Sawal : kheti k kiye Narmada canal me se paani electric motor k zariye nahi liya jaata. Balki pipe line k zariye paani liya jaata he. Aur wo pipe line farmers k paiso se hi daali gai he. Iss soorat me zakaat me 20va hissa dena hoga ya 10va hissa? Plz Rehnumai farmaye. Jawaab : Agar ye Paani begair Ujrat ke liya jaata hai Kisi ko is pani ki ujrat nahi di jaati to Is pani se hone wali kheti par Ushr (10 waan hissa) waajib hai Sawal : Kisi k T shirt k piche jandar ki tasweer ho to namaz hogi ya nahi? Jawaab : Kisi bhi Janib se Tasweer ka Saamna ho to un logo ki Namaz Makrooh e Tahrimi Waajib ul Iaada hogi jab ke usi Makan me ho. Sawal : ek dost abhi umre ke liye gaye hai unka sawal hai ki. First umre ku pure sar ke baal nikal na ya chote kara sakte Jawaab : Umra ke Baad Halaq yaani Pure Baal Mundaana Afzal o Sunnat hai. Sawal : Kya pure saal me kabhi bhi saahib e nisab ho to fitra wajib he ya eid k.din sahib e nisab ho to wajib he? Jawaab : Eid u...