yani aisi cheez jisse
aadh hojaye to Sutra ke b'ad se guzarne me koi harj nahi. Sutra kam az kam Ek
haath Uncha awr Ek Ungli ke barabar mota ho. Imam ka Sutra Muqtadion keliye bhi
Sutra hai isliye agar Masjid me bhi Nam'azi ke aage se guzarna pade to harj
nahi jabke Imam ke aage se naho.
Masjid
Ke Aadaab
Masjid Khuda E Ta'ala Ka Ghar hai iske aadaab ka khayal rakhna bachhon
awr badon sab keliye zaruri hai. Masjid me saaf libas pehan kar jana chahiye.
kachhi piyaz ya leson khakar Masjid me jana jaiz nahi jabtak Bu baqi ho. isi
tarha har badbu dar cheez se Masjid ko bachaya jaye.
Masjid me dunyavi baatein karna ya unchi awaz me guftagu karna mana hai
Hadees Shareef me aya haike Masjid me Dunyavi baatein karna neekiyon ko is
tarha khatam kardeta hai jaise Aag khushk lakdion ko jala deti hai. ek awr
Hadees E Pak me Irshaad hua ke tum masjid me dunyavi baatein karne walon ke
khareeb na baitho ke inko Khuda se kuch kam nahi.
Masjid me Khana Peena awr Sona Moutakif ke siwa kisi ko jaiz nahi lihaza
agar khane peene ka irada ho to Aitekaf ki niyat karke Masjid Jaye awr kuch
Zikr E Ilahi kare ya Namaz padhein ab iskeliye zaruratan Khana Peena jaiz hoga.
Masjid mein bheek mangna haraam hai nez kisi mangne wale ki madad karna awr
kisi gumshuda chiz ko talash karna bhi mana hai.
Masjid ki deewaron ya chataiyon darriyon par ya inke neeche Naak,
Thook ya Mael wagairah dalna najaiz hai. Napak halath me Masjid me jana sakt
gunah hai. Masjid ke aadaab ka is hadh tak khayal rakhna chahiye ke waha aazaye
wazu ka pani na girne paye awr naahi koi Namaz Ba Jam'at me shamil honekeliye
wahan Daude.
Imamat
Ki Sharait
✔ Imamat Ki Mandarja
Zail Shartein Hain :
Musalman, Aaqil, Baligh, Mard Hona, Qirat Janna, Mazoor Na Hona. Imamat
ka mustahiq woh hai jo Sahi Ul Aqeedah Ahle Sunnat O Jam'at ho, Parhezgar Ho,
Taharat O Namaz ke Ahkaam ko sabse ziada janta ho, isse itna Quran yaad ho jo
masnoon taur par padhsake nez Quran Kareem ke huruf Mukharij se ada karsakta
ho.
Woh Badmazhab jinki badmazhabi kufr ki hadh ko na pohanchi awr
woh fasiq jo ailaniya kabeera gunah karte hain jaise Badkar, Sharabi, Juwari,
Soodkhoor, Dadhi Mundwane ya Ek Musht se kam rakhne wale, inko Imam banana
Gunah hai awr inke peeche Namaz Makrooh E Tehreemi Wajib Ul Iyadah hai.
Woh Badmazhab jiski badmazhabi hadde kufr ko pohanch gaye jaise
"Rafzi" agarche sirf Siddiq E Akbar رضي الله
عنه ki Khilafat se inkar karta
ho ya Hazrat Abu Bakr O Hazrat Umar رضي الله عنهما ki Shaan E Aqdas me tabarra karta ho. woh
jo Taqdeer ka
munkir ho awr woh jo Shaf'at Ya Deedar E Ilahi Ya Azab E Qabr Ya Kiramin
Katibeen ka inkar karta ho, inke peeche Namaz nahi hosakti. isse sakt tar hukum
unlogon ka hai jo apne aapko Musalman kehte hain balke Mutabe Sunnat bante hain
awr iske bawajood baaz zaruriyate deen ko nahi mante ALLAH Ta'ala awr Rasool E
Kareem ﷺ ki tauheen karte hain ya kam az kam tauheen karne walon ko
musalman jante hain inke peeche bhi bilkul Namaz jaiz nahi.
Namaz
Ba Jam'at Ki Ahmiyat
Har Aaqil Baligh Qadir par Jamat se Namaz padhna wajib hai,
bila uzr ek baar bhi chodne wala gunehgar hai awr saza ka mustahiq hai, awr
kayi bar chodne wala fasiq awr mardud ul shahadat hai, isko sakt saza di
jayegi.
✔ Mehboobe Kibriya
Ahmade Mujtaba ﷺ ka Irshade Girami hai "Mera Dil Chahta haike Chnd Jawano
se kaho ke bohat sa aindhan jama karke layein phir Main inke pass jaon jo
Namazein bila uzr gharon mein padhte hain awr inke gharon ko jaladon".
(Muslim)
Namaz Ba Jam'at ki fazilat O ahmiyat se mutaliq Ahadees E Mubarika
shuruwati post ke aaghaaz hi main tehreer ki ja chuki hain, ab yeh samjh lijiye
ke kin suraton mein Jam'at me shareek na hone ki ruksat hai? woh suratein
mandarja zail hain:
Mareez Jise Masjid tak jane ki mushakat ho, Apahij jiska paon cut gaya
ho, jispar falij gira ho, Andha, Itna Budha ke masjid tak jane se aajis ho, Rah
me Sakt Barish ya kichad ya sakt Tareeki ya Aandhi ho, Maal Ya Khane ke talf
hone ka andesha ho, Tangdast ko Qarz khwa ka khauff ho, Zalim ka khauff ho,
Peeshab Pakhana ya Reha ki shadeed hajat ho, Gadi Chutne ka andesha ho, Khana
hazir ho awr Nafs ko iski shadeed khwahish ho, Mareez ki Teemardari ke Jam'at
me jane se ise takleef hogi awr woh ghabraye ga.
Namaz
Ba Jam'at Ke Masail
Jab Namaz qayam karne ka waqt hoto mouzan aqamat kahe awr woh
jab Hayya Alal Salah Hayya Alal Falah par pohanche to Imam awr Muqtadi sab
khade hoon awr safein durust karein, Imam ko chahiye ke woh Muqtadion ko Safein
durust karne ki hidayat kare, agar Namazi apni aediyan ek seedh me karlein to
Saff seedhi hojayegi. Muqtadi ke dil me is Niyat ka hona zaruri haike "Main is Imam ki
Iqtida me Namaz padhta hoon" muqtadi ko chahiye ke wo Imam ke Takbeer
Tehrima kehne ke b'ad apni Takbeer khatam kare. Jo Chizein Namaz me farz hain
inme Imam ki pairvi muqtadi par farz hai. agar koi farz Imam se pehle ada kia
awr Imam ke saath ya Imam ke ada karne ke b'ad ada na kiya to Namaz na hogi
maslan Imam se pehle Sajdah karlia awr Imam abhi Sajdeh me na aaya tha ke
muqtadi ne sar utha liya to agar Imam ke saath ya b'ad Sajdah karlia to Namaz
hogi warna nahi.
▶ agar Imam Qaedah
Aula karna bhool jaye awr khada hone lage to agar woh baithne ki halat khareeb
hoto muqtadiyon ko chahiye ke Imam ko luqma de taake wo Qaedah ki taraf laut
aaye lekin agar Imam agar khada hone ke khareeb ho ya khada hochuka hoto ab
luqma na dein ke luqma dene wale ki Namaz fasid hojayegi. awr agar Imam ne
luqma liya to Imam ki Namaz bhi fasid hojayegi awr aisi surat me tamam
muqtadion ki Namaz fasid hojayegi. Agar 2 ya zayid muqtadi hoto Inhe Imam ke peeche khade hona chahiye awr
agar 1 muqtadi hoto wo Imam ke barabar Daayi janib khada ho. Imam ke ke barabar
khade hone ka mafhoom yeh haike muqtadi ke paon ka gattha ya takhna Imam ke
gatthe se aage na ho. agar 1 muqtadi Imam ke saath Namaz padhraha tha ke 1 awr
aaya to Imam aage badhjaye awr wo aane wala iske barabar khada hojaye ya woh
muqtadi peeche hat aaye khwa khud peeche ho ya aane wala isse peeche khinchle
jaiz hai.
▶ agli saff me jagah
hote huye pichli saff me khada hona makrooh hai isiliye pehli saff me jagah ho
awr pichli saff bhar gaye hoto isko cheer kar agli saff me khada ho. ye dekha
gaya haike baaz log agli saff chhod kar pichli saffon me baithte hain inka ye
fael shariat me kaisa hai? is bare me 2 Ahadees mulahiza farmaein :
✔ Huzoore Aqdas ﷺ ka Irshaad
E Girami hai "Agar log jante ke Azan awr pehli Saff ka kiya ajar o sawab
hai to har koi inka talabgar hota yahan tak ke wo ispar qarra andazi
karte" (Bukhari, Muslim)
✔ Gaib Janne Wale Aaqa
E Kareem ﷺ
ka farmaan hai "Log hamesha pehli saff se peeche hote rahenge yahan tak ke
ALLAH Ta'ala inhe apni Rehmat se door karke Aag me daldega". (Muslim, Abu
Dawood, Nisayi, Ibn Majah)
Masbooq
Ke Masail
Woh Namazi jo Ek Rakt ya EK se zaed Rakt hojane ke b'ad Jam'at
me shamil hua ho usse "Masbooq" kehte hain. Jab Imam Namaz pori karke
Salam phere is waqt Masbooq Salam na phere balke khada hokar apni chuti huye
rakatein ada kare.
▶ Agar Masbooq ne Imam
ko Ruku ki halath me paya to yeh Niyat karke seedhe khade rehne ki halath me
Takbeer E Tehrima kahe fir dusri Takbeer kehta hua Ruku me jaye, agar pehli
Takbeer kehta hua Ruku ki hadh tak jhuk gaya to Namaz na hogi. agar Imam ko
Ruku me palia toh isse Rakt milgaye awr agar Imam ne Ruku se sar utha liya to
yeh Rakt b'ad me ada kare.
▶ Agar pehli Rakt ke
Ruku ke b'ad ya dusri Rakt me Jam'at me shareek hua to Imam ke Salam pherne ke
b'ad khade hokar Sana, Tawooz, Tasmiya, Surah Fatiha, awr Choti Surat padhkar
chooti huye pehli Rakt mukamal karke Qaedah kare awr Namaz pori kare.
▶ Agar 4 Rakt Namaz ki
Teesri Rakt me shareek hua to b'ad me 2 Rakatein Mukamal tor par padhe yani
Dono Rakaton me Surah Fatiha ke b'ad Surat bhi padhe.
▶ Agar 4 Rakt Namaz me
Teesri Rakt ke Ruku ke b'ad Chawthi Rakt ke Ruku se pehle shamil hua to goya
iski 3 Rakatein reh gayein. Imam ke Salam pherne ke b'ad khada hokar Sana,
Tawooz, Tasmiya, Surah Fatiha, awr Surat padhkar pehli Rakt mukamal kare jo
darasal iski dusri Rakt hai isliye is Rakt ke b'ad Qaedah kare awr sirf Tasshud
padh kar khada hojaye. ab chuti huye dusri Rakt me jo darasal iski Teesri Rakt
hai Surah Fatiha ke b'ad Surat bhi padhe awr yeh Rakt pori karke khada hojaye
fir apni chuti huye Teesri Rakt padhe jisme sirf Tasmiya awr Surah Fatiha padhe, akhir me
Qaedah karke Salam Pherle.
Masbooq ko chahiye Imam ke awwal Salam pherte hi fauran khada
na hojaye balke dusre Salam ka intezar kare taake ye maloom hojaye ke Imam ko
Sajdah Sahw nahi karna hai. agar isne bhool kar Imam ke bilkul saath saath
Sal'am pherdia to Sajdah Sahw nahi awr agar Imam ke zara b'ad Salam pherdia to
Sajdah Sahw wajib hogaya yeh khada hokar baqiya Namaz pori kare awr akhir me
Sajdah Sahw karle Namaz hojayegi.
Namaz
E Witr Awr Dua E Qunoot
✔ Sahih Muslim me
Hazrat Abdullah Bin Abbas رضي الله عنهما se marwi haike Aaqa O Moula ﷺ Witr ki 3
Rakatein padhi. Abu Dawood awr Tirmizi me Ummul Momineen Hazrate Ayesha Siddiqa
رضي الله عنها se Marwi Hadees se bhi sabit haike Noor E Mujassam ﷺ Witr ki 3
Rakat padhte thy.
Namaz Isha mein 3 Rakat Witr Wajib hai iske padhne ka tareeqa
yeh haike 2 Rakat padhkar Qaedah kiya jaye awr Tasshud padhkar khade hojaye
Teesri Rakt me Tasmiya Surah Fatiha awr koi Choti Surat padhkar dono Haath
Kaano tak uthayein awr ALLAHU AKBAR kehkar haath bandhlein awr Dua
E Qunoot padhein.
✅ Aye ALLAH ! Hum Tujhse Madad Talab Karte Hain awr Tujhse Maghfirat
Chahte hain awr Tujh par Imaan late hain awr tujh par Bharosa karte hain awr
Bhalai ke saath teri Tareef karte hain awr hum tera Shukr karte hain,
Nashukri nahi karte awr Hum Juda hote hain awr is Shaks ko chodte hain jo Tera
Gunah kare. Aye ALLAH ! Hum teri hi Ibadat karte hain awr Tere hi liye Nam'az
padhte hain awr Sajdah karte hain awr teri hi Taraf Daudte awr Khidmat keliye
hazir hote hain awr Teri Rehmat ke Umeedwar hain awr Tere Azaab se Darte hain,
Beshak Tera Azaab Kafiron ko pohanchne wala hai".
↪ Dua E Qunoot padhna awr iske liye
Takbeer kehna bhi Wajib hai. agar koi Dua E Qunoot padhna bhool kar Ruku me
chala jaye to woh Qayam ki taraf na laute balke akhir me Sajdah Sahw karle.
agar kisiko Dua E Qunoot yaad na hoto woh "Rabbana Aatina" wali Dua
padhle ya 3 b'ar "Allahummaghfirlana" kahe.
Namaz
E Jum'ua
✅ Mehboobe Kibriya Mukhtare Kul Khatam Ul Rusul ﷺ Ka Irshad hai.
"Jisne achhi tarha wazu ki fir Jumua ko aaya awr (Qutba) suna awr chup
raha, iske in gunahon ki maghfirat hojayegi jo is Jum'ua awr dusre Jum'ua ke
darmiyan hain awr mazeed 3 din ke gunaho ke bhi. awr jisne kankri chuwi isne
laghu kiya (yani Qutba sunne ki halat me itna kam bhi laghu me dakhil hai ke
koi kankari padi ho to isse hata diya jaye.)" (Muslim, Abu Dawood,
Tirmizi, Ibne Majah)
✅ Aaqa O Moula Nabi E Kareem ﷺ ka Irshaade Girami hai "Jo 3 Jume
susti ki wajah se chhod dega ALLAH Ta'ala iske Dil par mohar kardega (awr wo
ghafilo me hojayega) (Abu Dawood, Tirmizi) ek awr riwayat me haike "Jo 3
Jume bila uzr chode woh Munafiq hai" (Ibn Khazima)
Namaz E Jum'ua Farz E Ain hai awr iski farziyat Zohar se ziada mouaked
hai awr iska munkir kafir hai. har Musalman Mard par jo Baligh, Tandurust, Azad
awr Muqeem hai Jum'ua Farz hai. Namaze Jum'ua keliye jaldi jana, Miswak karna,
achhe kapde pehanna, Khushbu lagana awr pehli Saff me baithna Mustahab hai awr
Ghusul karna Sunnat.
Jo chizien Namaz me haraam hain maslan Khana Peena Salam O
Kalam waghaira ye sab Qutbe ki halat me bhi haraam hain albatta Khateeb Amr bil
Maroof karsakta hai. jab Qutba padha jaye to tamam Hazeerin par sunna awr Chup
rehna Farz hai jin logon tak Imam ki awaz na pohanch rahi ho inhe bhi Chup
rehna Wajib hai. agar kisiko buri bath karte dekhe to Haath ya Sar ke ishare se
mana karsakte hain, Zuban se najaiz hai.
Eidain
Ki Namaz
Eidain ki Namaz inhi logon par Wajib hai jinpar Jum'ua Farz
hai. Jum'ua ki Namaz keliye Qutba Shart hai Jabke Eidain ki Namaz me ye Sunnat
hai. Namaz Eid se qabal na Azan hai na Aqamat. Namaz Eid se qabal Nafl padhna
Makroh hai khwa Ghar me padhe ya Eidgah mein, chahe ispar Namaz Eid Wajib ho ya
nahi.
Eid ki Namaz ke b'ad Musafa karna awr Gale Milna jaisa ke
Musalmano me rayij hai behtar haike isme Izhare Masarat hai.
Hajamat Banwana,
Nakhun Tarashwana, Ghusul Karna, Miswak Karna, Achhe Kapde Pehanna, Khushbu
Lagana, Eidgah ko paidal jana, Raste me Takbeer kehte jana, Dusre Raste se
wapas aana, Khushi Zahir karna, Kasrat se Sadqa dena, Mubarkbad Dena, Eid Ul
Fitr me Namaz se Qabal Sadqaye Fitr dena awr Taaq tedad me Khajoorein khalena,
Eid Ul Adha me Namaz se Qabal kuch na Khana awr raste me Buland Awaz se Takbeer
kehna ye sab amoor Eid ke din Mustahab hain.
Qurbani karni hoto Mustahab yeh haike Pehli se Daswi Zil
Hajjah tak Na Hajamat Banwaye Na Nakhun Tarshwaye. Navwi Zil Hajjah ki Fajr se
lekar Tairwi Zil Hajjah ki Asr tak har Farz Namaz ke b'ad jo Jam'at E Mustehba
ke saath ada ki gayi 1 b'ar buland awaz se "Takbeer Tashreeq" kehna
Wajib awr 3 b'ar kehna Afzal hai.
"ALLAHU AKBAR ALLAHU AKBAR LA ILAHA ILLALLAHU WALLAHU AKBAR ALLAHU
AKBAR WA LILLAHIL HAMD".
Namaz
E Eid Ka Tariqa
☪ Dono Eidain ki Namaz
ka Tariqa ek hi hai woh yeh ke Do Rakat Wajib Namaz Eid Ul Fitr ya Eid Ul Adha
ki niyat karke Kaano tak Haath uthayein awr ALLAHU AKBAR kehkar bandhlein. phir
Sana padhkar Kaano tak Haath uthayein awr ALLAHU AKBAR kehte huye chhod dein,
phir Dusri bar Haath uthayein awr Takbeer kehte huye chhod dein, phir Teesri
b'ar Haath uthayein awr takbeer kehkar bandhlein. phir Imam buland awaz se
Sureh Fateha awr koi Surat padhkar Ruku O Sujood karega. Dusri Rakt me Sureh
Fateha awr koi Surat ya
Aayat ki Tilawat ke b'ad Ruku me jane se pehle 3 bar Kaano tak Haath
uthakar ALLAHU AKBAR kahein awr har bar Haath chhod dein. phir Chawthi bar
bagair Haath uthaye Takbeer kehte huye Ruku me chalein jayein awr Namaz mukamal
karein. har 2 Takbeeron ke darmiyan 3 Tasbeeh ke barabar Teharna chahiye.
Namaz
E Janazah
Namaze Janazah Farz E Kifaya hai yani Ek Shaks ne bhi padhli
to sab Bari al Zimmah hogaye warna jinko khabar mili awr woh Namaze Janazah ko
na aaye, woh sab gunehgar huye. Janazah padhte waqt Maiyyat samne honi chahiye, Gaibana Namaze Janazah
jaiz nahi. Maiyyat se murad wo hai jo zinda paida hua awr fir Mar gaya. agar Bacha
Murda paida hoto uski Namaze Janazah nahi. agar Janazah Taiyyar hua awr Wazu ya
Ghusl me Namaz nikal jane ka yaqeen ho to Tayamum karke Namaz Janazah padhli
jaye. Baaz log Juta pehante awr bohat se log Jute per khade hokar Namaze
Janazah padhte hain agar Juta pehankar Namaz padhi to Juta awr iske neeche ki
zameen dono ka paak hona zaruri hai awr agar jute per khade hokar Namaz padhi
to Jute ka paak hona zaruri hai.
Namaze
Janazah Mein 2 Rukn hain.
1
Namaze Janazah Khade Hokar Padhna.
2
Chaar (4) Baar ALLAHU AKBAR kehna.
Namaze Janazah mein 3 chizein Sunnate Moukedah hain. ALLAH Ta'ala ki sana
Karna, Nabi Kareem ﷺ per Durood Shareef padhna awr Maiyyat keliye Dua karna. Afzal
yeh haike Namaze Janazah me 3 ya (Taaq) Safein hoon. Namaze Janazah ka tariqa
yeh haike Niyat karke ALLAHU Akbar kehkar Naaf ke neeche Haath bandhle awr yeh
Sana Padhein سُبْحَانَكَ اَّللُهَّم َوِبحَمْدِكَ وَ
تَبَاْرَكَ اسْمُكَ َوتَعَالَئ جَدُّكَ وَجَلَّ َثَناءٌكَ وَلَااِلَه غَيْرُكَ "Subhana kalla
humma ,wabe hamdeka ,wata baara kasmoka ,wata aalaa jaddoka, wa jalla
sanaoka,wala ilaha gairoka"."Paak hai Tu Aye ALLAH ! awr Main Teri
Hamd karta hoon, Tera Naam Barkat Wala hai awr Teri Shaan Buland awr teri Sana
Bartar Hai awr Tere Siwa Koi Mabood nahi". fir Haath uthaye bagair
ALLAHU Akbar kahein awr Durood Shareef padhein. behtar haike wahi Durrod
Shareef padhein jo Namaz me padha jata hai awr agar koi Dusra Durood Shareef
padha tab bhi harj nahi. fir bagair Haath Uthaye ALLAHU Akbar kahein awr yeh
Dua padhein. "Aye ALLAH Baksh de hamare Zindo awr Murdo ko, Hamare hazir
awr Gaib ko, Hamare Chotte awr Bade ko awr Hamare Mard O Awrat ko. Aye ALLAH !
Humme se Tu jisse Zinda rakhe isse Islaam pe zinda rakh awr Humme se Tu jisse
Wafaat de usse Imaan per Wafaat de. yeh Dua Baligh Mard O Awrat keliye hain
▶ Agar Maiyyat
Nabaligh Ladka hoto yeh Dua padhein : "Aye ALLAH Tu Is Ladke ko Hamare
liye pesh Ru kar (Yani Aage Pohanch kar Samaan Karne Wala Bana) awr Isko Hamare
liye Ajr awr zakheera kar awr Isko Hamari Shif'at karne Wala bana awr Woh Bana
Jiski Shif'at qubool ho.
▶ Agar Maiyyat
Nabaligh Ladki hoto yeh Dua padhein : "Aye ALLAH Tu Is Ladki ko Hamare
liye pesh Ru kar (Yani Aage Pohanch kar Samaan Karne Wali Bana) awr Isko Hamare
liye Ajr awr zakheera kar awr Isko Hamari Shif'at karne Wali bana awr Woh Bana
Jiski Shif'at qubool ho.
Dua Padhne ke b'ad Chawthi B'ar ALLAHU Akbar kehkar Haath chordein awr
dono taraf Sal'am pherlein. iske b'ad Safein tod dein awr Ek B'ar Surah Fateha,
Teen B'ar Sureh Iqlas awr Teen b'ar Durood Shareef padhkar Iss Maiyyat ko
Eisaale Sawaab karein awr Iskeliye Rehmat O Maghfirat ki Dua mange.
✔ Aaqa O Moula ﷺ Ka Irshaade
Girami hai, "Jab Tum Maiyyat ki Namaze Janazah padhlo to ab Khaas Iskeliye
Dua karo". (Mishkaat Ba Hawala Abu Dawood, Ibne Majjah, Baihaqqi)
Namaze
Taraweeh
Namaze Taraweeh Mard
Awrat sabkeliye Sunnate Moukedah hai. Jamhoor ka mazhab yeh haike Taraweeh ki
20 Rakatein hain awr yehi Ahadees se sabit hai. Imam Baihaqqi ne Sahih Sanad ke
saath Hazrat Sayeb Bin Yazeed رضى الله عنه se riwayat ki ke log Hazrat Farooqe Azam رضى الله عنه
ke Zamane mein 20 Rakt Taraweeh padha karte thy awr Hazrat Usman O Hazrat Ali رضى الله عنهما
ke Zamane mein bhi yehi mamool tha.
Mouttah mein Hazrat Yazeed Bin Romaan رضى الله
عنه se riwayat haike Hazrat
Umar رضى الله عنه ke zamane me log Ramadan me Isha ke b'ad 23 rakatein padhte
thy. Imam Baihaqqi ne iski sharah me farmaya, yani 20 Taraweeh awr 3 Witr.
Taraweeh me 1 Bar Quran Majeed khatam karna Sunnate Moukedah hai awr 2
martaba Fazilat awr 3 martaba Afzal. Imam O Hafiz keliye zaruri haike Quran
Kareem Sahih Maqarij ke saath padhe. Ujrat dekar Taraweeh padhwana najaiz hai
Dene wala awr Lene wala dono Gunehgar hain.
Taraweeh ka Waqt
Farz Isha ke b'ad se Tulu E Fajr tak hai. agar Isha Jam'at se na padh sake to
Tanha Isha Padhkar Taraweeh ki Jam'at me shareek hojaye magar Witr Tanha padhe.
Taraweeh Masjid me Ba Jam'at padhna Afzal hai. Taraweeh 2 , 2 Rakt padhi
jayein, Har 4 Rakt b'ad itni der baithna Mustahab hai jitni der me 4 Rakt
padhi. baithne me Ikhtiyar haike Khamosh rahe ya Kalima ya Durood Shareef ya
yeh Tasbeeh padhe. "Paak hai Woh (ALLAH) Jo Malik awr Baadshahat Wala hai,
Paak hai Woh jo Izzat, Azmat, Haibath, Qudrat, Badai awr Jabroot Wala hai. Paak
hai Woh Baadshahe Haqeeqi jo Zinda rehne Wala hai, Na Iskeliye Neend hai awr na
Mout, Woh Be Intiha Paak awr Muqaddas hai, Hamara, Firishton ka awr Rooh ka
Malik hai, Aye ALLAH ! Hamein Aag se bacha, Aye Bachane Wale, Aye Nijaat Dene
Wale, Aye Panah Dene Wale, Aye ALLAH ! Hazrat Muhammad ﷺ Per Rehmat Nazil
Farma".
Qaza
Namazo Ka Bayan
Kisi Sharai Uzr ke bagair Namaz Qaza kardena bohat sakht Gunah
hai. is Namaz ki Qaza farz hai nez Sachhe Dilse taubah bhi karni chahiye.
Sachhi Taubah se Qaza karne ka Gunah maaf hojata hai albatta Taubah isi waqt
sahi hogi jabke Chuti huye Namaz ki Qaza padhli jaye, agar Namaz ki qaza na
padhi to ye Taubah qubool na hogi. Bhool kar ya Sote me Namaz Qaza hojaye to iski Qaza Farz hai albatta
Qaza ka gunah na hoga lekin ye zaruri haike yaad aane par ya jagne par is Namaz
ko fauran ada kia jaye jabke makroh waqt na ho. bila uzr der karna makroh hai.
koi soraha hai ya Namaz padhna bhool gaya to jise maloom ho isse wajib haike
sote ko jaga de awr bhoole huye ko yaad dila de. jisko ye andesha ho ke Fajr ki
Namaz qaza hojayegi, isse sharai zarurat ke bagair raat ko der tak jagna mana
hai. Kisi Namaz ke waqt me agar is Namaz keliye Takbeer Tehrima
kehli to Namaz Qaza na huye balke ada hai siwae Namaz E Fajr Wo Jumua Wo Eidain
ke ke inme Salam pherne se qabl aga waqt nikal gaya to Namaz jati rahi. Qaza
Namazo keliye koi waqt muqarar nahi, Mumno Awqat ke alawa tamam umr me ye jab
bhi padhle, Aadmi Bari Uz Zimah hojayega. Jiske zimmeh kaye saal ki Qaza Namzein ho isse chahiye ke apne baligh
hone ki Umr se is waqt tak ki Namazo ka hisab lagaye awr fir jab jab fursat
mile inhe ada kare. chunke Qaza Namazein Nawafil se ahem hain isliye Nawafil awr Gair Moukedah Sunnato
ke bajaye Qaza padhta rahe, albatta Taraweh awr 12 Raktein Sunnat E Moukedah na
chorde. Qaza Namaz ki niyat yun bhi ki jasakti hai maslan. "Sabse
Pehle Namaz E Fajr Jo Qaza Huye Ise Ada Karta Hun". fir jab dusri Namaze
Fajr ki Qaza padhe to yehi niyat kare kyunke pehli Qaza Namaze Fajr to ada
hochuki isliye ab dusri Namaz Qaza Namazo me pehli hogaye, isi tarha degar Namazo
keliye bhi yunhi niyat kare.
Bemar
Ki Namaz
Jo Bemari ke bais khada hokar Namaz na padhsakta hoke chakkar
aate hain ya naqabile bardasht dard hoga ya Marz badh jayega ya der me sehat
yab hoga in suraton me baith kar Ruku O Sujood ke saath Namaz ada ki jasakti
hai, agar khud baith na sakta ho lekin koi dusra moujood ho jo bitha de to
baith kar padhna zaruri hai, agar baithe rehna mumkin na ho to Takiya Deewar ya
kisi chiz se Tek laga kar padhe awr agar baith kar padhna mumkin hoto Late kar
Namaz na hogi.
Qiyam chunke Farz hai isliye ise Sharai Uzr ke bagair tark karne se
Namaz na hogi yahan tak ke agar koi Asa ya Khadim ya Deewar se sahara lekar
khada hosakta hoto isse Farz haike isi tarha khada hokar padhe, agar kuch der
khada hokar ALLAHU AKBAR kehsakta hoto Farz haike Namaz khade hokar shuru kare
awr fir baith kar pori kare warna Namaz na hogi, jo mamuli takleef jaise Halka
Bukhar ya Sar Dard ya Zukam wagaira ke bais baith kar Namaz padhte hain, inki
Namazein nahi hoti in par Qaza lazim hai.
Agar Mareez khada hosakta hai magar Ruku O Sujood ya dono nahi
karsakta to behtar yeh haike khade hoke Namaz padhe awr Ruku Ya Sujood (Jisper
Qudrat Na Ho) ya dono keliye ishara kare. Sajdeh ke ishare keliye sar ko jitna
jhuka sake utna jhukaye awr Ruku keliye isse kuch kam jhukaye. jo Zameen par
sajdah nahi karsakta magar Sajdeh ki sharait ke saath koi chiz zameen par rakh
kar ispar Sajdah karsakta ho isse Sajdeh keliye ishara karna jaiz nahi. agar Mareez baithne par qadir nahi to lait kar ishare se padhe khwa
Daye ya Baye karwat par lait kar Qiblah ko muh kare khwa seedha lait kar Qiblah
ko Pawon kare magar Guthne khade rakhe awr Sar ke neeche Takiya wagaira rakh
kar uncha karle taake muh Qibleh ko hojaye.
Musafir
Ki Namaz
Islam ne Musafir ko
ye sahulat di haike woh Safar me Namaz Qasr kare yani jo Farz Namaz 4 Rakt par
mushtamil ho iski jagah wo 2 Rakt padhe. Aaqa O Moula ﷺ Ka farmane
Aalishaan hai "Yeh Ek Sadqa hai jo ALLAH Ta'ala ne Tum par kiya
hai, Tumhe chahiye ke iska Sadqa Qubool karo". Musafir par wajib haike Namaz
me Qasr kare. Jisne Janbojh kar 4 Rakatein padhi wo Gunehgar hua, isse Taubah
karni chahiye, Sunnato me Qasr nahi wo pori padhni chahiye.
Sharan Musafir wo shaks hai jo Satawan Meel se kuch zayid
(Asal Miqdar 57.375 Meel, ya 92.33 K.M hai) ke Safar ke iradeh se apni Basti se
bahar nikal chuka ho. Musafir jab tak apne Shehar me wapas na pohanche wo
Namazein Qasr karta rahega albatta dorane Safar wo kisi Muqaam par 15 din
ya zayid Qiyam ka iradah karle to wo wahan pori Namaz padhega chahe b'ad
me kisi wajah se wahan 15 din se kam Qiyam karsake. isi tarha agar kisi jagah
15 din se kam Qiyam ki niyat ho magar kisi wajah se wahan 15 din se zayid Teharna
pade fir b wo Qasr karega.
Agar Musafir Muqeem
Imam ke peeche Namaz padhe to 4 Rakt hi ada kare awr agar Muqeem log Musafir
Imam ki Iqtidah me Namaz ada karein to Imam ko chahiye ke woh pehle logon ko
apna Musafir hona batade fir 2 Rakt ke b'ad Sal'am pherle awr Muqeem muqtadi
khade hokar baqiya 2 Rakatein padhein magar Qiyam me Surah Fatiha padhne ki
Miqdar khamosh rahe.
Chalti Train par Namaz nahi hoti isliye jab Station par Gadi
ruke is waqt Namaz ada kare awr agar Namaz ka waqt ja raha hoto jis tarha bhi
mumkin ho padhle fir jab mouqa mile to Namaz ka iyadah kare. Jo Namaz Safar me
Qaza huye ya naqis padhi gaye ise Manzil par pohanch kar lautane me zaruri
haike isse Qasr hi padha jaye.
Nafal
Namazo Ka Bayan
Farz Namazo ke alawa
Noor E Mujassam ﷺ Nafil Namazo ka bhi ihtemam farmate thy. Hadees E Paak me
Nawafil ki kasrat ko Qurb E Ilahi pane ka zariya farmaya gaya hai. Sunnat awr
Nafil Namaz Ghar me padhna Afzal hai albatta Taraweh, Tehtul Masjid awr Safar
se wapas ke 2 Nafl Masjid me padhna behtar hai. agar Ghar me Kam ki mashgoliyat
ke Nawafil chuth jane ka qadsha ho ya Ghar me dil na lage to Masjid hi me
Nawafil padhliye jayein. Aaqa O Moula ﷺ ne baz Khas mouqe par jo Nawafil padhne ki
Taleem di, inhe iqtisar se bayan kiya jaraha hai.
Namaz
Tehtul Wazu : Wazu ke B'ad Aaza khushk hone se pehle 2 Rakt Nafl ada karna Mustahab
hai yunhi Ghusl ke b'ad bhi 2 Rakt Nam'az Mustahab hai. Nabi Kareem ﷺ ka
Irsh'ad hai "Jo SHaks Acche Tariqe se Wazu karke Zahir O Batin ke saath
Mutawaja hokar yani Iqlas se 2 Rakt Namaz padhlia kare iskeliye Jannat Wajib
hojati hai".
Namaz
Tehtul Masjid : Masjid me dakhil hone ke b'ad 2 Rakt Namaz padhna Sunnat hai awr
Behtar yeh haike 4 Rakt padhe. agar Farz ya Wajib ya Sunnat Namaz ada karli to
Tehtul Masjid ada hogaye agarche iski niyat na ki ho. agar koi Makroh waqt me
Masjid me aaye to wo Tehtul Masjid na padhe balke Zikr E Ilahi awr Durood
Shareef me Mashgool hojaye, Masjid ka Haq ada hojayega.
Namaz
E Tahajjud : Raat me Namaz E Isha ke b'ad jo Nawafil padhe jayein inhe Salatul
Lail kehte hain awr Raat ke Nawafil Din ke Nawafil se Afzal hain. Isi Salatul
Lail ki Qism Namaz E Tahajjud hai. Tahajjud ki kam az kaz Rak'atein 2 hain awr
Ziadah se Ziada 8. Namaz E Isha padhkar sone ke b'ad jis waqt bidar hoon wo
Tahajjud ka Waqt hai awr Afzal waqt Raat ka Akhri Tihai hissa hai.
Namaz
E Ishraq : Namaz E Ishraq ki 2 Rak'atein hain. behtar yeh haike Namaz E Fajr ke
b'ad Zikr E Ilahi awr Durood Shareef padhte rahe awr Suraj Tulu hone ke Kam az
Kam 20 min b'ad yeh Namaz padhein. Hadees Shareef me Namaz E Ishraq padhne wale
ko Hajj awr Umrah ke Sawab ki Basharat di gayi hai.
Namaz
E Chaasht : Namaz E Chaasht ki kam az kam 2 Rakatein awr ziadah se ziadah 12
Rakatein hain awr 12 Afzal hain. is ka waqt Suraj buland honese Zawal yani
Zohwa Kubra ke shuru hone tak hai. Ahadees E Mubareka me Nam'az E Chaasht ki pabandi
karne wale ko Maghfirat awr Jannat me Sone ke Mahal ki khushkhabri di gayi hai.
Namaz
E Awwabeen : Namaz E Maghrib ke b'ad 6 Rakt Nafl padhna Mustahab hai ye 2, 2 Rakt
karke padhna Afzal hai. inhe Salw'at Al Awwabeen kehte hain. Nabi Kareem ﷺ ne Inhe
padhne ki bhi targeeb di hai.
Namaz
E Safar : Safar keliye rawana hote waqt Mustahab hai ke 2 Rakt Nafl apne Ghar
me ada karke nikle. Aaqa O Moula ﷺ ne Farmaya "Koi Shaks apne Gharwalon
ke pass in 2 Rakaton se behtar koi chiz nahi chordta jo wo Safar par rawana
hote waqt wahan padhta hai". Safar ke dauran jahan Qayam ho wahan 2 Rakt
padhe awr wapasi par 2 Rakt Namaz Masjid me ada karke Ghar jaye. Nabi Kareem ﷺ ka yehi
Mamool tha.
Namaz
E Taubah : Insaan Khatakar hai lekin jab bhi isse koi Gunah hojaye ise chahiye
ke fauran apne Raheem O Kareem Rabb ki bargah me nidamath zahir kare awr apne
Gunah ki muafi mangne keliye 2 Rakt Nafl Namaz padhe, yeh Mustahab hai. Aaqa O
Moula ﷺ
ne Farmaya "Jab kisise Gunah hojaye to isko chahiye ke Wazu karke 2 Nafl
ada kare awr Rabb Kareem se apne Gunah ki Bakshish chahe, ALLAH Ta'ala Iske
Gunah baksh dega.
Namaz
E Tasbeeh : Aaqa E Do Jahan ﷺ ne ye Namaz apne Chacha Hazrat Abbas رضى
الله عنه ko sikhai. iska
tareeqa yeh haike Pehli Rakt me Sana ke B'ad (Jabke Dusri Rakaton me Tasmiyah
se Qabal) 15 Pandhra bar yeh Tasbeeh padhe (Pora Teesra Kalma Padhna B Behtar
Hai) fir Tauz, Tasmiyah, Surah Fatiha awr koi Surat padhkar yehi Tasbeeh 10 bar
padhe fir Ruku me Tasbeeh ke b'ad 10 b'ar, Ruku se Khade hokar Tasmeeh O
Tamheed ke b'ad 10 bar, Sajdeh me Tasbeeh ke b'ad 10 b'ar, Sajdeh se sar
uthakar yani Jalsa me 10 bar awr fir Dusre Sajdeh me 10 bar yehi Tasbeeh
padhein isi Tarha 4 Rakatein padhein (Yun Kul 300 Tasbih'at Huyein)
✔ Nabi Kareem ﷺ ne
Farmaya "Agar hosake to ye Namaz Rozana padho warna Har Jumua ke din, agar
ye na hosake to har Mah (Month) me ek bar warna Saal (Year) me ek bar awr agar
yeh bhi na hosake to Umar (Life) me ek bar zarur padho. Iski Barkat se ALLAH
Ta'ala Agle Pichle, Naye Purane, Qasadan ya Sahuwan kiye gaye tamam (Sagheera)
Gunah Muaf farmadega. (Sunan Tirmizi)
Namaz
E Hajaat : Rasool E Muazza ﷺ Ka Irshaad hai 'Jis Shaks ki ALLAH Ta'ala ki taraf ya kisi
Bande ki taraf koi Hajat ho wo achhi tarha Wazu karke 2 Rakt Namaz padhe fir
ALLAH Ta'ala ki Hamd O Sana kare awr Mujh par Durood Bheje awr yeh DUa Padhe'
"ALLAH ke siwa koi Mabood nahi jo Bardb'ar awr Karam Farmane wala hai jo
Arsh E Azeem ka Malik hai, awr sab Tareefein ALLAH keliye hain jo Tamam jahano
ka Malik hai, Ilahi ! me Tujhse Teri Rehmat ke asbab mangta hu awr Teri
Bakshish ke zaraye Talab karta hu, me har Neki me apna hissa awr har gunah se
salamati chahta hu, Ilahi ! mere har gunah ko Muaf farma awr mere har Gham ko
dur karde. aye sab Meharbano se ziada Meherban ! meri hajat jo Teri Raza ke
muafiq hai isse pora karde". (Tirmizi, Ibn Ma'jah)
✔ Ek Nabina Sahabi ne
Bargahe Risalat me sehat ki Dua keliye arz ki. Rehmat E Aalam ﷺ ne farmaya, agar Tu
Chahe to Dua karoon awr Chahe to sabar kar awr ye Tere liye Behtar hai. Inhone
Arz ki, Huzoor Dua Farmaien. Huzoor E Akram ﷺ ne inhe Hukm dia, achhi tarha wazu karo
fir 2 Rakt Nam'az padhkar yeh Dua karo, "Aye ALLAH ! main tujhse sawal
karta hoon awr Teri taraf mutawajje hota hoon Tere Nabi Hazrat Muhammad ﷺ ke zariye
se jo Rehmat wale Nabi hain. Ya Rasool ALLAH ﷺ main Huzoor ke zariye se apne Rabb ki
taraf is Hajat ke bare me Mutawajje hua hoon taake meri ye Hajat pori ho.
Ilahi ! Huzoor ﷺ ki Shafa'at mere haq me Qubool farma". Jab iss Nabina
Sahabi ne Namaz ke b'ad ye Dua ki to ALLAH Ta'ala ne Inhe Ankhein ata farnadi
jaise ke wo kabhi Nabina na thy. (Hakim, Tirmizi, Ibn Ma'jah, Nisai, Tabrani,
Baihaqqi)
Namaz
E Isteqarah : Aaqa O Moula ﷺ Sahaba Kiram ko Dua E Isteqarah iss ahtemam se sikhate jaise
Quran Kareem ki koi Surat ho, Aap ﷺ ka Irshad hai "Jab Tum Kisi Kam ka
Iradah karo to 2 Rakt Nafl ada karke yeh Dua padho, "Aye ALLAH ! main Tere
Ilm ke saath tujhse Isteqarah karta hoon awr Teri Qudrat ke saath Tujhse Qudrat
Talab karta hoon awr Tujhse Tere Fazl E Azeem ka Sawal karta hoon kyunke
Tu Qudrat wala hai awr main Kamzor hoon awr Tu Janta hai awr main nahi janta
awr Tu Ayeboon ka bhi Janne wala hai. Aye ALLAH ! agar Tere Ilm me yeh hai ke
ye Kaam mere liye mere Deen O Mayishiyat awr Akhirat me behtar hai to isko mere
liye Muqadar karde awr Aasaan karde fir mere liye isme Barkat de, awr agar Tu
Janta haike ye Kaam mere liye mere Deen O Mayishiyat awr Anjame Kaar me Bura
hai to isko mujhse pher de awr isko mujhse pher de awr mere liye Bhalai Muqadar
farma jahan bhi ho fir mujhe isse Razi kar" (Bukhari)
Iss Dua me "Haaza Al Amar" ki bajaye apni hajat ka naam lein
ya iska Tasawur karein. behtar yeh haike Isteqarah 7 bar karein ke Ek Hadees me
hai "Aye Anas رضى الله عنه jab tu kisi Kaam ka Iradah kare to apne Rabb se isme 7 bar
isteqarah kar fir nazar kar ke Tere dil me kia guzra, Beshak isi me Khair hai.
b'az Mashaikh se manqool hai ke mazkoorah dua padhkar ba Taharat Qiblah Ru
sojayein, agar Khwab me Safaid (White) ya Sabz (Green) rang dikhe to woh kaam
behtar hai awr agar Siyahi (Black) ya Surkhi (Red) dikhein to woh bura hai isse
bachein. Isteqarah ka waqt is waqt tak hai ke ek taraf raye pori tarha jam na
chuki ho.
(Tamman Nawafil Bila Uzr Baithkar Bhi Padhskte Hain Magar Khade hokar
Padhne me Dugna Sawab hai)
Tilawate
Quran
ALLAH Ta'ala ka Irshad hai "Quran se jo Maissar aaye
Padho" Dusri jagah farmaya "Jab Quran padha jaye to isse Suno awr
chup raho is Umeed par ke Reham kiye jao" Ek Ayat ka Hifz karna har
Musalman Mukalif par Farz E Ain hai awr Pure Quran Majeed ka Hifz karna Farz E
Kifaya hai jabke Surah Fatiha awr koi Choti Surat ya iski Misl 3 Choti Ayatein
ye Ek Badi Ayat Zubani yaad karna Wajib hai. Fiqaha ke Masail ka janna Farz E
Ain hai awr Hajat se zayid Fiqaha sikhna Pora Quran Kareem Hifz karne se Afzal
hai. Quran Kareem Dekh kar padhna Zubani padhne se Afzal hai ke ye padhna bhi
hai awr Dekhna bhi awr iska Chu na bhi awr yeh sab Ibadat hai. Mustahab ye
haike Ba Wazu Qibla Ru Saaf Lib'as pehankar Tilawat karein. Tilawat ke shuru me
Aouzbillah padhna awr Bismillah padhna Mustahab hai. agar Surat ki Ibtedah hoto
Bismillah padhna Sunnat hai. agar Tilawat ke dauran koi Dunyawi kaam karlein to
Tauz awr Tasmiyah fir padhein.
Lait kar Tilawat karna jaiz hai Bashartke Pawon Simte hoon,
yunhi chalne awr kaam karne ki halat me bhi Tilawat jaiz hai jabke Dil Ghafil
na ho warna Makroh hai. jab Buland awaz se Tilawat ki jaye to tamam Hazirein
par Sunna Farz hai. Quran Kareem Sunna Tilawat karne awr Nafl padhne se Afzal
hai. Majmua me sab log Buland Awaz se Quran padhein to ye Haraam hai. aksar
Quran Khwani me sab Buland Awaz se padhte hain ye Haraam hai. jab ziada log
padhne wale hoon to inhe chahiye ke Ahista Tilawat karein albatta itni Awaz
zarur hoke agar wahan Awaz sunne me koi Rukawat maslan Shor wagairah na hoto
padhne wala khud apni Awaz sun sake.
ط
ت , س ث ص , ذ ز ظ , ا ء ع , ه ح , ض ذ ظ
In Huroof me sahih taur par Imtiyaz rakhein awr inhe Asal Makhraj se ada
karein warna Maane fasid hone ki Surat me Nam'az na hogi. Quran Majeed (Hifz ya
Nazirah) padhkar bhula dena Gunah hai. Hadees Shareef me haike jo Quran Majeed
padhkar bhul jaye woh Qayamat me Kodi hokar aayega awr Quran Majeed me hai aisa
Shaks Andha hokar uthega. Quran Kareem Hifz karne awr iske Ahkaam par amal
karne walon ko na sirf Jannat Ata hogi balke ALLAH Ta'ala unke in 🔟 Ahl
Khana ke mutaliq inki Sifarish Qubool farmayega jinpar Jahannum Wajib hochuki
hogi.
Sajdah
Tilawat Ka Bayan
Quran Kareem me 14 Aayat aisi hain jinhein Padhne ya Sunne se
Sajdah Wajib hojata hai. iska masnoon tariqa yeh haike Khade hokar ALLAHU AKBAR
kehte huye Sajdeh me jaye awr kam az kam 3 bar "Subhana Rabbial Aala"
kahein fir ALLAHU AKBAR kehte huye khade hojayein. agar Sajdah se qabal awr
b'ad me khade na huye to bhi Sajdah ada hojayega. Sajdah Tilawat keliye ALLAHU
AKBAR kehte waqt na Haath uthayein na b'ad me Salam pherein. agar Sajdah ki ayat Namaz me padhi to iska Sajdah fauran karna
Namaz hi me Wajib hai Sajdah Wajib hone keliye pori Ayat padhna zaruri
nahi balke wo Lafz jisme Sajdah ka Ma'adah paya jata ho awr iske saath qabal ya
b'ad ka koi Lafz milakar padhna kafi hai. Sajdah Tilawat ki Niyat me ye shart
nahi ke ye falah Ayat ka Sajdah hai sirf Sajdah Tilawat ki niyat kafi hai.
Ek Majlis me Sajdah ki Ayat ko bar bar padha ya suna to Ek hi
Sajdah Wajib hoga agarche chnd Aadmiyon se suni ho. Ek Rakt me b'ar b'ar wahi
Ayat padhi to Ek hi Sajdah kafi hai khwa chnd bar padhkar Sajdah kia ya Ek Bar
padhkar Sajdah kia fir chnd bar wahi Ayat padhi, Ek hi Sajdah kafi hai. Pori
Surat padhna awr Ayat E Sajdah chordena Makroh E Tehrimi hai.
JisMaqsad keliye Ek Majlis me Sajdah ki sab aayatein padhkar
sab Sajdeh karein, ALLAH Ta'ala iska Maqsad pora farmayega khwa Ek Ek Ayat
padhkar iska Sajdah karta jaye ya Sab Aayaat padhkar akhir me 14 Sajdeh karle.
🔃 Jab ALLAH Ta'ala ki koi Ne'mat mile maslan Aulaad paida ho ya
Maal mile ya Bimar ko Sehat ho ya koi Murad pori ho to Sajdah Shukr ada karna
Mustahab hai. Sajdah Shukr ada karne keliye bhi Taharat Shart hai awr isse Ada
karne ka wahi tariqa hai jo Sajdah Tilawat ka hai.
Shab
Bedari
15 Shaban ki raat yani Shab E Barat, Eid Ul Fitr awr Eid Ul
Adha ki raaton me awr Mahe Ramadan ki akhri 10 Raaton me awr Zil Hajjah ki
ibtedai 10 raaton me Shab Bedari mustahab hai. Raat ke aksar hisse me jagna bhi
Shab Bedari hai.
In Raaton me mehaz jagna Shab Bedari nahi balke asal Shab
Bedari yeh haike agar kisi ke zimme Qaza Namazein ho to wo inhe ada kare warna
Tanha Nawafil padhe, Tilawate Quran Majeed karna, Ahadees Mubareka padhna ya
Sunna, Durood Shareef padhna sab behtareen Ibadatein hain, inme Mashgool ho.
agar in muqadas raaton me Deeni Masail Seekhne Sikhane ki Majlis mayassar
aajaye to ye isliye ziada behtar haike Ilm E Deen ka sikhna har Musalman par
Farz hai.
Inme se Eidain ki raaton me Shab Bedari ye haike Isha awr Fajr
dono Namazein Jam'at E Aula se ho ke Sahih Hadees me Farmaya gaya
"Jisne Namaz E Isha Jam'at se padhi isne Aadhi Raat Ibadat ki awr Jisne
Namaz E Fajr bhi Jam'at se padhi isne sari Raat Ibadat ki". (Muslim)
Jo Shaks Do Tihai Raat sona awr Ek tihai raat Ibadat karna chahe
isse Afzal yeh haike pehli awr pichli Tihai me soye awr Beech ki Tihai me
Ibadat kare. agar koi Nisf Raat Sona awr Nisf Raat jagna chahe to iske liye
Pichli Nisf Shab Ibadat karna Afzal hai.
✔ Aaqa O Moula ﷺ Ka Farman
E Aalishan hai "Har Raat ka Jab Akhri Tihai hissa baqi reh jata hai to
ALLAH Ta'ala Aasmaan E Duniya par Khas Tajalli farmata hai awr Woh Irshaad
farmata hai, Hai Koi Dua Mangne wala ke Main iski Dua Qubool karo, Hai koi
Mangne wala ke Main Isse Ata karo, Hai koi Maghfirat ka Talabgar ke Main Isse
Baksh doon". (Bukhari)
Kalimate
Taiyabaat
Imaan
E Mujammil : "Main Imaan laya ALLAH Ta'ala par jaisa ke Woh Apne Naamo awr
Apni Sifa'at ke saath hai awr Maine Uske Tammam Ahkaam, Zubaan se Iqrar awr Dil
se Tasdeeq karte huye Qubool kiye".
Imaan
E Mufassil : "Main Imaan laya ALLAH Ta'ala par awr Uske Farishton par awr
Uski Kitabon par awr Uske Rasoolon par awr Qiyamat ke Din par awr Is Baath par
ke Acchi awr Buri Taqdeer ALLAH Ta'ala ki taraf se hai awr Maut ke b'ad Zinda
kiye jane par".
1
Pehla Kalma Tayyab : "ALLAH Ta'ala ke Siwa koi Ibadat ke Layaq nahi, Hazrat Muhammad ﷺ ALLAH
Ta'ala ke Rasool hain".
2
Dusra Kalma Shahadat : "Main Gawahi Deta hoon ke ALLAH Ta'ala ke Siwa koi Mabood nahi,
Woh Akela hai, Uska Koi Shareek nahi, awr Main Gawahi Deta hoon ke Beshak
Hazrat Muhammad ﷺ ALLAH Ta'ala ke Bande awr Uske Rasool hain".
3
Teesrah Kalma Tamjeed : "ALLAH Ta'ala Paak hai awr Sab Tareefain ALLAH Ta'ala keliye hai
awr ALLAH Ta'ala ke Siwa Koi Mabood nahi awr ALLAH Bohat Bada hai, Gunahon se
Bachne ki Taqat awr Neeki karne ki Taufeeq ALLAH Ta'ala hi ki taraf se hai Jo
Bohat Buland awr Azmat Wala hai".
4
Chawtha Kalma Tauheed : "ALLAH Ta'ala ke Siwa Koi Mabood nahi, Woh Akela Hai, Uska Koi
Shareek nahi, Uske liye Baadshahi hai awr Usi keliye Tareef hai, Wahi Zinda
Karta hai awr Wahi Maut Deta hai, awr Woh Khud Zinda hai Usko Hargiz kabhi Maut
nahi ayegi, Bade Jalaal awr Buzurgi Wala hai, Iske Dast E Qudrat me Bhalai hai
awr Woh Har Cheez par Qadir hai".
5
Panchwan Kalma Astaghfaar : "Main ALLAH Ta'ala se Muafi Mangta hoon Jo
Mera Malik hai, Har Gunah se Jo Maine Jaan Boojh kar kia ya Galti se, Jo Maine
Chupkar kia ya Zahir hokar, Main Uski Bargah me Taubah karta hoon har Us Gunah
se Jo Main Janta hoon awr Us Gunah se bhi Jo Main nahi Janta, (Ilahi !) Beshak
Tu Poshida Baaton ka Janne Wala, awr Ayebon ko Chupane Wala, awr Gunahon ka
Bakshne Wala hai, Gunahon se Bachne ki Taqat awr Neeki Karne ki Taufeeq ALLAH
Ta'ala hi ki taraf se hai Jo Bohat Buland awr Azmat Wala hai".
6
Chatta Kalma Radd E Kufr : "Aye ALLAH ! Main Teri Panah Mangta hoon
Iss Baath se ke Main Jaan Boojh kar Kisiko Tera Shareek banao, awr Main Tujhse
Muafi Mangta hoon us Shirk ki bhi jisse Main nahi janta, Maine Isse Taubah ki
awr Main Bezaar hua Kufr se awr Shirk se, awr Jhooth se, awr Gheebath se, awr
Bid'at se, awr Chugli se, awr Be Hayayion se, awr Bohtaan se, awr Tamam Gunahon
se, awr Main Islaam laya awr Main Kehta hoon "ALLAH Ta'ala Ke Siwa Koi
Mabood nahi, Hazrat Muhammad ﷺ ALLAH Ta'ala ke Rasool hain".
Alhamdullillah Summa Alhamdullillah "Namaz Ki Kitab"
Musannif Ameere Ahle Sunnat Khalifa E Mufti E Azam E Hind Radiallhu Anh Hazrat
Allama Moula Sayed Shah Turab Ul Haq Qadri Alaihi Rehma ki Tasneef Mukamal huye
Dua Kijiye ALLAH Ta'ala Hazrat Ki Qabr Pe Khoob Rehmaton Ki Baarish Farmae awr Karwat Karwat Hazrat ke Darjaat mein Bulandi Inayat Farmae Unke Fuyooz O Barkaat Hum per Hamesha Jari O Sari Farmae awr Ulma E Haq Ulma E Ahle Sunnat Bilkhusus Mere Peer O Murshid Huzoor Sayyadi Taajush Shariah Hafidullah ka Saaya Hum Gunehgaron ke Saron par Ta Dair tak
Qayam O Dayam rahe aameen summa aameen. Post Likhne me Mujh Gunahgar se koi Galti ya Khami huye hoto
main Taubah karta ho ALLAH Ta'ala uske Habeeb ﷺ ke sadqe mujhe Muaf farmaye aameen.
Created From :- Namaz Ki Kitab
Written :- Sayed Shah Turab ul Haq Qadri Alaihi Rehma.
Khalifa
e Mufti e Azam e Hind Radiallahu Anh
Karachi
Pakistan.
Talib e Dua
Ghulam e Taajush Shariah
Mohammed Abrar Khan Razvi
(Admin Dars E Fiqah Groups)↪ To Join ⤵
Dars E Fiqah
WhatsApp Group
📲 +919886596449
📍 Like FB Page
📧 https://www.facebook.com/Dars-E-Fiqaha-1496837920620194/
Alhumdulillah SubhanALLAH MashaALLAH JazakALLAH
ReplyDeleteAssalamu alaikom. Main Bangladesh se ho. Main ak chiz dund raha ta kafi der se pr mil negi raha..
ReplyDeleteSawal ka jawab agar ap de de to bht accha lagta muze 😊😍
#qabar ucha aur pakke krna ahle sunnat wala jamat main jayez hain. Iski dalaiel agar ap collect krdey to accha hota..
Muze urdhu bolna nehi ata pr samaj ata hai. Agar koiyi galti ho to maf kor dijiye ga 🙂🙏🏾
Salam mujy ye pochna hai aapki es blog me ye likha hai k jo koi namaz na parhta ho ousk sath baat cheet band krden salam na kren hukka pani band krden taky ousy ehsas ho esa phly kabhi nhi suna koi hadees share kren es hawaly se authentic plz or jo bilkul nhi parhta ho ya phr gahy bagahy prta ho wo bhi aik ya do ousk ley bhi yahi baat lago hogi or agr shoher esa kary tk biwi ko qata tauluq krdena chahey plz bataey?
ReplyDeletePlz when you rply notify me
ReplyDelete