Melad Ki Sharai Haisiyat Allahu Rabbu Muhammadin Salla Alaihi Wasallama Nahnu Ibaadu Muhammadin Salla Alaihi Wasallama ➖➖➖➖➖➖➖➖➖ Eid E Melad Un Nabi ﷺ Ki Sharai Hasiyat Mahe Rabiul Awwal Mein Umooman awr 12 Rabiul Awwal ko Khususan Aaqa E Do Jahan ﷺ ki Wiladat Ba Sa'adat ki khushi me pore aalame Islam mein Mahafile Melad munaqid ki jati hain awr Melad Un Nabi ﷺ ki Khushi Manai Jati hai. Huzoor E Akram ﷺ ka Melad Manana Jaiz O Mustahab awr Mohabbate Rasool ﷺ ki Alamat hai awr Iski Asal Qur'an O Sunnat se Sabit hai. Zikre Melad E Mustafa ﷺ Hukum E Qur'ani bhi hai awr Sunnate Ilahi Bhi Irsh'ade Bari Ta'ala Hua : "Awr Inhe ALLAH ke Din Yaad Dilao" (Surah Ibrahim Ayat 05) Imamul Mufassareen Sayeduna Abdullah Bin Abbas ke Nazdeek Ayam Ullah se Murad wo din hain jisme Rab E Ta'ala ki kisi Nem'at ka nuzool hua ho : in ayam me sabse badi Nem'at ke din Sayyad E Aalam ﷺ ki Wiladat O Meraaj ke din hain, unki yaad qayam karna bhi is aya...