Skip to main content

Mukammal Nam'az

01 Ghusl Wazu Azan Quran


KUCH GHUSL K BAARE MEIN...1
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
GHUSL..yani.. NAHAANA
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹GHUSL me kitne farz hai...?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹ghusl me 3 farz hai agar unme se aik me bhi kami hui to ghusl nahi hoga...
🔹munh bhar kulli karna...ayse k hont se halaq ki jad tk...daadhon k piche gaalon ki teh mein...daanton ki jad or gaps mein har jaga paani beh jaye...
🔹naak mein pani chadana...ayse k dono nathunon ka jahan tak naram hissa hai wahan tak pani pohonch jaye....bal k baraabar bhi jaga dhulne se reh na jaye...
🔹tamam zaahiri badan yani sar k balon se pairon k talwon tak jism k har purze har rongte har hisse par paani bahana..
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔻GHUSL ka.....
          sunnat tariqa kya hai..?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹guslkhaane me daakhil hone or libaas duur karnese pehle ( kapde utaarne se pehle ) niyyat or Bismillah sharif or jo bhi ghusl ki dua ho wo padh lein...
🔹pehle dono haath gatton tak 3 bar dho lein...
 🔹fir peshaab paakhsane ki jagah dho lein chaahe gandgi lagi ho ya na lagi ho...
🔹fir badan pr kahin bhi gandagi...naapaaki lagi ho to use door kare.
🔹fir wuzu kare fir badan par tel ki maalis ki jaati hai is trah paani masle...khaas kr thandi k mosam mein k.....
     is mausam mein badan ki ruwein tani hui hoti hai jis ki wajeh se chamdi tak paani nahi pohonch paata...
🔹fir 3 baar sidhe kandhe pr paani bahaye...
🔹fir 3 baar ulte kandhe pr pani bahaye...
🔹fir sar or tamam badan  ( body ) par 3 bar pani pohnchaye...
🔹nahaate huwe kisi trah ki batchit na kare...
🔹nahane k bad foran kapde pahen lein...



KUCH GHUSL K BAARE MEIN...2
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔻GHUSL mein kin baaton ka khaas khayal rakhna chahiye...?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 🔹agr mard k baal gundhe huwe hon...choti ki trah...to unhein kholkr jad se nok tak pani bahana farz hai..
🔹awrat ko sirf baalon ki jad tar kar lena kaafi hai kholna zururi nahi...agar choti itni fit gundhi hui ho k khole bagair jadein tar na hogi to kholna zururi hai...
🔹agar kaanon mein baali ya naak me nath ka hole ho ya jism k jis hisse mein bhi hole or wo band na ho to usme pani bahana farz hai..
     wuzu mein sirf naak or ghusl me kaan k hole me bhi or jis hisse mein bhi ho pani bahaaein....
🔹haathon ko uthaakar baglein dhoein...paani bahaaein...
🔹pet me jo silwatein ( motaape ki waja se ) ho to unhein uthaa kr dhoein...
🔹naaf (dooti ) me bhi paani daalein or behne me shak ho to ungli dal kar dhoein...
 🔹dono surhiin ( badan k jis hisse par ham bethte hain ) un dono k milne ki jagah par khaas tawajjo se paani bahaein...
 🔹zakar ( peshab ki jaga ) or unsayain ( pote..goliyaan ) dono chizon k biche ki jaga jad tak dhoein.
 🔹jiski khatna na hui ho or uski chamdi chad sakti ho to chamdi chadaa kar pani ponhchayein...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹ORTON ( ladies ) k liye....
                        khaas ahtiyaat..
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹jhuki hui pistaanon ( sinon ) ko uthaa ksr pani bahaaein...
🔹pet or pistaan k jod ki lakir khaas dhoein...
🔹agr nail polish naakhunon par lagi hui hai to usko chudana ( alag karna ) farz hai warna ghusl nahi hoga...
🔹aaj kal baalon ko mukhtalif rangon se rangne ki fashion chal padi hai..
     suna hai k wo jo chemicals hote hain wo baalon par cover ki tarah chad jate hai to.....
      agar aysa hai to baalon tak paani ponhchega hi nahi to ghusl kaise hoga...
     to tehqiq kar k aysi istemaal karein....or ho sake to bachein....
🔹albatta mehndi ho to us k rang mein koi haraj nahi....



KUCH GHUSL K BAARE MEIN...3
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔻GHUSLE janaabat.....
               kise kehte hain...?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹miyaan biwi ki makhoos mulaqat...( wazifa e zaujiyat ) k bad jo ghusl kiya jata hai use ghusle janaabat kehte hain...
 🔹ghusle janaabt farz hai...or jb bhi farz ho foran ghusl kar lein or itni der hargiz na krein k namaaz qaza ho jaye...
🔹is trah ka ghusl jis pr farz hai use JUNUB kehte hai...
🔹jis ghar mein junub...ya kutta...ya taswir ho...us ghar mein rehmat k farishte nahi aate...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔻GHUSL kin...
          baaton se farz hota hai...?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔸5 baton se ghusl farz hota hai...
🔹mani ka apni jaga se shehwat ( josh ) k saath juda hokar uzwu ( peshab ki jaga )se nikalna...
🔹ahtilaam ......yani sote me mani ka nikal jana.....
🔹awrat ki sharamgaah mein HASHFA (supari ) dakhil ho jana...chahe shehwat ( josh ) ho k na ho...INZAAL ( josh se mani nikalna ) ho ya na ho...dono par ghusl farz hai...
🔹awrat par haiz se faarig ( band ) hone k bad..
🔹awrat par nifaas se faarig ( band ) hone k bad..
🔹NIFAAS... matlab bachche ki paidaaish k bad awrat ko jo khoon aata hai use nifaas kehte hai...
🔹NIFAAS ki zyada se zyada muddat 40 din hai....agr 40 din k bad bhi band na ho to bimari hai..ayse haalaat mein ghusl kar k namaaz shuru kar dein...
🔹40 din pure hote hi ghusl kar lein...agr 40 din se pehle band ho jaye to ghusl kare or namaaz shuru kr dein...



KUCH GHUSL K BAARE MEIN...4
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔻GHUSL k kuch aur masaail...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹agr mani shehwat k sath na nikle bl k....
🔻wazan uthane se......
🔻ya unchi jaga se girne se.....
🔻ya paakhaane karne mein taaqat lagsane se.....in wujuhaat se nikli to.....ghusl farz nahi.....
🔹agr mani patli pad gayi or peshaab k waqt ya waise hi bagair josh k nikle to ghusl farz nahi ...albatta wuzu toot jayega...
🔹agr nind mein ahtilaam hona yaad hai magar kapde pr koi nishaan nahi to ghusl farz nahi...
🔹apne haathon se maadda (mani ) nikaalnese ghusl farz ho jata hai...matlab....apne hath se peshab ki jaga masal kar mani nikaalne se...ghusl farz ho jata hai..
🔹Mafhume Hadis...
     Mushte zani karnewala ( haath se mani nikaalne wala ) MALUUN hai...yani  uspar laanat hai...
🔹aysa karnese mardana kamzori bhi paida hoti hai or aksar dekha gaya k aysa karnewale SHAADI k laayaq nahi rehte...
🔹Siyedi AalaHazrat....alyhirrahman...is trah k aik sawaal k jawaab me farmate hai...
     aysa karnewala gunahgaar hai...faasiq hai...or hashr mein ayse logon ki hatheliyan HAAMELA hongi or itne bade majma e aazam me uski ruswaayi hogi agar TAUBA na kare...fir ILAAJ tehrir farmate hai....
 🔹ayse logon ko chaahiye k khoob zyada laahol sharif padhe...or jab bhi shaitan is kaam ki taraf bulaye foran laahol padhe....
🔹namazon ki paabandi kare...or namaaze fajr k bad surae IKHLAAS padhe....QUL HUWALLA HU AHAD...puri surat padhe....
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔻DARYA or TAALAAB or BAARISH  me GHUSL kaise kare ....?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹darya ya naher mein ghusl karne k liye sirf...thodi der pure jism ko pani me dubaa kar ruke rahein ghusl ho jayega.......kulli zurur krein or naak mein pani bhi chadayein...
 🔹taalaab..ya hoz mein ya koi thehre huwe pani me ghusl k liye pani mein utar kar apne badan ko 3 bar harkat dein ya jaga badlein or kulli or naak mein pani chadayein..
🔹baarish me khada ho gaya or saare badan par pani pohonch gaya or kulli or naak mein paani chadha lein ghusl ho jayega..



KUCH WUZU K BAARE MEIN...1
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔻WUZU kise kehte hai....?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹chehra dhona....
🔹kohoniyon k sath dono haath dhona..
🔹takhnon k sath dono pair dhona.
🔹chothaai..1/4..sar ka masah karna.
🔹ise WUZU kehte hai...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔻WUZU k faraiz kya hai....?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹isme 4 farz hai...chehra dhona...kohoniyon k sath dono haath dhona...takhne k sath dono pair dhona..or chothaai sar ka masah karna...
🔹wuzu k bagair namaaz hoti hi nahi...
🔹mafhume hadis...
      wuzu kar k sonewala roza rakhkr ibadat krnewale ki tarah hai...
🔹mafhume hadis...
      jisne "Bismillah" kehkr wuzu kiya uska sar se pair tak sara jism paak ho gaya...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔻WUZU ka tariqa kya hai...?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹pehle wuzu ki niyyat kare...bismillah....padhe...wuzu se pehle...bismillah wal hamdulillah...keh lein to jb tk wuzu rahega fariste nekiyan likhte rahenge...
🔹dono haath pohnchon tk 3 bar dhoyein...
🔹miswaak karein..na ho to danton pr ungli malein...
🔹3 chillu se 3 bar kulli karein is trah k munh ke hr purze tk pani ponhche...roza na ho to ghargharaa karein...
🔹naak mein narm haddi tak paani chadha kr saaf karein...3 bar...
🔹chehre ko 3 bar dho lein is trah k sar k  baalon ki jad se todhi tk....dadhi ho to dadhi samet..or aik kaan ki lo se dusre kaan ki lo tak pure chere pr se pani beh jaye...
🔹daadhi ho to uska khilaal krein...sidhe haath ki ungliyon ko gale ti trf daadhi mein daakhil kr k aage ki trf nikaalein...
🔹fir kohoniyon k sath dono hath dhoein...
🔹is k bad chothaai sar masah karein..dono hathon ko pani se tar kr lein or ungliyon ke kinaron ko aapas me milakr peshani k qarib balon ki jad se malte huwe is trah sar ke pichle hisse ki traf le jayein k ungliyan or hatheli balon se lagi hui ho...
🔹bad me ungliyon ke pichle hisse ko gardan pr pherein...
🔹dono hath k kalme ki ungli se kaan ka masah karein or anguthon se kaan ke pichle hisse ka masah karein...
🔹dono pairon ko takhne sath dho lein...pair dhote waqt ulte hath ki aakhri ungli ko pairon ki ungliyon k darmiyan dakhil karein..
🔸KHAAS BAAT.....kisi bhi hisse ko dhone ka mtlb hai k us hisse pr kam se kam 2 qatre pani beh jaaye...sirf bhig jaane ya pani to tel ki trah masal lene ya aik qatra beh jaane ko dhona nahi kahenge or na hi is trah WUZU ya GUSUL adaa hoga...
🔸sardiyon k mosam me wuzu se pehle paani se haath bhiga kr wuzu k aaza pr chapad lein k bad mein paani behne mein aasaani ho k jaadon k is mosam mein ruein tani hui hone ki wajah se pani chamdi tak nahi ponhonchta hai...



KUCH WUZU K BAARE MEIN..2
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔻WUZU kin baton se tutta hai...?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹peshaab...paakhaana...wadi...mazi...mani...keeda...pathri...
       ye chizein mard ya awrat k aage ya piche k maqaam se niklein to wuzu jaata rahega...
🔹mard ya awrat k piche se mamuli si hawa bhi nikli to wuzu toot gaya...or agar aage se nikli to wuzu nhi tootega...
🔹behosh ho jaane se wuzu toot jaata hai...
🔹wuzu karte huwe agr hawa chuti ya koi or wajah se wuzu tiit jaaye to fir shuru se wuzu karein...
🔹munh se khoon nikla...agr thook se zyada hai k thook laal ho jaaye to wuzu toot jayega...sirf itna khoon nikla k thook piila huwa to wuzu na tootega...
🔹munh bhar womit k jisme khaana...paani...ya piile rang ka kadwa paani ho to wuzu toot jayega...
      Munh bhr womit k mtlb itni womit k jisko rokne me taklif  ho....or itni womit agr ho to peshab ki trah NAAPAAK hai...
🔹ruku sajde wali namaaz me baaligh ne aawaaz k sath zor se hasaa k or logon ne bhi suna to wuzu bhi toota or namaaz bhi gayi...or baghair aawaaz k sirf muskraya to na wuzu toota na namaaz gayi....
🔹agr baalig namaaze janaajah me aawaz k sath zor se hasaa to namaaz toot gayi...wuzu nahi tootega...namaaz se bahar koi zor se hase to wuzu nahi tutega...
🔹aankh ki bimaari ki wajah se jo aansu nikle wo naapaak hai or wuzu bhi toot jayega...
🔹sirinj k zariye test karne k liye khoon nikaalne se wuzu toot jaata hai..
🔹nas me injection lagaate waqt agr pahle khoon khincha k khoon sirinj tk beh kar aagaya to wuzu toot gaya...
🔹isi trah glucose ya kisi bhi trah ka bottel chadhane se bhi wuzu toot jaata hai isliye k pahle khoon khinch kr sirij me lete hai or khoon nikal bahe to wuzu toot jaata hai...
🔹wuzu todne wali aysi surtein jinki aksar zarurat padti hain wo surtein bata di gayi jin surton se hm do char hote hain.....
     in surton k alaawa kisi surat se wasta pade to ahlesunnat k ULMA se ruju karein...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔻WUZU kin baton se nahi tutta..?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹naak saaf ki...usme se jama huwa khoon nikla...wuzu na toota...
🔹aam logon me mashhoir hai k ghutna dekhne se ya khul jaane se .....apna ya dusre ka satar dekhne se wuzu toot jaata hai...ye baat ghalat hai isse wuzu nahi tootta...
🔹jo aansu rone me nikalte hai na unse wuzu tootta hai nahi wo naapaak hai...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔻PAAN khane wale tawajjo dein...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹paan kasrat se khaane wale ( zyada khanewale ) bhaaiyon se iltija hai k aksar dekha gaya k zyada paan khane ki wajah se paan k zarraat or suke k  baarik tukde daanton k gap me fas jaate hai or ayse chipak jaate hai k na khilaal na miswaak koi chiz use chuda nhi paati siwa kulliyon k  .
      .ayse afrad ko chahiye k munh me paani bhar k khoob jumbish dein khoob or zor se munh me ghumaein k baarik zarre jo danton or un k gap mein fase huwe hai chutkr alag ho jayein chahe us k liye 10 kulli ya usse zyada kulli karna pade....
🔹Mafhume Hadis...
     Jab banda namaaz k liye khda hota hai farista us k munh pr apna munh rakhta hai.........
       ye jo padhta hai is k munh se nikal kr fariste ke munh me jaata hai us waqt agr khane ki koi chiz daanton me hoti hai farston ko isse aysi tklif hoti hai k kisi or chiz se nahi hoti......

   sallallahu Alayhi Wasallam



KUCH AZAAN K BAARE MEIN...1
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹AZAAN sune to kya kare....?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔸azaan me kul 15 kalemaat hai.
🔸MAFHUME HADIS...
🔸juzwe hadis...
🔸agr koi musalman awrat aik mukammal azaan ka jawab de to yani muazzin jo bhi kahe usko dohrati jaye to.....
   🔹15,00,000...pandra LAAKH nekiyan milegi...
   🔹15,000 darajaat buland honge...
   🔹15,000 gunah muaf ho jayenge...
   🔹Or agr musalman mard ye jawaabat de to is sawab se double sawab milega..( kanzul ummaal )
🔸isi trh andaaza lagaaye k 5 waqt ki azaan k jawab apne kaam kaaj chod kar dedein to kitna sawaab mil sakta hai...?
🔸jo bhi azaan k waqt baaton me laga rahe uska khaatma bura ho sakta hai....( Bahaare shriyat )...
🔸FAZILAT...mafhume hadis...
     Aaqa...alayhissalaam...ne aik sahabi k intiqaal k bad frmaya k...kya tumko malum hai k Allah ne use jannat mein daakhil frmaya...
      logon ko sun k tajjub huwa kyun ki zahir mein un ka koi bohot bada nek amal na tha...ye sunkr koi un k ghar walon se puchne pohnche to bataya gaya k...un ka koi khas amal to na tha lekin jab bhi azaan hoti apne tamam kaam kaaj chod kar ghor se azaan sunte or jawab dete the...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔸AZAAN sun kr jawab.....
                        kaise dein...?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔸muazzin jo bhi kalima kahe usko dohraate jaayein...
🔸jb "ASHSHADU ANNA MUHAMMDAR RASULULLAH" kahe to ye dohra kar ye kahe "sallahu alayka ya rasulallah" kahe.....
     or dusri bar jab kahe to "qurratu aini bika ya rasulallah" kahe...
🔸jab...hayya alassah...hayya alal falah...kahe ise dohra kar ..."laahawla walaa quwata illa billah"..kahe...
🔸azaane fajr me jab...assaatu khairum minan naum...kahe to ye kahe...sadaqta wabararta wabil haqqi nataqta...kahe....



KUCH AZAAN.K BAARE MEIN...2
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹AZAAN k bare mein.....
                      kuch or maalumat...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔸namaaz ki azaan k alawa dusri azaanon k bhi jawab dein jaise bachche k kaan me paida hote waqt ki azaan...
🔸raste pr chal rahe the k azaan ki aawaaz to behtar ye hai k ruk jaye azaan k jawab de...
🔸azaan k waqt salaam...kalaam...salaam ka jawab...quraan ki tilaawat...bhi rok de or azaan k jawab de...
🔸agr aik sath bohot sari azaanein ho rahi ho to sirf pehli ka jawab de...behtr ye hai k sb ka jawab de...
🔸muqtadiyon ko KHUTBE ki azaan ka jawab nahi dena chahiye.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹AZAAN kab kab di jaa sakti hai.?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔸bachche ki paidaish pr us k kaan me...
🔸ghamgin k saamne...
🔸mergi wale k kaan me....ye aik bimari hai jisme achanak behosh ho kr gir jata hai...
🔸ghusse war aadmi k kaan mein...
🔸badmizaaj jaanwar k kaan mein....
 🔸aag lagne k waqt...
🔸maiyyat ko dafnanane k bad...
🔸jin ki sharkashi k waqt...
🔸jungle me raste bhul jaye or koi batanewala na ho us waqt...
🔸wabaa....aam bimari k zamane mein....




AZAAN SE PEHLE DURUD PADHNA
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹AZAAN se pehle durud sharif pad sakte hain...?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔸WASWASAA...
     Huzur...sallallahu alayhi w aalihi wasallam...ki zahiri hayaat me or Khulfa e raashidin....alyhimuurridwaan...k dor me jb azaan se pehle durud sarif nhi padha jata tha...isliye ab aysa karna buri BID'AT or GUNAH hai...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔸WASWASE ka JAWAAB....
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔸agr isi nazriye ko maan liya jaye k jo kaam US dor me nhi hota tha wo ab IS dor me buri bid'at or gunah hai...to.....
     is dor ka pura nizaam..system..hi darham barham ho jayega....
 🔸ayse kaam jo US dor mein nahi the or ab is dor mein sabhi logon ne apnaye huwe hai....misaal k tor pr...
     🔹Quraane paak pr NUKTE or ZER...ZABAR...PESH...hajjaaj bin yusuf ne 95 Hijri me lagwaye ...
     🔹Quaane paak ki printing ki system...
     🔹masjidon k bich me imaam k khade rehne k liye MEHRAAB na thi...bad me ye system apply hui...
     🔹6 KALME....aaj madarse mein jo padaye jaate hai...nhi the...
     🔹Ilme SARF...NAHU...Ilme HADIS....types of Hadis...
     🔹SHRIYAT...TARIQAT k 4 silsile......ZABAAN se namaaz ki niyat...
     🔹AEROPLANE se Hajj ka safar..
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔸ye SAARE kaam US mubaarak dor me nhi the lekin ab IS dor me koi GUNAH nahi kehta.... To sirf  Azaan se pehle durud sarif padna hi bid'at...?
🔸YAQINAN...yaqinan har wo nayi chiz jo na sunnat k khilaaf ho na hi sunnat ko mitaane wali  ho or SHRIYAT ne us chiz ya kaam se roka na ho BID'AT E HASANAH hai or MUBAH hai.....yani achchi BID'AT or JAAIZ hai...
🔸Hadise paak ka mafhum...
     jisne bhi musalmaano mein koi achcha tariqa shuru kiya or bad me us tariqe pr amal kiya gaya to us tariqe pr amal karnewalon ka AJAR bhi shuru karne wale ko milega or amal krnewalon k ajar me kami na hogi...
🔸Ho sakta hai kisi k zahen mein ye sawal aaye k...HADIS me hai k...MAFHUM.....k har bid'at gumrahi hai or gumrahi jahannm me le jaanewali hai....( miskat sarif )....
🔸To isse murad BID'AT E SAIYEAH hai yani buri bid'at hai...or wo bid'at jo sunnat ko mitanewali ho ya sunnat k khilaf ho wo YAQINAN buri bid'at hai...
🔸siyeduna SHAIKH ABDUL HAQ....MUHADDIS dehelwi....alayhirrahman...frmate hai...jo bid'at usul or qawaaede sunnat k muwafiq or us k mutabiq QIYAAS ki hui hai .......( yani sunnat o shariyat se nhi takraati )... usko BID'AT E HASANAH kehte hai or jo is k khilaf ho wo bid'at..gumrahi kehlati hai....( ashiatul lamaat )
🔸ab jo log ise BID'AT kehte hain wo bataye k AZAAN se pehle durud sarif padne se konsi sunnat takrati hai ya sunnat ko mitati hai....lihaza AZAAN se pehle durud sarif pad sakte hai.....



QURAANE MAJEED K BAARE MEIN...1
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔸QURAAN kya hai....?
🔹quraan majid Allah k kalam hai jo usne sabse afzal RASUL Hazrat MUHAMMED...sallallahu alyhi wasallam...par naazil kiya..
🔹quraan mein jo kuch bhi likha hai us par IMAAN lana zururi hai...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔸QURAAN Allah ka kalam hai... Ye kaise malum huwa...?
🔹quraan majid Allah ka kalam hone par apne aap dalil hai k khud aelaan k saath keh raha hai k ...
🔹agr tum is kitab mein jo hmne apne khaas bande MUHAMMED..alyhissalaam...pr utari hai is pr shak ho ya to is jaisi koi choti surat laao.....
🔹lihaza kaafiron ne is k muqable me ji tod koshisein ki mgr is k jaisi surat to kya aik aayat bhi n bana sake...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔸QURAAN mein Allah ne khaas baat kya rakkhi....?
🔹quraan se pehle jitni kitabein or NABIYON pr utri wo sirf NABIYON ko hi yad hoti thi...
🔹Ye quraan ka MOEJIZAH hai k musalman ka bachcha bachcha ise yaad kr leta hai....
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔸QURAAN azeem kitne arse mein naazil huwa...?
🔹23 sal ki muddat mein pura quraane majid naazil huwa...( taqriban..lagbhag )...
🔹quraane karim ki surtein or aaytein zarurt k mutabiq aik aik do do kr ke utartein thi.....
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔸QURAAN padne mein kitna sawab milta hai...?
🔹Hadise paak mein Aaqa...alyhissalaam...frmate hai k....jo sakhs kitabullah ka  Aik harf  padega usko aik neki milegi jo das nekiyon k barabar hogi Mein ye nhi kehta k "alif..laam..mim" aik harf hai Bl k.....
     "alif" aik harf "laam" dusra or  "mim" tisra harf hai....




QURAAN MAJEED K BAARE MEIN...2
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔸QURAAN ko padna na sikhe wo musalman kaisa hai...?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹Aaqa...sallallahu alyhi wasallam....ne frmaya...jis k sine mein kuch QURAAN nhi hai wo werane makaan ki tarah hai...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔸QURAAN padne k aadaab.....
                      kya hai...?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹pehle wuzu kre...k bagair wuzu k quraan ko hath lagana gunah hai...
🔹quraan padne se pehle munh ko saf kre k kisi bhi trh ki badbu yani baas na aa rhi ho...
🔹qible ki trf munh kr k baithe...
🔹theher theher kr pade...khub tezi k sath n pade...
🔹suru krne se pehle AUZU BILLAH....OR....BISMILLAH....pade...
🔹jahan koi soye hon aysi jaga unchi aawaaz se na padhe...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔸QURAAN karim padne k qabil na rahe to kya kare...?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹jb quraan padne k qabil na rahe purana ho jaye us k waraq idhr udhr ho jane ka dar ho....
🔹tilaawat k qabil na rahe to kisi paak kapde mein lapet kr aysi jaga dafan kare k us jaga kisi ka pair na pade...
 🔹dafan krne mein bhi lahad banayi jaye ta k quraan pr matti na pade....
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔸QURAAN sarif kis liye aaya..?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹Allah ne apne bndon ki hidayat o rehnumaai k liye quraan e azeem utara..
🔹is liye bande ALLAH OR US K RASUL KO JAANE un k ahkaam ko pehch
anein...
🔹Allah ki marzi k mutaabiq kaam karein or un kaamon se bache jo ALLAH OR RASUL ko pasand nhi....



02 Namaz ki Malumath


NAMAAZ KI MAALOOMAAT...1
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹NAMAAZ kise kehte hai...?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔸har din raat mein paanch baar Allah ki ibadat ka wo khaas tariqa jise musalman ada karte hai NAMAAZ kehlata hai...
🔸ye tariqa musalmaanon ko ALLAH OR RASUL ne QURAAN OR HADIS me sikhaya...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹NAMAAZ kis par farz hai...?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔸hr samjdar baalig mard or awrat par namaaz FARZ hai...
🔸jo bhi namaaz ko FARZ na jaane wo KAAFIR hai...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹NAMAAZ bachchon par.....
              bhi farz hai...?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔸na baalig ladke or ladki pr padna farz nahi...
🔸lekin jb bachche ki umar 7 sal ki ho to use namaaz padna sikhana chahiye...or taakid bhi kare.
🔸or jb 10 sal ke ho jaye to maar kr bhi padhana chahiye...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹NAMAAZ jo bhi na padhe wo kaysa hai...?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔸Huzur...sallallahu alyhi wasallam...ne frmaya... Jisne namaaz jaanbuj kar chodi uska naam jahannam k darwaze pr likh diya jaata hai...
 🔸Allah or Rasulullah usse bezaar hai...
🔸or jo namaaz ka paaband nahi wo qayamat k din FIRON k sath hoga...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹NAMAAZ jo na padhe to is dor mein kya saza deni chahiye...?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔸be namaazi k sath khaana... pina...  baatchit... Mel jol... Salaam...wagaira chod dena chahiye...
🔸k is chod dene se wo dar kr namaaz ki paabsndi krne lage...
🔸uska huqqa pani band kr dein...



NAMAAZ KI MAALUMAAT...2
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹NAMAAZ ki fazilat...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔸Mafhume Hadis...
     Aaqa...alayhissalaam...frmate hai...jb musalman banda Allah k liye namaaz padta hai to us k gunah ayse jhadte hai jaise pat jhad k mosam mein jhaad k patte jhdte hai...
🔸or jb koi namaaz k liye khada hota hai to us k liye jannaton k darwaze khol diye jate hai...
🔸namaaz jannat ki kunji ( chaabi..key ) hai...
🔸namaaz diin ka khamba hai....
🔸jisne ise qaayam rakkha usne din ko qaayam rakkha....
🔸jisne ise chod diya usne din ko gira diya...
🔸Mafhume Quraan.....k...
     namaaz buri baaton or behayayi se rokti hai...
🔸KHULASA...namaazi se Allah or Rasulullah pyaar karte hai...us k rizq me...kaarobaar mein...umar mein...iman mein...TARAQQI OR BARKAT hoti hai...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹BAALIG kise kehte hai....?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔸LADKE....ko 12 se 15 saal ki umar k darmiyan AHTILAAM hona...ye BAALIG hone ki nishaani hai...
🔸LADKI...ko 9 se 12 saal ki umar k darmiyaan HAIZ aana...ye BAALIG hone ki nishani hai.....
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹AHTILAAM kise kehte hai...?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔸ladke ko nind ki haalat mein peshaab ki jaga se chikna gadha maadda ( ragde ki trh ) shehwat k saath nikle.... Isko AHTILAAM kehte hai...
🔸chahe koi khwaab dekh kr ho ya khwaab na dekha magar kapde pr ayse nishan dekhe to bhi ye ahtilaam hai.....
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹HAIZ kise kehte hai...?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔸LADKI ko 9 se 12 sal ki umar mein peshaab ki jaga se kam se kam 3 din ya zyada se zyada 10 din khoon ka aana.... Ise HAIZ kehte hai...
🔸jitne waqt haiz ki haalat mein rahegi itne  waqt namaaz maaf hai jaise hi haiz se farig hogi foran us waqt se fir namaaz padhna shuru kar de.....
🔸agar 3 din se kam ya 10 din se zyada hai to ye ISTIHAAZA ( bimaari ) hai....
🔸agar 10 din se zyada hai to 10 din k bad awrat ko namaaz padni hai chahe khun jari ho tab bhi..
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹Agr BAALIG hone ki umar tk koi nishani zahir na ho....?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔸agr ladke ki umr 15 sal ho gayi or ATILAAM na huwa tb bhi BAALIG kehlayega or islami qaanun k hisaab se ab tamaam ahkamaat pr amal karna hoga warna gunahgar hoga...
🔸agr ladki ki umar 12 saal ho gayi or HAIZ na aaya tb bhi ab wo BAALIG hai or islam k tamam qanun uspar naafiz ho jayenge....




NAMMAAZ KI MAALUMAAT...3
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹Paanch waqt ki NAMAZON me kitni rakatein farz hai...?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔸rat din ki namaazon mein 17 rakatein FARZ hai....
🔸2 fajr
🔸4 zohar
🔸4 asar
🔸3 magrib
🔸4 ishaa
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹Sab NAMAAZON mein kitni rakatein sunnate MU AKKDAH hai....?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔸sab namaazon mein 12 rakatein sunnate muakkadah hai...
🔸2 fajr
🔸4 zohar se pehle 2 bad ki
🔸2 maghrib farz k bad
🔸2 isha farz k bad
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹Sab namaazon mein sunnate gair MU AKKADAH or NAFL kitni rakatein hai...?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔸4 rakat asar se pehle....
🔸4 rakat isha se pehle....
🔸2 nafl zohar k bad
🔸2 nafl magrib k bad
🔸2 nafl isha k bad
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹WITAR ki NAMAAZ.....
           farz hai ya sunnat...?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔸WITAR ki 3 rakatein na farz na sunnat bl k WAAJIB hai...
🔸ye isha ki farz or sunnat or 2 nafl k bad padi jati hai...




NAMMAAZ KI MAALUMAAT...4
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔻FARZ kise kehte hai....?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹jiska karna bohot zururi hai...
🔹jo shriat k qataei dalilon se sabit hao...
🔹farz ka inkar karnewala kaafir hai..
🔹bagair kisi shraie mjburi k chodne wala FAASIQ OR AZAAB ka haqdar hai...
🔹aik bar bhi bagair uzr k farz namaaz janbujkr QAZA kare wo faasiq bde gunah krnewala or azaab k mustahiq hai...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔻WAAJIB kise kehte hai...?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹jis ka karna zururi hai...
🔹jo shariat k zanni dalilon se sabit ho...
🔹jiska inkaar karnewala gumrah or badmazhab...
🔹bagair kisi uzr k chodnewala faasiq or azaab ka mustahiq hai..
🔹kisi waajib ko jaanbujkr aik bar chodna chota gunah hai or bar bar chodna bada gunah hai...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔻SUNNATE MUAKKADAH kise kehte hai...?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹jiska adaa karna zururi hai or adaa karne me bada sawab hai...
🔹jisko Huzur...sallallahu alyhi wasallm... ne hamesa kiya ho or kbhi chod diya ho...
🔹ittifaq se kbhi chod dene pr bhi ALLAH OR RASULULLAH naraz honge or hamesa chodnewala azaab ka mustahiq hai...
🔹sunnate muakkadah hukm me waajib k qarib hai...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔻SUNNATE GAIR MUAKKADAH kise kehte hai...?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹jisko krne se sawab milega...
🔹jisko Huzur...sallallahu alyhi wasallam...ne kiya ho or bagai uzr k kbhi  chod bhi diya ho...
🔹is sunnat ko chod dene napasand kiya lekin... na krne pr azaab ya narazgi nhi...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔻MUSTAHAB kise kehte hai...?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹har wo kaam jo shariat ki nazar mein pasandida ho or usko chodne pr kisi trh ki napasandidgi na ho...
🔹chahe us kaam ko hamare  AAQA ne kiya ho ya uski targib di ho ...
🔹Bade Ulma ne use pasand kiya ho...chahe hadis me uska zikar na aaya ho...
🔹iska karna sawab or na karne me koi azaab o itaab nhi...




NAMAAZ KI AHEMIYAT...1
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
▪NAMAAZ ki Ahemiyat...
🔹Mafhume Hadis...
     Aaqa...sallallahu alayhi waalihi wasallam...ne frmaya...
     Qayaamt k din bande k aamaal mein sabse pehle NAMAAZ ka sawal hoga...agar wo sahi hui to usne kamyabi paayi or......
     agar usme kami hui to ruswa huwa..or usne NUQSAAN uthaya...
🔹Mafhume Hadis...
     Aaqa...sallallahu alayhi waalihi wasallam...ne frmaya...
      Jo bhi namaaz ki hifazat kare us k liye namaaz qayaamat k din NUR...DALIL...NAJAAT...hogi or......
     jo uski hifaazat na kare us k liye qayamat k din na  NUR hoga or na DALIL or na NAJAAT...or wo shakhs qayamat k din...
🔻FIRON...
🔻QAARUN...
🔻HAMAAN or...
🔻UBAI BIN KHALF...k sath hoga.....( ye sab dusman e khuda the )...
🔹Imam MUHAMMED zahbi...alayhirrahman...naqal karte hai...k baaz ulma e kiraam frmate hai k...NAMAAZ chodnewale ko in  4 k sath is liye uthaya jayega k aam tor par log...
🔻DAULAT...
🔻HUKUMAT...
🔻WAZAARAT...
🔻BUSINESS...ki wajah se namaaz ko chodte hai...
     🔹jo hukimat k kaam ki wajah se namaaz chodega us ka HASHR firon k saath hoga...
     🔹jo daulat ki wajah se namaaz chodega uska qaarun k sath hoga...
     🔹jo wazaarat k sabab se chodega uska hashr hamaan k sath hoga...
     🔹or agr business...karobar ki wajah se namaaz chodega to usko MAKKA E MUKARRAMAH k bohot bade taajir ubai ibne khalf k sath qayamat k din uthaya jayega...




NAMAAZ KI AHEMIYAT...2
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
▪NAMAAZ or Hazrte UMAR...
🔹jab siyeduna UMAR faaruqe aazam...radiyallahu anhu...pr qaatilaana hamla huwa to ARZ ki gayi.
     Aey amirul mumini Namaaz ka waqt hai..to farmaya..... ji han suniye jo shaks namaaz ko barbad karta hai uska ISLAAM mein koi hissa nhi...
     or fir  aapne shadid ZAKHMI halat mein bhi namaaz ada ki....SUBHANALLAH...
🔹Mafhume Hadis... Aaqa...sallallahu alayhi wasallam...ne frmaya...
     jo bhi achchi trh wuzu kare fir namaaz k liye khada ho us k ruku...sujud...qirat..ko mukammal kre to namaaz kehti hai...
🔹Allah teri hifazat kare jis trh tune meri hifazat kari...fir...
     us namaaz ko aasmaan ki trf le jaya jata hai or us k liye chamak or noor hota hai to us k liye aasmaan k drwaze khole jate hai yahan tk k use Allah ki bargah mein pesh kiya jata hai or wo namaaz us namaazi ki SHFAAT karti hai...
🔹or agr us k ruku...sujud...qirat...mukammal na kare to namaaz kehti hai...
      Allah tuje chode jis trh tune muje barbad kiya...fir.....
      us namaaz ko is trh aasmaan pr le jaya jata hai k us pr andherapan chaya hota hai or uspr aasmaan k darwaze band kr diye jate hain fir...
     usko purane kapde ki trh lapet kr us namaazi k munh pr maar diya jata hai..




NAMMAAZ KI AHEMIYAT...3
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔸NAMAAZ sahi tariqe se...
            na padne ka anjaam....
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹IMAAM BUKHAARI...alayhirrahmaan...frmate hai k.....
     Hazrte HUZEFA...radiyallahu anhu...ne aik shakhs ko dekha k namaaz padte huwe Ruku...Sajde pure ada nahi karta....
     to aapne usse pucha k...tum kab se is trah namaaz padte ho..?... Us ne kaha 40 saal se ...sunkr kaha...
     Tumne 40 saal se namaaz padhi hi nahi or agar isi haalat me tumko mot aa gayi to to Diine Muhammadi...ala sahiba hassalatu wassalaam...par nahi maroge...
🔹Mafhume Hadiis...
     Logon me badtarin chor wo hai jo apni namaaz me chori kare...arz ki gayi...
     Ya Rasulallah namaaz ka chor kon hai....To frmaya...jo namaaz me ruku or sajde puri tarah ada na kare....
🔹Mufti Ahmed yaarkhan naiemi...alayhirrahman...is hadis k khulase me farmate hai..
     Maalum huwa k maal k chor se NAMAAZ KA CHOR badtar hai...kyun k maal ka chor agar saza pata hai to kuch nafa bhi hasil karta hai...magar namaaz ka chor saza bhi puri payega or fayda bhi kuch nahi......
🔹IBRAT....ye halat to unki hai jo namaaz ko achchi tarah se nahi padte..ab sochein k sahi na padhe to ye anjaam....
      To jo namaaz padte hi nahi un ka kya hoga.....
      Allah ham sab k liye aasaani frmaye or 5 waqton ki namaazon ko un k waqton par sahi trah se ada karne ki tofiq ata farmaye....AAMIN




🔸 NAMAAZ ka TARIQA...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹sabse pehle wuzu kare..qible ki taraf rukh kar k is trah khade ho k dono pairon k bich me 4 ungal ka gap ho..
🔹dono haath kaano tak le jayein or kaan ki lo ko lagayein or hatheliyan qible ki taraf hon..nazar sajde ki jagah ho...
     ab jo namaaz padhni hai us ki niyyat kare..matlab dil mein us ka pakka iraada kare..zaban se bhi bol le to behtar hai..
🔹Ab takbire TEHRIMA....ALLAHU AKBAR ...kehte huwe haath niche laye or naaf ( dooti ) k niche is tarah baandhe k.....
     siidhe haath ki hatheli ulte hath k kande pr or biich ki 3 ungliyan kalaai psr or angutha or choti ungli se kalai pakad lein...
🔹fir SANA padhe..fir taauwuz ( auuzu )...fir tasmiya...( bismillah )..fir...sure fateha...padhe...fir AAMIN kahe..fir 3 choti aayaat ya 1 badi aayat milaye....
🔹fir ALLAHU AKBAR kehte huwe RUKU me jaayein...
     Is tarah k hatheliyan ghutno psr or ungliyan fayli hui...piith bichi hui..sar piith ki siidh mein...na uncha na nicha...or nazar qadmon par ho...kam az kam 3 baar ruku ki tasbih padhe...
🔹fir SAMI ALLAHULIMAN HAMIDAH...kehte huwe ruku se khadaa ho jaaye.
🔹fir ALLAHUMMA RABBANA WA LAKAL HAMD...padhe fir ALLAHU AKBAR..kehte huwe is trah sajde me jaaye k.....
     pehle guuthan zamin pr rakhe...fir dono haath...fir haathon k bich me is trah sar rakkhe k...
     Pehle Naak fir Peshaani zamin pr rakhe...Peshaani jam jaye or naak ki sirf nok nahi bl k naram haddi dab kar sakht haddi zamin pr lag jaye...
🔹ab 3 bar sajde ki tasbih padhe..sajde me pairon ki dason ungliyon k pet zamin se lage rahein....( pairon ungliyon ka wo hissa k jo khade hone pr zamiin se laga rehta hai use pet kehte hain )
🔹fir ALLAHU AKBAR kehte huwe sajde se sar uthakr siidha qadam khada kar k ulte qadam ko bicha kar us psr beth jayein.. dono hath raanon par ghutno k paas  rakh dein.
🔹fir ALLAHU AKBAR kehte huwe dusre sajde me chale jaaye..fir 3 bar sajde ki tasbih padhein...
     Fir ALLAHU AKBAR kehte huwe khade ho kar pehle ki trah haath baandh lein...yahan se dusri rakat shuru hui....
🔹is rakat ko bhi pahle ki trah mukammal kare...
🔹ab dusre sajde se uth kar siidha qadam khada kar k ulte qadam ko bichaa kar beth jaayein.
🔹fir TASHAHUD padhe...matlb...ATTAHIYAAT...padhe or jab ASHSHDU ALLA ILAHA ILLALLAH ...par pohnche to...jab LA pr pohche to siidhe haath ki biich ki ungli or anguthe ka halqa ( round ) banaye ..or choti ungli or us k baazu ki ungli ko hatheli se mila dein..or LA kehte huwe kalme ki ungli uthaaein or fir aage padhte huwe ILLA par gira kar ungliyan siidhi kar lein..
🔹fir agar 2 se zyada rakatein padhni ho to ABDUHU WA RASULUH...tak padhkar.... ALLAHU AKBAR kehte huwe tisri rakaat k liye khade ho jaye.
     Or agr 2 rakat ki niyyat baandhi thi to....ABDUHU WA RASULUH...tak padhkr.
🔹ab DURUDE IBRAAHIM padhe....fir dua e MASURAH padhe...
🔹fir NAMAAZ khatm karne k liye...siidhe kandhe ki traf munh kar k...ASSALAAMUALAYKUM WA RAHMATULLAH...padhe....fir ulte kandhe ki traf munh kar k isi trah padhe...ye do rakat mukammal hui...
🔹ye mardon ki namaaz ka tariqa hai...orton ( ladies )  ki namaaz mein kuch baaton ka farq hai..
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔸ORTON KI NAMAAZ MEIN FARQ
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹Maa...behnein takbire tehrimah ke waqt haath kandhon tak uthaein or chaadar se bahar na nikaalein...
🔹jab khadi hon to naaf k niche nahi bl k siine par ulti hatheli chati k niche rakhkr us k uuper siidhi hatheli rakkhein...
🔹ruku me sirf itna jhuke k hath ghutne tak pohonch jaye....zor na dein....mardon ki trah piith bhi sidhi na karein...
🔹sajda simat kar karein..fayl kar na kare...
🔹jab bethe to pairon k panje sidhi taraf nikaal dein or ulte thape par bethe......baaqi tamam arkaan uupar bataye huwe tariqe se hi ada karein....


➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔸NAMAAZ ka tariqa padhne wale KHAAS tawajjeh dein...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹mardon or orton k diye huwe is tariqe mein.....
   🔸kuch baatein...FARZ...hain k jis ko ada kiye baghair NAMAAZ hogi hi nahi ...
   🔸kuch WAAJIB...hain k jis ka jaanbuj kar chodna gunah or tauba karna or namaaz ka firse padhna WAAJIB hai or.....
      bhul kr chutnese SAJDA E SAHW....WAAJIB hai...
   🔸kuch Sunnate Muakkadah hain k jis k chodne ki aadat bana lena gunah hai....
   🔸kuch MUSTAHAB hai jis ka karna sawaab or na karna gunaah nahi hai...
🔹In tamam baston ki tafsil agle masages mein post ki jayegi.....




🔷 NAMAAZ...1
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔸NAMAAZ padhne k liye kin chizon ki zururat hai...?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹namaaz padhne k liye kuch chizein namaaz se pehle zururi hai jin ko...
🔻NAMAAZ KI SHARTEIN...kaha jata hai k jin k baghair namaaz shuru hogi hi nahi...
🔻or kuch chizein namaaz shuru hone k bad zururi hai jin ko NAMAAZ K FARAIZ...kehte hai k jin k bagair namaaz hogi hi nahi...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔸NAMAAZ ki sharton ki kitni qismein hai or wo kon kon si hai...?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹namaaz ki shartein 2 qisam ki hai.
🔹aik.....namaaz waajib hone ki shartein...
🔹dusri.....namaaz sahi hone ki shartein...
🔸NAMAAZ waajib hone ki shartein ye hai...
   🔸musalman hona
   🔸aaqil hona..paagal na ho
   🔸baalig hona
   🔸namaaz ka waqt hona..
                       .....OR.....
🔸NAMAAZ k sahi hone ki shartein ye hai...
   🔸tahaarat...
   🔸satre awrat ...
   🔸istiqbale qibla...
   🔸waqt hona...
   🔸niyyat....
   🔸takbire tahrimah...

     jab tak ye tamam shartein nahi payi jayegi namaaz shuru hi na hogi...




🔷 NAMAAZ...2
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔸NAMAAZ ki pehli shart...TAHAARAT...

🔹namaazi ka... Badan... Kapde... Jagah... jahan namaaz padh raha hai... In chizon ka har trah ki napaaki se paak hona zururi..... Ise taharat kehte hai...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔸NAMAAZ ki dusri shart... SATRE AWRAT...

🔹MARD k liye naaf k niche se lekar ghutne k sath...ye badan ka hissa chupa huwa hona zururi hai...
🔹AWRAT...k liye badan k 5 hisse... Munh ki tikli... Dono hatheliyan... Dono pairon k talwe... In tamam chizon ko chod kar ( alaawa...siwa ) saara jisam CHUPANA lazim hai
🔹ye jo hissa chupane ka hukm hai agar namaaz me nazar aaye....itna patla...baarik kapda...pehna ho to namaaz na hogi...
🔹aysa kapda jisse RAAN ya sitar ka koi hissa chamkta ho...aysa kapda awrat ko pehanna HARAAM hai...
🔹aysa mota...jaada..kapda jisse badan ka rang na chamke....magar badan se aysa chipka huwa ho k dekhne se body ka shape zaahir hota ho...
      ayse kapde se namaaz ho jayegi...magar body k us hisse ki traf dusron ko dekhna jaaiz nahi...ayse kapde logon k samne mardon ko bhi  pehenna mana hai or orton k liye or bhi zyada sakht mana hai...
     NOTE...aaj kal jeans pant or jarsi pehnne wale is traf tawajje dein...kabhi aysa hota hai k fit kapdon ki wajah se sajde me un k sitar khul jata hai...or be pardgi hoti hai....
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔸NAMAAZ ki tisri shart...ISTIQBAALE QIBLA...

🔹yani namaaz me qibla matlab KAABE ki traf rukh karna...
🔹namaazi ne baghair sharai majburi k jaanbujkar qible se sina pher diya chahe thodi der k liye...to bhi namaaz FAASID ho gayi..
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔸NAMAAZ ki chothi shart...WAQT...

🔹jo namaaz padhni hai us ka waqt hona zururi hai...yun samjo k kisi ko aaj ki asar ki namaaz padhni hai to zururi hai k asar ka waqt shuru ho chuka ho ...
      agr asar ka waqt suru hone se pehle hi padh li to namaaz na hogi...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔸NAMAAZ ki panchwi shart...NIYYAT...

🔹niyyat DIL k pakke iraade ko kehte hain...
🔹zabaan se niyyat karna zururi nahi...kar lein to behtar hai...
🔹niyyat me zabaan se zyada dil ka aatebar hai.....yun samjo k kisi ko zohor ki farz padhni hai irada bhi zohor ka hai lekin zabaan se asar nikal gaya...
      to bhi namaaz zohor ki hi hogi ... Chahe zabaan se kuch bhi nikle...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔸NAMAAZ ki chatthi shart.....TAKBIRE TAHRIMAH...

🔹namaaz shuru karne k liye...ALLAHU AKBAR...kehna...ise takbire tehrimah kehte hai...




🔷 NAMAAZ...3
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔸NAMAAZ kin waqton me nahi padhni chahiye...?

🔹MAKRUH waqton me namaaz nahi hoti.... Wo 3 makruh awqaat ye hai...
     🔸magrib ki azaan se 20 minit pahle se azaan shuru hone tak ka waqt...
     🔸tulu aaftaab shuru hone se 20 minit baad tak ka waqt...
     🔸nisfunnahaar..matlab...dahwa e kubra se zawaal e aaftaab tak...
      aaj kal jantri me is waqt ko....zawaal shuru...zawaal khatam...is trah likha hota hai..is k biich ka waqt jo hai...is waqt me koi namaaz nahi padh sakte...
🔹In tino waqton me koi bhi namaaz JAAIZ nahi....FARZ...WAAJIB...NAFL..QAZA...koi namaaz JAAIZ nahi....
🔹agr isi din ki asar ki namaaz nahi padhi thi to makruh waqt shuru ho gaya to bhi padh lein...ho jaayegi lekin itni der karna Haraam hai...




🔷 NAMAAZ...4
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔻NAMAAZ me kitne FARAAIZ hai...?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹namaaz mein kul 7 faraaiz hai...

🔸Takbire tahrimah...
🔸Qeyaam...Khade hona..
🔸Qirat... Quraan padhna.
🔸Ruku...
🔸Sujud... Sajde...
🔸Qaadae akhirah...
🔸Khuruj besun'ehi...salaam pherna.

       NOTE...Inme se aik bhi farz chut jaye to namaaz na hogi...firse padhni hogi.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔻NAMAAZ me pehla farz...
                   TAKBIRE TAHRIMAH...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔸haqiqat me takbire tahrimah...jo takbire uula bhi hai...namaaz ki sharton me se hai..or namaaz k faraaiz me bhi iski ginti hai...
🔸Allahu Akbar ....kehkar namaaz shuru karte hain....is ko takbire tahrimah kehte hai...
🔸namaazi imam k piche jamaat me ruku k waqt shamil huwa or... Allahuakbar...kehta huwa ruku me gaya...matlab...namaazi ki takbir...us waqt puri hui jb wo ruku me pohonch gaya tha to namaaz na hogi....ayse moqe par namazi ko pehle khade khade takbir kehkar is k bad ... Allahuakbar....kehte huwe ruku me jana chahiye...
      agr ruku me imam ko itni der bhi paa liya k ruku ki aik tasbih bhi padli to usko rakat mil gayi...or namazi k ruku me jaane se pehle imam khada ho gaya to rakat na mili...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔻NAMAAZ ka dusra farz...QEYAAM.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔸namaaz me sidhe khade hone ko qeyaam kehte hain...
🔸jitni der tak qirat hai..qeyaam utni hi der tak hai...
🔸farz...witar...iedain...or fajr ki sunnat me qeyaam farz hai...
      agr bagair sahih uzr k ye namaazein baith kar ada kare to na hogi...
   🔸khade honese thodisi taklif hona ye uzr nahi...
   🔸khada na ho sake...
   🔸ya sajda na kar sake..
   🔸ya khade hone ya sajda karne me ZAKHM behta hai...
   🔸ya khade hone me peshab ki jaga se qatra tapakta hai...
   🔸ya khade honese biimaari badhti hai..
   🔸ya bardast se zyada tatlif hoti hai.
      to baithkar in namaazon ko padh sakta hai...
🔸agr itnni der khada hosakta hai k... Allahuakbar..keh le to...
      farz hai k khada hokar ALLAHUAKBAR kehle fir baith jaye...
🔸khade hokar padne ki taaqat ho tab bhi baithkar nafl pad sakte hai...magar khade hokar padhna afzal...behtar hai...
🔹baaz log nafl namaaz ko baith kar padhna zururi samjte hai...
      ye ghalat baat hai...beth kar padnese sawab aadha ho jata hai...




🔷 NAMAAZ...5
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔻NAMAAZ ka tisra farz...QIRAT...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔸Quraan e majid ko is tarah padhna k tamam huruf apne makhraj se sahi tor pr ada ho...
      jaise..jim..zaal..ze..daad..zo..apni apni jagah se ada hon...itni saaf tor pr padhe jayein k sunnewala samajle k konsa harf padha...
🔸kam az kam itni awaaz se padhe k khud sun le....
🔸namaaz me ya namaaz se bahar jo bhi chiiz padhni ho itni aawaaz se hi padhni chahiye k khud sun le...
🔸farz ki 2 rakaton me witar...sunnat...nafl......ki har rakat me kam az kam aik aayat padhna...farz hai...
🔸imam k piche padhnewale ko qirat jaaiz nahi...na surat...na alhamd sarif...na SIRRI me na JAHRI me....
🔹SIRRI...matlab dhimi aawaaz se padhi jaanewali namaazein...jaise....zohor or asar ki....namaazein...
🔹JAHRI....matlab unchi aawaaz se padhi janewali namaazein...jaise...fajr...maghrib....isha...ki namaazein...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔻NAMAAZ ka chotha farz...RUKU...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔸itna jhukna k haath ghutnon tak pohonch jaye...ye ruku ka adna darjaa hai yani kam se kam...or pura ye hai k pith ko sidhi bicha dein...
🔸Huzur...sallallahu alayhi waalihi wasallam....ne frmaya...
      Allah bande ki us namaaz ki taraf nazar nahi farmata jisme ruku or sujud k bichme pith sidhi na kare...
🔸wo hazraat jo utaawal ki wajeh se ruku me piith sidhi nahi karte is hadis ko padh kar apni islah karein or....
      kuch log ruku se pura uthe baghair sajde me chale jate hain...aysa karne se un ka waajib chut jata hai...k ruku or sajde k biich me sidhe khade hona....itni der k aik martaba SUBHANALLAH keh sake rukna waajib hai...
      namaaz me jab bhi waajib chutega sajda e sahw ( sahu ) bhi waajib hai or sajda e sahw na kiya to namaaz ko fir se padhni padegi...




🔷 NAMAAZ...6
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔻NAMAAZ ka Paanchwa Farz SAJDAH...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔸Huzur...sallallahu alayhi waalihi wasallam farmate hai...
      Mujhe hukm huwa k 7 haddiyon par sajda karun...
   🔸peshaani...
   🔸dono haath..
   🔸dono guthan...
   🔸dono pairon k panje...or..
   🔸ye hukm huwa k kapde or baal na sametun...
🔸har rakat me do bar sajda farz hai..
🔸sajde me peshani jamna zururi hai...or jamne ka matlab ye hai k zamiin ki sakhti ko mehsus ( feel ) kare......agr is tarah na jami to sajda na hoga...
🔸kisi naram chiz jayse...
   🔸garden ki greenary...hariyaali...
   🔸ya ruui...ya qaalin...ya carpet waghaira par sajda kiya or...
      peshani jam gayi matlab itni dabi k ab dabane se na dabe to sajda ho jayega...warna sajda na hoga...
🔸aaj kal carpet aam ho gaya..to uupar bataye gaye meaar...standard...ko yaad rakkhein...
      agr aysa carpet ho k peshaani na jame to sajda na hoga or sajda na hoga to namaaz hi na hogi...
🔸aysi chiz jis par peshaani na jame .....naak ki sakht haddi na dabi to namaaz makruhe tahrimi hogi...
      waajibul iaadah hogi....matlb firse padhni hogi...
( bahare shriyat...hissa 3 )....
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔻NAMAAZ ka chattha farz...
                QAADA E AKHIRAH...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔸rakatein puri karne k bad itni der baithna k puri tashahhud yani atthiyyaat RASULUH tak padh li jaaye...ye farz hai...ise qaade akhirah kehte hai...
🔸4 rakat wale farz me chothi rakat k bad qaada na kiya to jab tak paanchwi rakat ka sajda na kiya ho beth jaye or..
      agr panchwi ka sajda kar liya ya fajr ki namaaz me dusri par nahi betha tisri ka sajda kar liya  to in sab haalaat me farz baatil ho gaye...yani firse padhe........
      Or agr qaadae akhirah me itni der betha tha k attahiyyat...rasuluh...tk padh li jaay ya attahiyyat padh li thi......to aysi surat mein aik rakat or mila kar 2 waali ko 4.....or 4 waali hai to 6 kar lein..or....sajdae sahw kar lein...farz ada ho jayega...or zaaid rakatein nafl ho jayegi...
🔸maghrib ki namaaz mein bhul kar chothi k liye khada ho gaya or sajda bhi kar liya to is surat namaaz baatil ho gayi...fir se padhe..
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔻NAMAAZ ka saatwaan farz...khuruj besun'ehi...yani....SALAAM PHERNA...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔸namaaz k bahar nikalne k liye sidhe or ulte kandhe ki traf munh kar k ASALAAMU ALAYKUM WARAHMATULLAH...kehna....ise khuruj besu'ehi kehte hai...
🔸ye namaaz ka aakhri farz hai jis ko qasdan...yani jaanbujkar karne k bad namaazi namaaz se baahar nikal jata hai...




🔷 NAMAAZ...7
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💟 NAMAAZ me kitne
                          WAAJIBAAT hai..?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹WAAJIB .....kise kehte hai...?
🔸waajib yani wo kaam k jin ko karna.... namaaz ko sahih karne k liye zururi hai...
🔸agar koi namaazi waajibaat me se aik waajib bhi bhul ( choot ) jaye to.....
      sajda e sahw...karna waajib hoga or sajda e sahw kar lene se namaaz ho jayegi...
      or sajda e sahw karna bhi bhul gaya to namaaz fir se padhni hogi...
 🔸agar koi aik waajib bhi jaanbuj kar chod diya to....sajda e sahw...karne se bhi namaaz na hogi...namaaz ko firse padhna waajib hoga...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹sajda e sahw kaise karte hai...?
🔸kisi bhi namaaz ki aakhri rakaat mein....attahiyyaat...k liye jb baithe to.....rasuluh...k bad aik salaam yani sidhe kandhe ki traf munh pher kar....Assalaamu alykum warahmatullah...kahe or fir do sajde kare....isko ......sajda e sahw.....kehte hai..
      is k bad fir se...attahiyyaat...durude ibraahim...duae maasurah padhe or dono salaam pher de...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹NAMAAZ k  WAAJIBAAT ye hain.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹takbire tahrima me lafz.... Allahuakbar ... Kehna
🔹alhamdu sarif puri padhna aik lafz bhi na chute
🔹is k bad aik badi aayat ya tin choti aayat padhna
🔹farz namaaz ki pehli do rakat me..alhamdu sharif...k sath dusri aayatein bhi padhna
🔹nafl sunnat or witar ki har rakat me bhi..alhamd sharif k bad dusri aayatein padhna
🔹alhamd sharif ko pehle padhna...fir  aayatein padhna
🔹alhamdu sarif aik bar hi padhna...fir aayatein padhna
🔹alhamdu sharif or dusri aayton k bich me ...aamin...or bismillah k siwa kuch bhi na padhna
🔹alhamdu sharif or dusri aayaton k bad foran ruku karna...der na karna
🔹qouma...matlab ruku k bad sidha khade hona
🔹har rakat me sirf  aik hi ruku hona
🔹aik sajde k bad dusra sajda foran karna...der na karna
🔹sajde me dono pairon ki tin tin ungliyon k pait zamin se lagna....
      khade hone me ungliyon ka jo hissa zamin se lagta hai use pait kehte hai
🔹jalsa..matlab dono sajdon k bich me sidha hokar baithna
🔹har rakat me do hi sajde hona...do se zyada na ho
🔹taadile arkaan....matlab...ruku...sajde...qouma...jalsa...in sab k biich mein kam az kam aik baar....subhanallah....kaha ja sake...itni der rukna
🔹dusri rakat se pehle...attahiyyaat...k liye na baithna
🔹nafl me bhi do rakat se pehle....attahiyyaat...k liye na baithna
🔹do rakat k bad bhi....or chaar rakat k bad bhi.....attahiyyaat...pura padhna
🔹farz...witar...sunnate muakkadah...in sab .namaazon k do rakat par baith kar.....attahiyyaat...rasuluh.....se zyada kuch bhi na padna
🔹4 rakat wali namaaz mein tisri par do sajdon k bad chothi rakat k liye khade ho jana...
🔹har JAHRI namaaz me imam ka jahar se yani zorse qirat karna
🔹har SIRRI namaaz me imam ka aahista ....yani dhire ( itni aawaaz k khud sun sake ) qirat karna
🔹witar me tisri rakat me...alhamdu sarif or dusri aayaat padhne k bad dua e qunut ki  takbir yani Allahuakbar...kehna
🔹witar me dua e qunut padhna
🔹aayaate sajda padhi ho to sajda e tilaawat karna
🔹sahw..sahu..ghalti hui ho to sajda e sahw karna
🔹har farz or har waajib ka us ki jaga par hona
🔹do farz... do waajib... ya waajib or farz...k biich mein itna na rukna k.....3 bar SUBHANALLAH... kehle
🔹jab bhi or jis namaaz me bhi chahe sirri ho ya jahri unchi aawaaz se ho ya aahista... Jab bhi imaam qirat kare to muqtadi ko chup rehna
🔹qirat k siwa tamam waajibaat ..... imam k sath muqtadi ko bhi karna... ( ada karna )
🔹dono salaam pherne me...ASSALAAM...kehna
🔸Eid ki namaaz k waajibaat... Eid ki namaaz me 6 takbiren zyada kehna
🔸or dusri rakat k ruku me jane k liye.. Allahuakbar...kehna






🔷 NAMAAZ...8
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💟 NAMAAZ k tamam FARZ..or tamam WAAJIB..ko kya yaad karna zururi hai....???
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
▪Beshak tamam faraaiz o waajibaat ko yaad karna laazim...zururi hai...
▪FARAAIZ ko is liye k.....aik bhi farz agar choot jaye to namaaz hogi hi nahi...is liye YAAD kar lena zururi hai k agar hamne yaad na kiya or kisi namaaz me koi farz choot jaye to.....
      namaaz hogi nahi or hamko pata bhi na chalega k jis namaaz ko ham samaj rahe hai k padhli...wo namaaz ham par BAAQI hai...
▪WAAJIBAAT ko bhi oraly...zabaani yaad karna is liye zururi isliye hai k waajib k choot jaane se hamari namaaz waajibul iaadah...matlb agr waajib chutne k bad agar sajda e sahw na kiya to.....
      wo namaaz bhi firse padhni hogi...or wajib ada huwa ya choot gaya ye usi waqt pata chalega jab hame pata ho k konsi chizein waajib hai...
▪isliye tamam....faraaiz or waajibaat...ko yaad kar lein....ye aik sath yaad hona mushkil hai...isliye divide kar dein....7 faraaiz to aik sath yaad ho sakte hai......
      lekin waajibaat 30 k qarib hai....waajibaat ko taqsim kar lein..pehle 5 wajibat yaad kar lein fir 5 fir 5 is trah se aasaani se yaad ho jayega.....INSHA ALLAH...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
      Allah apne fazl se ham sabhi iimaan walon ko samaj ata kare...amal ki tofiq bakhshe....Dil O nazar ki paakiizgi ata kare..
......aameen summa aameen.




🔷 NAMAAZ...9
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💟 NAMAAZ ki sunnatein kitni hai... OR ....
       Kya sunnaton par amal karna zururi hai...?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹namaaz ki kul  sunnatein taqriban 96 hai..
🔹sunnat ka karna zururi hai or karnawala ajar o sawab paayega..
🔹sunnat k baghair namaaz kaamel nahi hogi or namaaz ka sawab bhi kam ho jayega..
🔹sunnat ko jaanbujkar kar chodne wala shariyat ki nazar me bohot bura hai..
🔹sunnat ko hamesa chodne ki aadat daalne wala azaab ka haqdaar hai
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💟 TAKBIRE TAHRIMAH ki sunnatein
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹takbire tahrimah k liye haath uthana...
🔹haathon ki ungliyan apne haal pr chodna...na kadak kare na bilkul milaye
🔹hatheliyon or ungliyon ka pait ka rukh qible ki traf hona...
🔹takbir kehte waqt sar ko na jhukana...
🔹takbir shuru karne se pehle hi dono haath kaano tak utha lena...
🔹takbire qunut or dono eidon me bhi isi trah kare..
🔹imam ka unchi aawaaz se....allahuakbar...samiallahuliman hamidah...or salaam kehna..
🔹takbir k bad foran haath bandh lena..
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💟 QEYAAM ki sunnatein..
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹mard naaf k niche haath baandhe...sidhe hath ki hatheli ulte hath ki kalaai k joint par choti ungli or anguthe se kalaai pakad le or baaki tin ungliyan kalaai ki pith par..
🔹pehle...sana fir aoozu....fir bismillah... padhna ....or tino ko aik k bad aik foran kehna.... or sab ko itni aawaaz se padhna k khud sun sake..
🔹aamin kehna...or aahista kehna..
🔹takbire k bad foran sana padhna..
🔹aoozu...sirf pehli rakat me hi padhna..
🔹bismillah....har rakat k suru me padhna...




🔷 NAMAAZ...10
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💟 RUKU ki sunnatein...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹ruku k liye...allahuakbar...kehna..
🔹ruku ki tasbih tin martaba kehna
🔹mard ka ghutnon ko haath se pakadna ....or ungliyon ko khuli rakhna .....or taangon ko sidhi rakhna.
🔹ruku me pith ko bichaa dena....ayse k paani ka piyala pith par reh jaye..
🔹ruku me sar uncha nicha na ho...pith ki sidh me ho... Hadise paak hai...k ...
      Uski namaaz naakaafi hai jo ruku or sajdon me pith sidhi nahi karta...
🔹ruku me jaate huwe...allahuakbar...shuru kare or ruku me pohonchne tak khatm kare..
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💟 QAUMAH ki sunnatein..
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹ruku se uthein to haath latka dein..
🔹ruku se uthne mein imam k liye...samiallahuliman hamidah...kehna..
🔹muqtadi yani imam k pichewale...allahumma rabbanaa wa lakal hamd..kehna..
🔹akele padnewale ko dono kehna sunnat hai..
🔹akela padnewala...samiallahuliman hamidah...kehta huwa ruku se uthe..jab sidha khada ho jaye to ab....allahumma rabbana wa lakal hamd...kahe..
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💟 SAJDE ki sunnatein...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹sajde me jane or usse uthne k liye...allahuakbar...kehna..
🔹sajde me  kam az kam tin bar sajde ki tasbih padna..
🔹sajde me hatheliyan zamin pr rakhna..or hathon ki ungliyan mili hui qible  rukh rakhna..
🔹sajde me jaye to pehle ghutne fir haath fir naak fir peshani rakhna or...jab sajde se uthe to iska ulat karna yani pehle peshani fir naak fir haath fir ghutne uthana..
🔹mard k liye sunnat hai k sajde me baazu ko karwaton se or raan pait se juda hon..
🔹kalaaiyan zamin par na bichaaye...jab saf me ho to baazu karwaton se juda na rakkhe..
🔹sajde me dono pairon ki dason ungliyon ka pait is trah zamin par lagaye k sab ungliyan qibla rukh rahe.




🔷 NAMAAZ...11
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💟 JALSAH ki sunnatein...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹dono sajdon k bich me baithne ko jalsah kehte hai
🔹jalseh me sidha qadam khadaa kar k ulta qadam bicha kar us par baithna
🔹sidhe pair ki ungliyan qibla rukh karna...or dono haath raano pr rakhna
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💟 DUSRI RAKAT k liye uthne ki sunnatein...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹jb dono sajde kar lein to dusri rakat k liye panjon k bal ghutno par hath rakh kar khadaa hona
🔹kamzori ya pairon me taklif ki wajeh se zamin par hath rakh kar khade ho sakte hai
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💟 QAEDE ki sunnatein...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹mard ka dusri rakat k sajdon k  bad ulta pair bicha kar dono thape us pr rakh kar baithna ... Or sidha qadam khada rakhna ...or sidhe qadam ki ungliyan qibla rukh karna
🔹dono hath raano par or ungliyan apni haalat par.. na phayli hui...na tani hui...or ungliyan ghutno k paas hona
🔹attahiyyat me shahaadat par kalme ki ungli utha kar ishara karna
🔹dusre qaede me bhi isi trah baithe...or attahiyyaat....k bad durud sarif padhe fir dua padhna




🔷 NAMAAZ...12
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💟 SALAAM pherne ki sunnatein...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹assalaamu alaykum warahmtullah ....in alfaaz k sath dono taraf salaam pherna....pehle sidhi fir ulti taraf munh pherna
🔹imam k liye dono salaam unchi aawaaz se kehna
🔹imam ne jaise hi ...SALAAM...kaha...kehte hi namaaz se bahar ho gaya...is k bad agar koi jamaat me shaamil huwa to iqtida sahih nahi hui..matlab uski namaaz shuru hi na hui
🔹imam or muqtadi dono apne dono taraf k logon ki or....kiraamn kaatibin...ki niyyat kare
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💟 SALAAM k baad ki sunnatein...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹salaam k bad imam k liye sunnat or afzal ye hai k sidhe haath ki taraf rukh kar k dua padhe
🔹akela padnewala rukh badle ya wahin dua mange to jaaiz hai
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💟 ORTON k liye kuch sunnatein....
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹behnein takbire tahrimah or takbire qunut me kandhon tak haath uthayein
🔹qeyaam me awrat or khunsa..( hijdaa )..ulte hath ki hatheli sine par chaati k niche rakh kar us par sidhei hatheli rakkhe
🔹awrat ko ruku me ghutnon par hath na rakhna or ungliyan na phelaana sunnat hai
🔹ruku me sirf itna jhuke k hath ghutno tak pohonch jaye..piith mardon ki tarah sidhi na kare or ghutno par zor na de ungliyan mili hui rakkhe...pair jhuke huwe rakkhe
🔹simat kar sajda kare baazu karwaton se...pet raanon se...raanein pindliyon se...pindliyan zamin se mila dein
🔹qaade me...attahiyyaat...k liye jab bhi baithe to dono pairon ko sidhi taraf nikaal kar ulte thaape par baithein



🔷 NAMAAZ...13
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💟 NAMAAZ k kuch zururi masaail ..
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
                           ...( A )...
🔹imaam k piche padhnewale namaazi  ( muqtadi ) ne takbire tahrima ka lafz ... Allahu akbar...is tarah kaha k.... ALLAH...imam k saath kaha magar.... AKBAR...imam se pehle khatm kiya to us muqtadi ki namaaz na hui
🔹muqtadi or akela padnewale ko takbire tahrimah jahar se (zor se) kehne ki zarurat nahi..sirf itni aawaaz zaruri hai k khud sune
🔹agar koi aysa bimaar ya kamzor hai k nokar ya diwaar ya kisi chiz ka sahara lekar ya tek laga kar khada ho sakta hai to FARZ hai k tek laga kar khada ho kar padhe

Fatawa e razwiyah...
j..3..p...53

🔹quraan padhne me tajwiid zaruri hai...kam az kam itni k huruf  sahih ada hon or ghalat padhne se bache
🔹namaaz k sahih hone k liye tajwid ka fan janna zururi nahi...
      bas huruf sahi ada hona zaruri hai...bohot se ayse log bhi hote hai jo sun sun kar sahi padhte hai...
      agr unse huruf k makhaarij k baare me pucha jaye to makhaarij bata nahi sakte lekin wo quraan sahih padhte hai...

Fatawa e razwiyah....
j...3...p...128

🔹sure faateha...yani Alhamdu sharif..padhne me agar aik lafz bhi bhule se reh jaye sajda e sahw kare...agar sajda e sahw bhi bhul jaye to namaaz fir se padhe
🔹agar koi sure faateha k bad dusri aaytein milana bhul gaya to sajda e sahw kare or ye bhi bhul jaye to namaaz fir se padhe
🔹or koi sure faateha padhna bhul jaye...bad ki aaytein padhli to bhi sajda e sahw kare or ye bhi bhul jaye to namaaz firse padhe..

Fatawa e razwiyah ...
j...3...p...125 ..
dono masaail..

🔹jamaat k saath namaaz padnewale namaazi yani muqtadi ko namaaz me qirat padna jaaiz nahi...na sure faateha..na koi dusri aayat padhe...
      or zohar...asar mein or magrib....isha ki tisri or chothi..... rakat me bhi na padhe....imaam ki qirat muqtadi k liye kaafi hai..

Fatawa razwiya..
j...3...p...62..88

🔹imaam ne zorse qirat shuru kardi ho to muqtadi sana na padhe bl k chup reh kar qirat sune kyun k qirat ka sunna FARZ hai..

Fatawa razwiyah...
j...3...p...61

                           ...( B )...
🔹hazrate saad bin waqaas....alyhirrahman....ne frmaya k....
      Mein is baat ko pasand karta hun jo imaam k piche qirat kare us k munh me angaara ho... Or...
      Farooqe aazam...alyhirrahman....farmate hai k....
      Jo imaam k piche qirat karta hai..kash us k munh me patthar ho
🔹jahar ( imam ka zorse padhne ) padhne ka mtlab ye hai k dusre log...kam az kam pehli saf wale sun sake....
      or aahista ( dhire ) padhne ka matlab ye hai k khud sun sake
🔹namaaz me zorse AAMIN kehna makruh or khilaafe sunnat hai
🔹munfarid ( akele padnewala ) ko jahri namaaz...fajr...magrib...ishaa..me ikhtiyaar hai k...chahe to aahista qirat kare ya zorse kare...
      lekin afzal ye hai k zorse padhe...agar ada padh raha ho....or agar qaza padh raha ho to dhire padna waajib hai
🔹imaam k liye zaruri hai k bimaar...budhe..kamzor or kaam par janewala zaruratmand muqtadiyon ka lihaz karte huwe lambi qirat na kare k...
      unko taklif pohnche bl k qirat choti kare...

Fatawa razwiyyah....
j....3....p...120



🔷 NAMAAZ...14
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💟 NAMAAZ k kuch zururi masaail...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
                           ...( C )...
🔹quraan ulta padhna...pehli rakat me baad waali surat padhna...or dusri rakat me usse pehle waali surat padhna....
      jayse pehli me sure KAFIRUN padhi....dusri me sure KAUSAR padhi...aysa karne ki sakht waied aayi...( aysa jaanbuj kar na kare )
 🔹hazrate Abdullah bin Masuud...alayhirrahman...frmate hai...jo quraan ulat kar padhta hai wo is baat se darta nahi k Allah uska DIL ulat de
🔹agar bhul se ulta padha to na gunah hai na sajda e sahw hai
🔹dono rakaton me aik hi surat padhna makruhe tanzihi hai...
      agar koi majburi na ho... or agar majburi ho to bilkul karaahat nahi...jayse pehli rakat me sure Naas padhi or dusri me bhi yahi padhi ya dusri me irada nahi tha lekin wahi surat nikal gayi...
      ya kisi ko aik hi surat yaad hai to in tamam haalaat me dono rakat me aik hi surat padhna jaaiz hai
🔹sure faateha padhne k baad namaaz me kya padhe...ye sochne me itni der lagaayi k...
      3 baar..SUBHANALLAH...keh liya jaye to qirat me der ki wajah se waajib chuta...to sajda e sahw karna waajib hai
                           ...( D )...
🔹agar takbire tahrimah k baad sana...aoozu...bismillah...padhna bhul gaya or qirat shuru kar di to ab waapas padhne k liye na lote...or agr sana bhul gaya aoozu shuru kar di to ab wapas na lote aage badh jaye
🔹agr dhire padnewali namaaz...zohor..asar...me imam ne bhul kar aik aayat zorse padh di to sajda e sahw waajib hoga or sajde sahw bhi bhul gaya...salaam pher diya to namaaz firse padna waajib
🔹agar kisi ne farz namaaz ki pichli do rakat...k jisme sirf sure faateha padhi jati hai bhul kar ya jaanbujkr sure faateha k baad aik surat milayi to...
      uski namaaz me kuch khalal nahi or sajda e sahw ki zarurat nahi.....

Fatawa razwiyyah..j..3...p...637...
Ahkaame shriyat...H..1.....p....110




🔷 NAMAAZ...15
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💟 NAMAAZ k kuch zururi masaail....
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
                          ...( E )...
🔹ruku me kam az kam aik bar...subhaanallah...keh lein itna waqt theherna waajib hai
🔹ruku me ruku ki tasbih kehte waqt ...azeem...ki zo ko khub ahtiyaat se ada karein ...
      kuch log zo k badle jim ada karte hai...matlab azeem k badle ajim padhte hai or ye sakht gunah hai...kyun k.... azeem ka matlab azmatwala...or ajim ka matlab gunga...is liye quraan sahi padhne walon se mashkh kar lein or mumkin ho to tajweed padh lein
🔹agar koi zo ada na kar sakta ho to....subhana rabbiyal azeem...k badle....subhana rabbiyal kariim....padh lena chahiye
🔹imaam ne ruku se khade hote waqt...samiallahuliman hamidah...k badle ..allahu akbar...kaha to namaaz ho jayegi..sajda e sahw ki zarurat nahi
🔹agar kisi ne ghalti se ruku me sajde ki tasbih or sajde me ruku ki tasbih padhli to namaaz ho jayegi..sajda e sahw ki haajat nahi
                           ...( F )...
🔹sajde me dono pairon ki dason ungliyan k pet zamin par lagna sunnat hai...or har pair ki tin tin ungliyan k zamin par lagna waajib hai..
🔹sajde me kam az kam aik baar...subhanallah...kehle itni der theherna waajib hai
🔹dono sajdon k bichme yani jalse me ... Allahummagfirli...kehna mustahab hai...
🔹kisi ne do k badle tin sajde kar liye or salaam pherne se pehle yaad aa gaya sajda e sahw kare kyun ki waajib chuta..farz ada ho gaya...
🔹aik MAS'ALA zehen me baytha lein k.... Jab bhi koi waajib chutega to sajda e sahw waajib hoga or...
      sajda e sahw bhi na kiya chahe bhul kar ya jaanbuj kar to namaaz firse padhni hogi....
      Or jab bhi farz ki adaayegi me itni der ho jaaye k 3 bar...SUBHANALLAH...keh lein to sajda e sahw waajib hoga
🔹do farz do waajib ya waajib or farz k bichme itni der ho k jitni der mein 3 baar...SUBHANALLAH... kaha ja sakta hai to sajda e sahw waajib ho jaayega or sajde na kiye to namaaz firse padhni hogi
🔹isliye Dostaane mohtaram NAMAAZ k FARAAIZ or WAAJIBAAT ko yaad kar lein...
      jab tak ye yaad na honge hamein pata hi na chalega k hamari namaaz hui ya dohraane ki zarurat hai




🔷 NAMAAZ...16
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 NAMAAZ k kuch zaruri masaail...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
                           ...( G )...
🔹namaaz ki rakatein puri karne k baad qaadae akhirah me itni der baithna farz hai k jitni der me puri .....TASH'HUD....attahiyyaatu......se lekar ...rasuluh...tak puri padhli jaaye
🔹qaadae akhirah mein puri tashahud ( attahiyyaat ) padhna waajib hai
🔹attahiyyaat padhte waqt.. Huzur...sallallahu alyhi waalihi wasallam..ka tasawwur apne dil me kar k fir...assalaamu alayka aiyuhannabiu...arz kare or yaqeen kare k mere Aaqa mere salaam ka jawaab apni shaan k laaiq ata frmate hai...
( IHYAA'UL'ULOOM...... Hazrat imam hujjatul islaam Muhammed ghizaali...alayhirrahman...
j..1...p...107 )

                           ...( H )...
🔹wo muqtadi jis ki kuch rakatein choot gayi ho wo qaadae akhirah mein sirf ....attahiyyaat...hi....rasuluh....tak padhe or theher theher kar padhe  k imaam k salaam pherne k waqt tak puri ...attahiyyaat...se faarigh ho ...or agr salaam se pehle faarigh ho jaye to kalmae shahaadat padta rahe
🔹kisi namaaz me muqtadi ki...attahiyyaat....puri na hui or imam khada ho gaya ya salaam pher diya to....muqtadi....attahiyyaat....puri padh kar salaam phere chahe kitin bhi der ho jaye....

Fatawa razwiyyah...
j....3....p...319..

🔹agr sajda e sahw waajib huwa hai to...qaadae akhirah me ...attahiyyaat....k bad aik salaam pher kar  sajda e sahw karna chaheiye agar dono salaam pher diye to namaaz ko firse padhna waajib hai.....

Fatawa razwiyya...
j...3...p..638...

🔹farz..... witar.... sunnate muakkadah...k qaadae uula me ( 2 rakat par bethne waqt )...attahiyyaat....k bad itna keh diya....k...allahumma salliala muhammed...ya...allahumma salliala siyedena....
      agar bhul se kaha to sajda e sahw kare to namaaz ho jayegi or jaan bujkr kahe to namaaz firse padhe
🔹farz namaaz me imam qaadae uula bhul gaya or... allahuakbar...keh kar khada ho gaya to kisi muqtadi ne luqma diya..to imam beth gaya...
      to sabki namaaz jati rahi...tamam  muqtadi or imam firse namaaz padhe.

Fatawa razwiyya...
j...3...p...645

🔹pehla qaada  chod kar imam pura khada ho gaya to use luqma dena jaaiz nahi.....or agr khada hone k bad kisi ne luqma diya to denewale ki namaaz jati rahi...
      Or sidha khada hone k bad imam ko qaadae uula me wapas lotna haraam hai
                           ...( I )...
🔹qaadae akhirah k baad... salaam ya baat chit wagaira koi aysa kaam karna jo namaaz me karna mana ho...
      lekin salaam k siwa koi "mana" kaam karne se namaaz waajibul eaadah hogi yani firse padhni hogi....( Bahaare Shariyat )...
🔹dono salaam me lafz.....ASSALAAM...kehna
🔹muqtadi ko imam k pehle SALAAM pherna jaaiz nahi
🔹jb imam salaam phere to muqtadi bhi salaam phere lekin agr muqtadi ne...attahiyyaat...puri padhi na ho to imam ka sath na de bl k waajib hai...attahiyyaat...puri kare fir salaam phere
🔹jin farzon k bad sunnatein hai unme farz k bad baatchit na kare...k sunnatein ho to jaayegi lekin sawab kam ho jayega.....
      farz o sunnt k darmiyaan bade bade wazife bhi na kare ...awraad o wazaaif ki bhi ijaazat nahi......( Raddul mohtaar )..
🔹behtar ye hai k jahan farz padhe hon us jaga se hat kar daayein ya bayein aage piche  padhein....( Aalamgiri )
🔹bad namaaz dua maangna sunnat hai..... or haath uthakr dua maangna...bad me munh par pherna ye bhi sunnat hai..

Fatawa razwiyyah...
j...3...p...83...172...



🔷 NAMAAZ...17
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 NAMAAZ k mufsidaat kya hai....?
       Or isse namaaz pr kya asar padta
       hai.?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
                           ...( A )...
🔸wo kaam or baatein jiski wajah se namaaz faasid ho jati hai or fir se padhna laazmi hota hai
🔸wo k jiski wajah se namaaz faasid ho jati hai or sajda e sahw karne se bhi namaaz sahih nahi hoti
🔸isliye namaaz ko faasid karnewali baatein or kaam bhi janna zururi hai

                           ...( B )...
🔸namaaz me kisi ko salaam kiya ya kisi k salaam ka jawab diya ya sirf....SALAAM...hi kaha to namaaz faasid ho gayi...firse padhe
🔸4 rakat wali namaaz padh raha tha or 2 rakat waali padh raha hun...ye samaj kar do par hi salaam pher diya to namaaz faasid ho gayi...firse padhe
🔸kisiko chiink aayi or namaazi ne uska jawab dete huwe..yarhamukallah ...kaha to namaaz faasid ho gayi...firse padhe
🔸khushi ki khabar sun kar....alhamdulillah....kaha ya buri khabar sunkar...inna lillahi wa innaa ilayhi raajiuun...kaha to namaaz faasid ho gayi...firse padhe
🔸Allah taala ka naam ALLAH ya koi sifaati naam sun kar...jalla jalaaluhu....ya Huzur...sallallahu alyhi waalihi wasallam...ka naam e paak sun kar durud padha to namaaz faasid ho jayegi...fir padhni hai




🔷 NAMAAZ...18
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🌻 NAMAAZ k mufsidaat kya hai...?
       Or isse namaaz par kya asar padta
       hai...?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
                           ...( C )...
🔸namaaz ki haalat me baat karne se namaaz faasid ho jayegi chaahe bhul kar ho...jaanbujkar ho...ya anjaane me ho...fir se padhe
🔸imam qaadae uula me bethna bhul  gaya or tisri rakat k liye khada ho gaya or muqtadi ne bataane k liye kaha k....baith jaao...ya sirf...Hun...hi kaha to muqtadi ki namaaz faasid ho gayi...firse padhe
🔸namaaz me...na'am.....are...han...jaise alfaaz bole ya nikle namaaz faasid ho gayi...firse padhe

                           ...( D )...
🔸muqtadi k siwa kisi dusre ka luqma lena...jaise imaam ne qirat me ghalti ki or kisi ayse shakhs ne luqma diya jo jamaat me shrik nhi to namaaz faasid ho jayegi...firse padhni hai
🔸koi akele namaaz padh raha hai or koi ghalti ho gayi or kisi ne ghalti bataayi yani luqma diya or namaazi ne qubul kar liya to namaaz fasid ho gayi...firse padhe
🔸aah...uuh...uf...tuf...hay...ye sare alfaz dard ya taklif ki wajah se munh se nikle...ya aawaaz se roya...to in sab surton me namaaz fasid ho jayegi...firse padhni hai
🔸agar rone me sirf aansu nikle...aawaaz..ya huruf na nikle to namaaz faasid na hogi or agar Allah k khauf se roya or aawaaz nikli to namaaz faasid na hogi.....
( DurreMukhtaar )
🔸chiink...khaansi...jamaahi yani bagasa...or dakaarne me jitne huruf nikalte hai majburi me wo muaf hai...usse namaaz faasid nahi hoti...

DurreMukhtaar...
BahareShriyyat...
j...3...p...150..



🔷 NAMAAZ...19
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🌻 NAMAAZ k kuch aur mufsidaat...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
                           ...( E )...
🔸namaaz me zorse..aawaaz se hasaa..itni aawaaz se k qarib wala sun sake ( liya )...to namaaz faasid ho jayegi or wuzu bhi tut jayega...
(DurreMukhtaar.)..
🔸agar namaaz me itni kam aawaaz se hasaa k khud suna qariib waale ne na suna...to bhi namaaz faasid ho gayi lekin wuzu nahi tutega
🔸namaaz ki haalat me khaana piina jaan bujkar ya bhulkar thoda ho ya zyada yahan tak k aik til bhi bagair chaabe nigal liya ya koi pani ka tipa k us k munh me gira or namaazi ne nigal liya to namaaz faasid ho jayegi...firse padhni hai
🔸daanton k biich mein khaane ki  koi chiz phansi thi or namaaz me use nigal liya.....agar wo chiz chane jitni na thi to namaaz faasid na hogi...or agar chane k barabar ya usse zyada hai to namaaz faasid ho jayegi

                           ...( F )...
🔸phunk maarne me aawaaz paida na ho to namaaz faasid na hogi...magar jaanbuj kar phunkna makruh hai...agar phunkne mein do harf paida huwe jaise...uff...huff...taff...hush...to namaaz faasid ho jayegi...firse padhni hai
🔸namaaz me quraan dekh kar padhne se namaaz faasid ho jayegi
🔸muqtadi imaam k aage khada ho gaya to muqtadi ki namaaz fasid ho gayi...firse padhe
🔸namaaz ki haalat mein do saf jitna chale to namaaz faasid ho jayegi...firse padhni hai




🔷 NAMAAZ...20
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🌻 NAMAAZ k kuch aur mufsidaat....
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
                            ...( G )...
🔸haalate namaaz me daanton se khun nikla or halaq me khun ka maza mehsus howa to namaaz faasid ho jayegi....firse padhe
🔸aysa baarik kapda ya tehband bandh kar namaaz padhna...k usse badan ki surkhi ( chamdi ki rangat )  yani rangat chamke ya agar baarik kapde se satar ka koi uzw yani part ki haiyyat yani shape nazar aa jaye to namaaz faasid ho jayegi...
      isi trah orton ka aysa dupatta k jisse sar k baalon ki siyaahi.... kalapan chamke....isse bhi namaaz faasid ho jayegi
🔸siine ko qible se pherne se namaaz faasid ho jaayegi yani khaanae kaaba ki khaas jehet se 45 darja...degree phir jaye to namaaz faasid ho jayegi

                           ...( H )...
🔸naapaak jaga par baghair haail ( aysi chiz jo namaazi or naapaaki k bihch me ) naapaaki ho to namaaz faasid ho jaayegi..
      isi trah hasth ya guthan sajde me naapaak jaga par rakkhe to namaaz faasid ho gayi...firse padhe
🔸namaaz me quraan padhne me aysi ghalti karna k jis ki wajah se maane...meaning...matlab...badal jaye...to namaaz faasid ho jaayegi...firse padhe
🔸Note....isiliye ulma farmate hai k namaaz me quraan ka wohi hissa padho jo aapko pakka yaad ho...aysi galtiyon se bacha jaye




🔷 NAMAAZ...21
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🌻 NAMAAZ k kuch aur mufsidaat...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
                           ...( I )...
🔸Amale kasir.... Aysa kaam karna k jo namaaz k kaamon mese na ho or na hi wo amal namaaz ki islah k liye ho...
      Yani aysa kaam karna jis kaam k karne wale namaazi ko duur se idekhne wale ko confirm..yaqiin... ho jaaye k ye sakhs namaaz mein nahi hai to aysa kaam amale kasir kehlata hai......
      Or amale kasir namaaz ko faasid kar deta hai...namaaz firse padhni hogi
🔸namaaz ki haalat me kafni..kurta...pajama...pent..pehna ya utara ya tehband ( lungi ) baandha to namaaz faasid ho jayegi...firse padhni hai
🔸Amale qalil....aysa kaam jo aamale namaaz se ya namaaz ki islaah k liye na ho or jis kaam k karnewale namaazi ko dekh kar dekhnewale ko confirm Na ho k ye aadmi namaaz me nahi hai...
      bl k shak ho k ye namaaz me hai ya nahi..? To aysa kaam amale qalil hai... Or amale qalil karne se namaaz faasid na hogi
🔻NOTE.... Kuch log namaaz me sajde me jaate waqt dono haathon se pajama uuper ki traf khinchte hai..ya qaade me baithte waqt kurta ya qamis ka daaman dono haathon se sidha kar k bichate hai..
      in harkaton se namaaz faasid hone ka andesha hai kyun k ye dono kaam dono haathon se kiye jaate hai...is liye isse bachna zaruri hai kyun k ye makruhe tehrimi to hai hi...
       Or jo namaaz makruhe tehrimi ho usko firse padhna laazim hai....

Fatawa e razwiya..
J...3..p..416...

                           ...( J )...
🔸agar namaaz ki haalat me badan k kisi maqaam par khujli aa jaye to behtar ye hai k sabar kare or zabt na ho sake to aik rukn me zyada se zyada do baar kjuja sakta hai...
      aik rukn ka matlab...qeyaam....ruku...sajda...qaedah...ye sab aik aik rukn hai..... inmese kisi bhi aik rukn me 2 baar khujane ki ijaazat hai...agar 3 baar khuja liya to namaaz faasid ho jayegi....firse padhni hogi
🔸aik baar khujane ka matlab....aik baar khuja kar haath hata liya fir dubara khuja kar hath hata liya fir tisri baar khujaya to namaaz faasid ho jayegi
🔸Or agr aik baar hath rakh kar chand bar harkat di to ye aik hi bar huwa....jaise kisi ko chehre par khujane ki haajat hui to chand baar harkat di abhi hath hataya nahi k chere k dusre hisse par khujane ki hajat hui to haath rakhe huwe hi wahan bhi khuja le to ye aik baar hi huwa.....
       kuch logon ko daadhi barabar karne ki aadat hoti hai to baghair zarurat k karne se bachna chahiye fir bhi agar aik baar daadhi chukar haath hata liya to ye aik bar huwa...
       lekin kisi ne namaaz me pehli baar sidhi traf k baal sarkhe kiye fir ulti traf k baal sarkhe kiye to ye 2 baar to ho hi gaya ab tisri baar kisi bhi taraf ya saamne k baal sarkhe kiye to uski namaaz faasid ho jayegi....firse padhni hogi..
      Allah apne hifz o amaan me rakkhe..har us kaam se jisse hamein dunya ya aakhirat ka nuksaan ho.... Aamin
🔸behosh ho jane se ya wuzu ya ghusl tutnese namaaz faasid ho jati hai..firse padhni hai

                            ...( K )...
🔸namaazi k pair rakhne ki jaga se sajda karne ki jaga aik baalisht bhar unchi ho to namaaz hi na hogi ...

DurreMukhtaar....
FatawaRazwiyya...
j..3...p..42...p..437...

🔸namaaz me aysi dua karna k jiska sawal bande se kiya ja sakta hai...namaaz ko faasid kar degi....
      jaise ye dua kare k.... Allahumma at'emni... Ay allah muje khaana khila... Ya fir .... Ay allah mera nikah kar de...is trah ki dua namaaz ko faasid kar degi....firse padhni hogi
🔸namaaz ki haalat me aayaton...surton..or tasbihaat ko zaban se ginne se namaaz faaysid ho jayegi...firse padhe
🔸muqtadi ne imam ki qirat sun kar ..... SadaqaAllah wa sadaqa rasuluh....kaha to namaaz faasid ho gayi...firse padhe
🔸namaaz shuru karne k bad baghair kisi sharai wajah k namaaz tod dena HARAAM hai




🔷 NAMAAZ...22
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🍁 NAMAAZ k makruhaate
       tehrimiyah kya hai or isse...
       namaaz par kya asar padta hai..?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
                           ...( A )...
🔺wo kaam jo haalate namaaz me karna mana hai or jin k karne se namaaz makruhe tehrimi hogi
🔺jo namaaz makruhe tehrimi hoti hai us ka eaadah waajib hai...matlab us namaaz ko dobaara padhna waajib hai
 🔺jin kaamon k jaan bujkar karne se namaaz makruhe tehrimi hoti hai...sajda e sahw karne se bhi namaaz durust nahi hogi bl k namaaz firse padhna waajib hai
🔻NAMAAZ k maruhaate tehrimiyah ye hai...ye kaam agar namaaz me kiye to namaaz firse padhni hogi...

                            ...( B )...
🔺kapde ya daadhi ya badan k sath khelna bekaar O bemaani harkat karna..

BahaareShariyat...j3...p165

🔺kapde sametna..sajde me jate waqt aage ya piche se daaman ya dusra koi kapda uthana..ya pajame ko dono haath se khinchna....

BahaareShariyat...j3...p165

🔺aadhi kalaai se zyada aastin chadhaana ...chaahe pehle se ho ya namaaz me chadhaai ho
🔺namaaz me aastin ko uuper is trah chadhaana k haathon ki kohni khul jaye ..isse namaaz makruhe tehrimi or firse padhni hogi...agar firse na padhi to gunahgaar hoga
      NOTE......uuper jitni kaamon ka zikar huwa aysa kiya to namaaz makruhe tehrimi hogi...firse padhni hogi




🔷 NAMAAZ...23
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🍁 NAMAAZ k makruhaate
       tehrimiyah ye hai..agar ye kaam
       namaaz me kiye to namaaz
       firse padhni hogi....
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
                           ...( C )...
🔺shiddat ka paakhaana matlab zordaar paakhaana ya khub zorki peshaab ki haajat ho ayse waqt...ya riyaah k ghalbe k waqt..matlab khub zorki hawa chodne ki haajat ho ayse waqton me namaaz padhna makruhe tehrimi hai
🔺agar namaaz shuru karne k waqt in chizon ki haajat ho or namaaz ka waqt bhi khatm na hota ho to pehle in kaamon se faarigh ho jayein bhale jamaat chut jaye....fir namaaz shuru karein
🔺or agar in kaamon ko karne mein or wuzu karne me namaaz ka waqt nikal jayega to namaaz padh lein
🔺or agar namaaz padhne k darmiyan...biich mein...in kaamon mese kisi kaam ki haajat ho jaye...or namaaz ka waqt bhi ho to namaaz tod dena waajib hai...
      kyun k in chizon ki shiddat k waqt namaaz padhna mana hai or agar padhli to gunahgaar hoga...namaaz makruhe tehrimi hogi....firse padhni hogi....

BahaareShariyat...j3...p166...

                          ...( D )...
🔺kurta ya pajaama hote huwe sirf paajaama pehen kar uupar ka badan nanga rakh kar sirf paajaama ya sirf tehband ( lungi ) pehen kar namaaz padhna makruhe tehrimi hai...firse padhe
🔺sajde ki jaga se haalate namaaz me kankriyan hataana makruhe tehrimi hai lekin...agar nahi hatane se waajib tariqe se sajda ada na hoga to hataana waajib hai chahe aik se zyada bar hataani pade
🔺ungliyan chatkhana ungliyon ki qenchi bandhna matlab dono haathon ki ungliyin ko aik dusre me pirona makruhe tehrimi hai...

BahaareShriyat...j3...p166...

🔺kammar par haath rakhna makruhe tehrimi hai bl k namaaz k alaawa bhi kamar par haath na rakhna chahiye....

DurreMukhtaar...

🔺aasmaan ki traf nazar utha kar dekhna makruhe tehrimi hai




🔷 NAMAAZ...24
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🍁 NAMAAZ k maruhaate
       tehrimiyah ye hai...agar in
       kaamo ko namaaz me kiya to
       firse padhni hogi.....
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
                           ...( E )...
🔺idhar udhar munh pher kar dekhna chaahe thoda chehra firaye ya pura.. makruhe tehrimi hai....or agar sirf diide ghuma kar dekhe to karaahate tanzihi hai yani namaaz ho jayegi
🔺kisi k chehre ki traf namaaz padhna makruhe tehrimi hai
🔺kisi qabar k saamne munh kar ke namaaz padhna agar namaazi or qabar k bichme koi chiz na ho to makruhe tehrimi hai..

Aalamgiri...

🔺kuffaar or mushrikin k butkhaanon me namaaz padhna makruhe tehrimi bl k unme jaana bhi mana hai

                           ...( F  )...
🔺ulta kapda pehen kar ya odh kar namaaz padhna makruhe tehrimi hai
🔺chori ka kapda pehen kar namaaz padhna makruhe tehrimi hai
🔺dhobi ko kapde dhone k liye diye or dhobi kapda badal kar laaya..kisi aur k kapde le aaya..to un kapdon ko pehenna mard o awrat sabko HARAAM or wo kapda pehen kar namaaz padna makruhe tehrimi hai
🔺jis kapde par jaandaar ki taswir bani ho use pehen kar namaaz padhi to fir padhni padegi...or namaaz k siwa bhi ayse kapde pehenna jaaiz nahi
🔺isi trah namaazi k sar par matlab chat par ya aage ya piiche ya sidhi traf ya ulti traf  kisi bhi  jaandaar ki taswir fix ya latki hui ya diwaar me khutar kar banaayi hui taswir hai to namaaz makruhe tehrimi hogi...firse padhe




🔷 NAMAAZ...25
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🍁 NAMAAZ k makruhaate
       terimiyah ye hai....agar in mese
       koi kaam namaaz me kiya to
       namaaz firse padhni hogi...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
                           ...( G )...
🔺jaandaar ki taswir wala kapda  pehne huwe hai or us par dusra kapda pahen liya k taswir chup gayi to namaaz ho jayegi
🔺jis jaga sajda kiya us jaga farsh par agar taswir bani hai ya musalle ya carpet qaalin par chapi hui hai or taswir ki jaga par sajda ho raha ho to bhi namaaz makruhe tehrimi hogi
🔺agar jaandaar ki taswir farsh par zillat ki jaga ho jaise jutiyan utaarne ki jaga ho or log us par chalte ho or pairon se rondte hon to namaaz makruh nahi lekin ye k sajda taswir par na ho
🔺muqtadi ne jamaat me shamil hone ki jaldi me saf k piche hi ALLAHUAKBAR keh kar fir saf me daakhil huwa to namaaz uski makruhe tehrimi hui...firse padhe

                           ...( H )...
🔺namaaz me jaanbuj kar bagaasa lena makruhe tehrimi hai...agar khud ba khud aajaye to harj nahi lekin ise rokne ki koshish karna chaahiye
🔺namaaz ki haalat me naak or munh ko chupana matlab...naak or chehre ko kisi kapde ya chiz se chupana k nazar na aaye...to namaaz makruhe tehrimi hogi..firse padhe
🔺kisi waajib ko chod dena jaise ruku sajdon me piith siidhi na karna ya ruku k bad sidhe khade huwe baghair sajde mein chale jana or...
      do sajdon k biich mein siidhe na baithna wagaira se namaaz makruhe tehrimi hogi
🔺qeyaam k siwa kisi aur mauqe par quraan sharif padhna ya ruku me qirat khtam karna...quraan padhte huwe ruku me chale jaana..ye sab makruhe tehrimi




🔷 NAMAAZ...26
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🍁 NAMAAZ k makruhaate
       tehrimiyah ye hai...agar in mese
       koi kaam namaaz me kiya to
       namaaz firse padhe...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
                            ...( I )...
🔺muqtadi ka imam se pehle ruku ya sajde me jana...ya imam se pehle ruku ya sajde se sar uthana makruhe tehrimi hai
🔺mard ka sajde me haath ki kalaaiyon ko zamin pr bichana makruhe tehrimi hai
🔺jin chizon ka pehenna shran najaaiz hai unko pehena to uski namaaz makruhe tehrimi hogi
🔺isi trh mard ne zanani or awrat ne mardane kapde pehenkr namaaz padi to makruhe tehrimi hai...firse pade...

FatawaRazwiyyah...
j..9...juz..awwal..p..56...

                           ...( J )...
🔺sone chandi k siwa lohe...pital...tambe...raang.....wagaira ka zewar pehnna awrat ko bhi mubaah nahi to mard k liye kaise jaaiz ho skta hai...agr in chizon k zewar pehen kr awrat ya mard ne namaaz padi to makruhe tehrimi hogi....

FatawaRazwiya...j..9...
juz...awwal...p14...or...
j...3...p..422...

🔺jamaat se namaaz padte waqt imam k barabar tin muqtadiyon k khade honese imam muqtadi sabki namaaz makruhe tehrimi hogi...

FatawaRazwiyya..
j...3...p...323...

🔺fuqhaae kiraam ne kaafir ki zamin me namaaz padne se itna roka hai musalmaan ki zamin me uski ijaazat k bagair padle mgr kaafir ki zamin se bache or agr musalmaan ki zamin me kheti...fasal...hai to to nahi pad sakta to raaste me padhe..kaafir ki zamin me na pade...agrche raaste me padna makruh hai mgr ye karaahat kafir ki zamin me padne ki karaahat se halki hai...

FatawaRazwiyyah..
j..6...p..18...
HAMARA ISLAAM...
AHKAAME NAMAAZ...
MOMIN KI NAMAAZ...


27- 🌅  QAADRI  FAIZ  🌅
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔶 FARZ ULOOM...⃣⃣
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔷 NAMAAZ...27
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
♥ NAMAAZ k makruhaate
       tanzihiyyah kya hai....or isse
       namaaz me kya asar padta hai...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
                            ...( A )...
🔻haalate namaaz me wo kaam karna jo sharan naa pasandida hai
🔻in kaamon k karne k baa wujud bhi namaaz ho jayegi or sajda e sahw karne ya namaaz dohraane ki zarurat nahi kyun k in kaamo ki wajah se farz ya waajib chutta nahi
🔻in kaamon ka karna gunah nahi lekin namaaz k sawab me kami ho jati hai

                           ...( B )...
🔻ruku..sajde me 3 tasbih se kam padhna...jaldi jaldi ruku or sajde karna....agar waqt ki kami hai ya train nikal jane ka dar ho to kam pad sakte hai...ya muqtadi ne 3 tasbih na kahi or imaam ne sar utha liya to imam ka sath de
🔻peshani se dhul ya ghaas chudana makruh hai...agar taklif deh hon ya unki wajah se khayal batta hai to chuda lein
🔻farz ki aik hi rakat me kisi aayat ko baar baar padhna ya kisi surat ko baar baar padhna makruh hai or aik hi surat yaad ho to makruh nahi
🔻sajde me jaate waqt ghutne se pehle haath zamin par rakhna or uthte waqt hath se pehle ghutne uthana
🔻sajde me ungliyon ko qible se pher dena ...ruku me sar ko piith se uncha ya nicha karna
🔻koi majburi na ho fir bhi diwaar ya kisi chiz se tek lagana....haalate qeyaam me dono traf jhumna
🔻namaaz me aankhein band rakhna makruh hai...agar khuli rakhne me dil nahi jamta band karne me khushu milta hai to harj nahi




🔷 NAMAAZ...28
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🌿 NAMAAZ...SAJDA E SAHW...
       OR USKA TARIQA...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
                           ...( A )...
🔸kisi bhi namaazi se namaaz me kabhi aysi ghalti ho jati hai k namaaz naa tamaam or naa durust ( incomplete & improper ) ho jati hai
🔸ghalti ki wajah se ho jaane wali kharaabi sajda e sahw kar lene se duur ho jati hai or namaaz sahi ho jati hai
🔸jin ghaltiyon ki wajah se sajda e sahw waajib hota hai wo....
......................YE HAI.........
🔸kisi wajib k ada karne mein der ho jane ya choot jaane se
🔸namaaz k arkaan k ada hone me tartib tut jana...aage piiche ho jana
🔸namaaz k kisi farz ya rukan k ada hone me der ho jana
🔸kisi farz ya rukan ko us k waqt se pehle ada kar lena
🔸kisi farz ya rukan ko zyada karnese jaise...ruku do baar ya sajde tin baar kar liye
🔸in tamaam baaton ko chand lafzon me kahein to....
🔹namaaz k jitne bhi waajibaat hai un me se aik bhi waajib chutega to...
      ya kisi bhi farz ki adayegi mein der ho jaye to....
      sajda e sahw karna waajib ho jayega.....isliye waajibaat ko yaad karna lazim o zururi hai

🔻KHAAS BAAT....
      Ye ghaltiyan agar bhul se hui to hi sajda e sahw se kharaabi dur hogi or..
      agar sajda e sahw na kiya to firse padhni hogi..........
      Or agar kisine jaanbuj kar ghalti ki... To sajda e sahw se bhi kharaabi duur na hogi.... Namaaz ko dobaara padhni padegi

                           ...( B )...
🔸kisi bhi namaaz k qaaeda e akhirah me ....attahiyyaat...k bad siidhi traf salaam pher kar do sajde karna or phir....
      attahiyyaat...durude ibrahim...dua e masura padh kar dono traf salaam phere
🔸agar aik k bajaay dono salaam pher diye to ab namaaz firse padhe




🔷 NAMAAZ...29
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🌿 NAMAAZ .....Sajda e sahw k
       kuch masaail.....
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
                          ...( C )...
🔸farz or nafl dono namaazon me sajda e sahw waajib hone ka aik hi hukm hai.....nafl me bhi waajib chute to sajda e sahw waajib hai
🔸tadile arkaan jaise qauma...jalsa..bhul jane se bhi sajda e sahw waajib hota hai
🔸agr aik namaaz me aik se zyada waajib chute to bhi aik hi sajda e sahw kaafi hai
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🌿 NAMAAZ ....Qirat ki wo galtiyaan
       jinki wajah se sajda e sahw
       waajib hai...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
             ... ( D ).....QIRAT... A
🔸farz namaz ki pehli do rakat me....witar me ....sunnat o nafl namaaz ki kisi bhi rakat me.....Alhamdu sharif...ki aik aayat bhi padhna bhul gaya....
      ya surat se pehle do baar Alhamdu sharif...padhi......ya Alhamdu sharif...k bad dusri aayatein milana bhul gaya.....ya Alhamdu sharif... se pehle surat padhi or Alhamdu sharif...ko bad me padha to....
🔸Alhamdu sharif...padhna bhul gaya or surat shuru kar di.....to agar aik aayat jitna padh chuka tha fir yaad aaya to Alhamdu sharif padh kar surat padhe or fir...
🔸agar..Alhamdu sharif.. padhna bhul gaya or surat padh kar ruku me chala gaya or ruku me ya ruku se khada hone k bad yaad aaya to...Alhamdu sharif...padh kar fir surat padhe fir ruku kare or aakhir me.....
🔸uupr batayi gaye sab haalaton me aakhir me sajda e sahw karna waajib hoga

               ...( E )....QIRAT....B
🔸namaaz me qeyaam k siwa ruku...sajde...qaedah me kisi jaga quraan ki koi aayat ya...Bismillah sharif....padhna bhi jaaiz nahi... Or agar padhli to....
🔸Alhamdu sharif..k bad surat sochneme itni der lagayi k 3 baar... Subhanallah...keh liya jaye to...
🔸agar qeyaam me.. Alhamdu sharif...aik se zyada baar padhi to...
🔸imam ne uunchi aawaaz wali namaazein jaise...fajr me dono rakaton......magrib-isha me pehli dono rakaton me aik aayat  bhi dhire ( manme ) padhli to...
🔸...to in sab haalaton mein sajda e sahw waajib hai




🔷 NAMAAZ..30
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🌿 NAMAAZ...sajda e sahw k
       kuch aur masaail...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
                           ...( F )...
🔸namaaz me jo kaam ki tartib tay hai ( sequence ) wo waajib hai....agar kisi se tartib se hat kar kaam huwa to.
🔸witar me dua e qunut bhul gaya...ya qunut ki takbir bhul gaya to...
🔸witar me qunut padhe bagair ruku me chala gaya...ab use jaaiz nahi k fir ruku se qunut k liye palte...bl k baqi namaaz puri kare or....
🔸uupar bataayi gayi haalaton me aakhir me sajda e sahw waajib hoga.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🌿 NAMAAZ...Ruku or sujud ki
       galtiyan or sajda e sahw..
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
                           ...( G )...
🔸kisi ne ruku ki jaga sajda ya sajde ki jaga ruku kiya to....
🔸agar kisi ne aik rakat me do baar ruku kiya to.....
🔸isi trah kisi ne aik rakat me do k badle tin sajde kiye to...
🔸uupar bataaye gaye tamam haalaton me aakhir me sajda e sahw waajib hai
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🌿 NAMAAZ...qaaede ki ghaltiyan
       Or sajda e sahw k kuch aur
       masaail
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
                           ...( H )...
🔸farz...witar...or sunnate muakkadah ke pehle qaaede me .....attahiyyaat....k bad agar sirf ..... Allahumma salle ala muhammad.... Ya..... Allahumma salle ala siyedena.... Padh liya...... Agar bhul kar aysa huwa to sajda e sahw waajib hai.
      Or agar jaanbuj kar kiya to....namaaz firse padhe....
🔸agar kisi ne pehle qaaeda me.....attahiyyaat....k bad kuch bhi padha nahi sirf itni der chup baitha raha to bhi sajda e sahw waajib hai





🔷 NAMAAZ...31
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🌿 NAMAAZ...qaaede ki ghaltiyan
       or sajda e sahw k kuch aur
       masaail...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
                            ...( I )...
🔸agar pehle qaaede me aik se zyada baar ...attahiyyaat....padhli to ...
🔸har qaaede me puri....atthiyyaat.....padhna waajib hai chahe farz ho k nafl ho .....agar aik lafz bhi chuta to.....
🔸farz...witar ya sunnate muakkadah ka pehla qaaeda bhul gaya or tisri rakat k liye khada ho gaya to waapas na lote namaaz k aakhir me.......
🔸uupar bataaye tamam halaaton me sajda e sahw waajib hoga...

                          ...( J )...
🔸farz namaaz me agar aakhri qaaeda bhul gaya or khada ho gaya to jab tak us rakat ka sajda na kiya ho to qaaede me waapas lot aaye or sajda e sahw kare
🔸agar imaam aakhri qaaede me.....attahiyyaat....padhne k bad bhul kar sidha khada ho gaya to muqtadi us ka sath na dein bl k baithe huwe intizaar kare k imaam waapas aajaye...agar imaam waapas lot aaye to imaam ka sath dein or agar waapas na aaye or us rakat ka sajda bhi kar le to muqtadi salaam pher kar apni namaaz puri kar lein

DURRE MUKHTAAR....
RADDUL MOHTAAR...
BAHARE SHARIYAT...
MOMIN KI NAMAAZ...




🔷 NAMAAZ...32
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🌿 NAMAAZ...Masbooq muqtadi
       or sajda e sahw k masaail
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
                           ...( K )...
🔻MASBOOQ MUQTADI...
      mtalab aysa muqtadi jiski kuch rakatein ya aik rakat hi chut gayi ho.....or fir wo jamaat me shamil huwa ho
🔸agar namaaz me imaam se aysi ghalti hui k sajda e sahw waajib huwa to muqtadi par bhi waajib hai chahe masbooq muqtadi hi kyun na ho tab bhi...
🔸lekin masbooq muqtadi salaam phere baghair hi sajda e sahw kare....agar masbooq muqtadi ne sajda e sahw ka salaam phera to uski namaaz jaati rahegi
🔸aik aham juzya yaad rakkhein...k...masbooq muqtadi imaam k sajda e sahw me sath dega magar sajda e sahw k salaam me imaam ka sath na dega

                           ...( L )...
🔸masbooq muqtadi ne imaam k sath sajda e sahw kiya fir.....jab apni baaqi rakatein padhne khada huwa to un rakaton me bhi koi aysi ghalti hui k sajda e sahw waajib huwa to firse sajda e sahw kare
🔸agar muqtadi se imaam k piche koi ghalti hui jisse sajda e sahw waajib hota ho to muqtadi ko sajda e sahw karna waajib nahi or namaaz bhi firse padhna us k zimme nahi

DURRE MUKHTAAR...
BAHARE SHARIYAT...
BEHRUR RAAIQ...
FATAWA HINDIYA...
MAANIYUL AASAAR...
FATAWA RAZWIYAH...




🔷 NAMAAZ...33
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🌿 NAMAAZ..Masbooq muqtadi
       or sajda e sahw k masaail....
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
                           ...( M )...
🔸imaam par sajda e sahw waajib na tha or usne bhul kar sajda e sahw kiya to...
🔸imam or wo muqtadi jinki koi rakat chuti na ho unki namaaz ho jaayegi
🔸LEKIN... Masbooq muqtadi jiski kuch rakatein chuti uski namaaz na hogi
🔸or wo masbooq muqtadi jo sajda e sahw me jaane k bad shaamil huwa uski bhi namaaz na hogi
🔸aakhri qaaede me aysa laga k ye pehla qaaeda hai or khada ho gaya to foran qaaede me beth jaye or foran attahiyaat padhe baghair hi sajda e sahw kare or baad mein...attahiyyaat..durud...dua padh kar salaam phere

                           ...( N )...
🔸agar masbooq muqtadi se un rakaton me jo usne imaam k sath padhi hai....koi aysi ghalti hui jisse sajda e sahw wajib ho jata hai.... to sajda e sahw waajib nahi
🔸sajda e sahw waajib ho chuka lekin namaazi aakhri qaaede me.....attahiyaat....k bad durud o dua bhi padli fir yaad aaya k sajda e sahw karna hai....atthiyaat...k bad salaam se pehle kabhi bhi kare sajda e sahw ada ho jaayega

BAHARE SHARIYAT...
DURRE MUKHTAAR...
RADDUL MOHTAAR...
FATAWA RAZWIYA...




🔷 NAMAAZ...34
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💗 MUSAAFIR  KI  NAMAAZ
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
                           ...( A )...
🔹har aadmi ko kahin na kahin safar karna padta hai...namaaz ko har haal me padhna hota hai...lekin safar ki namaaz me kuch aasaaniyan hai
🔹safar ( travelling ) me zohar..asar or isha...matlab 4  rakat waali farz namaazon me QASR ka hukm hai...matlab 4 k badle 2 rakat farz padhne ka hukm hai
🔹sunnatein puri padhi jayengi...or agar ujlat hai ( afra tafri hai..kam waqt me zyada kaam niptaane ho ) aysi haalat me sunnatein muaaf hai
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💗 MUSAAFIR kise kehte hai..?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
                           ...( B )...
🔹shariyate mutahharah ki nazar me musaafir ( traveller ) wo hai jo 3 din ki duuri tak jaane k iraade se apni basti se safar k liye nikle
🔹3 din ki duuri ka matlab hai 57.50 mile ki duuri k iraade se apni basti se nikle wo MUSAAFIR hai or... namaaz 4 rakat wali  QASR matlab 2 padhega
🔹57.5o mile...matlab 92.54 kilo meter huwa...

🔸1 mile = 1.60934 k.m....
🔸57.5 mile = 92.53705 k.m....= 92.54 k.m.




🔷 NAMAAZ...35
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💗 MUSAAFIR k masaail..
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
                           ...( C )...
🔹musaafir par waajib hai k wo 4 rakat farz waali namaazon ko  2 rakat padhe...agar zyada sawab ki niyyat se puri 4 padhega to gunahgaar hoga azaab ka haqdaar hoga
🔹jis par sharan namaaz qasr hai...or usne bekhabri ki wajah se puri padhi to us namaaz ka pherna waajib..firse padhe
🔹sirf zohar..asar..isha..ki farz qasr hai...maghrib or fajr ki farzon me qasr nahi..puri padhe...or sunnaton me bhi qasr nahi

                           ...( D )...
🔹agar kisi jaga jaane k do raaste hai...aik raste se jao to 92.54..k.m. ho Or dusre raste jao to usse kam hota hai....to jis raste jayega usi raste k hisaab se hukm hoga
🔹agar pehle wale raste se gaye to musaafir...or dusre wale raste se gaye to musaafir nahi honge
🔹92.54 k.m. Ki musaafat ( distance ) musalsal ( non stop ) tay karnese hi musafir hota hai

BAHARE SHARIYAT...
DURRE MUKHTAAR...
RADDUL MOHTAAR...
AALAMGIRI...
FATAWA RAZWIYA...




🔷 NAMAAZ...36
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💗 MUSAAFIR k masaail..
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
                           ...( E )...
🔹92.54 k.m. Ya usse zyada duuri..distance k safar k iraade se nikalnewala apne shaher ki aabaadi se baahar hote hi us par musaafir k ahkaam lag jayenge
🔹or apne sheher ki aabaadi se nikal kar wo qasr namaaz padhega
🔹or jahan jaa raha hai wahan 15 din se kam theherne ka iraada hai to musaafir hai
🔹or 15 din ya usse zyada ka iraada hai to wahan ki aabaadi aate hi wo muqiim ho jayega matlab namaaz puri padega

🔻KHAAS NOTE.....
      agar 92.54 k.m. ke iraade se safar kare....to saare raste wo qasr hi padhega chaahe apni manzil par pohonchne k baad 15 din ka irada ho ya usse kam ka ho

                           ...( F )...
🔹agar koi safar k tukde karte huwe safar kare...or un tukdon me koi bhi tukda 92.54 k.m.  Ka nahi to....chahe fir wo kayin 100 k.m. Safar kare...wo musaafir nahi hoga
🔹jayse koi apne city se chala 75 k.m. or aik sheher me aik din k liye ruka...apna kaam kiya....
      fir wahan se 80 km duur dusre sheher me ruka wahan apna kaam kiya...
      is trah hazaaron k.m. bhi safar kiya to wo musafir nahi hai...chahe hazaaron k.m. is trah ghume...
🔹wo musaafir k hukm me nahi...or namaaz bhi puri hi padega

JUZIYA...MAAKHAZ AZ GHUNNIYA...
BAHAARE SHARIYAT...
AALAMGIRI...




🔷 NAMAAZ...38
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💗 NAMAAZ...MUSAFIR..k Masaail
       TRAIN ki namaaz
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
                          ...( I )...
🔹chalti hui sawari par namaaz padhne k masaail ko achchi trah samajne k liye aik ahem juziya zehen mein rakkhein k ...
      namaaz k liye..istiqraar alal ard...shart hai...matlab sawaari ka zamiin par theherna shart hai
🔹agar sawari zamin par hai or thehri hui nahi hai...ya thehri hui hai magar zamin par nahi hai..bl k pani par hai...
      jayse chalti hui train....ya kinaare lagi hui kashti ya naaw...in par baghair shraii uzr k namaaz sahih nahi
🔹farz...waajib...or sunnate fajr chalti hui train me nahi ho sakte...agar train na thehre or waqt nikal jaa raha hai to train me padhle or fir theherne par iaadah kare...yani firse padhe

FATAWA RAZWIYA...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💗 NAMAAZ...MUSAFIR k Masaail
       AEROPLANE...or.... STEAMER
       ki Namaaz
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
                           ...( J )...
🔹aeroplane agar airport par khada hai to us par...istiqraar alal ard...k juziye ki bina par namaaz sahih hai...or agar hawaai jahaaz hawa me uud raha hai to bhi usme namaaz durust hai
🔹isi trah chalti hui kashti ya steamer par namaaz padhi jaye to durust hai
🔹uupar bataayi hui soorton me namaaz durust isliye hai k...
      chalti hui kashti ko rok kar paani par utar kar namaaz padhna mumkin nahi...isi trah udte huwe aeroplane se bahar nikal kar hawa me bhi namaaz padhna  mumkin nahi

NUZHATUL QAARI
SHARHE BUKHAARI...
FATAWA RAZWIYA...




🔷 NAMAAZ...37
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💗 NAMAAZ...MUSAFIR k Masaail
                    ........WATAN.....
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
                            ...( G )...
🔹WATAN 2 qisam k hote hai..(type)
         🔸WATAN e asli
         🔸WATAN e iqaamat
🔹watan e asli...matlab wo jaga jahan uski paidaaish hui...ya us k ghar k log...biwi bachche hon jahan mustaqil ( permanent ) tor par rehte hon or jahan usne permanent settelment kar liya ho or ye iraada hai k isi jaga hamesa rahunga or yahan se na jaunga
🔹watan e iqaamat...matlab wo jaga k jahan musaafir ne 15 din ya usse zyada din theherne ka irada kiya ho
🔹agar kisi ki 2 biwiyaan alag alag city me permanent rehti hon to wo dono sheher us k liye watan e asli hai...un jagahon par pohonchte hi wo muqim ho jayega or namaaz puri padhega

                           ...( H )...
🔹agar koi apne ghar waalon ko apne watan e asli se lekar chala gaya or dusri jaga sukunat ikhtiyaar kar li ( rehne laga ) or pehli jaga me uska makaan or asbaab waghaira baaqi hai to wo pehla maqaam bhi us k liye watan e asli hai or dusra bhi watan e asli hai
🔹awrat biyah kar k susraal chali gayi or susraal me hi rehne lagi to ab uska mayka us k liye watan e asli na raha...
      matlab agar susraal 92.54 k.m. Ki duuri par hai or wo apne mayke aayegi or 15 din se kam ka irada hai to namaaz qasr padhegi
🔹musaafir apne safar se apne watan e asli pohonchte hi safar khatm ho gaya or wo muqiim hai...chaahe aik din hi k liye rukna ho tab bhi...ab puri namaaz padhega

RADDUL MOHTAAR...
BAHARE SHARIYAT...




🔷 NAMAAZ...39
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💗 NAMAAZ...MUSAFIR...BUS...
       CAR.....k masaail...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
                           ...( K )...
🔹agar bus ya car se travellig kar rahe hai or use rok kar namaaz padhna possible hai ... Authority...hai to rok kar padhe...or...
      agar state transport ya private transport ki bus se safar kar raha hai or use rokna apne ikhtiyaar me nahi to bus jahan thehre wahan utar kar namaaz padhle
🔹or agar bus k theherne k intizaar me namaaz ka waqt nikal jaane ka imkaan...dar...hai to chalti hui bus me hi namaaz padhle
🔹agar bus me bhiid na hone ki wajah se jaga hai k khade ho kar padhe.....or mumkin nahi to beth kar ruku sajde kar k namaaz padh sakta hai..to isi trah padhle
🔹or agar bus me bhiid hai or apni seat se khada na ho...ya hil nahi sakta hai to apni seat par baithe huwe ishaare se padhle or badme us namaaz ka eaadah zurur kare...yani firse padhe
🔹uupar bataye hue  haalaat aajaye...to agar wuzu hai to behtar or...
      agar wuzu nahi to tayammum kar le...tayammum k liye bus ki body par jo dhuul ki teh chadhi ho usi se kiya jaa sakta hai..
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💗 MUSAAFIR..ki...NAMAAZ...
       kuch aur masaail...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
                           ...( L )...
🔻Awrat... 🔻Nokar...
🔻Beta... 🔻Shaagird

🔹awrat ko bagair shohar k 3 din ki...matlab 92.54 k.m. Ya zyada ki duuri jana jaaiz nahi...bl k aik din ki duuri ki bhi ijaazat nahi
🔹naabaaligh bachcha ya nim paagal k sath bhi safar nahi kar sakti ...safar k doran baaligh mehram ya shohar ka sath hona zaruri hai...
      mahram k liye zaruri hai k sakht faasiq or bebaak na ho
🔹aysa mehram ladka jo baaligh hone k qarib ho us k sath awrat safar kar sakti hai
🔹Nokar seth k taabe hai... Beta farmabardaar....apne baap k taabe hai.... Shaagird apne ustaad k taabe hai.... Iska matlab ye huwa k....
      Seth ki jo niyyat hogi wahi nokar ki hogi... Ayse hi Baap ki jo hogi wahi bete ki.... Or Ustaad ki jo niyyat hogi wahi shaagird ki...

                          ...( M )...
🔹agar imaam musaafir hai or muqtadi muqiim ho to 4 rakat waali namaazon me imaam do rakat par salaam k pherne k bad...
      muqim muqtadi apni baaqi 2 rakat namaaz ada karein or ab in 2 rataton k qeyaam me muqtadi kuch bhi nahi padhenge...
      sirf sure fatehaa padh li jaaye itni der chup chaap khade raheinge baqi namaaz puri kar k salaam pher dein
🔹musaafir imaam ko chahiye k namaaz shuru karne se pehle is baat ka aelaan kare k ....
      mein musaafir hun or 2 rakat salaam pher dunga...muqim muqtadi apni baaqi namaaz puri kar lein
🔹agar muqiim imam k piche musafir 4 rakat waali namaaz padhe to 4 rakat puri padhe

RADDUL MOHTAAR...
FATAWA AALAMGIRI...
BAHARE SHARIYAT...




🔷 NAMAAZ...40
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💛 QAZAA..NAMAAZ K MASAAIL
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
                          ...( A )...
🔸Mafhume Hadis...
      Aaqa...sallallahu alayhi waalihi wasallam...ne frmaya...
      Qayaamt k din bande k aamaal mein sabse pehle NAMAAZ ka sawal hoga...agar wo sahi hui to usne kaamyabi paayi or agar usme kami hui to ruswa huwa..or usne NUQSAAN uthaya...
🔸Mafhume Hadis...
       Aaqa...sallallahu alayhi waalihi wasallam...ne frmaya...
       Jo bhi namaaz ki hifazat kare us k liye namaaz qayaamat k din NUR...DALIL...NAJAAT...hogi or jo uski hifaazat na kare us k liye qayamat k din na  NUR hoga or na DALIL or na NAJAAT...
      or wo shakhs qayamat k din FIRON...QAARUN...HAMAAN or UBAI BIN KHALF...k sath hoga.....( ye sab dusman e khuda the )...
🔸Imam MUHAMMED zahbi...alayhirrahman...naql karte hai...k baz ulma e kiraam frmate hai k...NAMAAZ chodnewale ko in 4 logon k sath is liye uthaya jayega k aam tor par log... DAULAT...HUKUMAT...WAZAARAT...BUSINESS...ki wajah se namaaz ko chodte hai...
     🔸jo hukumat k kaam ki wajah se namaaz chodega us ka HASHR firon k saath hoga...
     🔸jo daulat ki wajah se namaaz chodega uska qaarun k sath hoga...
     🔸jo wazaarat k sabab se chodega uska hashr hamaan k sath hoga...
     🔸or agar business...karobar ki wajah se namaaz chodega to usko MAKKA E MUKARRAMAH k bohot bade tajir ubai ibne khlf k sath qayamat k din uthaaya jayega...

                        ...( B )...
🔸hazrat imam muhammed...alayhirrahman...frmate hai k .....
      kaha gaya hai k jahannam me aik waadi hai jiska naam ..wail..hai agar usme pahaad daale jaye to uski garmi se pighal jaye....or ye un logon ka thikana hai jo namaaz me susti karte hai or waqt guzaar kar qazaa padhte hai...magar ye k apne kiye psr naadim hon or tauba karein
🔸mafhume hadis...
      Aaqa...sallallahu alayhi waalihi wasallam...ne sahaaba se frmaya...
      Aaj raat do shakhs mere paas aaye or arde muqaddasa mein le aaye...mene dekha k aik aadmi letaa hai or dusra sirhane patthar uthaaye khada hai...baar baar patthar se uska sar kuchal raha hai...
     har baar sar kuchlne k bad pehle jaysa ho jata hai...bataya gaya k ye wo jo farz namaazon k waqt so jata tha...ab ye bartao is k sath qayaamat tak hota rahega.

KITAABUL KABAAIR..
SAHIHUL BUKHARI...




🔷 NAMAAZ...41
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💛 QAZAA..NAMAAZ K MASAAIL
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
                           ...( C )...
🔸Fuqhaa...alyhimurrahman....farmate hai...k...
       sote me ya bhul se namaaz qazaa ho gayi to uski qazaa farz hai...aysi qazaa ka gunah uspar nahi...magar jaagne par or yaad aane par agar makruh waqt na ho to usi waqt padhle....
Aalmgiri..j1...p124.. )
🔸mehfile naat o milaad...zikar ki mefil..or dini mehfil me raat der tak jaagne k bad sone ki wajah se agar namaaze fajar qazaa hone ka dar ho to aetekaaf ki niyyat se masjid me theher jaayein..( agr kisi fitne ka dar na ho ) ya wahan soyein jahan koi bharose mand jagaane wala maujud ho
🔸ya mobile alarm set karlein.. Or aik mob alarm par bharosa na karein...mimkin ho to 5..5...minit k farq se 2...3.. alarm set karein...or apne se itna duur rakhe k uski aawaaz se jaag bhi jaayein or chand qadam chal kar mob tak pohnchein....ta k alarm off kar k waapas so na jayein...
🔸Fuqhaa...alayhimurrahman...frmate hai.....K...
      Jab ye dar ho k jaagne se subha namaaze fajar jaati rahegi....to baghair sharai uzar k der tak jaagna mana hai...

Raddul mohtaar..j2...p27..

🔸koi so raha hai ya namaaz padhna bhul gaya hai to jise malum ho us par waajib hai k sote ko jaga de or bhule huwe ko yaad dila de ..

Bahaare shriyat..h4...p43..

       Yaad rahe k yaad dilaana us waqt waajib hoga jab yaqin ho k ye namaaz padega warna waajib nahi..

                           ...( D )...
🔸jis kisi ki bhi qazaa namaazein baaqi hon unko jald se jald padhna waajib hai...magar apne bivi bachchon ki parwarish or zururiyat k intizaam ki wajah se taakhir jaaiz hai..
       isliye kaarobaar bhi karte rahein or fursat ka waqt nikaal kr qazaa ( chuti hui ) namaazein padhte rahein yahan tak k puri ho jayein...

Durre mukhtaar maa
Raddul mohtaar...j2..p646

🔸qazaa namaazein chup kar padhein..apne ahle khaana or doston se bhi isko chupayein...k gunahon k izhaar ( aelaan ) bhi makruhe tehrimi or gunah hai...

Raddul mohtaar...j2..p650...

🔸Agr logon ki mojudgi me witar ki qazaa karein to takbire qunut k liye haathon ko na uthaaein..
🔸kuch log ramzaan k aakhri jume me baa jamaat qazaa e umri padhte hai or samjte hai k umar bhar ki qazaa namaazein ada ho gayi..ye ghalat hai
🔸Mufti ahmed yaarkhan naimi...alayhirrehman..farmate hai...
       ramzaan k aakhri juma k zohar or asar k biichme 12 rakat nafl 2..2 kar k padhein...or har rakat me sure faateha k bad...
🔻1 bar aayatul kursi
🔻3 bar qul huwallah
🔻1 bar qul a uzu birabbil falaq
🔻1 bar qul a uzu birabbin naas Padhein..
       iska fayda ye hai k jitni bhi namaazein qazaa kar k padhi hongi un ko qazaa karne ka gunah insha allah muaf ho jayega...lekin qazaa namaazein to muaf nahi hongi...unki qazaa to padhni hi hogi..

Islaami zindagi..p105...




🔷NAMAAZ...42
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💛 NAMAAZ...QAZAA...k masaail
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
                         ...( E )...
🔸jisne kabhi namaazein hi na padhi hon or ab tofiq hui or qazaa e umri ( tamaam umar ki chuti hui namaazein ) padhna chahta hai to....
      jab se baaligh huwa hai us waqt se namaazon ka hisaab lagaye or...agar  baaligh  hone ki taarikh bhi malum nahi to....
🔹Awrat...9 saal ki umar se
🔹Mard...12 saal ki umar se namaazon ka hisab lagaye

Maakhuz az fatawa e razviya
Jild 8..... safa 104

🔸qazaa e umri me aysa bhi kar sakte hai...k pehle tamam fajar ki namaazein ada kar lein...fir zohar ki...fir asar...fir maghrib...fir isha o witar..

Fatawa qaazi khaan maa-
Aalamgiri...j1...p109...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💛 NAMAAZ...QAZAA E UMRI ka
       tariqa...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
                            ...( F )...
🔸qazaa namaaz aik din ki 20 rakatein hoti hai

2 rakat fajar ki farz
4 rakat zohar ki farz
4 rakat asar ki farz
3 rakat magrib ki farz
4 rakat isha ki farz
3 rakat witar waajib

🔸niyyat is tarah karni hai...

Sabse pehli fajar jo mujse qazaa hui usko ada karta hun

Har namaaz me isi trah niyyat kare
🔸ab jis par kayin saalon ki namaazein qazaa hai wo aasaani k liye niche bataaye huwe tariqe se ada kare to bhi jaaiz hai or jaldi ada ho jayegi...
🔸har ruku me ruku ki tasbih 3 baar padhne k bajay 1 bar hi padhe
🔸har sajde me sajde ki tasbih 3 baar padhne ki bajay 1 bar hi padhe
🔸farz namaazon ki tisri or chothi rakaton me sure FAATEHAA k badle sirf 3 baar SUBHANALLAH keh kar ruku kar lein
🔸magar witar ki tinon rakaton me sure faateha or dusri aayatein zarur padhein
🔸aakhri rakat me jab bethte hai..usme...attahiyyaat...k bad durud or dua k badle sirf .... Allahumma salliala muhammadiw waalihi... Keh kar salaam pher dein
🔸witar ki tisri rakat me dua e qunut k badle.... Allahuakbar...keh kar sirf aik ya tin bar.... Rabbegh firli...kahe or ruku karle...

Mulakkhas az fatawa e razviya...
j...8...p...158... Lahore
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔸kitni aasaani hai...KAASH k agar banda karna chahe.....
Allah tofiq ata kare... Aamin

Lekin in aasaan surton ka fayda hasil karne k liye is baat ka khaas khayal rakkhein...
🔸Ruku me pura pohonch jaye fir hi tasbih shuru kare...aysa na ho k qeyaam me hi tasbih shuru kar de or ruku me pohnche tab tak tasbih puri ho jaye
🔸isi trah sajde me jaate or uthte waqt bhi khyaal rahe k puri tasbih peshaani or naak jamne ki haalat me padhe warna sajda ada hi na hoga
🔹Allah apna fazl farmaye...
...Aamiin summa aamiin...




🔷 NAMAAZ...43
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💛 NAMAAZ...QAZAA...k  masaail
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
                          ...( G )...
🔸agar niyyat me lafz..qazaa..kehna bhul gaya to....siyedi sarkaare aalalhazrat...alayhirrehman....farmate hai...k...
      ulma tashrih farmate hai...qazaa ba niyyate ada...or...ada ba niyyate qazaa...dono sahih hai...

Fatawa razwiya...
j...8......p...161...

🔸qazaa namaazein nafl namaazon se AHEM hai...jab bhi nafi padhta ho to nafl na  padh kar us k badle qaza namaazein padhe k bariuzzimma ho jaye
🔸taraawih or sunnate muakkadah namaazein hargiz na chodein
🔸fajar or asar ki namaaz k bad  tamam nafl namaazein ada karna makruhe tehrimi hai jaise
   Tahiyatul masjid
   Mannat ki namaaz
   Tawaaf ki namaaz
Shuru ki fir tod di..aysi namaaz chahe wo fajar or asar ki sunnatein hi kyon na hon

Durre mukhtaar...
j...1......p...61...

🔸qazaa namaaz k liye koi waqt fix nahi  umar me jab chahe padhe... Lekin
🔹TULU
🔹GURUB
🔹ZAWAAL
🔸In tino waqton me nahi padh sakta k in waqton me namaaz jaaiz nahi

                          ...( H )...
🔸agar zohar k farz se pehle sunnatein chut gayi to..farz k bad pehle 2 sunnat padhe fir chuti hui 4 sunnat padhe...aalahazrat...frmate hai k...agar zohar ki pehli 4 sunnat na padhi ho to farz k bad 2 sunnat k bad gir 4 padhe agar watqe namaaz hai...( agar pehle 4 padhi tab bhi ho jayegi )..

Fatawa razviya...
j...8.....p...148

🔸fajar ki jamat chut jane ka dar ho to sunnatein chod kar jamat me shamil ho jaye...farz k bad jaaiz nahi
🔸ab tulu k bad 20 minit k bad se dahwaa e kubra..( zawaal ka wat shuru )..tak kabhi bhi padh le k mustahab hai

Fatawa razviya..
j...8.....p...424




🔷 NAMAAZ...44
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💛 NAMAAZ...QAZAA...FIDIYA
       ki tarif or ada karne ka tariqa
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
                           ...( I )...
🔸mayyat ki umar malum kar k uski baaligh hone ki umar usmese nikaal dein...baaki jitne saal bache unme hisaab lagaiyen k marhum ya marhuma kitni arse tak be namaazi ya be roza raha ya kitni namaazein or roze us k qazaa baki reh gaye

🔹Baaligh awrat...9 saal
🔹Baaligh mard...12 saal

🔸fir aik namaaz ka aik sadqa e fitar ada kare...aik fitre ki miqdaar wazan me ...2 kilo 50 gram...gehun ( ghaun ) ya itna aata ya utni raqam hai
🔸aik din k 6 fitre hote hai... 5 farz 1 witar...samjo aik namaaz k aik fitre ki raqam k hisab se 50 rupye bante hai to 6 fitre ( fidye ) 6 namaazon k 300 rupe aik din ki namaazon k huwe
🔸ab kisi mayyat  baaligh hone k bad 10 saal tak namaaz na padhi ho to aik din k 300 rupye fidye k hisaab se 30 din k 9000 rupe huwe or aik saal k taqriban 1,08,000 rupye huwe
🔸zaahir hai k marhum ya marhuma ki 10 saal ki namaazein baaki hongi to 10 saal k 10,80,000 rupye huwe...or har koi itni istetaat ( taaqat ) nahi rakhta....is k liye ulma e kiraam ne sharai hila irshad farmaya...
🔸30 din ki namaazon ka fidya 9000 rupye kisi sharai FAQEER ya MISKIN ko de kar maalik bana dein...
🔹ye 30 din ka fidya ada ho gaya...
🔹ab ye faqir ya miskin dene wale ko hi waapas hiba kar de...matlab tohfe k tor par dede...
🔹ab ye k jisko hiba kiya gaya qabza kar k fir 30 din ki namaazon k fidye ki niyyat se dede
🔹is trah lot fer karte rahein yahan tak k tamam namaazon ka fidya ada ho jaye

Ise fidye ka hila kehte hain

Fatawa e bazaaziya maa-
Aalmgiri...jild...4...page...69...

🔸awrat ki aadat e haiz agar malum ho to us qadar din or malum na ho to 9 saal k bad se har mahine se 3 din nikaal ( less ) dein...or nifaas k muddat k din bhi har hamal k nikaal dein

Fatawa e razviya
Jild 8 .... Safa 104... Lahore

🔸fitre ( fidye ) ki raqam ka hisab gehun k current market rate se lagana hoga...k jis rate k gehun khud khaate hai...isi trah aik roze ka fidya bhi aik sadqa e fitar hai...

Durre mukhtaar maa-
Raddul mohtaar...j..2...p...644...

🔸gharib o maaldaar sabhi fidye ka hila kar sakte hai...agar waarasdaar ye amal karein to mayyat ki zabardast madad hogi...or marnewala FARZ k bojh se aazaad hoga....or karnewale bhi iska ajar payenge....kuch log masjid me aik quraan ka nuskha de kar man mana lete hai k hamne marhum k liye bohot kuch kar liya...ye unki ghalat fehmi hai..

Fatawa e razviya
Jild 8...page 168... Lahore
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹NOTE...
      30 din ki raqam k zariye hi karna shart nahi...kisi k paas maal o zar hai to 10 saal ki raqam se 50 saal ki namaazon ka fidya bhi ada kare ada kar sakta hai....ikhtiyaar hai
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖




🔷 NAMAAZ...45
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💛 NAMAAZ...QAZAA...FIDIYE
       k jawaaz k dalaail Quraan
       Or Hadis..se...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
                          ...( J )...
🔸namaaz k fidye ka hiila kisi ne apni traf se nahi diya...bl k hiila e shrai ka jawaaz Quraan O Hadis Or Fiqhe Hanfi k motbar kitaabon me mojud hai
🔸Hazrat Aiyub...alayhissalaam...ki bimaari k zamaane me aap ki zawja e mohtarama...alayhirrehmah...aik baar aapki khidmat me der se haazir hui to aapne qasam khaai....k...
      Mein tandrust hokr 100 kode marunga...Tandrust hone k bad Allah ne 100 tiiliyon ki jhaadu maarne ka hukm frmaya..
      Or frmaya k apne haath me aik jhaadu le kar usse maar dein or apni qasam na tod...

Paara..23...ruku...13

🔸Aalamgiri mein hiilon ka aik mustaqil baab hai jiska naam...kitaabul hiila...hai
      Usme hai...jo hiila kisika haq maarne ya usme shak paida karne ya baatil se fareb dene k liye kiya jaye wo makruh hai or...
      jo hiila isliye kiya jaaye k aadmi haraam se bach jaye ya halaal ko hasil kar le wo achcha hai...
      Is qism k hiilon k jaaiz hone ki dalil Allah ka farmaan hai...
      Or frmaya k apne haath me aik jhaadu leksr usse maarde or qasam na tod...

Para..23...ruku...13

Fatawa Aalamgiri
Jild..6...safa...390
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔻agle msg mein FAQIIR  OR  MISKIIN ki taariif..( defination )..post ki jaayegi..




🔷 NAMAAZ...46
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💛 FAQIIR ki tariif ( defination )
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
                              ...( K )...
🔹faqeer wo hai k...
🔸jis k paas kuch na kuch ho magar itna na ho k nisaab ko pohonch jaye..
🔸ya nisaab jitna to ho magar uski haajate asaliya me ghira phasa ho...
      Maslan (e.g) ...rehne ka makaan...khaanadaari ka saamaan...sawaari...kaarigari k awzaar...pehenne k kapde...ilmy masrufiyat k liye islaami kitabein...
      agar qarz daar hai to qarz less kar k us k paas nisaab baaqi na rahe...to FAQEER hai

Durre mukhtaar..
j..3...p..333
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💛 MISKIIN...ki tareef ( defination )
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
                           ...( L )...
🔸MISKIN wo hai jis k paas kuch na ho yahan tak k khaane or badan chupaane k liye iska mohtaaj hai k logon se bhiik maange or...
      ayse ko sawaal karna..bhiik maangna halaal hai...yani maang sakta hai..
🔸faqiir ko...matlab jis k paas kam az kam aik din ka khaana or pehenne ko mojud hai...
      ayse ko baghair zarurat or majburi sawaal haraam hai..or ayson ko sawaal par dena bhi naajaaiz hai or denewala gunahgaar hai.

Fatawa aalamgiri
J...1...p...188

🔻Pata chala k jo bhikaari kamaane ki taaqat k baawujud baghair zarurat O majburi batore pesha bhiik maangte hai...gunahgaar hai or...
      ayson k haal se baakhabar hone k bawujud unko denewale apni zakaat o khayraat bhi barbaad karta hai or gunahgaar bhi hota hai.




🔷 NAMAAZ...47
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
📋 NAMAAZI k aage se guzarne
        k baare me masaail
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
                           ...( A )...
🔹namaazi k aage se guzarna bohot sakht gunah hai  or guzarnewala gunahgaar hota hai... Lekin namaazi ki namaaz mein koi khalal nahi aata...🔹MafhumeHadis... Aaqa...sallallahu alayhi wasallam...farmate hai...
      Agar namaazi k saamne se guzarnewala jaanta k us par kitna gunah hai to 40 saal khadaa rehna..us guzar jaane se us k haq me behtar tha...
🔹MafhumeHadis... Aaqa...sallallahu alayhi waalihi wasallam...frmate hai...
      Agar koi jaanta k apne bhai k saamne namaaz me aade hokar guzarne me kya gunah hai...to 100 saal khadaa rehna us aik qadam chalne se behtar samajhta...🔹MafhumeHadis... Aaqa...sallallahu alayhi wasallam...farmate hai...
      Agar namaazi k aage se guzarnewala jaanta...to ye chahta k uski raan toot jaye magar namaazi k aage se na guzre...

                           ...( B )...
🔹agar koi shakhs makaan ya choti masjid me namaaz padhta ho to qible ki diiwaar tak us k aage se nikalna jaaiz nahi jab k bich me sutrah ( aadh ) na ho
🔹agar koi maidaan ya badi masjid me namaaz padhta ho sirf ...sajda karne ki jagah... tak nikalne ki ijaazat nahi...isse baahar k hisse se guzar sakta hai
🔹sajda karne ki jaga... ka matlab ye hai k jab namaaz me khada rahe or apni nazar ko sajda karne ki jaga matlab jahan sajda karta hai us jagah par jamaaye or ......aysi haalat me jitni duur tak nazar khud ba khud jaati hai wahan tak ki jaga.....ye sab jaga sajda karneki jagah... kehlaayegi...
      Ye jagah k andar namaazi k aage se nikalna haraam hai or usse baahar jaaiz hai..

FATAWA RAZWIYA...
DURRE MUKHTAAR....
RADDUL MOHTAAR...
FATHUL QADIIR...
BAHARE SHARIYAT..
NIHAAYA...




🔷 NAMAAZ...48
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
📋 NAMAAZI...k aage se guzarne
        k masaail...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
                           ...( C )...
🔹badi masjid sirf wahi masjid hai jayse masjid e khwaarizam jo 16000 sutoonon ( pillars ) par hai baki aam maajidein  chahe  10000 square hon...choti masjid k hukm me hai...
      In masjidon me qible ki diiwaar tak baghair sootrah k namaazi k aage se guzarna jaaiz nahi
🔹SOOTRAH...
      Matlab koi aysi chiz ho jisse aadh ho jaye..
      Or sutrah aik haath jitna uuncha Or ungli k baraabar mota ( jaada ) hona chahiye.
🔹namaaz padhnewale k aage se sootrah ho to sootrah k bad se guzar sakta hai.
🔹sootrah bilkul naak ki siidh me na ho...bl k siidhi ya ulti ( right or left ) aankh ki bhaon ( aankh k uupr baalon ki lakiir ) ki siidh par ho...or right side ki bhaon k samne ho to afzal hai.
🔹jhaad..aadmi..lakdi..lohe ki salaakh..jaanwar..insaan...or jo bhi uupar bataye huwe sootreh k meaar par ho...uska sootrah ho sakta hai....
      Magar aadmi ka sootrah is haalat me kiya jaye k jab uski piith namaazi ki traf ho.... Isliye k namaazi ki traf munh karne ki ijaazat nahi..mana hai.
🔹khaana e kaaba matlab masjid e haraam me koi namaaz padhta ho to us k aage se tawaaf karnewale log guzar sakte hai

                           ...( D )...
🔹namaazi k saamne sootrah nahi or koi us k aage se guzarna chahta hai
      Ya sootrah hai magar namaazi or sootreh k bich se guzarna chahta hai to namaazi ko ijaazat hai k guzarnewale ko roke..
      Ya to SUBHANALLAH kahe Ya qirat zorse kare Ya hath Ya sar k ishare se roke..
      Isse zyada ki ijaazat nahi...jayse guzarnewale k kapde pakad kar khichna Ya maarna...
      Agar namaaz ki haalat me aysa kiya to amale kasiir ho jayega or namaaz faasid ho jayegi...firse padhni hogi
🔹Isi trah koi awrat k aage se guzarna chata hai to awrat guzarnewale ya guzarne waali ko sidhe haath ki ungliyan ulte hath ki piith par maar kar aawaaz paida kar k use mutanabbeh kare or guzarne se roke.
🔹agar mard ne awrat ka tariqa Ya awrat ne mard ka tariqa apnaya to bhi koi fasaad nahi Lekin aysa karna sunnat k khilaaf hai.
🔹agar koi namaazi k aage se guzar raha hai to namaazi ko ikhtiyaar hai k roke bl k namaaz puri karne k bad usse jhagda karne ki bhi ijaazat hai
🔻Note....
       Ye ijaazat usi waqt hai k rokne k baawujud na ruke or mana karne k baawujud jaanbujh kar guzar jaye.

FATAWA RAZWIYA...
RADDUL MOHTAAR...
BAHARE SHRIYAT...
DURRE MUKHTAAR. .
GHUNNIYA...




🔷 NAMAAZ...49
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
◾NAMAAZ...LUQMAH...dene
       or lene k masaail...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
                   ...( A )... Luqmah
🔸luqmah ka matlab...
      imaam se honewali ghalti par muqtadi sharai tor par imam ko ghalti bataaye... Or ye jaaiz hai
🔸MafhumeHadis...
      Aap...sallallahu alayhi wasallam...
      ne namaaz padhai..aik aayat chod di..baad mein kisi ne arz ki... Ya Rasulallah...aayat to ayse hai..to Aap ne frmaya... Tune muje yaad kyun nahi dilaya...?
▪SUBHANALLAH
kya nawazish or karam hai..konain k Maalik o Mukhtaar or apne ghulam k tawajje dilane par ye hosla afzaai.... Beshak Aap...
RAHMATUL LIL AALMIN hai...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
◾Luqmah... Kab.. Kaise...or..
      Konsi namaaz me de sakte hai.?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
                   ...( B )... Luqmah
🔸jab namaaz ya qirat me ghalti kare to imaam ko bataane k liye luqmah dena chahiye.
🔸muqtadi lafz.. Subhanallah...or... AllahuAkbar...keh kar luqmah de sakta hai...ye sunnat hai.
🔸imaam ne aysi ghalti ki k jisse namaaz faasid hogi to... Luqmah dena farz hai na dega to or ghalti na sudhregi to sabki namaaz jaati rahegi...
🔸har namaaz me luqmah diya jaa sakta hai chaahe...farz...waajib...taraawih...nafl..ho..

FATAWA RAZWIYA-
MUTARJIM...
Jild..7..safa 288..289



🔷 NAMAAZ...50
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
◾LUQMAH kab farz..Kab...
       haraam... Kab makruh hai...?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
                   ...( C )... Luqmah
🔸imaam ne aysi ghalti ki k jisse namaaz faasid ho jaati ho to luqmah dena FARZ hai.
🔸imaam ko sirf pareshaan karne ki niyyat se luqmah dena HARAAM hai.
🔸imaam ko foran luqmah dena makruh hai...intizaar kare k khud imaam hi us ghalti se nikal aaye.
      Or malum ho k imaam sahab jab bhi ulajhte hai hai to ghabrahat me un k munh se ayse alfaaz nikalte hai k...
      jisse namaaz faasid ho jaati hai to aysi surat me foran luqmah de dein.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
◾LUQMAH...Qaede k masaail.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
                   ...( D )... Luqmah
🔸agar baghair zarurat ( be mahal ) k luqmah diya jaaye to namaaz faasid ho jayegi.
🔸jaise 2 rakat k baad bethne k badle imaam bhul kar siidha khada ho gaya...ab muqtadi ne luqmah diya to khud uski namaaz faasid ho jayegi or...
🔸agar imaam ayse waqt luqma qubul kar k beth gaya to..imaam or sabki namaaz faasid ho jayegi..or...
🔸agar abhi siidha khada nahi huwa tha or luqma diya or imam beth gaya to aakhir me sajda e sahw karle namaaz kaamil ho jayegi..ayse haalaat me palat aane ka hukm hai.
🔸agar imaam bethne k qarib tha or muqtadi ne luqmah diya or imaam betha nahi to namaaz baatil ho gayi...
     isliye k imam ne luqmeh k baad waajib choda...lihaza firse padhe.

DURRE MUKHTAAR-
MAA SHAAMI...
MIR ATUL FALAAH...
FATAWA RAZWIYA...
BAHARE SHARIYAT...




🔷 NAMAAZ...51
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
◾LUQMAH...k masaail Awrat
       Or sajda e sahw...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
                    ...( E )...Luqmah
🔸aysi jamaat jo kisi makaan me ho muqtadi ortein hon...imaam ki mehram ya biwi ya ladkiyan to namaaz baghair karaaht k jaaiz hai...or
🔸aysi namaaz me imaam ko sahw ho to ortein TASFIQ karein ( siidhi hatheli ulti hatheli ki piith par maarein )..mardon ki trah luqmah nahi de sakti...
🔸lekin imam se qirat me aysi ghalti hui k jisse namaaz faasid ho or TASFIQ se imaam ko yaad na aaye to majburan awrat aawaaz se luqmah de sakti hai.
🔸luqmah denese sajda e sahw laazim nahi aata...lekin agar bhul hui or sochne me ya bhul sudhaarne mein itni der hui k 3 bar SUBHANALLAH kaha jaye..itni der imaam  chupchaap khada raha to... is taakhir ki wajah se sajda e sahw laazim aayega.
🔸naabaaligh ladka agar namaaz me shaamil ho namaaz or us k masaail jaanta ho to luqmah de sakta hai k luqmah dene k liye baalig hona shart nahi
🔸Yaad rakhein... Namaaz ki jamaat me shamil ho to hi luqmah de sakte hai.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
◾Kya Luqmah dene se muqtadi
       ki namaaz faasid hogi...?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
                    ...( F )...Luqmah
🔸agar muqtadi ne sahih luqmah diya or imaam ne qubul na  kiya to muqtadi ki namaaz faasid na hogi...k luqmah shariyat e motahhara ki ijaazat se hai.
🔸faasiq...daadhi mundhnewala bhi luqmah de sakta hai

FATAWA RAZWIYA-
MUTARJIM...
BAHARE SHARIYAT...




🔷 NAMAAZ...52...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💜 JUMAH...k fazaail...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹Durud sharif...ki kasrat or
      Jumah ki kuch or khubiyan

                           ...( A )...
🔸Aaqa...sallallahu alayhi wasallam...frmate hai k...
      jisne muj par jumah k din 200  baar durud padha us k 200 saal k gunah maaf ho jayenge...
🔸jumah eid ka din hai
🔹Jumah sab dinon ka sardar hai
🔹Jumah k din jahannam ki aag jalai nahi jaati
🔹Jumah ki raat jahannam k darwaaze nahi khulte
🔹Jumah ko qayamat k din dulhan ki trah uthaya jayega
🔹Jumah k din marnewala sahaadat ka rutba pata hai
🔹Jumah k din marnewala qabr k azaab se bach jata hai
🔹Jumah ko hajj ho to uska sawab 70 hajj k barabar hai
🔹Jumah ki aik neki ka sawab sattr guna hai (70 times more) zyada hai
🔹Jumah k roz gunah ka azaab bhi 70 guna hai...
🔸Allah ham ko or tamam musalmanon ko jumah ka faiz hasil karne ki tofiq ata frmaye or is muqaddas fin me gunah se bachaaye... Aamin......

Kanzul ummaal...
jild..1..safa..206
Miraat..jild..2...
safa..332




🔷 NAMAAZ...53
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💜 JUMAH...k fazaail...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
                           ...( B )...
🔸Allama Naimuddin...alayhirrehmah...frmate hai... Aaqa...sallallahu alyhi wasallam...jb hijrat kr k madine me tasrif laye to 12 rabiul awwal din...piir ko chasht k waqt maqaame Qubaa me ruke...piir..mangal..budh..jumeraat..usi jaga ruke or Masjid ki buniyaad rakkhi or jumah k din madine ka iraada frmaya... Bani saalim ibne auwf k batn e waadi me jumah ka waqt aaya..us jaga ko logon ne masjid banaya... Or wahan jumah ada frmaya...
   Aaj bhi us jaga pr shaandaar masjide jumah qaaem hai..
🔸Mufti Ahmed yaar khaan naiimi...alayhirrehmah..frmate hai...
Isi din me tamam makhluqaat jama hui
Hazrate Adam...alayhissalaam..ki mitti isi din jama hui
Is din me log jama hokr namaaze jumah ada krte hai....isi wajah se ise jumah kehte hai
🔸hamare Aaqa...sallallahu alayhi wasallam...ne lagbhag 500 jumeh ada kiye...isliye k jumah hijrat k bad suru huwa jis k bad 10 saal zaahiri hayaat shrif rahi or is arse me itne jumeh hote hai...

Khzaainul irfaan
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
JUMAH FARZ NAAKHOON..AMAAMAH
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
                           ...( C )...
🔸Aaqa...sallallahu alayhi wasallam...frmate hai.. Jo bhi 3 jumah susti ki wajah se chod de Allah us k dil pr mohar kr dega...
🔸jumah farze aain hai... Or iski farziyat ka inkaar krnewala kaafir hai
Farze aain ka mtlb.... shartein payi gayi or koi shraii majburi nahi to har haal me padhna hi hai...
🔸Aaqa...sallallahu alyhi wasallam..frmate hai k.. Beshak Allah or us k fariste jumah k din amaama baandhne waalon pr durud bhejte hai
🔸Marvi hai k... Jo bhi jumah k din apne naakhun katta hai Allah taala usse bimaari nikaal kar shifa daakhil kr deta hai

Al mustadrak..
jild..1..safa..89
Durre mukhtaar maa-
Raddul mohtaar.
Jild..3...safa..3
Majmauzzwaaid..
jild..2..safa..394
Ibne abi shaibah..
jild..2..safa..65



🔷 NAMAAZ...54
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💜 JUMAH..k fazaail....
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Jumah k din naakhun kaatne k
bare me kuch or maalumaat

                           ...( D )...
🔹Allama Amjad Ali aazmi...alayhirremah...frmate hai k...
      Hadise paak me hai...
      jo jumah k din naakhun tarashwaye Allah usko dusre jumeh tak balaaon se mehfuz rakkhega or 3 din zyada yani 10 din tak
Or aik riwayat me hai k...
      Jo jumah k din naakhun tarashwaaye to rehmat aayegi gunah jayenge...

🔻NOTE... Hajaamat banwana or naakhun tarashwana jumah k bad afzal hai...
🔹Allama sahab farmate hai.... Jumah k din naakhun tarashwana mustahab hai...han agar zyada badh gaye hon...to jumeh ka intizaar na karein...k naakhun bada hona achcha nahi kyun ki naakunon ka bada hona rozi..rizq me kami lata hai.

Tazkiratul mawzuaat
Tanziyatus shariyah
Durre mukhtaar maa Raddul mohtaar
Bahaare shariyat
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
...Farishton k register...
...Pehli sadi (century) k
    musalman or jumah...

                           ...( E )...
🔹Aaqa...sallallahu alayhi wasallam...farmate hai...
      Jab jumah ka din aata hai to masjid k bahar darwaze par farishte aanewale ko likhte hai.. Jo pehle aaye usko pehle likhte hai...
      Jaldi aanewala us shakhs ki trah hai jo Allah ki raah me aik uunt sadqa karta hai...
     Us k bad aanewala us shakhs ki trah hai jo aik gaay sadqa karta hai...
Us k bad aanewala us shakhs ki trah hai jo mendha sadqa kare...
      Fir jo aaye wo aysa k jo murghi sadqa kare...Fir us ki trah hai jo anda sadqa kare...
      Or jab imaam khutbe k liye beth jata hai to farishte aamaal naame ko lapet lete hai or aakr khutba sunte hai...

Sahih bukhaari
Jild...1...safa..128

🔹Mufti Ahmed yaar khaan naimi..alayhirrehmah...farmate hai...
      Baaz ulma ne farmaya... Farishte jumah k din tulu e fajr se khade hote hai....kuch k nazdik suraj chamakne se...magar Haq ye hai k suraj dhalne se suru hote hai kyunki.....
     usi waqt se jumah ka waqt shuru hota hai...malum huwa k fariste sab aanewaalon k naam jaante hai... Yaad rahe k agar pehle aanewaalon me 100 aadmi aik sath masjid me aaye to sab k sab pehle hai..
🔹Imaam ghizaali..alayhirrehmah..farmate hai.. K...
      pehli sadi me sehri k waqt or fajr k bad raaste logon se bhare hote the...log chiraag lekar jaame masjid ki traf jaate jayse eid k din ho...
      Afsos ab subha sawere ham bazzaron ki traf jaate hai... Or kitne to 9 baje k bad hi so kar uthte hai....
Allah dil o nazar ki paakiizgi ata farmaye...
.....Aamin...

Ihyaul ulum..
jild...1...safa...246
Miraat...jild..2...
safa..340




🔷 NAMAAZ...55
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💜 JUMAH...k masaail....
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
NAMAAZE JUMAH ki pehli shart...Shaher ( city ) hona...

                           ...( F )...

🔹Imaamme Aazam k nazdik shaher us imaarat waali aabaadi ko kehte hain jis mein kayin koonche ( corner..nukkad ) hon.. permenent baazaar hon.. us k under mein kayin gaanw hon.. Us mein haakim ho logon  k jahgdon or muamlaat k faisle hote hon.. Or logon ko insaaf milta ho.. or insaaf par qudrat ho.. chaahe wo naa-insaafi karta ho.. badlaa na leta ho...

📔Bahare shariyart...
📔Fatawa razwiya...

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

                            ...( G )...
🔹Jo log shaher k qarieb gaanw mein rehte hon unko shaher mein jumah padhne jaana chahiye..
🔹Gaanw ( village ) mein jumah naa-jaaiz hai.. agar padha to gunahgaar honge.. or padhne walon par zohar baaqi rahegi..
🔹Jin gaan-won mein jumah nahi hota wahan jumah na padhaya jaaye.. Or jin gaanw-won mein pahele se padhaya jaata ho wahan band na karaaein..
🔹Jo log gaanw me jumah padhte ho unko roka na jaaye k aam log jis tarah bhi Allah o Rasool ka naam lein unko lene dein k.. agar unko roka to wo dusri namaazein bhi chhid dete hain.
🔹Jis maqaam.. jaga k shaher ya gaanw hone mein ikhtilaaf ho ( confusion ) ya shak ho aysi jaga k liye Ulmaye Kiraam ne hukm diya k 4 rakat zohar ki bhi padhein..Or jumah bhi padhein..Lekin ye hukm khaas logon k liye hain ( us ilaqe k sar karda or diini rehnuma ).. aam log jinko zyada ilm na ho to un k liye nahi.

📔Bahare Shariyat
📔Gatawa razviya




🔷 NAMAAZ...56
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💜 JUMAH...k masaail....
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Namaaz e jumah ki dusri shart
SULTAANE ISLAAM HONA
                           ...( H )...
🔹masjid me 5 waqt ki namaazon k liye jo imaam hota hai wo jumah k liye bhi muqarrar hote hai ....
      jinhein aam log imaamat k liye rakhte hai ya trust k rakkhe huwe par razamand hote hai isliye unko jumah ka khutbe or imaamat ka haq haasil hai..
🔹jis trah namaaz k liye wuzu zaruri hai lekin paani par qudrat ( milna possible ) na ho to tayammum uska badal hai...( option )
      Isi trah Sultaane islaam k badle jumah k liye musalmanon ka kisi ko nakki karna Sultaan k nakki karne jaysa hai..ayse imaam ka qaaem kiya huwa jumah jaaiz hai.

Fatawa e razviya
Jild..3...safa...718..682
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Namaaz e jumah ki tisri shart
ZOHAR KA WAQT HONA

                            ...( I )...
🔹jumeh k khutbe or namaaz k liye zohar ka waqt hona shart hai...agar zohar ka waqt shuru honese pehle khutba padh liya to khutba na huwa or jab khutba na huwa to jumah na huwa.
🔹agar jumeh ki namaaz me itni der kardi k zohar ka waqt khatm ho gaya to jumah baatil ( na hona ) huwa..zohar padhni hogi.
🔹khutba zikre Ilaahi ka naam hai...agar aik bar khutbe ki niyyat se ...AL HAMDU LILLAAH...ya....SUBHALLAAH...ya...LA ILAHA ILLALLAAH...kaha to khutbe ka farz ada ho  jayega magar aysa karna makruh hai.
🔹jumah ki namaaz k liye khutba shart hai...khutbe k baghair namaaz e jumah baatil ( na hona ) hai...

BAHAARE SHARIYAT..
DURRE MUKHTAAR..
RADDUL MOHTAAR..
FATAWA RAZWIYA..




🔷 NAMAAZ...57
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💜 JUMAH...k masaail.....
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Namaaz e jumah ki paanchvin
or chatti shart
NAMAAZ SE PEHLE KHUTBA HONA
OR...JAMA'AT HONA

                         ...( J )...
🔹khutba waqt par hona or namaaz se pehle hona shart hai..agar jumeh ki namaaz k liye khutba huwa hi na ho ya namaaz k bad padha to namaaz na hui.

DURRE MUKHTAAR...
BAHARE SHARIYAT...

🔹jumeh ki namaaz ki jamaat k liye kam az kam 3 muqtadi hona zaruri hai...dusri namaazon ki trah aik ya do muqtadi se jumah ki jamaat qaaem nahi ho sakti.
      Jumeh ki jamaat k liye imaam k ilawa kam az kam 3 mard muqtadi hona  zaruri hai.
      Agar 3 mard se kam muqtadi honge to jumeh ki jamaat sahih nahi..

AALAMGIRI...
TANWIRUL ABSAAR...
FATAWA RAZWIYA...
Jild ..3...safa..683
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Jumah ki 7 wi shart
IZNE AAM HONA...AAM IJAZAT
( kisi ko bhi aanese roka na jaaye )

                          ...( K )...
🔹izne aam matlab aam ijaazat ho k jo bhi musalmaan chaahe jumah padhne aaye ..kisi ko rok tok na ho...
🔹Agar masjid mein jumah padhne k liye jama ho gaye or masjid ka darwaaza band kar k namaaz padhi to jumeh ki namaaz na hui.

AALAMGIRI...

🔹jo bhi masjid me aakar apni zabaan se logon ko taklif deta ho usko masjid se nikaalne ka hukm hai..
      Kyunki jiski wajah se naa haq fitna uthta ho use masjid se rokna zaruri hai.




🔷 NAMAAZ...58
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💜 JUMAH..k masaail.....
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
JUMAH PADHNA KIN PAR FARZ HAI

                          ...( L )...
🔹7 shartein jinme paayi jaayegi un par hi jumah farz hai...
🔹huriyat...aazaadi
🔹zakurat...mard hona
🔹aqal hona
🔹baaligh hona
🔹muqiim hona...musafir na ho
🔹itna tandrust k hazir hokr jamaaat me shamil ho sake
🔹dushmn ka khauf...zaalim haakim ka dar...khub zodaar baarish...aandhi tuufaan...
Ye saari baatein na ho..
🔹ye tamam shartein jin mein paayi gayi unpsr jumah farz hai..

Durre mukhtaar
Fatawa razviyah
Jild..3...safa...746
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
JUMAH KI...7...SHARTON KI TAFSIL

                          ...( M )...
🔹aazaad hona...ghulaam na ho...is dor mein ab ghulaam ka riwaaj khatm ho gaya..ab sab aazaad hi hai..
🔹mard hona...k awrat par jumah farz nahi..jumah k din awrat zohar padhe...
🔹baaligh...k naabaaligh par jumeh ki namaaz farz nahi...
🔹jumah paagal pr farz nahi... Shart nmbr 3 or 4.... aaqil or baaligh hona... Ye shartein har ibaadat k waajib hone k liye zaruri hai..
      Naabaaligh jumeh me sharik ho sakta hai... Naabaaligh jumeh ki namaaz ki imaamat bhi nahi kar sakta or khutba bhi nahi padh sakta...
🔹Muqiim hona...k musafir par jumah farz nahi...
🔹tandrust hona.... Bimaar na ho...Wo biimaar k masjid tak na jaa sake ya gaya to bimaari badhegi ya der me achchi hogi...
🔹agar jumah padne jata hai to piichese maal saamaan chori hone ka yaqin ho or aysa koi maujud nahi k jisko sonp kar jaa sake to juma farz nahi..
      Yani aysa koi amr ( kaam ) na ho jo shadiid nuqsaan se do chaar kar de..
      Jayse..qaid hona..zaalim haakim ka dar...kisi ne zabardasti roka ho..aandhi...tuufaan..k
Masjid tak jaa na sake.

AALAMGIRI...
BAHAARE SHARIYAT...
FATAWA RAZWIYA...
RADDUL MOHTAAR...




🔷 NAMAAZ...59
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💜 JUMAH k masaail...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Quraan ki aayat...
Jumah ki rakatein..
Ahaadiis ka mafhum...
Jumah k ahkaam ...
                          ...( N )...
🔹Aye immanwalo jab namaaz ki azaan ho jumah k din to allah k zikar ki traf dodho or kharid o farokht chodo...
( Kanzul imaan
Para..28..sure..jumah...
Aayat nmbr...9 )

      MAFHOOME AHAADIIS...
   🔹Jisne achchi trah wuzu kiya fir jumah padha..khutba suna..chup raha.. uske wo gunah maaf kar diye jayenge jo is jumah or isse pehle k jumah k biich huwe..
   🔹Mene socha k aik aadmi ko namaaz e jumah padhane ka hukm dun or jo jumah k liye na aaye un k gharon ko jalaa dun...
   🔹jo 3 jumah susti ki wajah se chode allah us k dil par mohar kar dega...
   🔹jo 3 jumah bagair shraii majburi k chode wo munaafiq hai..
   🔹jo 3 jumah bagair uzr chode wo munafiqon me likh diya gaya..
   🔹jo 3 juma musalsal (without gap) chode usne islam ko piith k piiche phaink diya..
   🔹jumah ki azaan hote hi kharid o farokht (karobari len den) haraam ho jata hai..or duniya k wo tamam kaam jo allah k zikar se beparwah kare....
      sab kaam isme aagaye...un tamam kaamon ko chod dena zaruri hai..
🔹jumah farze aain hai or iski farziyat zohar se zyada hai..
      Is k farz hone ka inkaar karnewala kaafir hai..
🔹jis desh me musalmanon ki hukumat hai ya thi or ab gairon ka qabza hai or islaam ki pehchan k kaam baghair kisi taklif k chal rahe hai....
      Jaise hindustaan or bangla desh  k tamaam sheher hai ye sab islami cities hai....in mein jumah farz hai...

      JUMAH KI RAKATEIN
🔹4 rakat sunnate muakkadah
🔹2 rakat farz
🔹4 rakat sunnate muakkadah
🔹2 rakat sunnate gair muakkadah
🔹2 rakat nafl
      Kul 14 rakatein hai...

KANZUL IIMAAN...
ABU DAAUUD...
NISAAII WA TIRMIZI...
IBNE MAAJAH...
BEHRUR RAAIQ...
TAFSIRE KHAZAA INUL IRFAN..




🔷 NAMAAZ...60
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💜JUMAH...k masaail...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
       ... ( O )... MUKHTALIF MASAAIL
🔹jo log sheher k qariib gaanw me rehte hon unko chahiye k city me aakar jumah padh jaaye.
🔹gaanw (village) me jumah naajaaiz hai...agar padhenge gunahgaar honge...or zohar un par baaki rahegi.
🔹jis gaanw me jumah nahi hota wahan shuru nahi karna chahiye..or..
      jahan hota hai wahan band nahi karna chahiye..k awaam jis bhi jaaiz tariqe se allah ko yaad karte hon karne dein...k rokne se mumkin hai wo zohar bhi chod de.
🔹masjid me jo khatiib o imaam nakki hai fix hai uski ijaazat k baghair koi dusra khutba nahi padh sakta... agar padhega khutba jaaiz na hoga...or khutba na hoga to namaaz bhi na hui..k khutba sharte jumah hai.

       ... ( P ) ... MUKHTALIF MASAAIL
🔹khatib ka khutbe k waqt haath mein asa ( danda jo aam tor par masjidon me mimbar k qariib rakkha hota hai ) kuch ulma ne sunnat likha hai or kuch ne makrooh likha hai...or..
      zahir hai agar sunnat bhi ho to sunnate muakkadah nahi isliye haath me asa lenese bachna behtar hai agar koi majboori nahi.
🔹sunnat ye hai k 2 khutbe padhe jaaein.
🔹khutbe me quraan ki aayat na padhna ya dono khutbon k biich mein na bethna makrooh hai.
🔹dono khutbon k biich mein imaam ko dua maangna jaaiz hai or muqtadi dil me dua mange..zabaan ko harkat na de to jaaiz hai.

SHARHE WIQAAYA...
BAHARE SHARIYAT...
FATAWA RAZWIYA...
Jild..3...safa..
684..723..764..728
AALAMGIIRI...
DURRE MUKHTAAR...




🔷 NAMAAZ...61
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💜 JUMAH...k masaail
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

      ...( Q )... MUKHTALIF MASAAIL

🔹jo kaam namaaz ki haalat mein karna haraam O mana hai wo khutbe me bhi krna mana o haraam hai.
🔹khutba sunna farz hai or is trah sunna farz hai k pure tor par dhyaan usi traf ho kisi kaam ki traf na ho...jism k tamam aaza usi traf mutawajjeh rakkhein...ye waajib hai...
      Agar kisi khutba sunnewale tak aawaaz na pohinchti ho jab bhi use chup rehna or mutawajjeh rehna waajib hai...kisi bhi kaam me mashgul rehna haraam hai.
🔹khutbe k waqt khutba sunnewala do zaanu ( namaaz me bathte hai waise ) ho kar bethe....
Or aalti paalti ( palaathi..falaati ) se bhi baith sakte hai.
🔹khutbe k waqt sunnewale ko aik ghunt paani pina bhi haraam hai or kisi traf gardan ghuma kar dekhna bhi haraam hai.

      ... ( R )... MUKHTALIF MASAAIL

🔹khutbe k waqt salaam ka jawab dena bhi haraam hai.
🔹khutbe ki jo azaan hoti hai uska jawab dil me dein zabaan se na dein..
      Aaqa ka naam sun kar anguthe na chume... dil me durud padhein zabaan se kuch na padhe... K us waqt  khaamosh rehna farz hai..
      Us waqt wazife padhna jaaiz nahi or nafl namaaz padhna bhi gunah hai.
🔹khatiib khutbe me dua kare to sunne walon ko haath uthana ya aamiin kehna mana hai...karenge to gunahgaar honge.
🔹khutba sunne k doraan harkat mana hai...khade hokar sunna sunnat k khilaaf hai....
      Awaam me dekha gaya hai k khutbe k aakhri alfaaz... Wala zikrullaahi taala.... Par hi khatib hota hai or log khade ho jaate hai... Ye haraam hai..k abhi khutba khatm nahi huwa.

DURRE MUKHTAAR..
BAHARE SHARIYAT...
FATAWA RAZWIYA...
Jild...3..safa..
697..683..384..
759..709..704..743
JAAMEUR RUMOOZ...
AALAMGIIRI...
FATHUL QADIIR...
RADDUL MOHTAAR...
GHUNIYA. .
FATAWA RAZWIYA...
Jild..3...safa.
695..698..696




🔷 NAMAAZ...62
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💜 NAMAAZ...JUMAH...k masaail...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

      ... ( S )... MUKHTALIF MASAAIL

🔹kisi ne khutbe se pehle ki 4 rakat sunnat shuru ki or khatib ne khutba suru kar diya to 2 rakat par hi salaam pher de...or khutba...farz namaaz..or bad ki sunnaton k bad ye 4 sunnat padhe...
🔹jumeh ki namaaz me agar sajd e sahw waajib huwa or agar imaam ye sajda karta hai to muqtadiyon me gadbadi or fitna phelne ka dar hai to ulma ne in sajdon ko  chodne (na karne ki) ki ijaazat di hai...bl k jumah mein sajda e sahw chodna behtar hai.
🔹jumah ki pehli 4 sunnat chut gayi to jamaat k baad wali sunnat k bad....ye 4 sunnat padhe....ye ada hogi qazaa nahi.
🔹jin masjidon me jumah nahi hota un masjidon ko zohar k waqt band rakkha jaye.
🔹gaanw me jumah k din masjid mein zohar ki namaaz azaan o iqaamat k sath baajamaat padhe..

AALAMGIIRI...
BEHRUR RAAIQ...
DURRE MUKHTAAR...
RADDUL MOHTAAR..
BAHARE SHARIYAT...
Jild..3..4..safa...99..102
FATAWA RAZWIYA...
Jild..3...safa..689..
619..461..611

      ...( T )... MUKHTALIF MASAAIL

🔹murtad..munaafiq..gumraah or bad aqidah firqe k log jo Aaqa...sallallahu alayhi wasallam..ki shaan me gustakhiyan or be adabiyan karte hai or bhole bhaale musalmanon ko apne fareb me phansa kar unka imaan tabah karte hai...ayse logon ko masjid mein aanese rokna chahiye.
🔹Mafhume hadis...
      Unse alag raho..unhein apne se duur rakkho..kahin wo tumko behka na dein..kahin wo tumhein fitne me na daal dein...

MUSLIM SHARIF...

🔹har muuzi ko masjid se nikaalna..apni taaqat bhar waajib hai..chahe sirf  zabaan se takliif dene wala ho...khaaskar badmazhabiyat phelanewale ko or gumraahi phelaane wale ko.
🔹murtad ka saf me khada hona jaaiz nahi..unki namaaz namaaz hi nahi..to jiski namaaz namaaz hi nahi to uska saf me khada hona saf ko kaat dega..or ye haraam hai...lihaza jo taaqat rakhte hon unpar farz hai k wo un murtadon or munaafiqon ko masjid me aanese roke or musalmano ki namaazon ko kharab honese bachayein.
🔹is dor k munaafiqin or murtadiin me wahaabi..dewbandi..ghair muqallid ( salfi )..najdi..mirzaaii..waghaira baatil firqon ka shumaar hota hai..inki pehchaan k liye.. Hussaamul haramain...kitab mein iski tafsil padhein...

FATAWA RAZWIYA..
Jild..6..safa...103..
106..109..433..448



🔷 NAMAAZ...63
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💜 JUMAH...k masaail....
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

      ... ( U )...MUKHTALIF MASAAIL

🔹jo bhi mariiz ka timaardaar (dekrekh krnewala) hai or jaanta hai k jumah k liye jayega to mariiz takliif me aa jaayega or koi tawajjeh nahi dega to uspar jumah farz nahi.
🔹wo naabiina (andha) jo khud masjid tak taklif k baghair jumah k liye na ja sake uspar jumah farz nahi...
      Kuch nabina baghair taklif k or kisiki madad k baghair bazaron or raston par phirte hai or jis masjid chahe baghair puche jaa sakte hai...unpar jumah farz hai.
🔹jiska aik pair kat gaya ya faalij ( laqwah ) ki wajah se bekaar ho gaya..agar wo masjid tak jaa sakta hai to uspar jumah farz hai... Warna nahi.

      ... ( V )... MUKHTALIF MASAAIL

🔹jo bhi kisi wajah se jumah na padh sake wo baghair azaan o iqaamat  zohar ki namaaz akele akele padhein...chahe jitne bhi log ho...unko bhi zohar ki namaaz jamaat se padhna mana hai.
🔹maazuur matlab wo jis k paas koi jumah na padhne ka sharaii majbuuri hai...us k liye bhi behtar ye hai k wo zohar ki namaaz...jumah ki jamaat k bad padhe...k jumah se pehle padhna makrooh hai.
🔹jumah ki namaaz k liye jaldi jana..miswaak karna..achche safed kapde pehenna..tel or khushboo lagaana mustahab hai...Jumah k din ghusl karna sunnat hai.
🔹hajaamat banwana or naakhun tarashwana jumah ki namaaz k bad afzal hai.

AALAMGIIRI...
DURRE MUKHTAAR...
GHUNIYAH...
BAHARE SHARIYAT...
Jild..4..safa..102
RADDUL MOHTAAR...


Tali E Dua

Team Dars E Fiqaha
WhatsApp & Face Book


➖☄➖☄➖☄➖☄➖

↪ To Join ⤵

Dars E Fiqaha
WhatsApp Group

📲 +919886596449

Like Our FB Page

📧 https://www.facebook.com/Dars-E-Fiqaha-1496837920620194/

Comments

  1. bhai g ye jo ap ne profile pic lagaye howe hai ye ghlat hai ap ne nalain pak k ander Allah pak ka ghar aur Nabi pak ka roza lagaya howa hai ye sub bohot bare behormati hai zara ye dekho

    ReplyDelete
  2. Assalamu alaikum wa rahmatullahi wa barkatuh
    Gusl ke bare me post jo likha h usme hawala nhi dia h kaonse kitab ka h post

    ReplyDelete
  3. Agr neeyat me ho namaz prhna or ankh jab khuly k roshni hochuki to or foren uth kr prhlen ya suraj niklny ka intazaar kren kion wo waqt makrooh hota hai magr suna hai k agr foren prhli jay bz wapas sogay parhy bager to qaza me count hogi jabk uthkr parhli to qaza me count nhi hogi kia ye sahi baat hai agr sahi hai to koi hadees se bataen plz

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Shaan E Mustafa (100 Sahih Ahadees)

AQAID E AHLE SUNNAT AHADEES KI ROSHNI MEIN (COMPLETE 100 HADEESON KE COLLETION KE SATH) Chapters :-   1     Ikhtiyare Mustafa ﷺ    par 20 Hadees 2     Huzoor ﷺ Jaisa koi nahi par   15 Hadees 3          Huzoor ﷺ wisaal ke baad   bhi zindah hai   Par 15 Hadees 4     Ilme Gaib E Mustafa ﷺ Par 25 Hadees 5          Allah Ta'ala Ki Baargah Me Uske Mehboob Bando Ko Waseela Banana Par 6 Hadees 6          Shafa'ate Ambiya Wa Awliya Wa Olma Par 6 Hadees 7          Ishq E Rasool Wa Tazeeme Nabi ﷺ Par 8 Hadees 8     Bad-Mazhab Aur Gumrah Firqon Ki Pehchaan Par 5 Hadees ✔ Saari Haddesein Siyah Sittah Ke Hawalo Ke Sath Hain Jisko Har Maqtaba E Fiqr Ke Log Maante Hain. Chapter I IKHTIYAR'ATE MUS...

Bazm E Raza "Namaaz"

Namaaz (Sayed Shah Turab ul Haq Qadri Alaihi Rehma) بسم الله الرحمن الرحيم الصــلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ Fazail E Namaz Namaz Rasool E Muazzam Noor E Mujjassam Rehmate Do Alam ﷺ Ki Ankhon Ki Thandak Hai Deen Ka Sutoon Hai Jannat Ki Kunji Hai Momin Ki Meraj Hai Afzal Jihad Hai Imaan Ki Alamat Hai Dil Ka Noor Hai Chehre Ki Raounaq Hai Rooh Ki Ghiza Hai. Namaz Ghar Mein Nuzool E Barkat Ka Bais Hai Rizq Mein Wussat Ka Sabab Hai Jismani O Ruhani Amraaz Ki Shifa Hai Qabr Ke Andhere Mein Roshni Hai Mehshar Ki Dhoop Mein Saya Hai. Namaz Qabr Ki Wehshat Mein Dil Behlane Wali hai Pul E Sira'at Per Se Jaldi Guzarne Wali Hai Gunaho Ki Magfirat Ka Zariya Hai Namazi Awr Dozakh Ke Darmiyan Parda Yani Aadh Hai Shaitan Ko Dafa Karti Hai ALLAH Ta'ala Ka Qarb Awr Raza Ata Karti Hai. Imaan Awr Aqaid Ki Durustgi Yani Kalimae Tayyaba Padhne Ke Ba'ad Tamam Faraiz Mein Sabse Ahem Fariza Namaz Hai. Aaqa O Moula ﷺ Ka Irsha'ad Hai. ✅ ALLAH Ta'...