Skip to main content

Bazm E Raza "Namaaz"

Namaaz
(Sayed Shah Turab ul Haq Qadri Alaihi Rehma)


بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ


Fazail E Namaz

Namaz Rasool E Muazzam Noor E Mujjassam Rehmate Do Alam Ki Ankhon Ki Thandak Hai Deen Ka Sutoon Hai Jannat Ki Kunji Hai Momin Ki Meraj Hai Afzal Jihad Hai Imaan Ki Alamat Hai Dil Ka Noor Hai Chehre Ki Raounaq Hai Rooh Ki Ghiza Hai.

Namaz Ghar Mein Nuzool E Barkat Ka Bais Hai Rizq Mein Wussat Ka Sabab Hai Jismani O Ruhani Amraaz Ki Shifa Hai Qabr Ke Andhere Mein Roshni Hai Mehshar Ki Dhoop Mein Saya Hai.

Namaz Qabr Ki Wehshat Mein Dil Behlane Wali hai Pul E Sira'at Per Se Jaldi Guzarne Wali Hai Gunaho Ki Magfirat Ka Zariya Hai Namazi Awr Dozakh Ke Darmiyan Parda Yani Aadh Hai Shaitan Ko Dafa Karti Hai ALLAH Ta'ala Ka Qarb Awr Raza Ata Karti Hai.

Imaan Awr Aqaid Ki Durustgi Yani Kalimae Tayyaba Padhne Ke Ba'ad Tamam Faraiz Mein Sabse Ahem Fariza Namaz Hai. Aaqa O Moula Ka Irsha'ad Hai.

✅ ALLAH Ta'ala Ne Meri Ummat Per Tamam Chizon Se Pehle Namaz Farz Ki Awr Qayamat mein Sabse Pehle Namaz Hi Ka Hisab Lia Jayega. Ek Hadees Shareef Mein Yeh Bhai Warid Haike "Jisne Namaz Ko Qayam Rakha Isne Deen Ko Qayam Rakha Awr Jisne Namaz Ko Tark Kia Usne Apne Deen Ko Giradia".
Hazrate Abu Hurairah Radiallahu Anhu Se Riwayat Haike Nabi E Kareem Ne Farmaya.

✅ ALLAH Ta'ala Farmata Hai Aye Ibn E Adam ! Tu Meri Ibadat Keliye Farig Hoja Mein Tera Seena Ghana Se Bhardunga Awr Agar Tu Aisa Na Karega To Tujhe Bohat Se Kamon Mein Masroof Kardunga Magar Teri Ghareebi Dur Na Karonga. (📖 Mishkat, Ibne Ma'ajja)

 Aaqa O Moula Ka Ek Awr Farma'an E Aalishan Hai :

 5 Chizon Ko 5 Chizon Se pehle Ganimat Jano

1 Budhape Se Pehle Jawani Ko
2 Bimari Se Pehle Tandurusti Ko
3 Fakheeri Se Pehle Ameeri Ko
4 Mashguliyat Se Pehle Fursat Ko
5 Mout Se Pehle Zindagi Ko. (📖 Tirmizi)

Afsoos Ke aaj Musalman Namaaz se ghafil hogaye hain aksar logon ke paas Namaaz padhne ka waqt hi nahi jabke ba'az log Namaaz to padhte hain magar Namaaz padhne ka
sahi Tariqa nahi jante. zarorat is amr ki hai Namaaz ka sahi Tariqa seekha jaye awr panchon waqt ki Namaaz Bajama'at pabandi se ada kijaye.
  
Namaaz Ki Ahmiyat

Quraan Majeed awr Ahadees E Kareema ma Jabaja Namaaz Ki Pabandi Ka Hukm Diya Gaya Hai.

Irshaad E Bari Ta'ala Hua " Awr Namaaz Qayam Rakho awr Zakaat do awr Ruku karne walon ke saath Ruku Karo" (AlBaqara : 43, Kanzul Imaan Fi Tarjamul Quran)
Dusri Jagah Irshaad Farmaya : "Nighebani karo sab Namazao ki awr Beech Ki Namaaz (Asr) ki". (AlBaqara : 238, Kanzul Imaan Az AalaHazrat Imam Ahmed Raza Bareilvi Rehmutullah Alaih). Ek awr Muqaam per farmaya gaya "Awr Namaaz Qayam Rakho Din Ke Dono Kinaro awr Kuch Raat ki hisso mein" (Hud : 114, Kanzul Imaan) Din ke dono Kinaro se Subha O Shaam muraad hai zawaal se qabal ka waqt subha mein awr ba'ad ka shaam mein dakhil hai. Subha Ki Namaaz Fajr awr Shaam ki Namaaz Zohar O Asr hain awr Raat ke hisso ki Namaazien Maghrib O Isha hain. (📚 Tafseer Khazain Ul Irfa'an)

Quraan Al Kareem mein Namaaz padhne ko mushrikon ki muqalifat qarar diya gaya hai. Irshaad Hua "Awr Namaaz Qayam Rakho Awr Mushrikon Mein Se Na Ho".(Ar-Room :31)

Goya Namaaz Na Padhna Mushrikon ki Misl hona hai. IskiWazahat Aaqa E Do Jahan ke is Irshaad e Girami se bhi hoti haike "Bande Awr Kufr Ke Darmiyan Namaaz Chhodna hai". (Muslim)

Ek Jagah Be Namazion keliye yun Waeed farmayi gayi. "To Unke Ba'ad unki jagah woh naqalaf aaye jinhone Namazein gawayein (yani zaya ki) awr apni khwahishon ke peeche huye toh an khareeb woh Dozakh mein "Ghayee" ke jungle payenge".(Mariyam : 59 Kanzul Imaan)

"Ghayee" dozakh ke nichle hisse mein ek kunwa hai jisme ahle dozakh ki peep girti hai ek qawl yeh bhi haike yeh Jahanam ki sabse ziada garam awr gehri wadi hai awr isme ek kunwa hai jab jahanam ki aag bujhne per aati hai toh ALLAH Azwajal is kunwe ko khol deta hai jisse woh badsatoor bhadakne lagti hai. yeh kunwa Be Namazion, Zaniyon, Sharabion, Sood Khoron awr Walidain ko eeza dene walon keliye hai.

Quraan Al Kareem mein Munafiqon ki ek nishani yeh bayan ki gayi haike woh Namaaz padhne me susti karte hain awr isse bojh samjhte hain.

Irshaad Hua "awr jab Namaaz khade honto haare jee se, logon ko dikhawa karte hain".(An-Nissa :142 Kanzul Imaan)

✅ Munafiqon ke mutaliq Sarkare Do Alam ka Irshaad hai,"Munafiqon par fajr awr Isha se ziada koi Namaaz bhari nahi awr yeh agar jante ke in Namazon mein kia sawab hai toh zameen per ghaseette huye bhi pohanchte". (Bukhari, Muslim)

Quraan Al Kareem mein Yeh bhi bataya gaya haike Namaaz padhna in logon keliye hargiz mushkil nahi hai jo ALLAH Ta'ala awr akhirat per yaqeen rakhte hain.

Irshaad Hua "Awr Beshak Namaaz zaroor bhari hai magar in per nahi jo Dil se meri taraf jhukte hain, jinhain yaqeen haike inhein apne Rabb se milna hai awr isiki taraf phirna". (Al Baqara : 45, 46, Kanzul Imaan)

 Quraan O Hadees ki roshni mein yeh baath wazeh hogaye ke har Musalman per Panchon Namaazein pabandi se ada karna farz hai. Namaaz padhne mein susti karna Qusasan Fajr awr Isha ki Namaazein na padhna Munafiqon ki nishani hai. yeh bhi maloom hua ke Nama'az na padhna kafiron ka tariqa hai isiliye Sahaba Kiraam aamaal mein se Namaaz ke siwa kisi amal ke chhodne ko Kufr nahi samjhte thy. Namaaz ki ahmiyat ka andaza is baath se bhi lagayiyee ke Hadees Paak mein bachpan hi se Namaaz padhne ki takeed farmayi gaye. Nabi Kareem ne farmaya. "Jab Bachhe saath saal ke hon jayein toh inhe Namaaz padhne ka hukm do awr jab woh Das saal ke hojayein to Nama'az mein gaflat par inhein maaro awr is baras se inke bistar bhi alehda kardo". (Abu Dawood).

Namaaz Qaza Karne Ka Gunah

✅ Rasool E Muazzam Noor E Mujjassam Rehmate Do Alam Ka Irshaad hai "Jo Shaks Namaaz Qaza karde awr Ba'd mein Qaza padhle, woh apne waqt Namaaz na padhne ki wajah se ek Haqab Jahannam mein jalega. Haqab ki miqdar Assi (80) saal hoti hai awr ek Saal 360 din ka jabke Qayamat ka ek din ek Hazaar (1000) saal ke barabar hoga".

Yani Ek Namaaz Qaza karne wale ko Do Crore Athasi Lakh Saal (2,88,00000) Jahannam mein rehna hoga Al Ayaz Billahi Ta'ala . (Majalis Al Abrar).

Sadrushariah Allama Moulana Amjad Ali Azmi Quddus Sarah Farmate hain "Namaaz ko mutalaqan chhodena to sakt holnak baath hai Namaaz Qaza karne walon keliye Rabb E Ta'ala Farmata hai Kharabi Hai Un Namazion keliye jo apni Namazon se bekhabar hain, Waqt guzar ker padhne uthte hain (Al Maoon : 4) Jahanam mein ek wadi hai jiski sakti se jahanam bhi panah mangti hai iska Naam "Wae'el" hai Qasdan Namaaz Qaza karne wale iske mustahiq hain. (Bahare Shariat J3 P2)

 Namaaz Ki Barkatein

✅ Aaqa O Moula ne Sahaba E Kiraam عليهم الرضوان se Farmaya "Agar kisike darwaze per ek Nahar ho jisme woh rozana 5 martaba ghusl kare to kia iske badan per mael baki rahega? arz ki bilkul nahi, Irshaad Farmaya "Yehi Misal 5 Namazon ki hai ke inki Barkat se ALLAH Ta'ala Sab Gunah Mita deta hai." (Bukhari, Muslim)

Yahan gunah se muraad Sagheera gunah hain. Kabeera Gunah Sachhi Tauba se awr Huqooq Ul Ibadaat ada karne se muaf hote hain.

✅ Mishkaat Shareef mein ek riwayat yeh bhi hai Sarkare Do Alam pathjhad ke mausam me ek Darakt ke paas tashreef laye awr iski shakhein pakad kar hilayein toh patteh girne lage. Aap ne farmaya "Jab Musalman ALLAH Ta'ala Ki Raza keliye Namaz Padhta hai to iske gunah aise hi girjate hain jaise is Darakt ke patteh gire:.

✅ Nabi Kareem ka Farmaane Aalishaan hai: "Jo Namaaz ki pabandi karega iskeliye Qayamat ke din Roshni Daleel awr Zarye Nijaat hojayegi awr jo iski pabandi na karega toh iskeliye Na Roshni hogi Na Daleel Na Nijaat awr woh Qayamat ke din Kharoon, Firon, Hama'an awr Abi Bin Khalaf yani Bade Bade Kafiron Ke saath hoga". (Mishka'at Shareef)

Namaaz ki ek Barkat yeh bhi hai ke iske zariye har mushkil asan hoti hai awr Namazi ko sukoon milta hai. Hazrat Huzaifa رضى الله عنه  ka Irsha'ad hai ke Aaqa O Moula ko jab koi Mushkil ya Sakht kam pesh aata toh Aap fouran Namaaz ki taraf mutawajje hojate thy. (Abu Dawood Shareef).

Namaaz Ba Jama'at Ki Fazilat

✅ Aaqa O Moula Ka Irshaad E Girami hai "Ba Jama'at Namaaz padhna Akele Namaaz padhne se Sattaies (27) darje ziada Afzal hai". (Bukhari, Musli)

✅ Mehboob E Kibriya ne Farmaya "Mera Dil Chahta haike chnd Jawano se kaho ke  bohat sa Aendhan jama karke layein phir mein inke paas jaon jo bila Uzr Gharon mein Namazein padhte hain awr inke Gharon ko jalado". (Muslim, Abu Dawood)

✅ Noor E Mujassam Ka Farma'ane Aalishaan hai "Jo apne Ghar se Taharat O Wazu karke Farz Namaaz ada karne keliye Masjid jata hai iske har Ek Qadam par Ek Gunah Muaf hota hai awr Dusre Qadam par Ek Darja Buland hota hai". (Muslim)

✅ Huzoor ne Farmaya "Jo Shaks Azan ki awaz sune awr bila Uzr Namaaz ko na jaye awr Ghar mein padhle iski woh Namaaz Qubool nahi hoti" Sahaba Kiraam ne arz ki Ya Rasool ALLAH Uzr se Kiya Muraad hai? Irshaad Farmaya "Khauff Ya Marz". (Abu Dawood)

✅ Nabi Kareem Ka Irshaad hai "Agar Namaaz Ba Jama'at se peche rehjane wala janta ke is janne wale keliye kiya ajr hai toh Ghaseetta hua hazir hota". (Tibrani)

Khushu O Khuzu Ki Ahmiyat

✅ Aaqa O Moula Ka Farma'ane Aalishaan hai "ALLAH Ta'ala Ki Ibadat Aise Kiya Karo Goya Tum Ise Dekhrahe Ho, Agar Yeh Na Hosake Toh Kam az Kam yeh Yaqeen Zaroor rakho ke Woh Tumhe Dekh Raha Hai". (Bukhari)

✅ Nabi Kareem ne farmaya "Jo Shaks acchhi tarah Wazu karke Namazein waqt per ada kare Khusu O Khuzu se Qiyam kare Ruku awr Sajdah bhi Itminan se kare awr pori Namaaz achhe tariqe se toh woh Namaaz chamakdar banjati hai awr ise yun Dua deti hai 'Aye Namazi ALLAH Teri aise hi hifazat kare jaise tune meri hifazat ki' awr jo Namaaz ko buri tarha ada kare yani sahi Wazu na kare Ruku O Sujood bhi achhi tarha na ada kare toh woh Namaaz Bad'dua deti haike ALLAH tujhe aise hi barbad kare jaise tune mujhe barbad kiya. phir woh Namaaz purane kapde ki tarha lapait kar Namazi ke muh per mardi jati hai. (Tibrani)

✅ Huzoor E Akram ne Farmaya "Badtareen Chor Woh Hai Jo Namaaz Mein Se Chori Kare. Sahaba E Kiraam Ne Arz Ki, Ya Rasool ALLAH ! Woh Namaaz Mein Se Kaise Chori Karta Hai? Farmaya Woh Ruku Awr Sajde Acchhi Tarah Ada Nahi Karta. (Musana'd Ahmed, Tibrani)

✅ Ek Awr Hadees E Paak mein Pabandi se Namazein Khusu O Khuzu se ada karne walon ko Magfirat ki Khushkhabri di gayi. (Abu Dawood)

 ✅ Hazrat Abdullah Ibne Abbas رضى الله تعالى عنهما  ka Irshaad haike "Khusu Karne Wale Woh Hain Jo ALLAH Ta'ala Se Darte Hain Awr Namaaz Sukoon Se Padhte Hain".

In Ahadeese Mubareka se Maloom hua ke Tamam Huqooq O Aadaab ka lihaz rakhte huye Khusu O Khuzu awr Itminaan O Sukoon se Namaaz ada karni chahiye.

Namaaz Muttaqi Bana Deti Hai

Irshaad E Ba'ari Ta'ala Hua "Beshak Namaaz Mana Karti Hai Behayayi Awr Buri Baath Se". (Al Ankaboot : 45, Kanzul Imaan)

Iss Ayat se maloom hua ke Namaaz behayayi awr bure kamon se rokti hai yani jo shaks pabandi se Namaaz ko iske Huqooq O aada'ab ka lihaz rakhte huye ada karta hai rafta rafta wo tamam bure kamon ko chhoddeta hai awr Muttaqi Banjata hai.

✅ Ek Ansari Jawan Sayyed E Aalam ke saath Namaaz padha karta tha awr bohat se Kabeera Gunaho ka irtekab bhi karta tha. Huzoor se iski shikayat ki gayi Aap ne farmaya iski Namaaz kisi roz isko in buri baaton se rok degi chunache jald hi isne Tauba ki awr iska haal Behtar hogaya.

✅ Hazrat Anas رضى الله تعالى عنه ne farmaya "Jiski Namaaz ise behayayi awr Bure kamon se na roke Woh Namaaz hi nahi". (Tafseer Khazain Ul Irfa'an)

Namaaz Ki Qubooliyat Ka Gumaan Rakhiye

Namaaz ke douran jo Duniyavi khayalat aayein inki taraf tawajje na karein balke inki parwa kiye bagair apne zehan ko mein padhe jane wale alfaaz awr inke maane ki taraf mutawajje karne ki koshish karte rahe.

Ba'az log ye sawal karte hainke hame ye itminaan kaise hoke jo humne Namaaz padhi ise ALLAH Ta'ala ne qubool farmaliya? iska jawab samjhne keliye is Hadees Paak per gaur kijiye Irshaad hua "ALLAH Ta'ala qayamat me apne bande ke saath waisa mamla karega jaisa bande ne apne Rabb ke saath zinn rakha hoga. lehaza Khauff E Khuda ke saath saath Ibadat ke qubool hone ka Husn E Zann rakhna bhi zaroori hai."

Ulma E Kiraam farmate hain agar tumne Fajr ki Namaz padhi awr phir Zohar ki Namaz bhi padhli to ye nek gumaan karo ke ALLAH Ta'ala ne tumhari Fajr ki Namaz qubool farmali. phir jab Asr padhli to Zohar ke qubool hone ka Itminaan karlo. isi tarha har agli Namaz ada karne ke ba'd pichli Namaz qubool hone ka Itminaan karlo kyunke ALLAH Ta'ala tumhari Namaze Fajr qubool na farmata to tumhe Namaze Zohar me hazir hone ki taufeeq na deta. Rabb E Kareem ka tumhein har agli Namaz ada karne ki taufeeq dena is baath ki daleel haike isne tumhari pichli Namaz ko qubool farmaliya hai.

 ALLAH Walon Ki Namaaz

Namaaz is shaks ki tarha padhni chahiye jisse yaqeen hoke yeh iski zindagi ki akhri Namaz hai. Hazrat Khatim Balqi رحمته الله عليه se kisine pocha Aap Namaz kaise padhte hain? Aapne farmaya "Jab Namaz ka waqt hota hai to achhi tarha wazu karke Jaye Namaz per Itminaan se khada hojata hu awr yeh tasawur karta hu ke Ka'aba mere samne hai Jannat meri dayi taraf awr Dozakh meri bayi taraf hai awr mein Pul E Sirat per khada hu awr main samjhta hu ke Mout Ka Farishta mere sar per hai awr yeh meri zindagi ki akhri Namaz hai. phir mein nihayat aajizi se ALLAHU Akbar kehta hu maane ko zehan me rakh ker tilawat karta hu awr nihayat Khushu Khuzu se Namaz ada karta hu phir ALLAH Ta'ala ki rehmat se iske qubool hone ki umeed rakhta hu awr apne aamaal ke naqis hone ki wajah se iske thukra diye jane ka Khauff karta hu". ALLAHU Akbar

Yeh hai ALLAH Walon ki Namaz! Ba'ari Ta'ala hume Awliya Kiram ke naqshe kadam per chalne ki taufeeq ata farmaye aameen.

Taharat Ka Bayan

Aaqa O Moula ka Irshaade Girami hai "Jannat ki Kunji Namaz hai awr Namaz ki Kunji Taharat hai". (Muslim) yahan Taharat se muraad yeh haike Namaz ki jagah awr Namazi ka Libas Paak ho nez iska Jisme Hadase Akbar awr Hadase Azgar se Paak ho yani Namazi per Ghusl wajib na ho awr wo Ba Wazu bhi ho.

Huzoor E Akram ne farmaya "Uss Ghar mein Rehmat ke Farishte nahi aate jahan Tasweer, Kutta ya Halate Janabat me koi Shaks ho". (Abu Dawood)

Ab Pehle yeh samjh lijiye ke Ghusl Ya Wazu kaise Pani se kiya jaye.

Fuquha farmate hain Pani Be Rang Be Boo awr Be Zaiyqa yani Qudrati halat me ho nez Pani istemal shuda naho. agar Badan per koi najasat na lagi hoto jo Pani Wazu ya Ghusl karne me Badan se gire woh paak hai magar isse Wazu ya Ghusl jaiz nahi. isi tarha agar Be Wazu shaks ka haath ya ungli ya nakhun ya Badan ka woh hissa jo dhula na ho, ya jisper Ghusl farz hai iske jism ka Be Dhula hissa Pani me padhjaye ya Pani se chu jaye to woh Pani Mustamil hogaya, ab isse Wazu ya Ghusl nahi hosakta iska peena awr isse aata goondna makrooh hai albatta isse kapde dhone keliye istemal kiya jasakta hai.

Mustamil Pani ko Wazu Ya Ghusl ke khabil banane ka tariqa yeh haike achha Pani isse ziadah isme milade ya isme itna Pani dalein ke bartan ke kinaro se bahne lage, ab is Pani se Wazu ya Ghusl jaiz hai.

Wazu Ke Faraiz
Wazu Ke 4 Farz Hain.

1 Pora Muh Dhona : Yani Peshani ke Shuru se Lekar Thooddi tak awr ek Kaan se dusre Kaan tak Tamam jild per Pani Bahana Farz hai. moochein ya bhawoon ke baal ghane hoto sirf in baalon ka dhona farz hai awr agar ghane na ho to jild ka dhona bhi farz hai. isi tarha Dadhi ke baal agar ghane na hoto jild ka dhona farz hai. Hoonto ka woh hissa jo aadatan band karne ke ba'd zahir rehta hai iska dhona bhi farz hai.

2 Dono Haath Kohniyo Samait Dhona : Kisi azu ke dhone ka ye mana haike is azu ke har hisse par kamse kam do do bund pani behjaye, bheeg jane ya Tail ki tarha Pani chedlene ya ek aadha bund behjane ko dhona nahi kaheinge awr nahi isse Wazu ya Ghusl ada hoga. har qism ke challe, anghotiyan, chuddiyan wagaira agar itne tang hoke inke neeche Pani na bahe to inhe utar kar jild ke har hisse per Pani bahana farz hai.

Nail Polish lagi hoto ise dur kiye bagair Wazu ya Ghusl nahi hoga, albatta jis chiz ki aadmi ko umuman ya qususan zarurat padhti rehti hai awr iski nighedasht wo ahtiyat me harj ho, nakhuno ke ander ya upar ya kisi awr dhone ki jagah iske lage rehjane se Wazu hojayega agarche woh sakt chiz ho awr iske neeche Pani na pohanche. maslan pakane goondhne walon keliye aata, Rangrez keliye rang ka jarm, Awraton keliye mehndi, likhne walon keliye roshnai, Mazdooron keliye gaara mitti awr aam logon keliye palkon mein surme ka jarm ya badan ka mael wagaira.

3 Chowthai Sar Ka Masah Karna : Masah karne keliye Haath tarr hona chahiye khwa tarri aaza ke dhone ke ba'd reh gaye ho ya naye Pani se Haath tarr karlia ho. kisi azu ke masah ke ba'd jo haath me tari baqi reh jayegi woh dusre azu ke masah keliye kafi na hogi.

4 Dono Pawon Dhona : Ungliyon ki karwatein, Ghaiyan, Ghatte, Talwe awr Aediyan sab ka dhona farz hai. agar khilal kiye bagair ungliyon ke darmiyan Pani na behta hoto khilal b farz hai.

Wazu Ki Sunatein

 Hukm E Ilahi Ki Ta'meel awr Sawab Hasil karne ki Niyat karna

 Paak Jagah Baith kar Wazu karna

 Wazu Shuru karne se Qabl Bismillah Padhna

 Dono Haath Gatho tak dhona

 Miswak Karna

 3 Bar Chullu bhar Pani se Kulli karna

 3 Bar Nak mein Haddi tak Pani Chadhana

 Pani Dayein Haath se Chadhana

 Bayein Haath ki choti Ungli se Naak saaf karna

 Haath Pawon Ki Ungliyon ka Khilal karna

 Dadhi ka Khilal karna

 Pore Sar ka Masah karna

 Kaano ka Masah karna

 Aaza Dhone ki tarteeb qayam rakhna

 Har dhone wale Azu ko 3 Bar dhona

 Aaza ko pe dar pe istarha dhona ke Pehla Azu sukhne na paye.

Wazu Karne Ka Tariqa

Wazu shuru karne se qabl Hukm E Ilahi ki Tameel awr Sawab pane ki niyat kare awr Bismillah padh kar 3 bar dono gathon tak haath dhoyein fir Miswak karein. Miswak dayein haath me istarha pakde ke choti ungli Miswak ke neeche darmiyan ki teeno ungliyan upar awr angutha Miswak ke sare per neeche ho, pehle dayein janib upar ka daanto per Miswak karein fir baayein taraf upar ke daant fir dayein taraf neeche ke daant awr fir baayein taraf neeche ke daanto per Miswak karein, Miswak daanto ki chowdai me karni chahiye, fir 3 bar chullu me pani lekar achhi tarha kulli karein awr 3 bar naak me pani chadhayein awr baayein haath ki choti ungli se naak saaf karein fir 3 bar pani se istarha muh dhoyein ke peshani ke balon se lekar thoddi ke neeche tak awr ek kaan se dusre kaan tak koi jagah khusk na rahe agar Dadhi hoto iska khilal bhi kiya jaye, fir 3 ba'r daya haath awr fir baya haath kohniyon samait dhoyein. fir dono haath tarr karke pore sar ka istarha Masah karein ke anguthe awr kalme ki ungli ke siwa ek haath ki baqi ki teen ungliyon ke sire dusre haath ki teeno ungliyon ke sire se milaein awr peshani par rakh kar guddi tak istarha le jayein ke hateliyan sar se juda rahe. wahan se hateliyon se masah karte huye wapas layein. fir Shahadat ki ungli ke pait se kaan ke androni hisse ka masah karein awr anguthe se kaan ki berooni satah ka awr ungliyon ki pusht se gardan ka masah karein, fir 3 bar daya pawo awr fir baya pawo takhno samait bayein haath se dhoyein awr ungliyon ka khilal karein. daye pawo me khilal choti ungli se shuru karke anguthe per khatam karein awr bayein pawo me anguthe se shuru karke choti ungli par khatam karein. Wazu ka bad Kalma Shahadat padhne ki aadat banalein kyunke Hadees Shareef mein wazu ke bad Kalma Shahadat padhne wale keliye Jannat ki basharat aayi hai.

Wazu Kin Baaton Se Tut Jata Hai

 Peshab Ya Pakhana ki Jagah se Kisi chiz ka Nikalna

 Muh Bhar Khay Karna

 Khoon Ya Peep Ya Zard Pani ka nikal kar Jism per behjana

 Kisi Chiz se Sahara lagakar So Jana

 Dukti Ankh se Pani ka Behna

 Namaz mein Awaz se Hasna

 Behoshi Ya Junoon Tari hona.

Miswak Ka Bayan

Aaqa O Moula ka Farmaane Aalishaan hai "Agar yeh Baath na hoti ke Meri Ummat per giraan hoga to Main inko hukm deta ke woh Namaz ke saath Miswak kiya karein. (Bukhari)

Huzoor E Akram ne farmaya Miswak lazim karlo kyunke isse Muh ki safai hoti hai awr Rabb Ta'ala bhi razi hota hai. (Musanade Ahmed)

Ulma farmatein hainke Miswak karne ke 70 fayede hainjin mein se 1 yeh haike marte waqt Kalma Tayyeba naseeb hota hai awr Naza ki takleef asan hojati hai. Miswak karna Wazu keliye Sunnat hai, Miswak na bohat narm ho na bohat sakt behtar haike Peelu, Zaitoon ya Neem wagaira kadwi lakdi ki ho.

Miswak dayein haath me istarha pakde ke choti ungli Miswak ke neeche darmiyan ki teeno ungliyan upar awr angutha Miswak ke sire per neeche ho awr mutthi band na ki jaye. istarha Miswak karne wala Buwaseer ke marz se mehfooz rehta hai. Miswak daanto ki chowdai me karni chahiye lambayi me nahi, pehle upar ke daant dayi janib awr fir bayi janib se saaf karein fir neeche ke daant pehle dayein fir bayein janib se saaf karein. upar neeche dayein baayein kam az kam 3,3 martaba Miswak karein awr har martaba Miswak ko dholein.

Ghusul Ke Faraiz
Ghusul Mein 3 Farz Hai

1 Gar Gara Karna yani munh bhar kar is tarha kulli karna ke honth se halaq ki jadh tak Pani pohnch jaye.

2 Naak mein haddi tak Pani pohanchana take dono nathno mein haddi tak koi jagah khushk na rahe.

3 Saare Badan par is tarha pani bahana ke baal barabar jagah bhi khushk na rahe.

agar danton mein gosh ke reshe ya pan chaliya wagaira phanse hoon to inhe saaf karna zarori hai isi tarha naak me mael jam gayi hoto isse saaf karke Pani sakht haddi ke shuru tak pohanchana bhi lazim hai albatta Rozey ki halat mein mubaligha se bachna chahiye.

Ghusul Ka Masnoon Tariqa

Ghusul ki niyat karke pehle dono haath gathon tak dhoein fir istanje ki jagah dhoyein khwa najasat ho ya nahi. phir badan par jahan najasat ho isse dur karke wazu karein magar pawon na dhoyein agar kisi chowki par ghusul karein to pawon bhi dholein. phir badan par tail ki tarha pani mallein phir 3 bar daye kandhe par awr 3 bar baye kandhe par pani bahayein. phir 3 ba'r sar par awr phir saare jism par 3 bar achhi tarha pani bahayein awr haath pher kar malein taake baal barabar b jagah khushk na rahe. agar wazu mein pawon nahi dhoye they to ab ghusul ki jagah se alag hokar pawon dholein. Ghusul ke dauran is baath ka khayal rakhein ke aap nato Qibla rukh ho awr na hi koi kalam karein ya dua padhein. nez aisi jagah nahayein jahan be pardagi na ho.

Ghusul In Chizon Se Farz Hota Hai

Shehwat Ke Saath Mani ka Nikalna.

Neend Mein Ahtelam Hona.

Mard Ya Awrat Se Mubashirat Karna Khwa Inzaal Ho Ya Nahi.

Awrat Ka Haiz Se Farigh Hona.

Awrat Ka Nifa'as Khatam Hona.

Tayammum Kab Kiya Jaye

Jise Wazu ya Ghusul Ki Hajat ho magar isse Pani istemal karne per Qudrat na ho isse Tayammum karna chahiye. Iski chnd sutarein darja zail hain:

Charon Taraf Ek Ek Mile Tak Pani Ka Pata Naho.

Ya aisi Bimari hoke pani ke ba'as shadeed Bimar hone ya dair me achha hone ka sahih andesha ho khwa ye isne khud azmaya ho ya kisi musanad gair fasiq Tabeeb na bataya ho.Ya itni sakt sardi hoke Nahane se Marjane ya Bimar hojane ka qawi andesha ho awr lihaaf wagairah koi aisi cheez iske paas naho jisse nahane ke ba'd sardi se bach sake.

Train ya Bus se utar kar Pani istemal karne me Gadi chuth jane ka khadsha ho.

Ya Wazu, Ghusul karne ki surat mein Namaz Eidain nikal jane ka gumaan ho.

Tayammum Ka Tariqa Awr Ahem Masail
Tayammum Mein 3 Farz Hain

1 Niyat Karna Ke Yeh Tayammum Wazu Ya Ghusl Ya Dono Ki Paki Keliye Hai.
2 Saare Munh Par Is Tarha Haath Pherna Ke Baal Barabar Jagah Bhi Baqi Na Rahe.
3 Dono Haathon Ka Kohniyon Sameet Masah Karna Ke Koi Hissa Baqi Na Rahe.

✅ Tayammum ka tariqa yeh haike niyat karke Bismillah padhkar dono haath zameen ki jins se taluq rakhne wali kisi chiz (Maslan Mitti, Pathar, Marbal Ya aisi chiz jisper kafi Gard O Guba'ar ho) par marein awr agar ziada mitti lag jaye to ek haath ke anguthe ki jadh ko dusre haath ke anguthe ki jadh par marein. fir dono haath saare muh par is tarha pherein ke koi jagah baqi na rahe. honth ka wo hissa jo aadatan muh bandh hone ki halath me dikhai deta hai is par bhi masah karna zaruri hai. agar Dadhi hoto iska khilal bhi karein. phir dobara mitti ya pathar par haath marein awr pehle daye haath ka istarha masah karein ke baye haath ke anguthe ke alawa wo char ungliyon ka pait daye haath ki pusht par rakhein awr ungliyon ke sirre se kohniyon tak lejayein awr phir wahan se baye haath ki hateli se daye haath ke pait (Yani Androoni Taraf) par pherte huye gathe tak layein awr baye anguthe ke pait se daye haath ke anguthe ki pusht ka masah karein.
isi tarha daye haath se baye haath ka masah karein. Mitti ya Pathar par haath marte waqt ungliyan khuli huye halath me ho. agar ungliyon ke darmiyan gubaar pohanch gaya to inka khilal karna sunnat hai awr agar pathar wagaira se tayammum kia jaye jispar gubaar na hoto ungliyon ka khilal farz hai.

Tayammum Ka Tariqa Awr Ahem Masail

Tayamum ke waqt khwatein is baath ki ahtiyat rakhein ke anguthi, challe, nath awr degar zewarat hata kar jabke nail polish utarkar jild ke har hisse par haath pherna zaruri hai.
Bimari mein agar thanda pani nuksan karta hai to garam pani istemal karna chahiye agar garam pani na mile to tayammum kiya jaye. yunhi agar agar sar par pani dalna nuksan karta hai to gale se nahaye awr geela haath pher kar pore sar ka masah kare. agar kisi azu par zakhm ke ba's patti bandhi ho ya plaster chadhaya hoto haath geela karke is patti ke upar pher diya jaye awr baqi jism ko dhoya jaye. jab itna aram hojaye ke patti parse pani bahane me nuksan naho to pani bahaye. phir jab itna aram hojaye zakhm wali jagah masah karskta ho to fauran masah kare. phir jab itni surat hojaye ke azu par pani baha sakta hoto bahaye. garz yeke aala par jitni qudrat hasil hoti jaye adna par iktefa jaiz nahi. agar Namaz ka waqt itna kam rehgaya ke wazu ya ghusul karne ki surat me Namaz qaza hojayegi to Tayammum karke Namaz padhleni chahiye albatta wazu ya ghusul karke is Namaz ko dohrana zaruri hai. jis uzr ke ba's tayammum kiya gaya agar woh khatam hojaye ya jin chizon se wazu tutta hai inse wazu ka awr jin baaton se ghusul wajib hota hai inse ghusul ka tayammum tut jata hai.

Napaak Kapde Pa'k Karne Ka Tariqa

Napaak Kapde Pak karne ka tariqa yeh haike inhe achhi tarha dho kar pori quwat se nichoda jaye yahan tak ke mazeed quwat lagane par koi katra na tapke. phir haath dho kar kapde dhoyein awr inhe isi tarha pori taqat se nichodein, phir teesri bar haath dhoyein awr kapde dho kar inhe pori taqat se nichodein ke mazeed nichodne par koi katra na tapke ab kapde pak hogaye. agar kisi ne pori quwat se kapda nichodliya magar koi dusra jo taqat me ziada hai ise nichode to chnd bund pani mazeed tapak jaye to kapda pehle ke haq me pak awr is dusre ke haq me napak hai. Iss Masa'la me ahtiyat karni chahiye har koi ya to apna napak kapda khud pak kare ya phir inhe behte pani me pak kiya jaye. iska tariqa ye haike sabun ya washing machine se kapde dho kar inhe kisi bartan me daldein awr phir itna pani dalein ke kapde pani me mukamal doob jayein awr pani bartan ke kinaro se behne lage jab pani behraha hoto is behte pani se kapdo ko nikal lein yeh behte pani ki wajah se pak hogaye. aise nazuk kapde jo nichodne ke khabil nahi isi tarha chatai khaleen awr joota wagairah bhi agar napak hojayein to inhe pak karne ka tariqa yeh haike inhe dho kar latka diya jaye yahan tak ke inse pani tapakna band hoaye, phir dobara dho kar latka dein, jab pani tapakna band hojaye phir teesri bar dho kar sukhalein ye pak hojayeinge.

Azan Ka Bayan

✅ Sarkare Do Alam ka farmaane aalishan hai "Azan dene walon ki Gardanein Qayamat ke din sabse ziada daraz hongi". (📚 Muslim) yani wo Rehmate Ilahi ke zida umeed war awr Sawab ke ziada mustahiq honge.

✅ Nabi E Kareem ka Irshaade Girami hai "Jo Saath Baras Sawab Keliye Azan Kahe ALLAH Ta'ala Iss Jahannam Ki aag se Mehfoz rakhta hai". (📚 Tirmizi, Ibne Ma'jah)

✅ Aaqa O Moula ne farmaya "Jo azan dene wala mahez sawab ka talib ho wo iss Shaheed ki misl hai jo khoon me aloda hai awr jab woh marega Qabr me iska badan keedon se mehfooz rahega". (📚 Bahare Shariat Ba Hawala Tibrani)

Masjid mein ba jama't paancho Farz Namazon ki waqt par adayeigi keliye azan Sunnat E Moukedah hai awr iska hukm wajib ki misl hai ke agar Azan na kahi to wahan ke sab log gunahgar honge. be Wazu Azan kehna Makrooh hai. har Farz Namaz keliye Azan is Namaz ka waqt shuru hone ke ba'd kahi jasakti hai. jo Azan waqt se qabl kahi gayi isse waqt par lautana chahiye.

Shariat me Azan Ek Khaas Qism ka Aelan hai jiskeliye yeh alfaz muqarar hain: "ALLAH Sabse Bada Hai, ALLAH Sabse Bada Hai, ALLAH Sabse Bada Hai, ALLAH Sabse Bada Hai, Main Gawahi Deta Hu Ke ALLAH Ke Siwa Koi Mabood Nahi, Main Gawahi Deta Hu Ke ALLAH Ke Siwa Koi Mabood Nahi, Main Gawahi Deta Hu Ke Hazrat Mohammed ALLAH Ke Rasool Hain, Main Gawahi Deta Hu Ke Hazrat Mohammed ALLAH Ke Rasool Hain, Aao Namaz Ki Taraf, Aao Namaz Ki Taraf, Aao Kamiyabi Ki Taraf, Aao Kamiyabi Ki Taraf, ALLAH Sabse Bada Hai, ALLAH Sabse Bada Hai, ALLAH Ta'ala Ke Siwa Koi Ibadat Ke Layaq Nahi.

Azan awr Aqamat dono me Hayya Ala AlSalah kehte waqt dayein awr Hayya Alal Falah kehte waqt bayi taraf muh karna chahiye. Azan sun kar iska jawab dene ka hukm hai yani jo kalma mouzan kahe sunne wala wahi kalma kahe magar Hayya Ala AlSalah awr Hayya Alal Falah ke jawab me Lahola Wala Quwata Illah Billah kahe.

Fajr ki Azan me Hayya Alal Falah ke ba'd ye 2 martaba kaha jaye: "Namaz Neend Se Behtar Hai" iske jawab mein ye kahein "Sadaqta Wa Barrata Wa Bilhaqqi Natqata" "Tumne Sach Kaha awr Accha Kam kiya awr Tumne Haq kaha hai".

Jab Azan hoto itni der keliye Salam O Kalam awr Tilwat wagairah tamam ashgaal maukoof karde awr Azan ko gaur se sune awr Jawab de. Aqamat ka bhi yehi hukm hai. jo Azan ke waqt baaton me mashgool rahe is par Maaz ALLAH Khatema Bura hone ka khauff hai.

Jab Mouzan "Ashhadu Ann Mohammadan Rasool ALLAH Kahe" to sunne wala Durood Shareef padhe "Sallalaho Alaika Ya Rasool ALLAH" awr mustahab haike apne angutho ko bosa de kar ankhon se lagaye awr ye padhe "Qurratu Aini Bika Ya Rasool ALLAH, ALLAHUMMA Mattani Biss Sami Wal Basar". aisa karne wale ko Huzoor apne saath Jannat me lajayenge.

Jama't ke waqt jo kalimat kahe jate hain inhe Aqamat kehte hain yeh Azan ki misl hai siwae iske ke Aqamat me Hayya Alal Falah ke ba'd 2 martaba yeh bhi kaha jata hai: "Namaz keliye Jama't khadi hogayi" iske Jawab me yeh kaha jaye "Aaqamaha ALLAH wa Aadamaha Ma Damati Samawatu wal Ardu. "ALLAH Iska Qayam Rakhe Awr Hamesha Rakhe Jabtak Asman Awr Zameen Qayam Hain".

Aqamat ke waqt koi shaks aaya to isse khada hokar intezar karna Makrooh hai isse chahiye ke baith jaye awr jab Mukabbir Hayya Alal Falah par pohanche is waqt khada ho. yunhi jo log Masjid me baithe hain wo bhi baithe rahein is waqt khade hon jab Mukabbir Hayya Alal Falah par pohanche yehi hukm Imam keliye hai.

Agar chnd Azanein sune to sunne wale ko pehli Azan ka jawab dena chahiye awr behtar hai sabka Jawab dediya jaye. Kutbe ki Azan ka jawab zuban se dena Muqtadion ko jaiz nahi.

Azan ke Ba'd Durood Shareef padhkar yeh dua padhni chahiye: "Aye ALLAH ! Aye Is Dawate Kamil awr Qayam hone wali Namaz ke Malik ! Tu Hamare Sardar Hazrat Mohammed ko Waseela, Fazilat awr Buland Darja Ata kar awr Inko iss Muqame

Mahmood par Fayiz farma jiske Tune Inse Wada Farmaya hai, awr Hamein Qayamat me Inki Shafa'at ata farma, Beshak Tu Apne Wade ke khilaf nahi karta".

Namazon Ki Rakaat

Fajr Ki Namaz ki 4 Rakt Hain, Pehle 2 Rakt Sunnat (Moukedah) Phir 2 Rakt Farz.

Zohar Ki Namaz Ke 12 Rakt Hain jinki tarteeb yun hai pehle 4 Rakt Sunnat (Moukedah) fir 4 Rakt Farz fir 2 Rakt Sunnat (Moukedah) awr fir 2 Rakt Nafl.

Asr Ki Namaz Ki 8 Rakt Hain, pehle 4 Rakt Sunnat (Gair Moukedah) fir 4 Rakt Farz.

Maghrib Ki Namaz ki 7 Rakt Hain, Pehle 3 Rakt Farz fir 2 Rakt Sunnat (Moukedah) awr fir 2 Rakt Nafl.

Isha Ki Namaz Ki 17 Raka'atein Hain jinki Tarteeb yun hai, 4 Rakt Sunnat (Gair Moukedah) 4 Rakt Farz fir 2 Rakt Sunnat (Moukedah) fir 2 Rakt Nafl fir 3 Rakt Witr (Wajib) awr fir 2 Rakt Nafl.

Jumua Ki Namaz ki 14 Raka'atein Hain jinki Tarteeb yun hai, pehle 4 Rakt Sunnat (Moukedah) fir 2 Rakt Farz fir 4 Rakt Sunnat (Moukedah) fir 2 Rakt Sunnat (Moukedah) awr fir 2 Rakt Nafl.

Sunnatein Ba'z Moukedah hain ke Shariat me isper Takeed aayi hai, bila uzr ek ba'r bhi tark kare to Mustahiq E Malamat hai awr tark ki aadat kare to Fasiq, Mardood Ul Shahadat awr

Mustahiq E Na'ar hai, awr ba'z aimmah ne farmaya ke woh gumrah tehraya jayega awr gunehgar hai agarche iska gunah wajib ke tark se kam hai. Sunnat ko tark karne ki aadat banalena haram ke khareeb hai awr aise shaks ke mutaliq andesha haike Maaz ALLAH Shafa'at se mehroom hojaye ke Huzoor Aqdas ne farmaya "Jo Sunnat Ko Tark Karega Isse Meri Shafa'at Na Milegi".

Namaz Ki Sharait
Namaz Ki Kul 6 Shartein Hain :

1 Taharat : Namaz ki pehli Shart Taharat hai yani Namazi ka Jism awr Libas pak hona chahiye nez jis jagah Namaz padhi jaye woh bhi nijasat se pak honi zaruri hai. Taharat Keliye agar hajat hoto ghusl kiya jaye warna Wazu karna zaruri hai. Wazu, Ghusl, Tayyammum, awr Kapde pak karne mutaliq zaruri masail pehle bayan kiye ja chuke hain.

2 Satr E Awrat : Namaz ki dusri shart Satr E Awrat hai yani badan ka woh hissa jiska chupana farz hai isse chupaya jaye. Mard keliye Na'af ke neeche se Guthno ke neeche tak ka hissa Satr E Awrat hai jabke Awrat keliye dono hateliyon, talwo awr chehre ke siwa sara badan Awrat yani chupane ki chiz hai. Namaz ke alawa Awrat ko Na Mehram se chehre ka parda karna bhi lazim hai. Itna bareek libas jisse badan ki rangat jhalakti ho ya aisa bareek dupatta jisse balon ki siyahi chamke Satr keliye kafi nahi yani aise libas me Namaz nahi hoti balke aisa libas Namaz ke alawa bhi haram hai.

3 Istaqbal E Qibla : Namaz ki teesri shart Isteqbal E Qibla hai Yani Ka'aba Shareef ki taraf muh karna hai. Namazi ka Muh awr Seena Qible ki taraf hona chahiye.

4 Waqt : Namaz ki chowthi Shart Waqt hai. Fajr ki Namaz ka waqt Subeh Sadiq se lekar Suraj ki pehli kiran chamakne tak hai. yani suraj tulu hone se pehle Namaz mukamal karleni chahiye. Zohar ki Namaz ka waqt suraj dhalne se lekar us waqt tak hai jab har chiz ka saya asl saye se dugna hojaye. asl saya woh hai jo suraj ki khat nisf alnihar per pohanchne ke waqt hota hai. Asr ki Namaz ka waqt Zohar ka waqt khatam honese leke suraj guroob hone tak hai. Guroobe Aftab se qabal 20 min ka waqt makrooh hota hai isse pehle Namaz padhleni chahiye agar kisi wajah se Asr na padhi hoto is makrooh waqt me b padhleni chahiye. Maghrib ka waqt guroobe aftab se Shafak Guroob hone tak hai jabke Isha ka waqt Shafak Guroob hone se lekar tulu e fajr tak hai albatta nisf shab se ziada takheer makrooh hai.

5 Niyat : Namaz ki panchvi shart Niyat hai Niyat dil ke pakke irade ko kehte hain. iska adna darja ye haike agar is waqt koi poche ke konsi Namaz padhrahe hoto fauran batade agar sonch kar batayega to Namaz na hogi. Zaban se Niyat kehlena mustahab hai awr iskeliye kis zaban ki qaed nahi. behtar haike Takbeer E Aula kehte waqt Niyat moujod ho.

6 Takbeer E Tehreema : Namaz ki Chatti shart Takbeer E Tehreema hai Yani ALLAHU AKBAR kehkar Namaz shuru kijaye. Lafz "ALLAH" ko "AALLAH" ya "AKBAR" ko "AKABAR" kaha to Namaz na hogi balke agar inke fasid mane samjh kar jaan boojh kar aisa kahe to Kafir hai.

Kin Awqaat Mein Namaz Mana Hai

Jin Awqaat mein Namaz padhna Makrooh hai inme Tulu E Aftab se 20 min ba'd tak, Guroob E Aftab se 20 min Qabal se Guroob tak, awr Zahwa E Kubra yani Nisf Ul Nihar sharah se Nisf Ul Nihar haqiqi yani Zawal tak ka waqt shamil hai.

In Awqaat mein koi Namaz ya Sajdah Tilawat jaiz nahi, in awqaat ke alawa har waqt Qaza Namazien awr Nawafil padhe jasakte hain. albatta subah sadiq se tulu e aftab tak awr Namaz Asr se aftab guroob hone tak koi Nafl Namaz, awr Imam ke Khutbe awr Jumua keliye khade honese lekar Farz Jumua khatam hone tak Nafl awr Sunnat dono jaiz nahi.

Namaz Padhne Ka Masnoon Tariqa

Ba Wazu Qibla ki taraf muh karke istarha khade honke dono pawon ke darmiyan 4 ungal ka fasla rahe fir apne hath kaano tak istarha uthayein ke anguthe kano ki lau se chu jayein awr ungliyan na mili hoon na khoob khuli hoo balke apni asli halath per ho awr hateliyan Qibla rukh ho fir niyat karke "ALLAHU AKBAR" kehte huye haath naaf ke neeche lakar istarha bandhle ke Danya Haath Bayein Haath ki pusht par awr darmiyani 3 ungliyan kalai ki pusht par ho fir anguthe awr choti ungli se halqa banakar Bayein kalai ko pakadle awr "Sana" padhein.

Sana : سبحانك اللهم وبحمدك وتبارك اسمك وتعالى جدك ولا اله غيرك "Subhana Kalla Humma Wa Bee Hamdika Wata Baara Kasmooka Wa Ta'ala Jaddoo Ka Wa La ilaha Ghairuka"

{Aye ALLAH Tu Paak Hai, Awr Main Teri Hamd Karta Hoon, Tera Naam Barkat Wala hai, Awr Teri Azmat Buland Hai, awr Tere Siwa Koi Mabood Nahi}.

Phir Tawooz Awr Tasmiyah Padhein:

Tawooz : اعوذ بالله من الشيطان الرجيم "A'aoo Zoo Billahee Minash Shaitaunir Rajeem"
{ALLAH Ki Panah Mangta Hoon, Mardood Shaitan Se}. 

Tasmiyah :
بسم الله الرحمن الرحيم "Bismillah Hir Rahmaanir Raheem"
{ALLAH Ke Naam Se Shuru Jo Bada Meherbaan, Reham Farmane Wala}.

Surah Fatiha : الحمد لله رب العالمين الرحمن الرحيم مالك يوم الدين اياك نعبد وإياك نستعين اهدنا الصراط المستقيم صراط الذين انعمت عليهم غير المغضوب عليهم ولا الضالين.

"Alhamdo Lillahi Rabbil Aalameen Ar Rahmaanir Raheem Maaliki Yaomid Deen iyya Kana Budoo Wa iyya kanastaeen ihdinas Siratual Mustaqeem Siratual Lazeena An Amtaa Alaihim Ghairil Maghdoobe Alaihim Walad Dualleen"
(Kanzul Imaan Az AalaHazrat Imam Ahmed Raza Muhaddise Bareilvy Radiallahu Anhu)

Taameem : Yani "AAMEEN" Kehna iska matlab yeh haike Aye ! ALLAH Hamari Dua Qubool Farma. 

Zamm Surah :Yani Alhamd Shareef awr Aameen wagairah ke b'ad koi Surah Milana ya Kisi Surah me se 3 choti Aayat ki miqd'ar ya usse ziada padhna.  

Phir ALLAHU AKBAR Kehte Huye Ruku Me Jayein awr Guthno ko ungliyan khool kar mazbooti se pakadlein awr itna jhuke ke Sar awr Kamar ek satah par rahe. Ruku me nazar dono pawon ki pusht par rahe jabke Qayaam ke dau'an Nigha Sajdah ki jagah rakhni chahiye. Ruku me kam se kam 3 'ar padhein  سبحان ربي العظيم "Subhaana Rabbiyal Azeem""Paak Hai Mera Parwardigaar Azmat Wala" Phir Tasmeeh kehte huye khade hojayein.  سمع الله لمن حمده "Samee Allahoo Layman Hamidah"ALLAH Ne Iski Sunli Jisne Iski Tareef Ki" Phir Tamheed : Imam Ke Peeche Muqtadi Yeh Kahe ربنا لك الحمد "Rabbana Lakal Hamd" "Aye Hamare Malik ! Sab Tareef Tere Hi Liye Hai". phir Takbeer kehte huye yun Sajdeh me jayein ke pehle Guthne awr fir dono Haath Zameen par rakhein, fir Naak awr fir Peshani Zameen par jamayein awr Chehra dono Haathon ke darmiyan rakhein. {Is Baath ka khayal rahe ke Sajdeh ke daur'an Naak ki haddi zameen par sahih lagi huye ho, Nazar Naak ke sire par rahe, Dono Pawon ki tamam ungliyan zameen par Qibla rukh lagi ho awr dono Hateliyan zameen par Qibla rukh bichi ho. nez dono baazo karwato se awr pait rano se awr raanein pindliyon se juda rahe. Sajdeh me kam az kam 3 b'ar yeh Tasbeeh padhein سبحان ربي الأعلى  "Subhaana Rabbiyal Aala "Paak hai Mera Parwardiga'ar Bohat Buland" Sajdeh se uthte huye Takbeer kahein awr Baaya pawo bicha kar ispar baithein awr Daaya pawo khada karke iski ungliyan Qibla rukh karlein. is Daur'an hateliyan Ranoo par bicha kar Guthno ke paas is tarha rakhein ke ungliyan Qibla rukh rahein, fir Takbeer kehte huye isi tarha dusra Sajdah karein, fir ALLAHU AKBAR kehte huye is tarha khade hoon ke pehle Sar uthayein fir haath ko guthno par rakh kar panjo ke bal khade hojayein.

Ab sirf Bismillah Hir Rehm'an Nir Raheem padh kar Qir'at shuru kardein fir isi tarha Ruku awr Sajdeh karke Daaya pawo khada karke Baaye pawo par baith jayein awr

Tashhud padhein. التحيات لله و الصلوات و الطيبات السلام عليك أيها النبي و رحمة الله و بركاته، السلام علينا و على عباد الله الصاحين  اشهد أنّ لا اله الا الله , واشهد أنّ محمد عبده ورسوله "Atthayyato Lillahe Wassalawato Wat Tayyebato Assalamu Alaika Ayyohan Nabiyo Wa Rahmatullahi Wa Barakatoh Assalamu Alaina Wa Ala ibadillahis Sualaiheen Ashadu An La ilaah illal Laho Wa Ashadu Anna Mohammadan Abdohoo Wa Rasooluhoo "Tamam Qawli Ibadatein Awr Tamam Faeli Ibadatein Awr Tamam Maali Ibadatein ALLAH hi Keliye hain, Sal'am ho Aap par Aye Nabi  awr ALLAH ki rehmatein awr Barkatein, Hum par awr ALLAH ke Neek bando par Sal'am ho. Maine Gawahi Di Ke ALLAH Ke Siwa Koi Mabood Nahi Awr Gawahi Di Ke Hazrat Muhammed  Iske Bande awr Rasool Hain. Tashhud padhte waqt jab "Ashhadu An La" ke khareeb pohanche to daaye haath ki beech ki ungli awr anguthe ko milakar halqa banaye awr choti ungli awr iske saath wali ungli ko hateli se miladein awr lafz "La" par shahadat ki ungli uthayein awr "Illa" par neeche karlein awr fir sab ungliyan fauran seedhi karlein. Qaede ke daur'an Nazr apni Goud ki taraf rakhein.

Agar Farz Nama'z ho awr 2 se ziadah rakatein padhni honto Tashhud ke b'ad khade hojayein awr agli rakaton ke Qayam me Surah Fatiha ke b'ad Choti surat na milayein. akhri Qaeda me Tashhud ke b'ad Durood Shareef padhein. 

Durrod Ibrahim : اَللّٰھُمَّ صَلِّ عَلٰی مُحَمَّدٍ وَّعَلٰٓی اٰلِ مُحَمَّدٍ کَمَا صَلَّیْتَ عَلٰٓی اِبْرَاھِیْمَ وَعَلٰٓی اٰلِ اِبْرَاھِیْمَ اِنَّکَ حَمِیْدٌ مَّجِیْدٌ اَللّٰھُمَّ بَارِکْ عَلٰی مُحَمَّدٍ وَّعَلٰٓی اٰلِ مُحَمَّدٍ کَمَا بَارَکْتَ عَلٰٓی اِبْرَاھِیْمَ وَعَلٰٓی اٰلِ اِبْرَاھِیْمَ اِنَّکَ حَمِیْدٌ مَّجِیْدٌ "Allah Humma Salle Ala Mohammadiyon Wa Ala Ale Mohammadin Kama Sallaita Aala ibraheema Wa Ala Aalay ibraheema inna Ka Hameedum Majeed. Allah Humma Baarik Aala Mohammadiyon Wa Ala Ale Mohammadin Kama Barakta Ala ibraheema Wa Ala Ale ibraheema inna Ka Hameedum Majeed."Aye ALLAH ! Durood Bhej Hamare Sardar Hazrat Muhammed par awr Unki Aal par Jis Tarha Tune Durood Bheja Sayeduna Ibrahim Alaihisalam par awr Unki Aal par, Beshak Tu Saraha Hua Buzurg hai. Aye ALLAH ! Barkath Nazil kar Hamare Sardar Hazrat Muhammed par awr Unki Aal par Jis Tarha Tune Barkath Nazil Ki Sayeduna Ibrahim Alaihisalam par awr Unki Aal par, Beshak Tu Saraha Hua Buzurg hai".

Phir yeh Dua ya koi awr Dua E Masoorah padhlein. اللَّهُمَّ إِنِّي ظَلَمْتُ نَفْسِي ظُلْماً كَثِيراً، وَلَا يَغْفِرُ الذُّنُوبَ إِلَّا أَنْتَ، فَاغْفِرْ لِي مَغْفِرَةً مِنْ عِنْدِكَ وَارْحَمْنِي إِنَّكَ أَنْتَ الْغَفُورُ الرَّحِيمُ 

"Allahumma Inni Zalamtu Nafse Zulman Kaseeraw Walayagfiruz Zunuba Illah Anta Fagfirli Magfiratan Minindika Warahamni Innaka Antal Gafurur Rahim" {Aye ALLAH Maine Apni Jaan Par Zulm Kiya awr beshak Tere Siwa Gunahon ka Bakshne Wala Koi Nahi hai Tu Apni Taraf se Meri Maghfirat Farmade awr Mujhpar Reham kar Beshak Tu hi Bakashne Wala Meherbaan hai}.

Nama'z ke b'ad dono haath Seene ke muqabil utha kar ALLAH Ta'ala se Iqlas O Aajazi se  Dua Mangein awr Dua ke b'ad apne Haath chehre par pherlein. {Duaon Keliye "Sayed Shah Turab Ul Qadri Sahab Qibla" Ki Kitab "Masnoon Duayein" Mulaheza farmayein.

Agar 4 Rakt Sunnat Ya Nafl Namaz padhe to Teesri Awr Chawthi Rakat me Surah Fatiha ke b'ad koi choti Surat ya Iske Barabar Aayat bhi padhein. Sunnat E Gair Moukedah awr Nafl Namaz ke pehle Qaedeh me Tashhud ke b'ad Durood Shareef awr Dua bhi padhein awr Teesri rakt ke shuru me Sana bhi padhein.

Agar Jam'at se Namaz padhein to pehli rakt ke qiyam me sirf Sana padhein awr Khamosh khade rahein  yunhi degar rakaton ke qiyam me bhi muqtadi ko Qirat nahi karni chahiye. Ruku se uthte waqt "Sami ALLAHU Liman Hamidah" sirf Imam kahe awr muqtadi Tahmeed kahe.

Namaz Ke Far'aiz
Namaz Ke 7 Far'aiz hain :

1 Takbeer E Tehreema jo darasal Namaz ki shart me se hai magar Namaz ke aff'al se bohat ziada taluq hone ki wajah se ise Namaz ke Far'aiz me bhi shumar kiya jata hai. agar Takbeer E Tehreema kehne ke waqt Namaz ki koi bhi shart na payi gayi to Namaz na hogi. agar muqtadi ne lafz "ALLAH" Imam ke saath kaha lekin "AKBAR" ko Imam se pehle khatam karlia to Namaz na huye. agar muqtadi Imam ko Ruku ki halat me paye to muqtadi ko chahiye ke Takbeer E Tehrema Qiyam ki halat me kahe awr fir dusri takbeer kehte huye ruku me jaye. agar pehli rakt ka ruku mil jaye to Takbeer E Aula ki fazilat miljati hai.

2 Qiyam yani seedha khada hona Nama'z me farz hai. Qiyam itni der tak hai jitni der tak Qirat ki jaye. Qiyam is waqt saqit hoga jab koi khada na ho sake ya Sajdah karne per qadir na ho ya isse Marz me ziadati hoti ho ya na khabile bardasht takleef hoti ho. mamoli Bukhar ya khabile bardasht takleef ke b'as qiyam chodna jaiz nahi, iski ahmiyat is qadar haike agar mareez Asa ya Khadim ya Deewar se Tek lagakar khada hosakta ho Farz haike khada hokar Namaz padhe. agar kuch der khada hosakta ho agarche itna hi ke khada hokar "ALLAHU AKBAR" kehle to Farz haike khada hokar itna kehle fir bait kar Namaz ada kare.

3 Qirat yani tamam Huroof ka makharij se ada karna take har Huroof dusre huroof se mumtaaz hojaye nez aise padhna ke isse khud sunsake Farz hai. mehaz lab hilana tilawat keliye kafi nahi. padhne ki tareef ye haike kam az kam itni awaz se padhe ke khud sune. agar aise padhe ke khud na sun jabke sunne se mana koi sabab maslan shor wagairah na hoto Namaz na hogi. Farz Namaz ki pehli 2 Rakaton me awr Witr, Sunnat O Nawafil ki har Rakt me mutlaqan ek aayat padhna Farz hai. Imam ki Qirat muqtadion keliye kafi hai lihaza muqtadi ko kisi Namaz me Qirat jaiz nahi khwa woh Sirri Namaz ho (Yani Zohar O Asr) ya Jahri Namaz (Fajr, Maghrib, Isha).

4 Ruku bhi Farz hai. iska adna darja ye haike itna jhuka jaye haath badhayein to gutno tak pohanch jayein awr A'la ye haike Kamar seedhi ho nez Sar awr Peeth eksaan unche ho.

5 Sujood yani har rakt me 2 bar Sajdah karna Farz hai. Peeshani awr Naak ki haddi ka zameen par jamna Sajdah ki haqiqat hai awr har pawon ki 1 ungli ka pait lagana shart. agar kisine is tarha Sajdah kiya ke dono pawon zameen se uthe rahe to Namaz na huye balke agar sirf ungli ki nok zameen se lagi jab bhi Namaz na huye.

6 Qaedah Akhirah yani tamam rakatein padhkar itni der baithna ke pori tashhud padhli jaye, Farz hai. agar Sajdah Sahw kiya to iske b'ad baqadr tashhud baithna Farz hai.

7 Khurooj E Bissunnihi yani akhri qaedah ke b'ad Salam pherna Farz hai. Qiyam O Ruku O Sujood awr Qaedah Akhirah me tarteeb bhi Farz hai. nez jo chizein Farz hain inme Imam ki pairvi Muqtadi par Farz hai.

Wajibat E Namaz

       Takbeer E Tehrima Keliye "ALLAHU Akbar" Kehna.

        Farz Namaz ki pehli 2 Rakaton awr digar Namazon ki har rakt me 1 bar pori Surah Fateha Padhna.

      Farz ki pehli 2 awr baqi Namzon ki har rakt me Surah Fateha ke b'ad Choti Surat ya 1 ya 2 aayatein 3 choti aayat ke barabar padhna.

      Har Rakt me Ruku 1 hi martaba karna.

      Har Rakt me Sajdah 2 hi martaba karna.

      Qauma yani Ruku ke b'ad seedha khada hona.

      Jalsa yani 2 sajdon ke darmiyan seedha baithna.

      Sajdeh me Peeshani awr Naak dono ko zameen per lagana.

      Sajdeh me dono pawon ki 3 , 3 ungliyon ka pait zameen per lagana.

      Ruku O Sajdah O Qauma O Jalsa me kam az kam 1 bar Subhan ALLAH kehne ki miqdar teharna.

      Qayedah Aula yani 3 ya 4 rakat wali Namaz me 2 rakt ke b'ad baithna.

      Dono Qayedo me Attahiyat O Tashhud padhna.

      Pehle Qayedeh me Tashhud ke b'ad kuch na padhna.

      Pehli rakt ke b'ad awr 4 rakt wali Namaz me Teesri rakt ke b'ad Qayedah na karna.

      Jahri Namaz yani Fajr, Maghrib awr Isha me Imam ko Awaaz se Qirat karna.

      Sirri Namaz yani Zohar awr Asr me Imam ko ahishta Qirat karna.

      Imam buland awaz se Qirat kare ya ahishta iswaqt muqtadion ko khamosh rehna.

      Siwae Qirat ke Tamam Wajibat me Imam ki pairvi karna.

      2 Farz ya 2 Wajib ya Wajib O Farz ke darmiyan 3 tasbeeh ke barabar waqfa na hona.

      Dono taraf Salam pherte waqt lafz "Assallam" kehna.

      Witr me Dua E Qunoot padhna awr Dua E Qunoot se qabal takbeer kehna.

      Eidain me 6 Takbeerein awr dusri Rakt ke Ruku keliye takbeer kehna.

      Aayat E Sajdah Tilawat karne par Sajdah E Tilawat karna.

      Har Farz awr Wajib ka iski Jagah par ada karna.

      Namaz ke arkaan Sukoon O Itminan se ada karna.

Jab koi wajib bhool se reh jaye ya koi wajib mukarar ada karlia jaye ya kisi Farz ki adayegi me takheer hojaye to Sajdah Sahw wajib hojata hai. Sajdah Sahw ka tariqa ye haike akhri qayedah me tashhud padhkar daayi taraf Salam pherein awr 2 Sajdeh karke fir Tashhud, Durood Shareef O Dua padhker Salam pherein. agar Surah Fateha awr choti Surat padhne ke darmiyan 3 bar Subhan ALLAH kehne ke barabar khamosh raha to Sajdah Sahw wajib hogaya. Farz, Wajib awr Moukedah Sunnaton ke Qayedah Aula me agar Tashhud ke b'ad bhool kar itna kehlia "ALLAHUMA SALLE ALA MOHAMMAD" Ya "ALLAHUMA SALLE ALA SAYEDINA" to Sajdah Sahw Wajib hogaya.

Namaz Ki Sunnatein

Takbeer E Tehrima Kehte waqt Haath Kano tak uthana.

Hateliyon awr Ungliyon ka Rukh Qibla hona.

Takbeer ke waqt Chehra Qibla Rukh rakhna (yani is waqt sar jhuka hua na ho)
Takbeer se pehle Haath uthana.

Daye Haath ko Baye Haath par rakh kar ghera bandh kar Naaf ke neeche rakhna.

Sana, Tawooz, Tasmiya ahista padhna Fateha ke b'ad ahista aameen kehna.

Har rakt ke shuru me ahista Tasmiya padhna.

Ek Rukn se Dusre Rukn me jate waqt Takbeer kehna.

Imam ka tamam Takbeeron, Tasmeeh awr Salam ko ba qadr e hajat Buland awaz se kehna.

Farz ki teesri awr chawthi rakt me sirf Surah Fateha padhna.

Ruku awr Sujood me 3, 3 b'ar tasbeeh padhna.

Ruku me guthno ko haathon se pakadna awr ungliyan khoob khuli rakhna.

Ruku me taangein sedhi rakhna awr Sar awr Kamr barabar rakhna.

Ruku se uthte waqt Imam ko "Sami ALLAHU Liman Hamidah" awr Muqtadi ka "Rabbana Lakal Hamd" kehna.

Akele Namaz padhne wale ko Dono yani Tasmeeh O Tamheed kehna.

Sajdeh me jate waqt pehle Guthne fir Haath awr fir Naak O Peeshani rakhna.

Sajdeh se uthte waqt iske bar aks karna.

Sajdeh me Baazo karwaton se awr Pait Raano se juda rakhna.

Sajdeh me Kalaiyan zameen se unchi rakhna awr unglion ka zameen par mili huye halath me rakhna .

Sajdeh me dono pawon ki tamam unglion ke pait zameen se lagna awr inka Qibla ruh hona.

Dusri rakt keliye panjon ke bal awr guthno par haath rakh kar uthna. (agar uzr na ho).

Dono Sajdon ke darmiyan Daya pawo khada karke Baya pawo bicha kar isper baithna.

Baithne ki halath me dono haathon ko raano par awr unglion ko asal halath me rakhna.

Tashhud me lafz "LA" par kalme ki ungli uthana awr "ILLAH" par gira kar sab ungliyan seedhi karlena.

Akhri Qayedeh me Durood Shareef awr Dua padhna.

Pehle daaye awr fir baaye taraf salam kehna.

yeh sab umoor Nabi Kareem ki sunnatein hain inme se agar koi sunnat bhule se reh jaye ya qasadan tark ki jaye to Namaz nahi tute gi magar jaan bujh kar sunnat chhodna najaiz hai.

Awraton Ki Namaz

Awraton ki Namaz Mardon se Mandarja Zail Amoor Mein Mukhtalif hai :

Namaz se qabal khawateen ko is baath ka itminan karlena chahiye ke inke chehre, hateliyon awr pawon ke talwo ke siwa tamam jism dabeez kapde ke saath dhaka hua hai. aisa bareek kapda jisse badan ki rangat jhalakti ho ya aisa bareek dupatta jisse balon ki siyahi

chamke pahan kar Namaz padhi to Namaz na hogi. Gardan, Kaan Sar ke latke huye Baal awr Kalaiyan chupana bhi farz hai.

Chehre, Hateliyon awr Pawon ke Talwo ke siwa koi azu Namaz shuru karte waqt chawthai (1/4) miqd'ar me khula ho awr isse chupaye bagair "ALLAHU AKBAR" kehlia to Namaz shuru hi na huye. awr agar Namaz ke dauran koi azu chawthai ke barabar itni der khula raha jisse 3 bar Subhan ALLAH kaha jasake to Namaz na huye.

Khawateen Namaz shuru karte waqt apne Haath Kaano ke bajaye sirf Kandhon tak uthayein awr inhe Dupatton se bahar na nikalein.

Phir Takbeer Tehrima kehkar Baayein hateli Seene pe rakhkar iski pusht par Daayien Hateli rakhein.

Ruku karte waqt sirf itna jhukein ke Haath Guthno tak pohanch jayein, Ungliyan baham mili huye hoon awr Guthno ko aage ki taraf zara sa kham dekar khadi rahein, nez inke Baazo pehlu se mile huye hoon.

Khawateen Sajdah simat kar karein yani Pait Raano se awr Raanein Pindliyon se awr Pindliyan Zameen se awr Baazo Pehluon se miladein awr Kalaiyan zameen per bichadein nez Pawon khade karne ke bajaye Daayi taraf nikal kar bichadein.

Qayedeh me dono Pawoo Dayi taraf nikaldein awr Baayein kohle par Baithein.

Khawateen keliye Ghar ke ander yani Kamre (Room) me Namaz padhna Sehan (Living) me Namaz padhne se awr Tehkhane (Safe Room) me Namaz padhna Kamre (Room) me Namaz padhne se Behtar hai. (Abu Dawood).

Namaz Fasid Karne Wali Chezien

Mandarja Zail Baaton Se Namaz Toot Jati Hai :

Bhool Kar ya Jaanbojh kar kisise Kalam karna.

Kisiko Salam karna ya iska Jawab dena.

Kisi Uzr ke bagair Khansna.

Kisiki Cheenk ka Jawab dena.

Namaz ki halath me Khan Peena.

Bila Uzr Seene ko Jihat E Ka'aba se pherna.

Kisi Takleef ke bais Rona.

Wazu Tutjana.

Namaz me Quran Pak dekh kar padhna.

Qirat ya Azkar me sakht galti karna.

Dono Haathon se aisa kam karna jisse dekhne wala samjhe ke ye halate Namaz me nahi.

Namaz ke kisi Rukn me koi gair mutaleqa kam 3 bar karna  maslan "Ek rukn me 3 bar khujane se Namaz fasid hojati hai is tarha ke Ek bar khuja kar haath hatalia fir khujaya awr haath hatalia fir teesri b'ar khujaya awr haath hatalia. agar ek b'ar haath rakh kar chnd martaba khujaya to isse ek hi bar shum'ar kiya jayega.

Khakarne me jab 2 hurf  zahir hoon jaise "AAH"  to Namaz fasid hojayegi jabke na uzr ho awr na koi sahih garz. agar uzr ho maslan "Tabiyat ka taqaza ho ya kisi sahih garz keliye aisa kiya maslan awaz sahi karne keliye ya Imam se galti hogaye isliye khakarta haike woh durust karle ya isliye khakarta hai ke dusre shaks ko iska Namaz me hona maloom ho in suraton me Namaz Fasid nahi hoti.

Namaz Ke Makhroohat

Namaz me Kapde, Dadhi ya Badan se Khelna.

Kapda samaitna maslan "Sajdeh me jate waqt aage ya peeche se kapda utha lena.

Kapda latkana maslan "Sar ya Kandhe par Rumal ya Chadar istarha dalna ke dono kinare latakte hoon.

Aasteen aadhi kalai se ziada chadi huye hona.

Shiddat ka Peshab ya Pakhana maloom hote waqt ya galba Reha ke waqt Namaz padhna.

Asman ki taraf nazrein uthana ya idhar udhar Muh pher kar dekhna.

Ungliyan chatkhana ya ek haath ki ungliyan dusre haath me dalna.

Kamar par haath rakhna (Namaz ke alawa bhi aisa na kiya jaye).

Mard ka Sajdeh me kalaiyon ko bichana.

Kisike Chehre ke samne Namaz padhna.

Namaz me jaanbojh kar Jamahi lena.

Jis kapde par jaandar ki tasveer ho isse pehan kar Namaz padhna.

Shalwar ka kapda Neefe ke pass se Ghurasna, ya Paint ke paiyeche modlena.

Kurte ya Khamees ke Button na lagana ke Seena khula rahe.

Namazi ke aage ya Dayein ya Bayein ya Sar par Tasveer ka hona.

Imam se pehle Ruku O Sujood karna ya Sajdeh se Sar uthana.

Qiyam ke alawa kisi awr rukn me Quran Majeed padhna.

Qirat ko Ruku me khatam karna.

Sajdeh me jate waqt bila Uzr Guthno se pehle Haath neeche rakhna ya Sajdeh se uthte waqt Haath uthane se qabal Guthne uthalena.

Qabr ke samne Namaz padhna jabke beech me koi aardd na ho.

Wajib sahih tarha ada na karna maslan "Ruku O Sujood me peeth seedhi na karna, Qouma ya Jalsa me seedhe hone se qabal Sajdeh ko chalejana wagairah.

Suraton ki Tarteeb ke ulat yani Tarteeb ke khilaf Quran Majeed padhna maslan pehli rakt me "Surat Al Kafiroon" padhi hoto dusri rakt me "Surat Al Kausar" padhna makrooh hai ke ye Tarteeb ke khilaf hai.

Namaz me aankhein bandh rakhna makrooh hai albatta Khushu O Khuzu keliye band karna behtar hai.

Makrooh fail sarzad hone se Namaz naqiz hojati hai lehaza aisi Namaz dobara padhni chahiye. Nange Sar Namaz padhna Khilafe Sunnat hai, Susti se Nange Sar Namaz padhna yani Topi pehanna bojh maloom hota ho ya garmi maloom hoti hoto Makrooh E Tanzeehi hai awr agar Namaz ki tehqeer maqsood hai maslan ye samjhna ke "Namaz aisi koi Azeem Ul Shaan chiz nahi jiskeliye Topi ya Amamah pehna jaye" to ye Kufr hai awr Khushu O Khuzu keliye barhana padhi jaye to Mustahab hai.

Namazi Ke Aage Se Guzarne Ka Mas'ala

Namazi ke aage se Guzarna sakt Gunah hai. Aaqa O Moula  ne farmaya "Agar Namazi ke aage se Guzarne wala janta ke iska kia Gunah hai to woh 100 Baras (Years) khada rehna is

1 khadam chalne se ziada behtar samjhta. Dusri riwayat me haike Woh zameen me Dhasjane ko ziada achha samjhta magaq Namazi ke aage se na guzarta".
Agar koi Namazi ke aage se guzar jaye to Namaz nahi tutti albatta guzarne wala Gunahgar hota hai isi tarha Namazi ko bhi chahiye ke woh aisi jagah Namaz na padhe ke guzarne walon ko pareshani ho. Agar Namazi ke aage "Sutra" ho yani aisi cheez jisse aadh hojaye to Sutra ke b'ad se guzarne me koi harj nahi. Sutra kam az kam Ek haath Uncha awr Ek Ungli ke barabar mota ho. Imam ka Sutra Muqtadion keliye bhi Sutra hai isliye agar Masjid me bhi Nam'azi ke aage se guzarna pade to harj nahi jabke Imam ke aage se naho.

Masjid Ke Aadaab

Masjid Khuda E Ta'ala Ka Ghar hai iske aadaab ka khayal rakhna bachhon awr badon sab keliye zaruri hai. Masjid me saaf libas pehan kar jana chahiye. kachhi piyaz ya leson khakar Masjid me jana jaiz nahi jabtak Bu baqi ho. isi tarha har badbu dar cheez se Masjid ko bachaya jaye.

Masjid me dunyavi baatein karna ya unchi awaz me guftagu karna mana hai Hadees Shareef me aya haike Masjid me Dunyavi baatein karna neekiyon ko is tarha khatam kardeta hai jaise Aag khushk lakdion ko jala deti hai. ek awr Hadees E Pak me Irshaad hua ke tum masjid me dunyavi baatein karne walon ke khareeb na baitho ke inko Khuda se kuch kam nahi.

Masjid me Khana Peena awr Sona Moutakif ke siwa kisi ko jaiz nahi lihaza agar khane peene ka irada ho to Aitekaf ki niyat karke Masjid Jaye awr kuch Zikr E Ilahi kare ya Namaz padhein ab iskeliye zaruratan Khana Peena jaiz hoga. Masjid mein bheek mangna haraam hai nez kisi mangne wale ki madad karna awr kisi gumshuda chiz ko talash karna bhi mana hai.

Masjid  ki deewaron ya chataiyon darriyon par ya inke neeche Naak, Thook ya Mael wagairah dalna najaiz hai. Napak halath me Masjid me jana sakt gunah hai. Masjid ke aadaab ka is hadh tak khayal rakhna chahiye ke waha aazaye wazu ka pani na girne paye awr naahi koi Namaz Ba Jam'at me shamil honekeliye wahan Daude.

Imamat Ki Sharait

Imamat Ki Mandarja Zail Shartein Hain :

Musalman, Aaqil, Baligh, Mard Hona, Qirat Janna, Mazoor Na Hona. Imamat ka mustahiq woh hai jo Sahi Ul Aqeedah Ahle Sunnat O Jam'at ho, Parhezgar Ho, Taharat O Namaz ke Ahkaam ko sabse ziada janta ho, isse itna Quran yaad ho jo masnoon taur par padhsake nez Quran Kareem ke huruf Mukharij se ada karsakta ho.

Woh Badmazhab jinki badmazhabi kufr ki hadh ko na pohanchi awr woh fasiq jo ailaniya kabeera gunah karte hain jaise Badkar, Sharabi, Juwari, Soodkhoor, Dadhi Mundwane ya Ek Musht se kam rakhne wale, inko Imam banana Gunah hai awr inke peeche Namaz Makrooh E Tehreemi Wajib Ul Iyadah hai.

Woh Badmazhab jiski badmazhabi hadde kufr ko pohanch gaye jaise "Rafzi" agarche sirf Siddiq E Akbar رضي الله عنه ki Khilafat se inkar karta ho ya Hazrat Abu Bakr O Hazrat Umar رضي الله عنهما ki Shaan E Aqdas me tabarra karta ho. woh jo Taqdeer ka

munkir ho awr woh jo Shaf'at Ya Deedar E Ilahi Ya Azab E Qabr Ya Kiramin Katibeen ka inkar karta ho, inke peeche Namaz nahi hosakti. isse sakt tar hukum unlogon ka hai jo apne aapko Musalman kehte hain balke Mutabe Sunnat bante hain awr iske bawajood baaz zaruriyate deen ko nahi mante ALLAH Ta'ala awr Rasool E Kareem  ki tauheen karte hain ya kam az kam tauheen karne walon ko musalman jante hain inke peeche bhi bilkul Namaz jaiz nahi.

Namaz Ba Jam'at Ki Ahmiyat

Har Aaqil Baligh Qadir par Jamat se Namaz padhna wajib hai, bila uzr ek baar bhi chodne wala gunehgar hai awr saza ka mustahiq hai, awr kayi bar chodne wala fasiq awr mardud ul shahadat hai, isko sakt saza di jayegi.

Mehboobe Kibriya Ahmade Mujtaba  ka Irshade Girami hai "Mera Dil Chahta haike Chnd Jawano se kaho ke bohat sa aindhan jama karke layein phir Main inke pass jaon jo Namazein bila uzr gharon mein padhte hain awr inke gharon ko jaladon". (Muslim)

Namaz Ba Jam'at ki fazilat O ahmiyat se mutaliq Ahadees E Mubarika shuruwati post ke aaghaaz hi main tehreer ki ja chuki hain, ab yeh samjh lijiye ke kin suraton mein Jam'at me shareek na hone ki ruksat hai? woh suratein mandarja zail hain:

Mareez Jise Masjid tak jane ki mushakat ho, Apahij jiska paon cut gaya ho, jispar falij gira ho, Andha, Itna Budha ke masjid tak jane se aajis ho, Rah me Sakt Barish ya kichad ya sakt Tareeki ya Aandhi ho, Maal Ya Khane ke talf hone ka andesha ho, Tangdast ko Qarz khwa ka khauff ho, Zalim ka khauff ho, Peeshab Pakhana ya Reha ki shadeed hajat ho, Gadi Chutne ka andesha ho, Khana hazir ho awr Nafs ko iski shadeed khwahish ho, Mareez ki Teemardari ke Jam'at me jane se ise takleef hogi awr woh ghabraye ga.

Namaz Ba Jam'at Ke Masail

Jab Namaz qayam karne ka waqt hoto mouzan aqamat kahe awr woh jab Hayya Alal Salah Hayya Alal Falah par pohanche to Imam awr Muqtadi sab khade hoon awr safein durust karein, Imam ko chahiye ke woh Muqtadion ko Safein durust karne ki hidayat kare, agar Namazi apni aediyan ek seedh me karlein to Saff seedhi hojayegi. Muqtadi ke dil me is Niyat ka hona zaruri haike "Main is Imam ki Iqtida me Namaz padhta hoon" muqtadi ko chahiye ke wo Imam ke Takbeer Tehrima kehne ke b'ad apni Takbeer khatam kare. Jo Chizein Namaz me farz hain inme Imam ki pairvi muqtadi par farz hai. agar koi farz Imam se pehle ada kia awr Imam ke saath ya Imam ke ada karne ke b'ad ada na kiya to Namaz na hogi maslan Imam se pehle Sajdah karlia awr Imam abhi Sajdeh me na aaya tha ke muqtadi ne sar utha liya to agar Imam ke saath ya b'ad Sajdah karlia to Namaz hogi warna nahi.

agar Imam Qaedah Aula karna bhool jaye awr khada hone lage to agar woh baithne ki halat khareeb hoto muqtadiyon ko chahiye ke Imam ko luqma de taake wo Qaedah ki taraf laut aaye lekin agar Imam agar khada hone ke khareeb ho ya khada hochuka hoto ab luqma na dein ke luqma dene wale ki Namaz fasid hojayegi. awr agar Imam ne luqma liya to Imam ki Namaz bhi fasid hojayegi awr aisi surat me tamam muqtadion ki Namaz fasid hojayegi. Agar 2 ya zayid muqtadi hoto Inhe Imam ke peeche khade hona chahiye awr agar 1 muqtadi hoto wo Imam ke barabar Daayi janib khada ho. Imam ke ke barabar khade hone ka mafhoom yeh haike muqtadi ke paon ka gattha ya takhna Imam ke gatthe se aage na ho. agar 1 muqtadi Imam ke saath Namaz padhraha tha ke 1 awr aaya to Imam aage badhjaye awr wo aane wala iske barabar khada hojaye ya woh muqtadi peeche hat aaye khwa khud peeche ho ya aane wala isse peeche khinchle jaiz hai.

agli saff me jagah hote huye pichli saff me khada hona makrooh hai isiliye pehli saff me jagah ho awr pichli saff bhar gaye hoto isko cheer kar agli saff me khada ho. ye dekha gaya haike baaz log agli saff chhod kar pichli saffon me baithte hain inka ye fael shariat me kaisa hai? is bare me 2 Ahadees mulahiza farmaein :

Huzoore Aqdas ka Irshaad E Girami hai "Agar log jante ke Azan awr pehli Saff ka kiya ajar o sawab hai to har koi inka talabgar hota yahan tak ke wo ispar qarra andazi karte" (Bukhari, Muslim)

Gaib Janne Wale Aaqa E Kareem ka farmaan hai "Log hamesha pehli saff se peeche hote rahenge yahan tak ke ALLAH Ta'ala inhe apni Rehmat se door karke Aag me daldega". (Muslim, Abu Dawood, Nisayi, Ibn Majah)

Masbooq Ke Masail

Woh Namazi jo Ek Rakt ya EK se zaed Rakt hojane ke b'ad Jam'at me shamil hua ho usse "Masbooq" kehte hain. Jab Imam Namaz pori karke Salam phere is waqt Masbooq Salam na phere balke khada hokar apni chuti huye rakatein ada kare.

Agar Masbooq ne Imam ko Ruku ki halath me paya to yeh Niyat karke seedhe khade rehne ki halath me Takbeer E Tehrima kahe fir dusri Takbeer kehta hua Ruku me jaye, agar pehli Takbeer kehta hua Ruku ki hadh tak jhuk gaya to Namaz na hogi. agar Imam ko Ruku me palia toh isse Rakt milgaye awr agar Imam ne Ruku se sar utha liya to yeh Rakt b'ad me ada kare.

Agar pehli Rakt ke Ruku ke b'ad ya dusri Rakt me Jam'at me shareek hua to Imam ke Salam pherne ke b'ad khade hokar Sana, Tawooz, Tasmiya, Surah Fatiha, awr Choti Surat padhkar chooti huye pehli Rakt mukamal karke Qaedah kare awr Namaz pori kare.

Agar 4 Rakt Namaz ki Teesri Rakt me shareek hua to b'ad me 2 Rakatein Mukamal tor par padhe yani Dono Rakaton me Surah Fatiha ke b'ad Surat bhi padhe.

Agar 4 Rakt Namaz me Teesri Rakt ke Ruku ke b'ad Chawthi Rakt ke Ruku se pehle shamil hua to goya iski 3 Rakatein reh gayein. Imam ke Salam pherne ke b'ad khada hokar Sana, Tawooz, Tasmiya, Surah Fatiha, awr Surat padhkar pehli Rakt mukamal kare jo darasal iski dusri Rakt hai isliye is Rakt ke b'ad Qaedah kare awr sirf Tasshud padh kar khada hojaye. ab chuti huye dusri Rakt me jo darasal iski Teesri Rakt hai Surah Fatiha ke b'ad Surat bhi padhe awr yeh Rakt pori karke khada hojaye fir apni chuti huye Teesri Rakt padhe jisme sirf Tasmiya awr Surah Fatiha padhe, akhir me Qaedah karke Salam Pherle.

Masbooq ko chahiye Imam ke awwal Salam pherte hi fauran khada na hojaye balke dusre Salam ka intezar kare taake ye maloom hojaye ke Imam ko Sajdah Sahw nahi karna hai. agar isne bhool kar Imam ke bilkul saath saath Sal'am pherdia to Sajdah Sahw nahi awr agar Imam ke zara b'ad Salam pherdia to Sajdah Sahw wajib hogaya yeh khada hokar baqiya Namaz pori kare awr akhir me Sajdah Sahw karle Namaz hojayegi.

Namaz E Witr Awr Dua E Qunoot

Sahih Muslim me Hazrat Abdullah Bin Abbas رضي الله عنهما se marwi haike Aaqa O Moula Witr ki 3 Rakatein padhi. Abu Dawood awr Tirmizi me Ummul Momineen Hazrate Ayesha Siddiqa رضي الله عنها se Marwi Hadees se bhi sabit haike Noor E Mujassam Witr ki 3 Rakat padhte thy.

Namaz Isha mein 3 Rakat Witr Wajib hai iske padhne ka tareeqa yeh haike 2 Rakat padhkar Qaedah kiya jaye awr Tasshud padhkar khade hojaye Teesri Rakt me Tasmiya Surah Fatiha awr koi Choti Surat padhkar dono Haath Kaano tak uthayein  awr ALLAHU AKBAR kehkar haath bandhlein  awr Dua E Qunoot padhein.

✅ Aye ALLAH ! Hum Tujhse Madad Talab Karte Hain awr Tujhse Maghfirat Chahte hain awr Tujh par Imaan late hain awr tujh par Bharosa karte hain awr Bhalai ke saath teri Tareef karte hain  awr hum tera Shukr karte hain, Nashukri nahi karte awr Hum Juda hote hain awr is Shaks ko chodte hain jo Tera Gunah kare. Aye ALLAH ! Hum teri hi Ibadat karte hain awr Tere hi liye Nam'az padhte hain awr Sajdah karte hain awr teri hi Taraf Daudte awr Khidmat keliye hazir hote hain awr Teri Rehmat ke Umeedwar hain awr Tere Azaab se Darte hain, Beshak Tera Azaab Kafiron ko pohanchne wala hai".

Dua E Qunoot padhna awr iske liye Takbeer kehna bhi Wajib hai. agar koi Dua E Qunoot padhna bhool kar Ruku me chala jaye to woh Qayam ki taraf na laute balke akhir me Sajdah Sahw karle. agar kisiko Dua E Qunoot yaad na hoto woh "Rabbana Aatina" wali Dua padhle ya 3 b'ar "Allahummaghfirlana" kahe.

Namaz E Jum'ua

✅ Mehboobe Kibriya Mukhtare Kul Khatam Ul Rusul Ka Irshad hai. "Jisne achhi tarha wazu ki fir Jumua ko aaya awr (Qutba) suna awr chup raha, iske in gunahon ki maghfirat hojayegi jo is Jum'ua awr dusre Jum'ua ke darmiyan hain awr mazeed 3 din ke gunaho ke bhi. awr jisne kankri chuwi isne laghu kiya (yani Qutba sunne ki halat me itna kam bhi laghu me dakhil hai ke koi kankari padi ho to isse hata diya jaye.)" (Muslim, Abu Dawood, Tirmizi, Ibne Majah)

✅ Aaqa O Moula Nabi E Kareem ka Irshaade Girami hai "Jo 3 Jume susti ki wajah se chhod dega ALLAH Ta'ala iske Dil par mohar kardega (awr wo ghafilo me hojayega) (Abu Dawood, Tirmizi) ek awr riwayat me haike "Jo 3 Jume bila uzr chode woh Munafiq hai" (Ibn Khazima)

Namaz E Jum'ua Farz E Ain hai awr iski farziyat Zohar se ziada mouaked hai awr iska munkir kafir hai. har Musalman Mard par jo Baligh, Tandurust, Azad awr Muqeem hai Jum'ua Farz hai. Namaze Jum'ua keliye jaldi jana, Miswak karna, achhe kapde pehanna, Khushbu lagana awr pehli Saff me baithna Mustahab hai awr Ghusul karna Sunnat.

Jo chizien Namaz me haraam hain maslan Khana Peena Salam O Kalam waghaira ye sab Qutbe ki halat me bhi haraam hain albatta Khateeb Amr bil Maroof karsakta hai. jab Qutba padha jaye to tamam Hazeerin par sunna awr Chup rehna Farz hai jin logon tak Imam ki awaz na pohanch rahi ho inhe bhi Chup rehna Wajib hai. agar kisiko buri bath karte dekhe to Haath ya Sar ke ishare se mana karsakte hain, Zuban se najaiz hai.

Eidain Ki Namaz

Eidain ki Namaz inhi logon par Wajib hai jinpar Jum'ua Farz hai. Jum'ua ki Namaz keliye Qutba Shart hai Jabke Eidain ki Namaz me ye Sunnat hai. Namaz Eid se qabal na Azan hai na Aqamat. Namaz Eid se qabal Nafl padhna Makroh hai khwa Ghar me padhe ya Eidgah mein, chahe ispar Namaz Eid Wajib ho ya nahi.

Eid ki Namaz ke b'ad Musafa karna awr Gale Milna jaisa ke Musalmano me rayij hai behtar haike isme Izhare Masarat hai.

Hajamat Banwana, Nakhun Tarashwana, Ghusul Karna, Miswak Karna, Achhe Kapde Pehanna, Khushbu Lagana, Eidgah ko paidal jana, Raste me Takbeer kehte jana, Dusre Raste se wapas aana, Khushi Zahir karna, Kasrat se Sadqa dena, Mubarkbad Dena, Eid Ul Fitr me Namaz se Qabal Sadqaye Fitr dena awr Taaq tedad me Khajoorein khalena, Eid Ul Adha me Namaz se Qabal kuch na Khana awr raste me Buland Awaz se Takbeer kehna ye sab amoor Eid ke din Mustahab hain.

Qurbani karni hoto Mustahab yeh haike Pehli se Daswi Zil Hajjah tak Na Hajamat Banwaye Na Nakhun Tarshwaye. Navwi Zil Hajjah ki Fajr se lekar Tairwi Zil Hajjah ki Asr tak har Farz Namaz ke b'ad jo Jam'at E Mustehba ke saath ada ki gayi 1 b'ar buland awaz se "Takbeer Tashreeq" kehna Wajib awr 3 b'ar kehna Afzal hai.

"ALLAHU AKBAR ALLAHU AKBAR LA ILAHA ILLALLAHU WALLAHU AKBAR ALLAHU AKBAR WA LILLAHIL HAMD".

Namaz E Eid Ka Tariqa

Dono Eidain ki Namaz ka Tariqa ek hi hai woh yeh ke Do Rakat Wajib Namaz Eid Ul Fitr ya Eid Ul Adha ki niyat karke Kaano tak Haath uthayein awr ALLAHU AKBAR kehkar bandhlein. phir Sana padhkar Kaano tak Haath uthayein awr ALLAHU AKBAR kehte huye chhod dein, phir Dusri bar Haath uthayein awr Takbeer kehte huye chhod dein, phir Teesri b'ar Haath uthayein awr takbeer kehkar bandhlein. phir Imam buland awaz se Sureh Fateha awr koi Surat padhkar Ruku O Sujood karega. Dusri Rakt me Sureh Fateha awr koi Surat ya

Aayat ki Tilawat ke b'ad Ruku me jane se pehle 3 bar Kaano tak Haath uthakar ALLAHU AKBAR kahein awr har bar Haath chhod dein. phir Chawthi bar bagair Haath uthaye Takbeer kehte huye Ruku me chalein jayein awr Namaz mukamal karein. har 2 Takbeeron ke darmiyan 3 Tasbeeh ke barabar Teharna chahiye.

Namaz E Janazah

Namaze Janazah Farz E Kifaya hai yani Ek Shaks ne bhi padhli to sab Bari al Zimmah hogaye warna jinko khabar mili awr woh Namaze Janazah ko na aaye, woh sab gunehgar huye. Janazah padhte waqt Maiyyat samne honi chahiye, Gaibana Namaze Janazah jaiz nahi. Maiyyat se murad wo hai jo zinda paida hua awr fir Mar gaya. agar Bacha Murda paida hoto uski Namaze Janazah nahi. agar Janazah Taiyyar hua awr Wazu ya Ghusl me Namaz nikal jane ka yaqeen ho to Tayamum karke Namaz Janazah padhli jaye. Baaz log Juta pehante awr bohat se log Jute per khade hokar Namaze Janazah padhte hain agar Juta pehankar Namaz padhi to Juta awr iske neeche ki zameen dono ka paak hona zaruri hai awr agar jute per khade hokar Namaz padhi to Jute ka paak hona zaruri hai.

Namaze Janazah Mein 2 Rukn hain.

1 Namaze Janazah Khade Hokar Padhna.
2 Chaar (4) Baar ALLAHU AKBAR kehna.

Namaze Janazah mein 3 chizein Sunnate Moukedah hain. ALLAH Ta'ala ki sana Karna, Nabi Kareem per Durood Shareef padhna awr Maiyyat keliye Dua karna. Afzal yeh haike Namaze Janazah me 3 ya (Taaq) Safein hoon. Namaze Janazah ka tariqa yeh haike Niyat karke ALLAHU Akbar kehkar Naaf ke neeche Haath bandhle awr yeh Sana Padhein سُبْحَانَكَ اَّللُهَّم َوِبحَمْدِكَ وَ تَبَاْرَكَ اسْمُكَ َوتَعَالَئ جَدُّكَ وَجَلَّ َثَناءٌكَ وَلَااِلَه غَيْرُكَ  "Subhana kalla humma ,wabe hamdeka ,wata baara kasmoka ,wata aalaa jaddoka, wa jalla sanaoka,wala ilaha gairoka"."Paak hai Tu Aye ALLAH ! awr Main Teri Hamd karta hoon, Tera Naam Barkat Wala hai awr Teri Shaan Buland awr teri Sana Bartar Hai awr Tere Siwa Koi Mabood nahi".  fir Haath uthaye bagair ALLAHU Akbar kahein awr Durood Shareef padhein. behtar haike wahi Durrod Shareef padhein jo Namaz me padha jata hai awr agar koi Dusra Durood Shareef padha tab bhi harj nahi. fir bagair Haath Uthaye ALLAHU Akbar kahein awr yeh Dua padhein. "Aye ALLAH Baksh de hamare Zindo awr Murdo ko, Hamare hazir awr Gaib ko, Hamare Chotte awr Bade ko awr Hamare Mard O Awrat ko. Aye ALLAH ! Humme se Tu jisse Zinda rakhe isse Islaam pe zinda rakh awr Humme se Tu jisse Wafaat de usse Imaan per Wafaat de. yeh Dua Baligh Mard O Awrat keliye hain

Agar Maiyyat Nabaligh Ladka hoto yeh Dua padhein : "Aye ALLAH Tu Is Ladke ko Hamare liye pesh Ru kar (Yani Aage Pohanch kar Samaan Karne Wala Bana) awr Isko Hamare liye Ajr awr zakheera kar awr Isko Hamari Shif'at karne Wala bana awr Woh Bana Jiski Shif'at qubool ho.

Agar Maiyyat Nabaligh Ladki hoto yeh Dua padhein : "Aye ALLAH Tu Is Ladki ko Hamare liye pesh Ru kar (Yani Aage Pohanch kar Samaan Karne Wali Bana) awr Isko Hamare liye Ajr awr zakheera kar awr Isko Hamari Shif'at karne Wali bana awr Woh Bana Jiski Shif'at qubool ho.
Dua Padhne ke b'ad Chawthi B'ar ALLAHU Akbar kehkar Haath chordein awr dono taraf Sal'am pherlein. iske b'ad Safein tod dein awr Ek B'ar Surah Fateha, Teen B'ar Sureh Iqlas awr Teen b'ar Durood Shareef padhkar Iss Maiyyat ko Eisaale Sawaab karein awr Iskeliye Rehmat O Maghfirat ki Dua mange.

Aaqa O Moula Ka Irshaade Girami hai, "Jab Tum Maiyyat ki Namaze Janazah padhlo to ab Khaas Iskeliye Dua karo". (Mishkaat Ba Hawala Abu Dawood, Ibne Majjah, Baihaqqi)

Namaze Taraweeh

Namaze Taraweeh Mard Awrat sabkeliye Sunnate Moukedah hai. Jamhoor ka mazhab yeh haike Taraweeh ki 20 Rakatein hain awr yehi Ahadees se sabit hai. Imam Baihaqqi ne Sahih Sanad ke saath Hazrat Sayeb Bin Yazeed رضى الله عنه se riwayat ki ke log Hazrat Farooqe Azam رضى الله عنه ke Zamane mein 20 Rakt Taraweeh padha karte thy awr Hazrat Usman O Hazrat Ali رضى الله عنهما ke Zamane mein bhi yehi mamool tha.
Mouttah mein Hazrat Yazeed Bin Romaan رضى الله عنه se riwayat haike Hazrat Umar رضى الله عنه ke zamane me log Ramadan me Isha ke b'ad 23 rakatein padhte thy. Imam Baihaqqi ne iski sharah me farmaya, yani 20 Taraweeh awr 3 Witr.

Taraweeh me 1 Bar Quran Majeed khatam karna Sunnate Moukedah hai awr 2 martaba Fazilat awr 3 martaba Afzal. Imam O Hafiz keliye zaruri haike Quran Kareem Sahih Maqarij ke saath padhe. Ujrat dekar Taraweeh padhwana najaiz hai Dene wala awr Lene wala dono Gunehgar hain.

Taraweeh ka Waqt Farz Isha ke b'ad se Tulu E Fajr tak hai. agar Isha Jam'at se na padh sake to Tanha Isha Padhkar Taraweeh ki Jam'at me shareek hojaye magar Witr Tanha padhe. Taraweeh Masjid me Ba Jam'at padhna Afzal hai. Taraweeh 2 , 2 Rakt padhi jayein, Har 4 Rakt b'ad itni der baithna Mustahab hai jitni der me 4 Rakt padhi. baithne me Ikhtiyar haike Khamosh rahe ya Kalima ya Durood Shareef ya yeh Tasbeeh padhe. "Paak hai Woh (ALLAH) Jo Malik awr Baadshahat Wala hai, Paak hai Woh jo Izzat, Azmat, Haibath, Qudrat, Badai awr Jabroot Wala hai. Paak hai Woh Baadshahe Haqeeqi jo Zinda rehne Wala hai, Na Iskeliye Neend hai awr na Mout, Woh Be Intiha Paak awr Muqaddas hai, Hamara, Firishton ka awr Rooh ka Malik hai, Aye ALLAH ! Hamein Aag se bacha, Aye Bachane Wale, Aye Nijaat Dene Wale, Aye Panah Dene Wale, Aye ALLAH ! Hazrat Muhammad Per Rehmat Nazil Farma".

Qaza Namazo Ka Bayan

Kisi Sharai Uzr ke bagair Namaz Qaza kardena bohat sakht Gunah hai. is Namaz ki Qaza farz hai nez Sachhe Dilse taubah bhi karni chahiye. Sachhi Taubah se Qaza karne ka Gunah maaf hojata hai albatta Taubah isi waqt sahi hogi jabke Chuti huye Namaz ki Qaza padhli jaye, agar Namaz ki qaza na padhi to ye Taubah qubool na hogi. Bhool kar ya Sote me Namaz Qaza hojaye to iski Qaza Farz hai albatta Qaza ka gunah na hoga lekin ye zaruri haike yaad aane par ya jagne par is Namaz ko fauran ada kia jaye jabke makroh waqt na ho. bila uzr der karna makroh hai. koi soraha hai ya Namaz padhna bhool gaya to jise maloom ho isse wajib haike sote ko jaga de awr bhoole huye ko yaad dila de. jisko ye andesha ho ke Fajr ki Namaz qaza hojayegi, isse sharai zarurat ke bagair raat ko der tak jagna mana hai. Kisi Namaz ke waqt me agar is Namaz keliye Takbeer Tehrima kehli to Namaz Qaza na huye balke ada hai siwae Namaz E Fajr Wo Jumua Wo Eidain ke ke inme Salam pherne se qabl aga waqt nikal gaya to Namaz jati rahi. Qaza Namazo keliye koi waqt muqarar nahi, Mumno Awqat ke alawa tamam umr me ye jab bhi padhle, Aadmi Bari Uz Zimah hojayega. Jiske zimmeh kaye saal ki Qaza Namzein ho isse chahiye ke apne baligh hone ki Umr se is waqt tak ki Namazo ka hisab lagaye awr fir jab jab fursat mile inhe ada kare. chunke Qaza Namazein Nawafil se ahem hain isliye Nawafil awr Gair Moukedah Sunnato ke bajaye Qaza padhta rahe, albatta Taraweh awr 12 Raktein Sunnat E Moukedah na chorde. Qaza Namaz ki niyat yun bhi ki jasakti hai maslan. "Sabse Pehle Namaz E Fajr Jo Qaza Huye Ise Ada Karta Hun". fir jab dusri Namaze Fajr ki Qaza padhe to yehi niyat kare kyunke pehli Qaza Namaze Fajr to ada hochuki isliye ab dusri Namaz Qaza Namazo me pehli hogaye, isi tarha degar Namazo keliye bhi yunhi niyat kare.

Bemar Ki Namaz

Jo Bemari ke bais khada hokar Namaz na padhsakta hoke chakkar aate hain ya naqabile bardasht dard hoga ya Marz badh jayega ya der me sehat yab hoga in suraton me baith kar Ruku O Sujood ke saath Namaz ada ki jasakti hai, agar khud baith na sakta ho lekin koi dusra moujood ho jo bitha de to baith kar padhna zaruri hai, agar baithe rehna mumkin na ho to Takiya Deewar ya kisi chiz se Tek laga kar padhe awr agar baith kar padhna mumkin hoto Late kar Namaz na hogi.

Qiyam chunke Farz hai isliye ise Sharai Uzr ke bagair tark karne se Namaz na hogi yahan tak ke agar koi Asa ya Khadim ya Deewar se sahara lekar khada hosakta hoto isse Farz haike isi tarha khada hokar padhe, agar kuch der khada hokar ALLAHU AKBAR kehsakta hoto Farz haike Namaz khade hokar shuru kare awr fir baith kar pori kare warna Namaz na hogi, jo mamuli takleef jaise Halka Bukhar ya Sar Dard ya Zukam wagaira ke bais baith kar Namaz padhte hain, inki Namazein nahi hoti in par Qaza lazim hai. 

Agar Mareez khada hosakta hai magar Ruku O Sujood ya dono nahi karsakta to behtar yeh haike khade hoke Namaz padhe awr Ruku Ya Sujood (Jisper Qudrat Na Ho) ya dono keliye ishara kare. Sajdeh ke ishare keliye sar ko jitna jhuka sake utna jhukaye awr Ruku keliye isse kuch kam jhukaye. jo Zameen par sajdah nahi karsakta magar Sajdeh ki sharait ke saath koi chiz zameen par rakh kar ispar Sajdah karsakta ho isse Sajdeh keliye ishara karna jaiz nahi. agar Mareez baithne par qadir nahi to lait kar ishare se padhe khwa Daye ya Baye karwat par lait kar Qiblah ko muh kare khwa seedha lait kar Qiblah ko Pawon kare magar Guthne khade rakhe awr Sar ke neeche Takiya wagaira rakh kar uncha karle taake muh Qibleh ko hojaye.

Musafir Ki Namaz

Islam ne Musafir ko ye sahulat di haike woh Safar me Namaz Qasr kare yani jo Farz Namaz 4 Rakt par mushtamil ho iski jagah wo 2 Rakt padhe. Aaqa O Moula Ka farmane
Aalishaan hai "Yeh Ek Sadqa hai jo ALLAH Ta'ala ne Tum par kiya hai, Tumhe chahiye ke iska Sadqa Qubool karo". Musafir par wajib haike Namaz me Qasr kare. Jisne Janbojh kar 4 Rakatein padhi wo Gunehgar hua, isse Taubah karni chahiye, Sunnato me Qasr nahi wo pori padhni chahiye.

Sharan Musafir wo shaks hai jo Satawan Meel se kuch zayid (Asal Miqdar 57.375 Meel, ya 92.33 K.M hai) ke Safar ke iradeh se apni Basti se bahar nikal chuka ho. Musafir jab tak apne Shehar me wapas na pohanche wo Namazein Qasr karta rahega albatta  dorane Safar wo kisi Muqaam par 15 din ya zayid Qiyam ka iradah karle to wo wahan  pori Namaz padhega chahe b'ad me kisi wajah se wahan 15 din se kam Qiyam karsake. isi tarha agar kisi jagah 15 din se kam Qiyam ki niyat ho magar kisi wajah se wahan 15 din se zayid Teharna pade fir b wo Qasr karega.

Agar Musafir Muqeem Imam ke peeche Namaz padhe to 4 Rakt hi ada kare awr agar Muqeem log Musafir Imam ki Iqtidah me Namaz ada karein to Imam ko chahiye ke woh pehle logon ko apna Musafir hona batade fir 2 Rakt ke b'ad Sal'am pherle awr Muqeem muqtadi khade hokar baqiya 2 Rakatein padhein magar Qiyam me Surah Fatiha padhne ki Miqdar khamosh rahe.

Chalti Train par Namaz nahi hoti isliye jab Station par Gadi ruke is waqt Namaz ada kare awr agar Namaz ka waqt ja raha hoto jis tarha bhi mumkin ho padhle fir jab mouqa mile to Namaz ka iyadah kare. Jo Namaz Safar me Qaza huye ya naqis padhi gaye ise Manzil par pohanch kar lautane me zaruri haike isse Qasr hi padha jaye.

Nafal Namazo Ka Bayan

Farz Namazo ke alawa Noor E Mujassam Nafil Namazo ka bhi ihtemam farmate thy. Hadees E Paak me Nawafil ki kasrat ko Qurb E Ilahi pane ka zariya farmaya gaya hai. Sunnat awr Nafil Namaz Ghar me padhna Afzal hai albatta Taraweh, Tehtul Masjid awr Safar se wapas ke 2 Nafl Masjid me padhna behtar hai. agar Ghar me Kam ki mashgoliyat ke Nawafil chuth jane ka qadsha ho ya Ghar me dil na lage to Masjid hi me Nawafil padhliye jayein. Aaqa O Moula ne baz Khas mouqe par jo Nawafil padhne ki Taleem di, inhe iqtisar se bayan kiya jaraha hai.

Namaz Tehtul Wazu : Wazu ke B'ad Aaza khushk hone se pehle 2 Rakt Nafl ada karna Mustahab hai yunhi Ghusl ke b'ad bhi 2 Rakt Nam'az Mustahab hai. Nabi Kareem ka Irsh'ad hai "Jo SHaks Acche Tariqe se Wazu karke Zahir O Batin ke saath Mutawaja hokar yani Iqlas se 2 Rakt Namaz padhlia kare iskeliye Jannat Wajib hojati hai".

Namaz Tehtul Masjid : Masjid me dakhil hone ke b'ad 2 Rakt Namaz padhna Sunnat hai awr Behtar yeh haike 4 Rakt padhe. agar Farz ya Wajib ya Sunnat Namaz ada karli to Tehtul Masjid ada hogaye agarche iski niyat na ki ho. agar koi Makroh waqt me Masjid me aaye to wo Tehtul Masjid na padhe balke Zikr E Ilahi awr Durood Shareef me Mashgool hojaye, Masjid ka Haq ada hojayega.

Namaz E Tahajjud : Raat me Namaz E Isha ke b'ad jo Nawafil padhe jayein inhe Salatul Lail kehte hain awr Raat ke Nawafil Din ke Nawafil se Afzal hain. Isi Salatul Lail ki Qism Namaz E Tahajjud hai. Tahajjud ki kam az kaz Rak'atein 2 hain awr Ziadah se Ziada 8. Namaz E Isha padhkar sone ke b'ad jis waqt bidar hoon wo Tahajjud ka Waqt hai awr Afzal waqt Raat ka Akhri Tihai hissa hai.

Namaz E Ishraq : Namaz E Ishraq ki 2 Rak'atein hain. behtar yeh haike Namaz E Fajr ke b'ad Zikr E Ilahi awr Durood Shareef padhte rahe awr Suraj Tulu hone ke Kam az Kam 20 min b'ad yeh Namaz padhein. Hadees Shareef me Namaz E Ishraq padhne wale ko Hajj awr Umrah ke Sawab ki Basharat di gayi hai.

Namaz E Chaasht : Namaz E Chaasht ki kam az kam 2 Rakatein awr ziadah se ziadah 12 Rakatein hain awr 12 Afzal hain. is ka waqt Suraj buland honese Zawal yani Zohwa Kubra ke shuru hone tak hai. Ahadees E Mubareka me Nam'az E Chaasht ki pabandi karne wale ko Maghfirat awr Jannat me Sone ke Mahal ki khushkhabri di gayi hai.

Namaz E Awwabeen : Namaz E Maghrib ke b'ad 6 Rakt Nafl padhna Mustahab hai ye 2, 2 Rakt karke padhna Afzal hai. inhe Salw'at Al Awwabeen kehte hain. Nabi Kareem ne Inhe padhne ki bhi targeeb di hai.

Namaz E Safar : Safar keliye rawana hote waqt Mustahab hai ke 2 Rakt Nafl apne Ghar me ada karke nikle. Aaqa O Moula ne Farmaya "Koi Shaks apne Gharwalon ke pass in 2 Rakaton se behtar koi chiz nahi chordta jo wo Safar par rawana hote waqt wahan padhta hai". Safar ke dauran jahan Qayam ho wahan 2 Rakt padhe awr wapasi par 2 Rakt Namaz Masjid me ada karke Ghar jaye. Nabi Kareem ka yehi Mamool tha.

Namaz E Taubah : Insaan Khatakar hai lekin jab bhi isse koi Gunah hojaye ise chahiye ke fauran apne Raheem O Kareem Rabb ki bargah me nidamath zahir kare awr apne Gunah ki muafi mangne keliye 2 Rakt Nafl Namaz padhe, yeh Mustahab hai. Aaqa O Moula ne Farmaya "Jab kisise Gunah hojaye to isko chahiye ke Wazu karke 2 Nafl ada kare awr Rabb Kareem se apne Gunah ki Bakshish chahe, ALLAH Ta'ala Iske Gunah baksh dega.

Namaz E Tasbeeh : Aaqa E Do Jahan ne ye Namaz apne Chacha Hazrat Abbas رضى الله عنه ko sikhai. iska tareeqa yeh haike Pehli Rakt me Sana ke B'ad (Jabke Dusri Rakaton me Tasmiyah se Qabal) 15 Pandhra bar yeh Tasbeeh padhe (Pora Teesra Kalma Padhna B Behtar Hai) fir Tauz, Tasmiyah, Surah Fatiha awr koi Surat padhkar yehi Tasbeeh 10 bar padhe fir Ruku me Tasbeeh ke b'ad 10 b'ar, Ruku se Khade hokar Tasmeeh O Tamheed ke b'ad 10 bar, Sajdeh me Tasbeeh ke b'ad 10 b'ar, Sajdeh se sar uthakar yani Jalsa me 10 bar awr fir Dusre Sajdeh me 10 bar yehi Tasbeeh padhein isi Tarha 4 Rakatein padhein (Yun Kul 300 Tasbih'at Huyein)

Nabi Kareem ne Farmaya "Agar hosake to ye Namaz Rozana padho warna Har Jumua ke din, agar ye na hosake to har Mah (Month) me ek bar warna Saal (Year) me ek bar awr agar yeh bhi na hosake to Umar (Life) me ek bar zarur padho. Iski Barkat se ALLAH Ta'ala Agle Pichle, Naye Purane, Qasadan ya Sahuwan kiye gaye tamam (Sagheera) Gunah Muaf farmadega. (Sunan Tirmizi)

Namaz E Hajaat : Rasool E Muazza Ka Irshaad hai 'Jis Shaks ki ALLAH Ta'ala ki taraf ya kisi Bande ki taraf koi Hajat ho wo achhi tarha Wazu karke 2 Rakt Namaz padhe fir ALLAH Ta'ala ki Hamd O Sana kare awr Mujh par Durood Bheje awr yeh DUa Padhe' "ALLAH ke siwa koi Mabood nahi jo Bardb'ar awr Karam Farmane wala hai jo Arsh E Azeem ka Malik hai, awr sab Tareefein ALLAH keliye hain jo Tamam jahano ka Malik hai, Ilahi ! me Tujhse Teri Rehmat ke asbab mangta hu awr Teri Bakshish ke zaraye Talab karta hu, me har Neki me apna hissa awr har gunah se salamati chahta hu, Ilahi ! mere har gunah ko Muaf farma awr mere har Gham ko dur karde. aye sab Meharbano se ziada Meherban ! meri hajat jo Teri Raza ke muafiq hai isse pora karde". (Tirmizi, Ibn Ma'jah)

Ek Nabina Sahabi ne Bargahe Risalat me sehat ki Dua keliye arz ki. Rehmat E Aalam ne farmaya, agar Tu Chahe to Dua karoon awr Chahe to sabar kar awr ye Tere liye Behtar hai. Inhone Arz ki, Huzoor Dua Farmaien. Huzoor E Akram ne inhe Hukm dia, achhi tarha wazu karo fir 2 Rakt Nam'az padhkar yeh Dua karo, "Aye ALLAH ! main tujhse sawal karta hoon awr Teri taraf mutawajje hota hoon Tere Nabi Hazrat Muhammad ke zariye se jo Rehmat wale Nabi hain. Ya Rasool ALLAH main Huzoor ke zariye se apne Rabb ki taraf  is Hajat ke bare me Mutawajje hua hoon taake meri ye Hajat pori ho. Ilahi ! Huzoor ki Shafa'at mere haq me Qubool farma". Jab iss Nabina Sahabi ne Namaz ke b'ad ye Dua ki to ALLAH Ta'ala ne Inhe Ankhein ata farnadi jaise ke wo kabhi Nabina na thy. (Hakim, Tirmizi, Ibn Ma'jah, Nisai, Tabrani, Baihaqqi)

Namaz E Isteqarah : Aaqa O Moula Sahaba Kiram ko Dua E Isteqarah iss ahtemam se sikhate jaise Quran Kareem ki koi Surat ho, Aap ka Irshad hai "Jab Tum Kisi Kam ka Iradah karo to 2 Rakt Nafl ada karke yeh Dua padho, "Aye ALLAH ! main Tere Ilm ke saath tujhse Isteqarah karta hoon awr Teri Qudrat ke saath Tujhse Qudrat Talab karta hoon awr Tujhse Tere Fazl E Azeem  ka Sawal karta hoon kyunke Tu Qudrat wala hai awr main Kamzor hoon awr Tu Janta hai awr main nahi janta awr Tu Ayeboon ka bhi Janne wala hai. Aye ALLAH ! agar Tere Ilm me yeh hai ke ye Kaam mere liye mere Deen O Mayishiyat awr Akhirat me behtar hai to isko mere liye Muqadar karde awr Aasaan karde fir mere liye isme Barkat de, awr agar Tu Janta haike ye Kaam mere liye mere Deen O Mayishiyat awr Anjame Kaar me Bura hai to isko mujhse pher de awr isko mujhse pher de awr mere liye Bhalai Muqadar farma jahan bhi ho fir mujhe isse Razi kar" (Bukhari)

Iss Dua me "Haaza Al Amar" ki bajaye apni hajat ka naam lein ya iska Tasawur karein. behtar yeh haike Isteqarah 7 bar karein ke Ek Hadees me hai "Aye Anas رضى الله عنه jab tu kisi Kaam ka Iradah kare to apne Rabb se isme 7 bar isteqarah kar fir nazar kar ke Tere dil me kia guzra, Beshak isi me Khair hai. b'az Mashaikh se manqool hai ke mazkoorah dua padhkar ba Taharat Qiblah Ru sojayein, agar Khwab me Safaid (White) ya Sabz (Green) rang dikhe to woh kaam behtar hai awr agar Siyahi (Black) ya Surkhi (Red) dikhein to woh bura hai isse bachein. Isteqarah ka waqt is waqt tak hai ke ek taraf raye pori tarha jam na chuki ho.
(Tamman Nawafil Bila Uzr Baithkar Bhi Padhskte Hain Magar Khade hokar Padhne me Dugna Sawab hai)

Tilawate Quran

ALLAH Ta'ala ka Irshad hai "Quran se jo Maissar aaye Padho" Dusri jagah farmaya "Jab Quran padha jaye to isse Suno awr chup raho is Umeed par ke Reham kiye jao" Ek Ayat ka Hifz karna har Musalman Mukalif par Farz E Ain hai awr Pure Quran Majeed ka Hifz karna Farz E Kifaya hai jabke Surah Fatiha awr koi Choti Surat ya iski Misl 3 Choti Ayatein ye Ek Badi Ayat Zubani yaad karna Wajib hai. Fiqaha ke Masail ka janna Farz E Ain hai awr Hajat se zayid Fiqaha sikhna Pora Quran Kareem Hifz karne se Afzal hai. Quran Kareem Dekh kar padhna Zubani padhne se Afzal hai ke ye padhna bhi hai awr Dekhna bhi awr iska Chu na bhi awr yeh sab Ibadat hai. Mustahab ye haike Ba Wazu Qibla Ru Saaf Lib'as pehankar Tilawat karein. Tilawat ke shuru me Aouzbillah padhna awr Bismillah padhna Mustahab hai. agar Surat ki Ibtedah hoto Bismillah padhna Sunnat hai. agar Tilawat ke dauran koi Dunyawi kaam karlein to Tauz awr Tasmiyah fir padhein.

Lait kar Tilawat karna jaiz hai Bashartke Pawon Simte hoon, yunhi chalne awr kaam karne ki halat me bhi Tilawat jaiz hai jabke Dil Ghafil na ho warna Makroh hai. jab Buland awaz se Tilawat ki jaye to tamam Hazirein par Sunna Farz hai. Quran Kareem Sunna Tilawat karne awr Nafl padhne se Afzal hai. Majmua me sab log Buland Awaz se Quran padhein to ye Haraam hai. aksar Quran Khwani me sab Buland Awaz se padhte hain ye Haraam hai. jab ziada log padhne wale hoon to inhe chahiye ke Ahista Tilawat karein albatta itni Awaz zarur hoke agar wahan Awaz sunne me koi Rukawat maslan Shor wagairah na hoto padhne wala khud apni Awaz sun sake.

ط ت , س ث ص , ذ ز ظ , ا ء ع , ه ح , ض ذ  ظ

In Huroof me sahih taur par Imtiyaz rakhein awr inhe Asal Makhraj se ada karein warna Maane fasid hone ki Surat me Nam'az na hogi. Quran Majeed (Hifz ya Nazirah) padhkar bhula dena Gunah hai. Hadees Shareef me haike jo Quran Majeed padhkar bhul jaye woh Qayamat me Kodi hokar aayega awr Quran Majeed me hai aisa Shaks Andha hokar uthega. Quran Kareem Hifz karne awr iske Ahkaam par amal karne walon ko na sirf Jannat Ata hogi balke ALLAH Ta'ala unke in 🔟 Ahl Khana ke mutaliq inki Sifarish Qubool farmayega jinpar Jahannum Wajib hochuki hogi.

Sajdah Tilawat Ka Bayan

Quran Kareem me 14 Aayat aisi hain jinhein Padhne ya Sunne se Sajdah Wajib hojata hai. iska masnoon tariqa yeh haike Khade hokar ALLAHU AKBAR kehte huye Sajdeh me jaye awr kam az kam 3 bar "Subhana Rabbial Aala" kahein fir ALLAHU AKBAR kehte huye khade hojayein. agar Sajdah se qabal awr b'ad me khade na huye to bhi Sajdah ada hojayega. Sajdah Tilawat keliye ALLAHU AKBAR kehte waqt na Haath uthayein na b'ad me Salam pherein. agar Sajdah ki ayat Namaz me padhi to iska Sajdah fauran karna Namaz hi me Wajib hai Sajdah Wajib hone keliye pori Ayat padhna  zaruri nahi balke wo Lafz jisme Sajdah ka Ma'adah paya jata ho awr iske saath qabal ya b'ad ka koi Lafz milakar padhna kafi hai. Sajdah Tilawat ki Niyat me ye shart nahi ke ye falah Ayat ka Sajdah hai sirf Sajdah Tilawat ki niyat kafi hai.

Ek Majlis me Sajdah ki Ayat ko bar bar padha ya suna to Ek hi Sajdah Wajib hoga agarche chnd Aadmiyon se suni ho. Ek Rakt me b'ar b'ar wahi Ayat padhi to Ek hi Sajdah kafi hai khwa chnd bar padhkar Sajdah kia ya Ek Bar padhkar Sajdah kia fir chnd bar wahi Ayat padhi, Ek hi Sajdah kafi hai. Pori Surat padhna awr Ayat E Sajdah chordena Makroh E Tehrimi hai.

JisMaqsad keliye Ek Majlis me Sajdah ki sab aayatein padhkar sab Sajdeh karein, ALLAH Ta'ala iska Maqsad pora farmayega khwa Ek Ek Ayat padhkar iska Sajdah karta jaye ya Sab Aayaat padhkar akhir me 14 Sajdeh karle.

🔃 Jab ALLAH Ta'ala ki koi Ne'mat mile maslan Aulaad paida ho ya Maal mile ya Bimar ko Sehat ho ya koi Murad pori ho to Sajdah Shukr ada karna Mustahab hai. Sajdah Shukr ada karne keliye bhi Taharat Shart hai awr isse Ada karne ka wahi tariqa hai jo Sajdah Tilawat ka hai.

Shab Bedari

15 Shaban ki raat yani Shab E Barat, Eid Ul Fitr awr Eid Ul Adha ki raaton me awr Mahe Ramadan ki akhri 10 Raaton me awr Zil Hajjah ki ibtedai 10 raaton me Shab Bedari mustahab hai. Raat ke aksar hisse me jagna bhi Shab Bedari hai. 

In Raaton me mehaz jagna Shab Bedari nahi balke asal Shab Bedari yeh haike agar kisi ke zimme Qaza Namazein ho to wo inhe ada kare warna Tanha Nawafil padhe, Tilawate Quran Majeed karna, Ahadees Mubareka padhna ya Sunna, Durood Shareef padhna sab behtareen Ibadatein hain, inme Mashgool ho. agar in muqadas raaton me Deeni Masail Seekhne Sikhane ki Majlis mayassar aajaye to ye isliye ziada behtar haike Ilm E Deen ka sikhna har Musalman par Farz hai.

Inme se Eidain ki raaton me Shab Bedari ye haike Isha awr Fajr dono Namazein  Jam'at E Aula se ho ke Sahih Hadees me Farmaya gaya "Jisne Namaz E Isha Jam'at se padhi isne Aadhi Raat Ibadat ki awr Jisne Namaz E Fajr bhi Jam'at se padhi isne sari Raat Ibadat ki". (Muslim)

Jo Shaks Do Tihai Raat sona awr Ek tihai raat Ibadat karna chahe isse Afzal yeh haike pehli awr pichli Tihai me soye awr Beech ki Tihai me Ibadat kare. agar koi Nisf Raat Sona awr Nisf Raat jagna chahe to iske liye Pichli Nisf Shab Ibadat karna Afzal hai.

Aaqa O Moula Ka Farman E Aalishan hai "Har Raat ka Jab Akhri Tihai hissa baqi reh jata hai to ALLAH Ta'ala Aasmaan E Duniya par Khas Tajalli farmata hai awr Woh Irshaad farmata hai, Hai Koi Dua Mangne wala ke Main iski Dua Qubool karo, Hai koi Mangne wala ke Main Isse Ata karo, Hai koi Maghfirat ka Talabgar ke Main Isse Baksh doon". (Bukhari)

Kalimate Taiyabaat

Imaan E Mujammil : "Main Imaan laya ALLAH Ta'ala par jaisa ke Woh Apne Naamo awr Apni Sifa'at ke saath hai awr Maine Uske Tammam Ahkaam, Zubaan se Iqrar awr Dil se Tasdeeq karte huye Qubool kiye".

Imaan E Mufassil : "Main Imaan laya ALLAH Ta'ala par awr Uske Farishton par awr Uski Kitabon par awr Uske Rasoolon par awr Qiyamat ke Din par awr Is Baath par ke Acchi awr Buri Taqdeer ALLAH Ta'ala ki taraf se hai awr Maut ke b'ad Zinda kiye jane par".

1 Pehla Kalma Tayyab : "ALLAH Ta'ala ke Siwa koi Ibadat ke Layaq nahi, Hazrat Muhammad ALLAH Ta'ala ke Rasool hain".

2 Dusra Kalma Shahadat : "Main Gawahi Deta hoon ke ALLAH Ta'ala ke Siwa koi Mabood nahi, Woh Akela hai, Uska Koi Shareek nahi, awr Main Gawahi Deta hoon ke Beshak Hazrat Muhammad ALLAH Ta'ala ke Bande awr Uske Rasool hain".

3 Teesrah Kalma Tamjeed : "ALLAH Ta'ala Paak hai awr Sab Tareefain ALLAH Ta'ala keliye hai awr ALLAH Ta'ala ke Siwa Koi Mabood nahi awr ALLAH Bohat Bada hai, Gunahon se Bachne ki Taqat awr Neeki karne ki Taufeeq ALLAH Ta'ala hi ki taraf se hai Jo Bohat Buland awr Azmat Wala hai".

4 Chawtha Kalma Tauheed : "ALLAH Ta'ala ke Siwa Koi Mabood nahi, Woh Akela Hai, Uska Koi Shareek nahi, Uske liye Baadshahi hai awr Usi keliye Tareef hai, Wahi Zinda Karta hai awr Wahi Maut Deta hai, awr Woh Khud Zinda hai Usko Hargiz kabhi Maut nahi ayegi, Bade Jalaal awr Buzurgi Wala hai, Iske Dast E Qudrat me Bhalai hai awr Woh Har Cheez par Qadir hai".

 5 Panchwan Kalma Astaghfaar : "Main ALLAH Ta'ala se Muafi Mangta hoon Jo Mera Malik hai, Har Gunah se Jo Maine Jaan Boojh kar kia ya Galti se, Jo Maine Chupkar kia ya Zahir hokar, Main Uski Bargah me Taubah karta hoon har Us Gunah se Jo Main Janta hoon awr Us Gunah se bhi Jo Main nahi Janta, (Ilahi !) Beshak Tu Poshida Baaton ka Janne Wala, awr Ayebon ko Chupane Wala, awr Gunahon ka Bakshne Wala hai, Gunahon se Bachne ki Taqat awr Neeki Karne ki Taufeeq ALLAH Ta'ala hi ki taraf se hai Jo Bohat Buland awr Azmat Wala hai".

6 Chatta Kalma Radd E Kufr : "Aye ALLAH ! Main Teri Panah Mangta hoon Iss Baath se ke Main Jaan Boojh kar Kisiko Tera Shareek banao, awr Main Tujhse Muafi Mangta hoon us Shirk ki bhi jisse Main nahi janta, Maine Isse Taubah ki awr Main Bezaar hua Kufr se awr Shirk se, awr Jhooth se, awr Gheebath se, awr Bid'at se, awr Chugli se, awr Be Hayayion se, awr Bohtaan se, awr Tamam Gunahon se, awr Main Islaam laya awr Main Kehta hoon "ALLAH Ta'ala Ke Siwa Koi Mabood nahi, Hazrat Muhammad ALLAH Ta'ala ke Rasool hain".

Alhamdullillah Summa Alhamdullillah "Namaz Ki Kitab" Musannif Ameere Ahle Sunnat Khalifa E Mufti E Azam E Hind Radiallhu Anh Hazrat Allama Moula Sayed Shah Turab Ul Haq Qadri Alaihi Rehma ki Tasneef Mukamal huye Dua Kijiye ALLAH Ta'ala Hazrat Ki Qabr Pe Khoob Rehmaton Ki Baarish Farmae awr Karwat Karwat Hazrat ke Darjaat mein Bulandi Inayat Farmae Unke Fuyooz O Barkaat Hum per Hamesha Jari O Sari Farmae awr Ulma E Haq Ulma E Ahle Sunnat Bilkhusus Mere Peer O Murshid Huzoor Sayyadi Taajush Shariah Hafidullah ka Saaya Hum Gunehgaron ke Saron par Ta Dair tak Qayam O Dayam rahe aameen summa aameen. Post Likhne me Mujh Gunahgar se koi Galti ya Khami huye hoto main Taubah karta ho ALLAH Ta'ala uske Habeeb ke sadqe mujhe Muaf farmaye aameen.


 Created From :-  Namaz Ki Kitab
Written :- Sayed Shah Turab ul Haq Qadri Alaihi Rehma.
                        Khalifa e Mufti e Azam e Hind Radiallahu Anh
                                          Karachi Pakistan.


Talib e Dua

Ghulam e Taajush Shariah
Mohammed Abrar Khan Razvi
(Admin Dars E Fiqah Groups)


↪ To Join ⤵
Dars E Fiqah
WhatsApp Group

📲 +919886596449

📍 Like FB Page
📧 https://www.facebook.com/Dars-E-Fiqaha-1496837920620194/

Comments

  1. Alhumdulillah SubhanALLAH MashaALLAH JazakALLAH

    ReplyDelete
  2. Assalamu alaikom. Main Bangladesh se ho. Main ak chiz dund raha ta kafi der se pr mil negi raha..

    Sawal ka jawab agar ap de de to bht accha lagta muze 😊😍

    #qabar ucha aur pakke krna ahle sunnat wala jamat main jayez hain. Iski dalaiel agar ap collect krdey to accha hota..

    Muze urdhu bolna nehi ata pr samaj ata hai. Agar koiyi galti ho to maf kor dijiye ga 🙂🙏🏾

    ReplyDelete
  3. Salam mujy ye pochna hai aapki es blog me ye likha hai k jo koi namaz na parhta ho ousk sath baat cheet band krden salam na kren hukka pani band krden taky ousy ehsas ho esa phly kabhi nhi suna koi hadees share kren es hawaly se authentic plz or jo bilkul nhi parhta ho ya phr gahy bagahy prta ho wo bhi aik ya do ousk ley bhi yahi baat lago hogi or agr shoher esa kary tk biwi ko qata tauluq krdena chahey plz bataey?

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Shaan E Mustafa (100 Sahih Ahadees)

AQAID E AHLE SUNNAT AHADEES KI ROSHNI MEIN (COMPLETE 100 HADEESON KE COLLETION KE SATH) Chapters :-   1     Ikhtiyare Mustafa ﷺ    par 20 Hadees 2     Huzoor ﷺ Jaisa koi nahi par   15 Hadees 3          Huzoor ﷺ wisaal ke baad   bhi zindah hai   Par 15 Hadees 4     Ilme Gaib E Mustafa ﷺ Par 25 Hadees 5          Allah Ta'ala Ki Baargah Me Uske Mehboob Bando Ko Waseela Banana Par 6 Hadees 6          Shafa'ate Ambiya Wa Awliya Wa Olma Par 6 Hadees 7          Ishq E Rasool Wa Tazeeme Nabi ﷺ Par 8 Hadees 8     Bad-Mazhab Aur Gumrah Firqon Ki Pehchaan Par 5 Hadees ✔ Saari Haddesein Siyah Sittah Ke Hawalo Ke Sath Hain Jisko Har Maqtaba E Fiqr Ke Log Maante Hain. Chapter I IKHTIYAR'ATE MUS...

Mukammal Nam'az

01 Ghusl Wazu Azan Quran KUCH GHUSL K BAARE MEIN...1 ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ GHUSL..yani.. NAHAANA ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ 🔹GHUSL me kitne farz hai...? ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ 🔹ghusl me 3 farz hai agar unme se aik me bhi kami hui to ghusl nahi hoga... 🔹munh bhar kulli karna...ayse k hont se halaq ki jad tk...daadhon k piche gaalon ki teh mein...daanton ki jad or gaps mein har jaga paani beh jaye... 🔹naak mein pani chadana...ayse k dono nathunon ka jahan tak naram hissa hai wahan tak pani pohonch jaye....bal k baraabar bhi jaga dhulne se reh na jaye... 🔹tamam zaahiri badan yani sar k balon se pairon k talwon tak jism k har purze har rongte har hisse par paani bahana.. ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ 🔻GHUSL ka.....           sunnat tariqa kya hai..? ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ 🔹guslkhaane me daakhil hone or libaas duur karnese pehle ( kapde utaarne se pehle ) niyyat or Bismillah sharif or jo bhi ghusl ki dua ho wo padh lein... 🔹pehle dono haath gatton tak 3 bar dho lein...  🔹fir peshaab paakhsane ki jagah ...